woh chup raha

by nikki on July 03, 2005, 03:11:49 PM
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13
ReplyPrint
Author  (Read 11720 times)
nikki
Guest
«Reply #120 on: June 06, 2006, 03:16:02 PM »
Reply with quote
thanx..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Buhat Chup chup Sey Rehtey Hoo by muneeb in Shayri-E-Dard
Chup chup rota hai by karan_sim in Shayri for Dard -e- Judai
Chup chup ke shigafon say by Qutubuddin in Ghazals
Chup chup rehna.... by ishu_singh10 in Miscellaneous Shayri
aise chup chup bhi--NM by sarfira in Share:Love Poetry
nikki
Guest
«Reply #121 on: June 06, 2006, 03:24:49 PM »
Reply with quote
hehe...kuch bhi nahi likha..y?Huh??

humne khud ko yaadon mein duboye rakha hai
usse milne ka sapna aankhon mein sanjoye rakha hai
woh kabhi meri tanhaiyo mein mujhe milne aa jaye
fir main usse laut kar jaane na dungi
chahe koi bhi vaasta dila jaye
Logged
chhaya
Guest
«Reply #122 on: July 20, 2006, 10:08:11 AM »
Reply with quote
Woh to ajj bhi chup aur khamosh hai
Hamari dhadkono ko uske ek labj ki talash hai
Kya yeh intezar kabhi khatm  hona bhi hai
Ya phir es chup rehne main hi hame khatm hona hai
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #123 on: July 20, 2006, 03:01:58 PM »
Reply with quote
Good Ones Nikki, Majid & Chhaya...
Logged
nikki
Guest
«Reply #124 on: September 03, 2006, 11:18:30 AM »
Reply with quote
woh na chalne vali hawa ki tarah khamoosh hai aaj bhi
yahan hamari kismat badal chuki hai...
magar woh hai uske yahan ka mausam hi nahi badalta
Logged
nikki
Guest
«Reply #125 on: September 03, 2006, 11:28:05 AM »
Reply with quote
woww too good Majid..

humse kissi ki kismat ka sitara chamka to acha laga
khamoosh honton ka kuch izhaar karna acha laga
hai unhein bhi humse pyar..
dekhkar unki aankhon mein...bahut acha laga
Logged
nikki
Guest
«Reply #126 on: September 03, 2006, 11:37:51 AM »
Reply with quote
thanx n nice...

woh lakh chahe chupana magar pyar uski aankhon se chalak jaata hai
jitna chupane ki koshish karta hai..pyar utna umbhar kar aata hai
dil pe taale lagaye hain usne
kissi ko pyar na karne ki kasmein khaata hai
jab nahi hoti mujhe baat kuch din..to dekho kaise tilmilata hai
yeh pyar nahi to kya hai
mujhse baatein karne ke hazaar bahane dhond laata hai
jab bhi poochti hun... pyar hai mujhse?
to saaf mukar jaata hai
Logged
nikki
Guest
«Reply #127 on: September 03, 2006, 12:16:35 PM »
Reply with quote
wah ji wah...bahut acha likha hai aapne Majid...

mohabbat kabhi gunah nahi hoti
agar na hota dil to ..pyar ki koi rah nahi hoti
nazron se nazre na milti to
ishq ka agaaz na hota
agar tumhein dekhkar dil na dhadkta to
hamare dil mein bhi koi pyar ka raaz na hota
Logged
nikki
Guest
«Reply #128 on: September 03, 2006, 12:32:07 PM »
Reply with quote
too good ...aap=u

kayamat ke din shayad woh kuch bol de
hum intzaar karte hain
khuda ki kasam usse hum behad pyar karte hain
uski chup toot jaye shayad...
issi umeed mein hum kayamat ke aane ka intzaar karte hain
Logged
nikki
Guest
«Reply #129 on: September 03, 2006, 12:47:41 PM »
Reply with quote
agar hum "ji" hain to ...tum "aap" ho..samjheeeee
nice one again...

humein fir se uss manzil par na le jao
jahan se laut kar bahut pachtaye hain hum
har koi vaapis nahi laut_ta
magar na jaane kaise hamari vapsi ke raaste ban paaye hain
abb dil ko samjha liya hai humne
yeh kissi ke pyar ke kabil nahi
abb pyar ki galiyon mein hamara koi kaam nahi
kyonki abb un galiyon mein hamare liye koi subah nahi..aur koi shaam nahi
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #130 on: September 03, 2006, 01:17:24 PM »
Reply with quote
Nikki, Majid

Bahut he achcha laga tum dono ko ek saath itne dino baad ek saath likhte dekh kar ! =D>

Nikki ka keyboard theek ho gaya hai :D

Rajbir
Logged
nikki
Guest
«Reply #131 on: September 03, 2006, 01:22:47 PM »
Reply with quote
haanji ..aagaye tussi..jee aaya nu....hehe
thanx buddy..

pyar karke har koi to nibhata nahi
humein to saath hasil hai ek doosre ka
yun to har koi do kadam saath aata nahi
yeh maana ke mil nahi payenge hum kabhi
magar door reh kar bhi ek doorse ka saath de sakein ..ismein kuch jaata nahi
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #132 on: September 03, 2006, 01:27:40 PM »
Reply with quote
Majid, Nikki

Bahut khoob !

Tum dono likhte raho. Hum padhte rahenge :D

Rajbir
Logged
nikki
Guest
«Reply #133 on: September 03, 2006, 01:32:08 PM »
Reply with quote
hmmm....Thanx once again Rajbir...aap bhi chup rehne wale topic mein chup ho..hehe

har kadam par saath deta tha jo
aaj kal gayab hai
har baat sulajh jaati thi jiske aane se
woh aaj kal khud ulajha sa hai
na jaane kyun itna khamoosh rehta hai
na to hamari sunane ki koshish karta hai
na apne dil ki kehta hai
Logged
nikki
Guest
«Reply #134 on: September 03, 2006, 01:39:13 PM »
Reply with quote
very nice Majid...

abb hum pyar karne ki himmat bhi nahi karte
ek baar dil toot chuka hai hamara
hum isse dubara thes lagne se darte hain
sabke sang haste hain baat karte hain
magar pyar ki baat par humare lab sil jaate hain
kitne jatno se dil ko sambhala hai humne
fir se woh bura waqt na aa jaye darte hain
Logged
Pages: 1 ... 5 6 7 8 [9] 10 11 12 13
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
July 20, 2025, 01:57:25 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.172 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8513 Real Poets and poetry admirer