
1)jub rasme jindagi ko uthane mai kadam ladkhadate hai
toh aisi bebasi ko apne kandhe pe kya dhona.
bus fakat kuch roj ki baat hai..
warna kya pata puri umr hi ho rona
2)yeh umr khud tabasum ki ghatao si bikhar na jaaye kahi
aasi haalat se pehla baakhuda maaut ki aahosh mai kya sona..
jo baate kehni thi wo najre khud baya kar de
abhi mauka hai chup jaao, ho lajim baad mai mile naa kona..
3)naa imtihan aur naa koi takdir ka sawali hai ye mohabbat.
ye toh husne jaagir ko loot jaata hai..
aur wo jo sajte hai aaine mai khud ko dekh ke..
unse koi jaa ke keh de aye "SAGAR" ki ye wo sailab hai jisme sub kuch dub jaata hai
4)naa gum kar apni us taqdir ka jo hur waqt ruth jaati hai..
ki fakat bus yaad rakh ki hur anjuman mai phool maali ke haatho se hi khilte hai..
naa soch ki kya tune paa ke kho diya
soch ki "SAGAR" ki lehro mai bhi kabhi naa kabhi motiyo ke beej milte hai..

