Show Posts
|
|
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 10
|
|
1
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayeri for Dard -e- Bewafai / Re: rishtay sabhi bay mani lagnay lagay hain
|
on: May 25, 2008, 05:16:14 AM
|
tum hotay tu sunata tumhay hal e dil ab may or tanhaii aqsar batain karnay lagay hain pehlay tu shama jalty thee shab baher ab teray intazar may hum b jalnay lagay hain
great job dear... hale_dil aankhon se bayan kar do wo samajh jayenge, parwano ka kaam to hai jalna, wo to bas jalte jayenge... ye bahana hai tanhayi ka jaam peene ke liye, jo gour se dekho to har jaam me wo najar aayenge...
|
|
|
|
|
2
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayeri for Dard -e- Bewafai / Dard itna hai k......
|
on: November 16, 2007, 01:05:40 AM
|
hum mash-hoor hai ladkhadane ke liye dil hamara hazir hai gham uthane ke liye
kuch paake kuch khona yehi hamari takdeer hai hum hi reh gaye hain thokar khane ke liye
sapno ki duniya hamare liye bani hi nahi hai yeh aankhein hume di gayi hai aanso bahane ke liye
yeh rishte yeh naate bas alfaaz hai hamare liye kadam kadam pe khare hain hume aazmane ke liye
pyaar shabd se jo pyaar kiya to woh bhi daga degayi shayad hum bana hai nafrat ki aag mein jalne ke liye
khushiyan to hai hi nahi naseeb mein hamare koi rasta hi nahi bana inne hum tak aane ke liye
yeh jazbat yeh ehsas kis cheez ka naam hai RANI to hai bas gut gut ke mar jaane ke liye great again dear jo ladkhdaye hum to mash_hoor ho gaye, sabki aankhon ke jaise noor go gaye...
Jab bhi paya kuch humne to kuch khona pada, kuch pane ke jaise ye dastoor ho gaye...
Ye rishte, ye naate hum jaante hain ab bhi, par jo the dil ke kareeb wo door ho gaye...
Ab ye jajbaat nahin jaagte hain mere dil me bhi, kab ka kho diya inhe, kab se ye door ho gaye...
Ye muhobbat cheez hi aisi hai jo deti hai baksheesh sabko, kuch le gaye mehboob apne kuch thak ke choor ho gaye...
|
|
|
|
|
3
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayeri for Dard -e- Bewafai / Dard itna hai k......
|
on: November 14, 2007, 09:31:08 AM
|
bepannah chahaton ka kya ilzam diya hai jisse ki humne wafa ussi ne badnaam kiya hai
ulfat-e-nigha ki talaab mein kya paya humne zalim naghaon ne hume dard ka inaam diya hai
pehle deedar se hi jiske hogaye hum shedaayi ussi ne ishq ke panno ko tamaam kiya hai
yeh ronak dekhke mat socho ke koi aane wala hai uss bewafaa ne hi mere marne ka intezaam kiya hai
hum roye dil roya her cheez udaas hogayi ke RANI lafzon ne bhi roo rooke unka naam liya hai too good "CoolGirl" ji... muhobbat jo kar li tumne to ilzaam khud_ba khud aayenge... sabse kar lo wafa, par sab ye badnaam karte jaayenge...
ye nigahen hi to karti hain muhobbat ki shuruaat... par ab ye ashk hain jo behte hi jaayenge...
ye rounk mehfilon me chalti rahegi ummr bhar... kuch apne hi inka intzaam karte jaayenge...
dil roye bhi kabhi to naam unka hi aayega har baar... par ye dil hi hain jo muhobbat har bar karte jaayenge...
|
|
|
|
|
4
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayeri for Dard -e- Bewafai / Zakham
|
on: November 07, 2007, 02:51:52 AM
|
Zakham Itne Haare hain Muskuraayein Kaise,. Wo Door Itne Hain Humse Unhe Paas Bulaayein Kaise,.
Bewafaai Ko Bhi Humne Mohabbat Ka Rang Samjha,. Ab Mile Hain Gham Kitne, Ye Sunaayein Kaise,.
Laga Kar Dil Humne Bahoot Se Chotein Khaai Hain,. Ab Jaan Kar Anjaan Phir Dil Lagaayein Kaise,.
___________________________________-Jaanasheen-
bahut hi achha likha hai jaanasheen ji aapne...
muskurahat to bhadti jaati hai HAR zakham khane baad, par jo apne hain unse door jaya nahin jata...
muhobbat ke rango ko ab tak samjha hai kisne, iski daastan ko shabdon me bataya nahin jata...
jab laga liya dil kisi se to fir choton se darna kaisa JAANASHEEN, jo dar gaye muhobbat karke to fir dil lagaya nahin jata...
|
|
|
|
|
5
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Kaifiyaat-ae-maye / kal raat pee sharab
|
on: November 07, 2007, 02:33:02 AM
|
wah kaya baat hai.....
Kal phir jaam mai tum najar ayye Na jaane kyun ankhon mai ansoo bhar aaye apne aansun to khud_ba_khud mil jaate hai jaam me, hum kehte hain ki ye bahana hai zindgi jiye jaane ka...
teri hi shakl najar aati hai har ek jaam me ab to, par log kehte hain ki ye bahana hai sharaab piye jaane ka...
|
|
|
|
|
6
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Kaifiyaat-ae-maye / kal raat pee sharab
|
on: November 03, 2007, 07:31:01 AM
|
wah kaya baat hai pushp ji... kitani sarlta se se app kitna gahra likh gaye!!! Good job!! thanks pooja ji par reply kuch doure jaam me dijiega... tum jo pilayo aankhon se to ye sharaab hum chod denge... ye gali ye shehar kya,ye jahaan hum chod denge...
hum to jaate hain maykhane milne saki se... tum jo mil jao to maykhana hum chod denge...
teri hi wafayen hain ki aaz jaam hath mein hai... na karo YE wafa to ye jaam hum chod denge...
kab kaha humne ki hum sharaabi nahin... par tum jo pilayo aankhon se to ye sharaab hum chod denge...
to ye sharaab hum chod denge
|
|
|
|
|
7
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayeri for Dard -e- Bewafai / just two lines only...
|
on: October 28, 2007, 10:49:22 AM
|
Ye dard ki mehfil hai kaash tum idher aaye hote Kutchh apne dard-e-gum hameiN bhi bataye hote
Harash[/b][/color] mehfil to saj chuki kab ki,kitne hi aaye our kitne chale gaye... kuch dard lekar chale gaye, to kuch dard de kar chale gaye... lo hum aa gaye phir se intezaar mein tumhare... aao karein un sabki batein jo humein chod kar chale gaye...
|
|
|
|
|
8
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Kaifiyaat-ae-maye / kal raat pee sharab
|
on: October 25, 2007, 12:28:08 PM
|
|
maykhana phir najar aa gaya mujhe, ab na halaat saki se chhupaye jayenge...
aaye hain hosho_hawash me aaz hum, ab to vaapis ladkhdate hue jaayenge...
mila hai jakhm aaz ek our naya, aaz phir hum jashn manayenge...
tu khafa na hona muhobbat mujhse, teri jagah, jaam honthon se lagayenge...
tujhe kab paya tha maine our kab kho diya, jo yaad aaya kabhi to phir maykhane aayenge...
jo phir najar aaya maykhana mujhe, to phir na halaat saki se chhupaye jayenge...
|
|
|
|
|
9
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayeri for Dard -e- Bewafai / just two lines only...
|
on: April 21, 2007, 09:00:06 AM
|
|
thanks my all dear friends to keep up the flow of JUST TWO LINES ONLY.... specially HARASH, POOJA, CHANDS, AND ROJA... mere exams chal rahe hain isliye busy ho gaya hoon, lekin sabko is collumn mein padkar khusi hui... keep it up friends...
sanam ne to bas ki hai bewafai, meri muhobbat ke badle, par dekh ke wafa tum sab doston ki, gum ye dil se jaata raha...
|
|
|
|
|
12
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayeri for Dard -e- Bewafai / just two lines only...
|
on: April 16, 2007, 01:33:27 PM
|
ghum mujhe, hasrat mujhe, wehshat mujhe ek dil de kar khuda ne de diya kya kya mujhe....
thanks chands bade dino baad aaye... muhobbat ne baksha hai har kisi ko khajaana koi, kuch ko gum mila, kuch ko mile dard, to kuch ko mehboob bhi mila hai...
par humein intzaar mila hai chands ji...
|
|
|
|
|
13
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri-E-Dard / Re: Dushma Bana ke tu Chah na ker
|
on: April 16, 2007, 01:31:57 PM
|
Aah Gareeb ki na khaali jaaye gi YuiN hi kamaan zulm per taani jaye gi Na do saza is tarah us Gamjada ko dost woh rooh hameshaan be-wafa jaani jaye gi.
Harash[/b][/color]
wah harash bhai... bahut achha likha hai.. sunta nahin aah gareeb ki khuda , sab jaante hain, sehta hai julm sabke , phir bhi chhup rehta hai wo, sab jaante hain... chup rehna humne bhi seekh liya muhobbat mein HARASH BAHI, bas mashhoor ho gaye muhobbat kar ke us bewafa se, naam mera is shehar mein ab, sab jaante hain...
[/size]
|
|
|
|
|
14
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayri-E-Dard / Dikhaai nahi dete...
|
on: April 15, 2007, 03:15:38 PM
|
Kareeb the itne, ke hum be-khabar hoke door hogaye, Mujhe bikhre huve judaai-e-daag silne ki arzoo hain,
Beet gaye kahin saal intezaar mein, Mujhe unko sabhi saal ginwaane ke liye milne ki arzoo hain!
ye shayri to aap sab se hi seekhi hui hai.... ravi ji... fir bhi thanks for your apriciation... itne the kareeb unke ki saansein tak gini humne... dil ki har baat, aankhon ki har kahani suni humne... bikhre hue lamhon ko silne ki bhi khawahish nahin ab unko, khyalon mein jinke sadiyan tak gini humne...
|
|
|
|
|
15
|
Shayri ( Poetry ) or Shayari / Shayeri for Dard -e- Bewafai / lamha lamha yaad hai...
|
on: April 15, 2007, 03:13:56 PM
|
pal pal jiye sath sath barso main ek jahan bana ek lamha laga aor sab toot gaya us ek pal mai sara jahan thuma(ruk gaya)
very nice pooja... do kadam chala ho wo saath mere, wo lamha to kab ka gujar gaya... ab to begano ki tarah bhi nahin sunta wo haal mera, shayad uske liye pyar ka mousam gujar gaya...
|
|
|
|
|
|