Show Posts
|
|
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 33
|
|
1
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri-E-Dard / Mein naheen woh!
|
on: Today at 03:35:30 AM
|
|
Mein, naheen woh, ki, kisee aur sey fariyaad karoon! Aur, yeh aastaan chhorhoon, nayaa aabaad karoon!! Dard hotaa hai, to, kartaa hoon tujhey yaad! 'Abd', Na karoon yaad tujhey: kisko, bataa, yaad karoon? - abd bundeli
|
|
|
|
|
5
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri for Khumar -e- Ishq / Re: Ham samajhtey hain: bulaaney pai, woh aa jaayengey!
|
on: September 03, 2008, 10:43:53 AM
|
|
Mahiya ji/Celmira ji/guzrgul ji/ Aryaan ji, Us ki marzee hai, to, sun leytaa hoon, kah leytaa hoon! Hukm us kaa ho jahaan: mein waheen rah leytaa hoon! Woh khushee dey, ki na dey; aur, dard dey chaahey: Khush bhi ho leytaa hoon; to, dard bhi sah leytaa hoon!! - abd bundeli
|
|
|
|
|
6
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shairi - E - Zindagi / Jaago! Rey jaago!!
|
on: September 02, 2008, 09:11:34 PM
|
|
Jaago! Rey jaago!! Niklo rey gahwar sey, tan kar! Bhaya tyaago!! Jaago! Rey jaago!!
Beet chukee kab ki, har raat andhkaar bharee! Arunaabhaa jaag uthee: praat huyee pyaar bharee! Mangal hee mangal wikhraa hai, har aangan mein: Wadhuoun sey kah do, nikleyn jal ko, ley gagaree!! Urwartaa umgee hai: Tumhain bulaa rahey kheit! Praapt karo dhartee sey; Srushhtaa sey mat maago!! Jaago! Rey jaago!!
Tum hee to ho raajaa! Tumhee prajaa! Fir kyaa bhaya? Wicharo karmaangan mein saadhikaar, nihsanshaya! Apnee bhoo kaa vidhaan, kuchh bhi ho, mat torho; Racho wimal samvidhaan: Ram-Rajya ho samudaya!! Larho nitya anyaayee sey: Nirbhaya-drudh sadhairya! Vijaya tumhaaree nishchit hai: Ran sey mat bhaago!! Jaago! Rey jaago!!
- Ramwatiya / abd bundeli
|
|
|
|
|
7
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shairi - E - Zindagi / Re: jihaad (gul)
|
on: September 02, 2008, 08:37:11 PM
|
|
gulzargul ji, Qatl hai marz qaatiloun kaa, yeh Jihaad naheen! Dar haqeeqat, unhain aataa hai Khudaa yaad naheen! Beygunaahoun kaa khoon, kyaa unhain deygaa? Ya Rab! Qatl hotey hain jo, kyaa hain woh khudaadaad naheen? - abd bundeli
|
|
|
|
|
8
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri for Khumar -e- Ishq / Re: Ham samajhtey hain: bulaaney pai, woh aa jaayengey!
|
on: September 02, 2008, 08:13:00 PM
|
|
sajid_ghayel ji/Celmira ji/Aryaan ji, Nazar sey un kee, door kaisey ham rahain? ya Rab! Nigaah un kee, baraabar, hamee pai rahtee hai! Hisaab rakhtey hain, har saans kaa meyree woh! "Kaho, Kahaan chhupogey, 'abd'?" Baad-e-sabaa kahtee hai! - abd bundeli
|
|
|
|
|
11
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri-E-Dard / Re: *~*Mohabbat*~*
|
on: September 02, 2008, 10:31:47 AM
|
|
Jaanasheen ji, Haal-e-dil jaanney waalaa bhi kaheen hoga zaroor! Justajoo jaaree rakheyn: 'deir hai! andheir naheen!!' Aap key noujawwan dil ko fatah haasil ho! Deykhiye: kaam wahaan aataa koyee sheir naheen!! - abd bundeli
|
|
|
|
|
12
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri for Dard -e- Judai / Ab to, ham hain, ki, shab-e-iztiraab taareeqee!
|
on: September 02, 2008, 09:21:29 AM
|
|
Tum ney naahaq, guzaar waqt, nigah bhaaree kee! Ham ney jaanee hai, muqaddar ki khoob baareeqee! Tum naneen ho, to, na gunchey hain, na khushboo koyee; Ab to ham hain, ki, shab-e-iztiraab taareekee!! abd bundeli
|
|
|
|
|
13
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Ghazals / Re: Kab sharbat-e-kousar sey, galaa kar sakoongaa tar?
|
on: September 02, 2008, 05:30:13 AM
|
|
Muhammed Sa'b, Hamaarey 'grinthoun' mein, 'Aatma' yaanee Rooh, wa 'Parmaatmaa' yaani PARWARDIGAAR (KHUDAA ya ALLAH), dono 'Chirantan' yaani Eternal hain, haan jaisaa aap bhi maantey hain, INFINITE to PARMAATMAA hee hai! Aapney Sanskrit padhee hai, to Shrimad Bhagwad GEETAA bhi padhee hogee? GEETAA ka DOOSARAA 'Adhyaaya' padhney ki takleef gawaarah keejiyegaa, ham (SANAATAN-DHARMEE), ATMAA (ROOH) ki hameyshgee mein bhi pooraa yaqeen kartey hain! Hamaarey hisaab sey AATMAA, PARMAATMAA ka hi eik 'sookshm' (yaani miniature) roop hai! Aap jo samajhtey hain, IS A MATTER OF FAITH, is liye woh bhi saheeh hai! - abd bundeli
|
|
|
|
|
14
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri for Dard -e- Judai / Chupkey sey, khwaab mein aa, jagaayaa na keejiye!
|
on: September 02, 2008, 03:08:05 AM
|
|
'Chupkey sey, khwaab mein aa, jagaayaa na keejiye! Taareek nisf shab mein sataayaa na keejiye! Aatee naheen hai neend dobaarah, sanam, hamain: Yoon, baarhaa, apney ko rulaayaa na keejiye!!' - abd bundeli
|
|
|
|
|
15
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri-E-Dard / Re: *~*Mohabbat*~*
|
on: September 02, 2008, 02:46:28 AM
|
|
Muhammed Sa'b, Zarrey ko aaftaab banaayen na yoon, janaab! Khaaraa hai bahut, go ki, wahaan par hai utnaa aab!! Us sey kaheen behtar hai chhotaa-saa eik dariya, Kousar pai hi, shaayad miley, us kaa, 'abd', jawaab!! - abd bundeli
|
|
|
|
|
|