sub saath hai, par bhid mai bhi tanha chalta meri mohabbat ka karwa..
rishto ke naam se ab jaane kyu darta mera mohabbat ka karwa..
ki phisalti saanso mai kuch thum jaane ki aans rakhta meri mohabbat ka karwa..
mai apni mustakbil ko uske naam se kaisa jodu...
isi ahsaas se dum todta meri mohabbat ka karwa...
wo chaand phalak ka mai jaroh ka dhair hu..
ek aarjoo jis wajah se thaharta nahi meri mohabbat ka karwa..
koshishe ki, rasme nibhayi har jatan kiya..
kya baat hai ki chaah ke bhi sambhlata nahi meri mohabbat ka karwa...
is iltja ke bharose wo phir nazar aaye..
har bar janam leta meri mohabbat ka karwa...

u hv written tht which i heartly and truly waiting fr..

