|
408
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Miscellaneous Shayri / ***dahez***
|
on: August 22, 2008, 03:09:27 AM
|
|
jis aangan mei thi pali chod aaj wo dehliz thi chali baba ka pyaar maa ka dular sab saath yaadon mei le mein chali
bhai se jhagda wo behno ka pyaar chut chala ab khushiyon ka sansaar apne hi ghar se paryi ho chali sab saath yaadon mei le mein chali
wo gudiya guddo k khel suhane wo saheli sang khelne k kitne bahane alhad sa bachpan kho k chali sab saath yaadon mei le mein chali
kitne pyaar se tha maa baapu ne pala kitni jaldi gujar gaya hasin wo jamana ab aansuon ki dhar hai bas beh rahi sab saath yaadon mei le mein chali
in naye rishton se anjaan thi bas ek naye jeevan ki shuruat thi bandh nayi dor piya ghar thi chali sab saath yaadon mei le mein chali
fir ek aur dulhan thi mein saji khushiyo ki dil mei jhadi thi lagi par anjaam se mein anjaan thi isliye pyaar se thi mein bhi bali fir chadhi
jala dalaa mujhe bhi dahez ki aag mein in bhukhe bhediyon k sansaar mein soch rahe the maa baapu ki khush hongi mei par meri yaha khak ho thi chali
aaj ruh meri dekh rahi hai sansaar ko beto-betiyon k is vyapaar ko kyu beti hi har baar aag mei jali sab saath yaadon mei le mein ab chali
|
|
|
|
|
410
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Miscellaneous Shayri / ***MAA TU BATA KYU TU HAMSE ITNI NAARAJ HAI***
|
on: August 22, 2008, 02:18:00 AM
|
|
Maa tujh bin kuch acha nahi lagta Tere baton k siwa kuch bhi sacha nahi lagta Bhai bhi rehta udaas hai Maa tu bata kyu tu hamse itni naaraj hai
Papa bhi gumsum se rehte hain Sab ghar mei khoye khoye se rehte hain Bas ek tujhse milne ki aas hai Maa tu bata kyu tu hamse itni naaraj hai
Tu gar rahi hamse khafa To ham bhi zindgi se kar lenge zafaa Kya tujhko nahi aata hampar taras hai Maa tu bata kyu tu hamse itni naaraj hai
Jab tak na sun le ham teri aawaj Na jaane kyu kuch bhi nahi aata hai raas Chutki bhi tujhi se karti pyaar hai Maa tu bata kyu tu hamse itni naaraj hai
Tu gayi hai jabse chod kar hamei yaha Waqt le raha hai sekdon imthaan Ab aur dard hota na bardaash hai Maa tu bata kyu tu hamse itni naaraj hai
Laut aa maa tu ham na phir tujhe satayenge Jo tu kahegi use haskar maan jaayenge Tu aaja ek baar bas yahi fariyaad hai Maa tu bata kyu tu hamse itni naaraj hai Maa tu bata kyu tu hamse itni naaraj hai
|
|
|
|
|
414
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayeri for Dard -e- Bewafai / ***KHAMOSHI***
|
on: August 21, 2008, 04:53:57 AM
|
|
kal jab wo mere saamne tha aaya chup chap khamoshi mei use rota hua tha paya
kar rahi thi meri aankhein bhi unse anginat sawal par har jawab mei use bas sisakte hue tha paya
lag raha tha jaise usne bhi tha mujhe bohut yaad kiya khud apne gunahon se jaise wo sharamshar tha hua
par labon se usne na ek baat bhi thi boli jaise uski khamoshi aur judai hi ban chuki thi hamjoli
mein bhi bebas aur laajar khadi thi kuch kahe wo mujhse bas isliye kuch aur der mein khadi thi
wo aya hai mere liye fir dil ko ye bharam ho chala tha par har khwaab kaanch sa tutkar bikhar chuka tha
na kuch suna usne na kuch wo keh tha paya bas apni majburiyon ko usne khamoshi se hi tha bataya
ek mein thi jo uski har khamoshi ko bhi samajh gayi par kya beeti mujhpar wo ab tak samajh na paya
samajh na payaaaaa........................... samajh na payaaaaa...........................
|
|
|
|
|
415
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayeri for Dard -e- Bewafai / ***KHAMOSHI***
|
on: August 21, 2008, 04:53:08 AM
|
|
kal jab wo mere saamne tha aaya chup chap khamoshi mei use rota hua tha paya
kar rahi thi meri aankhein bhi unse anginat sawal par har jawab mei use bas sisakte hue tha paya
lag raha tha jaise usne bhi tha mujhe bohut yaad kiya khud apne gunahon se jaise wo sharamshar tha hua
par labon se usne na ek baat bhi thi boli jaise uski khamoshi aur judai hi ban chuki thi hamjoli
mein bhi bebas aur laajar khadi thi kuch kahe wo mujhse bas isliye kuch aur der mein khadi thi
wo aya hai mere liye fir dil ko ye bharam ho chala tha par har khwaab kaanch sa tutkar bikhar chuka tha
na kuch suna usne na kuch wo keh tha paya bas apni majburiyon ko usne khamoshi se hi tha bataya
ek mein thi jo uski har khamoshi ko bhi samajh gayi par kya beeti mujhpar wo ab tak samajh na paya
samajh na payaaaaa........................... samajh na payaaaaa...........................
|
|
|
|
|
419
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri-E-Dard / Re: ***KHATA***
|
on: August 21, 2008, 04:19:25 AM
|
|
bohut khoob baadal ji
kasur kuch nigahon ka raha hoga tabhi tumhe wo pyaar k layak laga hoga
bhola mann hai baadal tumahara isliye tumne uspar aitbaar tha kiya hoga
chal rahe the soch tum k wo saath nibhayega wo hai koi apna shayd ye bharam tumko tha ho chala hoga
na ab duhai do tum k wo kyu bewafaa ho gaya wo tha kabhi wafaadar ye tumko dhoka hua hoga
ye jaan le baadal har kisi ki kahani yahan adhuri hai mohobbat ghayal hai karti chupke se ye churi hi aisi hai
|
|
|
|
|
|