:lol: :lol: Nicely written Kaiynath & Vikas......
Zindgi eik paheli hai jisey suljhaaney mein hum kaafi samay bita detey hain.... lekin har mor par ye paheli eik naye jawaab ke saath saamney aa jaati hai....
Kuchh manjilon ka, kuchh sapno ka, kuchh yaadon ka, kuchh armaano ka naam hai jindgi....
Kabhi hum apni manzilon ko paane ke liye kaafi tej bhagtey hain.... aur jab manjil mil jaati hai to achanak ehsaas hota hai.... iss manjil ko paana zindagi nahi thhi.... zindagi to poori uss rastey mein beet gayi jo iss manjil tak aaya....
kuchh yaadon ka naam hai zindgi.... kuchh aisi yaadein jin mein kuchh apney fir se mil jaate hain.... aisi yaadein jinmein baar baar kho jaane ko ji chaahta hai... kuchh jaane pehchaane kuchh anjaane chehre jaisey fir se unn yaadon mein kheench le jaane ko betaab haun....
Kuchh aisey palon(moments) ka naam hai zindgi jinke beetney ka hamein pata bhi nahi chala.... lekin ab unhi palon ko fir se jeene ke liye jee chahe....
Kuchh aisey Sapno ka naam hai zindagi jo hum sabhi ne sajaaye hote hain.... eik wonderland.... jo reallity se kaafi door hota hai...

par fir bhi itna sweet ki hum usey chhorna nahi chaahtey..
Kuchh samajh aaya......

Nahi na..... :D Bas issi tarah zindgi bhi eik confusion hai.... :lol:

kya likha zindagi ke baare me...
mujhe to itna pata hai...
Zindagi ek safar hai suhana
Yahan kal kya ho kisne jaana
Chadh taaron se chalna hai aage
Asmaanon se badna hai aage
Pichhe reh jayega yeh zamana
Yahan kal kya ho kisne jaana
Zindagi ek safar hai suhana
Yahan kal kya ho kisne jaana
Haste gate jahan se guzar
Duniya ki tu parvah na kar
Muskuraate hue din bitana
Yahan kal kya ho kisne jaana
Haan zindagi ek safar hai suhana
Yahan kal kya ho kisne jaana
Maut aani hai ayegi ik din
Jaan jaani hai jayegi ik din
Aisi baaton se kya ghabrana
Yahan kal kya ho kisne jaana
Zindagi ek safar hai suhana
Yahan kal kya ho kisne jaana
bas aur kya kahoooo... mujhe yahi pata hai.... aur isse jyaada ...
