Yaadon ke daayre mein,ek chehra aaya hai nazar,
Waqt ne jise bhula diya tha,dil na bhool paaya magar,
Woh maasoom mohabbat,woh mausam suhaana,
Lo phir chal pada dil,yaadon ke safar par.
Mile the kabhi yun chandni mein,
Jaise khilti hai shabnam,gaalon pe gul ke
Woh hasna-hasaana,woh baatein suhaani,
Woh mulaakaatein rahi hain,jharokhon mein dil ke.
Nahi paas hain woh,unka ehsaas to hai
Unke kadmon ki aahaton ki aas to hai,
Aayenge woh ,itna yakeen hai...
Unhe bhi woh bechaini,woh pyaas to hai.
Ab wahi raat ki khamoshi,fir wahi tanhai,
Yeh hawaein phir kisi ki yaad le aayi,
Hum to baithe the yaadon ke daayre mein,
Phir kisi ke liye yeh aankhen bhar aayi.
