Show Posts
|
|
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 15
|
|
1
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Ghazals / Kiya Karein Log Jab KhuDa Ho Jayen
|
on: July 07, 2007, 04:12:14 AM
|
|
is se pahale ke bevafaa ho jaaye.n kyo.n na ai dost ham judaa ho jaaye.n
tuu bhii hiire se ban gayaa patthar ham bhii kal kyaa se kyaa ho jaaye.n
ham bhii majabuuriyo.n kaa uzr kare.n aur kahii.n aur mubtalaa ho jaaye.n
ishq bhii khel hai nasiibo.n kaa Khaak ho jaaye.n kimiyaa ho jaaye.n
ab ke gar tuu mile to ham tujh se aise lipaTe.n terii qabaa ho jaaye.n
bandagii ham ne chho.D dii hai 'Faraz' kyaa kare.n log jab Khudaa ho jaaye.n
Ahmed Faraz
|
|
|
|
|
2
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Ghazals / Pyaare aansu
|
on: March 22, 2007, 03:26:20 PM
|
|
hazaar Gam the merii zindagii akelii thii Khushii jahaa.N kii mere vaaste pahelii thii
[pahelii=riddle]
vo aaj bach ke nikalate hai.n mere saaye se ki mai.n ne jin ke liye Gam kii dhuup jhelii thii
judaa hu_ii na kabhii mujh se gardish-e-dauraa.N merii hayaat kii bachapan se ye sahelii thii
[gardish-e-dauraa.N=wheel of time; hayaat=life]
cha.Dhaa rahe hai.n vo hii aaj aastii.n mujh par ki jin kii piiTh pe kal tak merii hathelii thii
[aastii.n=sleeve]
ab un kii qabr pe jalataa nahii.n diyaa ko_ii ki jin kii dahar me.n roshan bahut havelii thii
[qabr=grave; dahar=world]
vo jhuk ke phir merii turbat pe kar rahe hai.n salaam isii adaa ne to "Dewana_Dil" kii jaan le lii thii
[turbat=grave]
|
|
|
|
|
3
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Ghazals / Pyaare aansu
|
on: March 22, 2007, 03:11:53 PM
|
|
haaye vo vaqt-e-judaa_ii ke tumhaare aa.Nsuu gir ke daaman pe bane the jo sitaare aa.Nsuu
laal-o-gauhar ke Khazaane hai.n ye saare aa.Nsuu ko_ii aa.Nkho.n se churaa le na tumhaare aa.Nsuu
[laal-o-gauhar = rubies and pearls (precious gems)]
terii aa.Nkho.n me.n agar ho.n to sitaare aa.Nsuu merii aa.Nkho.n me.n agar ho.n to bechaare aa.Nsuu
in ko 'mobeen' na kabhii aa.Nkh se girane denaa un ko lagate hai.n merii aa.Nkh me.n pyaare aa.Nsuu
|
|
|
|
|
4
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Ghazals / Dhoondtay rahay
|
on: March 22, 2007, 02:39:11 PM
|
|
dekhaa to meraa saayaa bhii mujh se judaa milaa sochaa to har kisii se meraa sil_silaa milaa shahar-e-vafaa me.n ab kise ahal-e-vafaa kahe.n ham se gale milaa to vo hii bevafaa milaa
fursat kise thii jo merii haalaat puuchhataa har shaKhs apane baare me.n kuchh sochataa milaa
us ne to Khair apano.n se muraa thaa muu.Nh haaye mai.n ne ye kyaa kiyaa ke mai.n Gairo.n se jaa milaa
|
|
|
|
|
5
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Ghazals / Dhoondtay rahay
|
on: March 22, 2007, 02:31:55 PM
|
|
dekh lo Khvaab magar Khvaab kaa charchaa na karo log jal jaayenge suuraj kii tamannaa na karo
vaqt kaa kyaa hai kisii pal bhii badal sakataa hai ho sake tum se to tum mujh pe bharosaa na karo
kirchiyaa.N TuuTe hue aks kii chubh jaayengii aur kuchh roz abhii aa_iinaa dekhaa na karo
[aks = reflection]
ajanabii lagane lage Khud tumhe.n apanaa hii vajuud apane din raat ko itanaa bhii akelaa na karo
Khvaab bachcho.n ke khilauno.n kii tarah hote hai.n Khvaab dekhaa na karo Khvaab dikhaayaa na karo
be-Khayaalii me.n kabhii u.Ngaliyaa.N jal jaayengii raakh guzare hue lamho.n kii kuredaa na karo
mom ke rishte hai.n garmii se pighal jaayenge dhuup ke shahar me.n "Dewana_Dil ye tamaashaa na karo
[mom = wax]
|
|
|
|
|
6
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Ghazals / Dhoondtay rahay
|
on: March 22, 2007, 02:22:49 PM
|
|
Shukriya parne ka!! bas ji app ki mohobbat kheech liyee
dard se meraa daaman bhar de yaa allaah phir chaahe diivaanaa kar de yaa allaah
mai.n ne tujhase chaa.Nd sitaare kab maa.Nge raushan dil bedaar nazar de yaa allaah
suuraj sii ik chiiz to ham sab dekh chuke sach-much kii ab koii sahar de yaa allaah
yaa dhartii ke zaKhmo.n par maraham rakh de yaa meraa dil patthar kar de yaa allaah
|
|
|
|
|
11
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Ghazals / Dhoondtay rahay
|
on: March 12, 2007, 03:01:03 AM
|
|
Kal sehan mein hum baad-saba dhoondtay rahay Bichar kar tujhse, tera patta dhoondtay rahay…
Jo dekha bhi kisi ko, dekha teray tasavar mein Hum chehroon mein chehra tera dhoondtay rahay…
Jo baat bhi ki kisi se to, ki tera hawalay se Hum Lehjoon mein, lehja tera dhoondtay rahay…
Meri dewaangi mein kuch kasoor mera to na tha Tamaam kissay mein hum apni khataa dhoondtay rahay…
Kabhi kho kar paya tujh ko, kabhi paa ke khoya Teri jaffaoon mein hum, apni wafa dhoondtay rahay….
|
|
|
|
|
12
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Mazahiya Shayri(Funny Shayari) / Duniya Badal Gayi Hai ChaTTing Se
|
on: March 12, 2007, 02:58:25 AM
|
|
Duniya badal gayi hai chatting se Hoti hai ab hacking chatting se
Hoti thi ladkian subah shaam hamari gali mein
Nikalna hogaya unka band chatting se Kyunki hoti hain ab to setting chatting se Duniya ho gayi hai bekar chatting se Hoti hain kharab aakhein chatting se
Pehle karte hum dost baatein hotelon mein Peetay the chai waghera hotelon mein Khoob hoti thi masti hotelon mein Khailte they mazaak kia karte they
Ab to hoti hai baat to who bhi chatting se Bekaar hogaya hai telephone chatting se Hojaati hai ab voice chat chatting se Pata nahin tha kya matlab hota hai asl ka Pata chal gaye sare matlab chatting se Ho rahein hain badnam Log chatting se
Karta nahin koi angrez baatein humse chatting se Kehtay hain key aati hai English chatting se Main kehtha hoon hogayi hai English kharab chatting se ho geya khana kharab chatting se Hoti thi bari dhoom dhaam se shadi Nikah ho raha hain ab chatting se Ab to aisa lagta hai key janab Mohabbat hogayee hai chatting se !
|
|
|
|
|
13
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Ghazals / KASHH
|
on: March 12, 2007, 02:33:59 AM
|
|
woh phool si muskurahat merey liye hoti woh masoom shararat merey liye hoti
main us zulf ki chaaon main soo jaata woh kaali raat merey liye hoti
raat bhar woh ghomaati apna kangan woh bechayni woh betaabi merey liye hoti
woh ek taara tha khuley aasmaan main aey kaash woh roshni merey liye hoti
merey wujood main bhi zindagi ka suraagh milta jo woh munawar nazar merey liye hoti
rishtaa kuch to ban jaata apna bhi mohabbat nahi na sahi,nafrat merey liye hoti
|
|
|
|
|
|