[x] Do you have a Poet Inside You?
Or
You Admire Poetry / Shayari then

Yoindia Shayariadab is a Platform for you
A community of thousands of Shayari Kadradaan!
Click here to become part of Yoindia Shayariadab
  Show Posts
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 21
46  Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri for Khumar -e- Ishq / tumhari aankhein..... on: April 09, 2005, 11:00:43 AM
tumhari aankhein..........
khoobsurat
dil kash
neelee
jee karta hai doob jaoon inmein
tumhari aankhein............
jheel
samandar
har shey sey sundar
jee karta hai kho jaoon inmein
tumhari aankhein...........
haseen sapna
meethee neendein
chanda ki chamak
jee karta hai chup jaoon inmein
tumhari aankhein...........
taarey hoon jaisey
halki si laali
phool hoon jaisey
jee karta hai kho jaoon inmein

tumhari aankhein dekhti hain sapna
banaley tu mujhko humdam apna
yeh aansoon hain kyon gham mujhko dedey
key inmein zamaney ki khushiya bhari hain.

mudassir
47  General / Chit - Chat & General Discussion / pray for my Ammi (mother) on: April 09, 2005, 10:43:18 AM
Aap sub ka bohot bohot shukriya ke aap sub meri ammi key liyeh dua kar rahey hain, aap sub merey achchey dost hain ,kyon key dost wahi hai jo mushkil waqt mein kaam aayey,ALLAH aap sub ko khush rakhey hamesha,AAMEEN.
48  General / Chit - Chat & General Discussion / pray for my Ammi (mother) on: April 09, 2005, 01:52:01 AM
hello yo india friends, My mother was operated last week ,pls pray for her quick recovery.

thanks
49  Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri for Khumar -e- Ishq / reyt pey naqsh on: March 18, 2005, 11:35:51 AM
reyt pe naqsh banaya tha
kal koi  sapno mein aaya tha
aankhon mein ab bhi tasveer hai uski
uski aankhon sey jaam churaya tha

shab ko tarey ginta hoon main
chanda ko chooney ki koshish hooon karta
suraj ki garmi mein tapta hoon dinbhar
taroon ney merey sang naghma gaaya tha

na b naghma hai na koi naqsh hai
tasveer nahin hai aankhon mein
taron ka ginna choot gaya hai
hai woh kaisa dard paaya tha.

mudassir
50  Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri for Khumar -e- Ishq / mujhey yaad aati hain bachpan ki baatein on: March 14, 2005, 11:49:47 AM
mujhey yaad aati hain bachpan ki baatein
mujhei yaad aati hain bachpan ki yaadein

woh khilana woh hansna woh gaana
woh chatt pey phir chadhkey patangein udana
woh lamba danda jo haathon mein merey
urhti hui haseen patangein churana
manjhey sey lipti patangein urhana
mujhewy yaad aati hain bachpan ki yaadein

woh saathi sey ladhna ya ho jhagadna
ek paol mein hi phir ussey lipatna
na dil mein khalish thi,na koi aham tha
sang phir uskey roti ka khana
kahan ab woh din hain kahan hain woh raatein
mujhey yaad aati hai bachpan ki baatein

aamon key perhon pey jhat pat charhna
pairon ka merey woh mitti mein garhna
rona hi khud par phir khud pey hi hansna
aambva key perhon ki chaoon mein sona
na woh chaoon hain ab na hain na hain baharein
mujhey yaad aati hai bachpan ki baatein

chooti baaton pe rota tha ji bhar
nanhi si khushi sey hansta tha din bhar
nanhi si khushi sey sub ghum bhol jaana
woh lori ka ga kar behen ko sulana
na khushiyan hain ab woh na hain woh ratein
mujhey yaad aati hai bachpan ki baatein

aur ab........

na patango naata hai na maanjhey sey rishta
na ambiya sey yaari na pedhon sey rishta
na mitti hai woh ab na lori ki chahat
na saathi sey mohobat na koi aahat
na maa ka hai aachaal na kisi ki mohobbat
na sir ki charhi hai naa unki dantein
na phoolon mein mehek hai na neendon ki raatein
khushiyan nahin hain bus ghum hi ghum hain
kaisi bataoon main jawani ki baatein.


mudassir (tooba)
51  Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri for Khumar -e- Ishq / mujhey yaad aati hain bachpan ki baatein on: March 14, 2005, 11:48:52 AM
mujhey yaad aati hain bachpan ki baatein
mujhei yaad aati hain bachpan ki yaadein

woh khilana woh hansna woh gaana
woh chatt pey phir chadhkey patangein udana
woh lamba danda jo haathon mein merey
urhti hui haseen patangein churana
manjhey sey lipti patangein urhana
mujhewy yaad aati hain bachpan ki yaadein

woh saathi sey ladhna ya ho jhagadna
ek paol mein hi phir ussey lipatna
na dil mein khalish thi,na koi aham tha
sang phir uskey roti ka khana
kahan ab woh din hain kahan hain woh raatein
mujhey yaad aati hai bachpan ki baatein

aamon key perhon pey jhat pat charhna
pairon ka merey woh mitti mein garhna
rona hi khud par phir khud pey hi hansna
aambva key perhon ki chaoon mein sona
na woh chaoon hain ab na hain na hain baharein
mujhey yaad aati hai bachpan ki baatein

chooti baaton pe rota tha ji bhar
nanhi si khushi sey hansta tha din bhar
nanhi si khushi sey sub ghum bhol jaana
woh lori ka ga kar behen ko sulana
na khushiyan hain ab woh na hain woh ratein
mujhey yaad aati hai bachpan ki baatein

aur ab........

na patango naata hai na maanjhey sey rishta
na ambiya sey yaari na pedhon sey rishta
na mitti hai woh ab na lori ki chahat
na saathi sey mohobat na koi aahat
na maa ka hai aachaal na kisi ki mohobbat
na sir ki charhi hai naa unki dantein
na phoolon mein mehek hai na neendon ki raatein
khushiyan nahin hain bus ghum hi ghum hain
kaisi bataoon main jawani ki baatein.


mudassir (tooba)
52  Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri for Khumar -e- Ishq / dil bura nahin mera....... on: March 12, 2005, 10:59:40 AM
dil bura nahin mera, bus gham mein aisa haal hai
dhoka nahin diya mainey tujhey,yeh to bus tera khayal hai
ghalti thi meri gunaah tha, jo tujhsey mainey baat ki
ab tujhsey begana ho kar dil ka bura haal hai
chahta tha tu mujhko  zamaney sey bhi barhkar
dil mein hai ab bhi tu ,phir bhi ghamon ka jaal hai
us khuda ki qudrat hai ,ki suraj nikalta hai tanha
par meri qismat dekhiyeh, hur taraf ghamon ki bahaar hai
tu sochta hai, khush hai bicharh key tooba tujhsey
par hur ghadi ab uskey liyeh bus maut ka sawaal hai.

mudassir(tooba)
53  Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri for Khumar -e- Ishq / aao chalo ek wada karley on: March 04, 2005, 01:37:40 AM
aao chalo ek wada karley
saath jeeyein aur saath mein marlein
tu meri dhadkan mein tera dil hoon
aao chalo ab jaan ek karlein

dil mein mohobbat terey bhari hai
ishq sey daaman hum tum bharlein
kitney haseen hai phool parindey
aao chalo hum nazaarey karlein

gesu tumharey kaaley kaaley
jee karta hai inhein aanchal karlein
khushbu bhari hai saanson mein teri
jee karta hai apni shey rag mein bharlein

wada karein jo, woh wada na tootey
saath apna ab kabhi bhi na chootey
hurdum rahein saansein milkey hamari
saath jiyey aur saath mein marlein
saath jiyey aur saath mein marlein

aao chalo ek wada karlein.
54  Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri for Khumar -e- Ishq / yeh ishq bhi hum sey rootha hai on: March 01, 2005, 10:56:59 AM
yeh ishq bhi hum sey rootha hai hum bhi is ishq mein tootey hain
dil mera ab toota hai humdum bhi hum sey roothey hain
raat ko jagna din ko phirna aawara sagaliyon mein
zehen mein hai yeh baat merey ab,sub ishq key waadey jhootey hain
roney sey hasil na hoga laakh main ro loon qismat par
dua bhi koi ab asar nahin karti hum khuda key bandey jhootey jhootey hain
ishq ki gali hai tedhi medhi sambhal key chalna tu tuba
barha ghana hai andhiyara ,ab daman humsey chootey hain

mudassir(tuba is my nick name)
55  Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri for Khumar -e- Ishq / ISHQ -->>*<<-- on: March 01, 2005, 10:49:21 AM
nice neena achcha jawab diya.

yeh ishq bhi hum sey rootha hai hum bhi is ishq mein tootey hain
dil mera ab toota hai humdum bhi hum sey roothey hain
raat ko jagna din ko phirna aawara sagaliyon mein
zehen mein hai yeh baat merey ab,sub ishq key waadey jhootey hain
roney sey hasil na hoga laakh main ro loon qismat par
dua bhi koi ab asar nahin karti hum khuda key bandey jhootey jhootey hain
ishq ki gali hai tedhi medhi sambhal key chalna tu tuba
barha ghana hai andhiyara ,ab daman humsey chootey hain
56  Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri for Khumar -e- Ishq / ISHQ -->>*<<-- on: February 28, 2005, 03:01:41 AM
ishq hai kya tum jaantey nahin
ishq kartey ho par maantey nahin

ratoon ko neendein aati nahin hain
din ko qaraasr aat nahin hai
hota hai kyon tum jaantey nahin
ishq kartey ho par  maantey nahin

dil bhi dharakta ishq mein tera
hoton pey nami si ishq key teri
samajhtey sub kuch par sochtey nahin
ishq kartey ho par maantey nahin

bantey sanvartey ho aakhir kyon
maathey pey bindiya tum sajatey ho kyon
kyon kartey ho yeh jaantey nahin
ishq tum kartey ho par maantey nahin.

mudassir
57  Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri for Khumar -e- Ishq / jhooti thi tuu ya....(ek ghazal) on: February 28, 2005, 02:52:43 AM
jhooti thi tuu ya key tera wada jhoota tha
phooti thi meri qismat ya khwab jhoota tha
sapna jo dekha tha mainey barson pehley
aankh khuli ab to khwab woh toota tha
barkha barasti hai ankhiyon sey meri
ya key ghamon ka sailaab toota tha
tera sapnon aana phir shab bhar jagana
neendon ka jaam ab mujh sey rootha tha
58  Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri for Khumar -e- Ishq / humsafar mera kuch aisa ho on: February 21, 2005, 10:12:36 AM
wah nishita bohot achhe
59  Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri for Khumar -e- Ishq / AAnso on: February 13, 2005, 11:12:22 AM
thanks all
nice khirbur good posting
60  Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri for Khumar -e- Ishq / ek nazm on: February 13, 2005, 11:08:45 AM
shukriya all
nice khirbar
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 21
Yoindia Shayari Adab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Powered by SMF | SMF © 2006-2008, Simple Machines LLC
Terms of Use|Privacy Policy|Theme orange-lt created by panic
TinyPortal v0.9.8 © Bloc