Bohot shukriya Sarthika Ji.. Aur Gulzar ji aj tak alfazo ko samajhna hame kaha aaya hai!..wo to judd jate hai kaise kaise kar ke.. par ap aaye hame pada iske liye bohot shukriya
Kash Itna mere Naseeb mein yaar hota Tu hota aur bas Tera Anmol Pyar hota
Na hote Hum yun Be-ghar Khabhi Agar Tere pehlu mein mera Sansar Hota
Maujon ne Tod diya Kinara Umeed ka Bach jate gar us waqt Tera saath hota
Kaha tha bhari Mehfill mein Izhar na kar Nazar na lagti to Salamt Mera pyar hota
Gawahi deTi Duniya humari Chaht ki Gar Aaj tak dilon mein wahi khumar hota
Waqt Thamta nai Khabi kisi ke liye kehte hai tere saath guzar pal Chupaye rakhe hai Muthi mein Pata chaljata to Aitraaz unhe Beshumar hota
~Roshni~
Ye khas apke liye... kisi ne bade andaz se kaha hai... zindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hain main to marrkar bhi meri jaan tujhe chahoonga
tu mili hai to ye ehsaas huaa hai mujhko ye meri umr mohabbat ke liye thhodi hai ek zara sa ghum-e-dauraan ka bhi haq hai jis par maine wo saans bhi tere liye rakh chhodi hai tujh pe ho jaaoonga qurban tujhe chahoonga main to marrkar bhi meri jaan tujhe chaahoonga
apne jazbaat mein naghmaat rachaane ke liye maine dhadkan ki tarah dil mein basaaya hai tujhe main tasavvur bhi judaai ka bhala kaise karoon? maine kismat ki lakeeron se churaaya hai tujhe pyar ka banke nigehbaan tujhe chaahoonga main to marrkar bhi meri jaan tujhe chaahoonga
teri har chaap se jalte hain khayaalon mein chiraag jab bhi tu aaye jagaata huaa jaadu aaye tujhko chhulun to aye jaan-e-tamanna mujhko dair tak apne badan se teri khushboo aaye tu bahaaron ka hai unwaan tujhe chaahoonga main to marrkar bhi meri jaan tujhe chaaoounga….
Kya baat hai Majid....Shona nd Nami u both fantastic...yeh pad kar mujhe unki pyar aur jada kar ke yaad aa raha hai..kisi ka gazal ke jariye jahir karta hun...
yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi ik ROSHNI andher mein bikhra gaya koi
wo haadsa wo pehli mulaaqaat kyaa kahoon itni ajab thi soorat-e-haalat kya kahoon wo kehar wo ghazab wo jafa muJko yaad hai wo uski berukhi ki adaa muJhko yaad hai mittha nahin hai zehan se yoon chaa gaya koi yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi
pehle wo muJhko dekhkar barham si ho gayee phir apne hi haseeN khayaloN meiN kho gayee bechargi pe meri usse reham aa gaya shaayad mere taDapne ka andaaz bhaa gaya saansoN se bhi kareeb mere aa gaya koi yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi
yoon usne pyaar se meri baahOn ko choo liya manzil ne jaise shaakh ke raahon ko choo liya ik pal meiN dil pe kaise qayamat guzar gayi rag rag mein uske husn ki khusboo bikhar gayi zulfon ko mere shaan pe lehraa gaya koi yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi
ab is dil-e-tabaah ki haalat na poochiye benaam aarzoo ki lazzat na poochiye ik ajnabi tha rooh ka armaan ban gaya ik haadsa tha pyaar ka unwaan ban gaya manzil ka raasta muJhe dikhla gaya koi yooN zindagi ki raah meiN takra gaya koi