Show Posts
|
|
Pages: [1] 2 3 4
|
|
3
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayeri for Dard -e- Bewafai / mere dard ki daastaa'n likhe de sanam
|
on: September 21, 2008, 03:19:08 AM
|
|
aa beith tu mere dard ki daasta'n likh de sanam lafz-e-wafaa likh,kahin bewafaa likh de sanam
har saf par daur-e-ishq kaa zikr naa likhna dard-e-dawa likh,kahin dard-e-dill likh de sanam
raat kaa zikr kar, taaro'n ki zubaa'n naa likhna khauf-e-andhera likh, kahin savera likh de sanam
siyaahi teri qalam ki khatam ho jaaye agar armaan-e-dill likh,khoon-e-jigar likh de sanam
aa beith mere dard ki daastaa'n likh de sanam.......
|
|
|
|
|
4
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayeri for Dard -e- Bewafai / mere dushman ko mujhse pyaar ho !!
|
on: September 01, 2008, 09:38:19 AM
|
|
Ae Mere Khudaa Mujhe Hauslaa ataa Kar Mere Dushman ko Mujhse pyaar ho aisi saza kar
mene khud apne hi raasto'n me bichhaye the kaante kaii se gul aa gire mere qadmo me aisi hawaa kar
unhe mubaarak ho har khushi jiske woh hai talabgaar meri rooh ko kar de taaza kuchh aisi sada kar
ranzish naa ho, naa ho koii fariyaad mere liye ae khudaa mere raqeeb koi aisi zubaa'n ataa kar
|
|
|
|
|
5
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri-E-Dard / yeh saazish-e-vafaa naa thi,gham-e-ishq naa thaa.....
|
on: August 24, 2008, 01:06:08 PM
|
|
me bhi muskuraata thaa jab mujhe ishq naa thaa yeh saazish-e-vafaa naa thi,gham-e-ishq naa thaa..
mujhe apne aap se bichhre hua ek arsaa saa huaa yeh anjaani raahe naa thi,gham kaa gubaar naa thaa...
mere dill me bhi tha qaraar,mein sukoo'n me thaa yeh uljhane naa thi, shaam kaa intezaar naa thaa...
yun bhi hota ki hum mar jaate teri raah-e-ishq me yeh sab bedaari naa thi, dil me malaal naa thaa....
sunaa thaa ki ishq kuchh aisi balaa hai dosto !! par hum pai bhi aa gujregi yeh khyaal naa thaa...
|
|
|
|
|
6
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shairy-E-Watan / Re: Dhamaaka,. Dehshat Ka,.
|
on: July 28, 2008, 11:04:36 AM
|
|
yes my friend..you too true in your words... i m from surat but now settled in dubai but my family still there, and you know how much explosive were captured before took any mishappen...allah ne kahir kiya...
yeh woh aag hai jo humaari dehliz tak aa gayi hai...
kuchh hasrat-e-nawaazi me hum khuda ho beithe girebaa'n khoon se range hai par humnavaa ho beithe
mitaane lage hai yun hastiyaa'n hum apne saath maasoomo ki ki kheirkhwaaii ke nashe me hum qaatil-e-jaan ho beithe
khudaa thaa insaaf ke liye ke unhe apni zulm ka badlaa deta phir kyoun humne thaami hai shamshir aur gaazi ho beithe
maana ki zulm hua thaa quam par apni lekin zulmgaaro ko chhor kar maasoom'o ke qaatil ban beithe
naa jalaao kisi ki jaan yaa basti yeh bikhar jaati hai palbhar me basaate basaate ek umr guzar jaati hai aur hum kaii aashiyaane jala beithe..
raham hai khudaa ka hum insaan hai , kuchh insaaniyat baaki rahe kehte to hai hum apne aapko insaa'n par haiwaan se badtar ho beithe.
|
|
|
|
|
7
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri for Dard -e- Judai / soona aangan,sooni baahe'in bulaati hai tumhe
|
on: July 27, 2008, 03:53:36 AM
|
|
" me dariya bana meri rawaani kaa anzaam yeh huaa saahil se miltaa to hoon roz, par rooh-e-saahil se milna naa hua "
me bana hasraton kaa mazaar ki ab mere mazaar par dhoom nahi ek arsaa hua ki khushi kaa kyaa kare bayaa'n tanhaai se bhi zikr naa hua
soona aanagan sooni baahei'n bulaati hai tumhe laut ke aaoge to puchhenge yeh doori kaa sabab
keh dena ki me chand sikko ke khaatir sunhare lamhe bech gaya thaa keh dena ki kuchh muskaan ki khaatir aankhon me ashq de gaya thaa keh dena ki mere jism-o-jaan ki talab bhi naa rahi ab man me keh dena ki me kuchh sapno ki khaatir haqeeqat ko chhor gaya thaa
soona aanagan sooni baahei'n bulaati hai tumhe laut ke aaoge to puchhenge yeh doori kaa sabab
keh dena ki mujhe narm haatho'n se sakht nivaale pasand naa the keh dena ki raato'n ki chen ki nind se mujhe qaraar naa thaa keh dena ki mujhe koii toot kar chaahe yeh ganwaara naa thaa keh dena ki raahate,nisbatei'n,muhabbat inke maaine nahi rahe ab
soona aanagan sooni baahei'n bulaati hai tumhe laut ke aaoge to puchhenge yeh doori kaa sabab
meri jaan soono ab bhi bache hai jazbaat to laut aao keh doongi sabse kuchh naa puchhe mere sanam se laut aao
soona aanagan sooni baahei'n bulaati hai tumhe laut kar aaoge to ab yeh naa puchhenge doori kaa sabab....
|
|
|
|
|
11
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayeri for Dard -e- Bewafai / qaatil mera dost puraana niklaa..
|
on: July 26, 2008, 03:17:44 AM
|
|
karta bhi kyaa shiqaayat ahl-e-zamaa' se qaatil mera dost puraana niklaa..
safar me saath thaa jab bhi qaafilaa nikla par faasla mere aur uske darmiyaa'n niklaa
dub hi gaya jab bhi guzar hua unke qareeb se jab kabhi tufaa'n-e-ishq me mera safina niklaa
baharo khabardaar ho jaao lute jaaoge ek din yeh jo hawaa'o me faila hai woh zahar be-vafa niklaa..
"shakil rangrej"
|
|
|
|
|
13
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayeri for Dard -e- Bewafai / woh aaye qabr par meri aur kehne lage.....
|
on: July 26, 2008, 02:47:41 AM
|
|
ek zamaana hua sard hawaao'n ka ehsaas bhi naa hua meri qabr me kisi ke ehsaaso'n kaa guzar bhi naa hua
koii to waaris hota merii kher-o-khabar kaa lekin kisi se dill naa milaa,koii mujh se baa-vafaa naa hua
woh aaye bhi meri qabr par ek halki si muskurahat de bole kaisa mazaar hai jahan koii darakht-e-pyaar kaa saaya naa hua
meri rooh ko chen bhi haasil nahi aur bechen bhi nahi !! zinda thaa to jaise koii rooh nahi, ab rooh nahi to zinda naa hua....
|
|
|
|
|
15
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shairy-e-Dost (Friendship Poetry) / FOR MY FRIEND "YASH"
|
on: July 26, 2008, 02:01:30 AM
|
koii bhi ho tufaa'n yun muhn phera nahi karte naa umeedii aur waswaso ke shoqu paala nahi karte mere dost aa uth jagmaga jaa mehfill me istarah shamaa ki tapish chahe jitni bhi ho parwaane haara nahi karte kisi kaa sahaara naa le naa kisi kaa humraaz ban jo hai himmat pyaar me gham utaahen ki to baazi haara nahi karte be positive...........yaar yeh mera blood group hai.... 
|
|
|
|
|
|