woh chup raha

by nikki on July 03, 2005, 03:11:49 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 13
ReplyPrint
Author  (Read 11707 times)
tushar_4u_im
Guest
«Reply #15 on: July 04, 2005, 03:59:55 AM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"

Ho udaas tum udhar, khush tau main bhi judaa ho kar nahi
Kehti ho berukhi tum jisko, meri khamoshi ki woh tarjumaan tau nahi


mai janti hu teri her batt munisib hoti hai,...

lakin kehte hai jise pyar ,....

wo bhi shayad tumhare  liuye kisi gam se kam nahi,....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Buhat Chup chup Sey Rehtey Hoo by muneeb in Shayri-E-Dard
Chup chup rota hai by karan_sim in Shayri for Dard -e- Judai
Chup chup ke shigafon say by Qutubuddin in Ghazals
Chup chup rehna.... by ishu_singh10 in Miscellaneous Shayri
aise chup chup bhi--NM by sarfira in Share:Love Poetry
Talat
Guest
«Reply #16 on: July 04, 2005, 05:03:42 AM »
Reply with quote
Shukriya Aryaan....aapne bhi bohot achcha likha hai !!!  Usual Smile

Well said SINGROHA ..... and nice ones Humtum and Tushar !!!
Logged
vaibhav7143
Guest
«Reply #17 on: July 04, 2005, 05:23:31 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Bohot hi khoob Nikki........!!

Wo har baat pe chup raha
Saare sawalaat pe chup raha
Jazbaat jo zaahir kiye saamne uske
Jaane kya soch ke chup raha
Magar khabar hai hume bhi
Khamoshi main uski hai mohabbat
Dil ko dil ki khabar ho jaati hai khud hi
Yahi soch kar wo har baat pe chup raha !!!!!!


RAASTE KHUD HI TABAHI KE NIKALE HUMNE
KAR DIYA DIL KISI PATHAR KE HAWALE HUMNE
HUM SE POOCHO KYA SHEH HAI MOHABBAT LOGON
APNA GHAR PHOOK KAR DEKHE  HAI UJALE HUMNE
 sad5
Logged
Talat
Guest
«Reply #18 on: July 04, 2005, 06:18:10 AM »
Reply with quote
Nice one vaibhav ......................... !!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
vaibhav7143
Guest
hi
«Reply #19 on: July 04, 2005, 08:48:31 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Nice one vaibhav ......................... !!!!!!!!!!!!!!!!


THANX
Logged
nikki
Guest
«Reply #20 on: July 04, 2005, 12:03:05 PM »
Reply with quote
thanx a lot Aryaan n Tushar...........

aap sabhi logon ne bahut hi acha likha hai............maza aa gaya padh kar....thanx for the nice reply Tushi...n Aryaan ji

kya baat hai Vaibhav.....bahut acha likha hai aapne
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #21 on: July 04, 2005, 12:06:15 PM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
thanx a lot Aryaan n Tushar...........

aap sabhi logon ne bahut hi acha likha hai............maza aa gaya padh kar....thanx for the nice reply Tushi...n Aryaan ji

kya baat hai Vaibhav.....bahut acha likha hai aapne

Thanks a lot Nikki.....
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #22 on: July 04, 2005, 04:32:33 PM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
aaj uski nazron ne mujhse baat ki
magar woh chup raha

main dekhti rahi uska chehra
padhti rahi uski nazron ko
magar khud woh chup raha

maine ki usse hazaron baatein
magar woh chup raha

woh sunata raha mujhe duniya ke kisse
magar apni baat par chup raha

humne sajaye the anekon khawaab zindagi ke liye
jab un khawaabon ki tabeer poochi
to woh chup raha

uske dil ki baat sun-ne ko thi main bekraar
magar woh zalim chup raha

hum yuhi dheere-2 juda ho gaye
usne kuch bhi na kiya milne ka jattan
aur bas chup raha

aaj jab bhi aati hai mujhe uski yaad
to soch kar hairaan hoti hun
kyun woh har jagah, har baat par chup raha


Wah nikki sis....dil ki gehraaiyan mehsoos ho rahi hain ek ek lafz me and very nice Talat too,humtum and aryaan,all have written very nice Usual Smile

"Le doobti hai khamoshi hi kabhi kabhi mohabbat me,
 jabki log ise pyaar ki bhaasha bhi kehte hain,
 samajhte hain dono dil nazron ki bhasha,
 ek din zuban na kholne ka malaal karte hain,
 reh jaati hain tab bas yaadein hi yaadein,
 jazbaat thhe jinme,nam ho jaati hain wahi aankhein,
 maana khamoshi bhi dil ki zubaan hai,
 par rishte ko haqeeqat banane k liye,
 ye duniya lafzon pe hi meharbaan hai."
Logged
Talat
Guest
«Reply #23 on: July 04, 2005, 05:54:15 PM »
Reply with quote
Waah Nidhi....... !!! Bohot achcha likha hai..... !!!!!!!! n Thanks Usual Smile
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #24 on: July 04, 2005, 06:05:33 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Waah Nidhi....... !!! Bohot achcha likha hai..... !!!!!!!! n Thanks Usual Smile
Thanx Talat and u r always welcome Usual Smile
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #25 on: July 05, 2005, 01:24:24 AM »
Reply with quote
Quote from: "nidhi_yadein"


Wah nikki sis....dil ki gehraaiyan mehsoos ho rahi hain ek ek lafz me and very nice Talat too,humtum and aryaan,all have written very nice Usual Smile

"Le doobti hai khamoshi hi kabhi kabhi mohabbat me,
 jabki log ise pyaar ki bhaasha bhi kehte hain,
 samajhte hain dono dil nazron ki bhasha,
 ek din zuban na kholne ka malaal karte hain,
 reh jaati hain tab bas yaadein hi yaadein,
 jazbaat thhe jinme,nam ho jaati hain wahi aankhein,
 maana khamoshi bhi dil ki zubaan hai,
 par rishte ko haqeeqat banane k liye,
 ye duniya lafzon pe hi meharbaan hai."

Shukriya Nidhi......& Bohat khoob.....
Logged
nikki
Guest
«Reply #26 on: July 05, 2005, 01:07:48 PM »
Reply with quote
khamoosh hai hawayein
dil bhi dheere dheere dhadak raha hai

koi to baat hogi aaj is shaam mein
jo baadal bhi zoroon se garaj raha hai

sabhi apni kahani keh rahe hain
magar usne nahi kuch kaha hai

uske kehne se koi vivaad na ho jaye
shayad yahi soch kar woh chup khada hai
nazron se baat karta hai qatil bada hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #27 on: July 05, 2005, 01:19:32 PM »
Reply with quote
waah ... kya qatilana baat khi hai choti !!!

uskey deedar ko tras rhi hai pyaasi nazrein
ik woh hai ke kabhi hoti nhi mujh pe mehrbaan
mere ishq ki dewangi bhi kaseei hai dekho
uskey khayooN mein khoker bhula hoon sara jahaaN !!  
Logged
nikki
Guest
«Reply #28 on: July 05, 2005, 01:27:08 PM »
Reply with quote
gud gud 2 gud....

tere ishq ki intihaan ho gayi
ayi na woh zaalim subho se shaam ho gayi

kar rahi thi woh tanhayion se baatein
kyun tum izhaar-e-ishq nahi kar paate
Logged
HumTum
Guest
«Reply #29 on: July 05, 2005, 01:32:12 PM »
Reply with quote
ab ker detey hai !!

hai tera hi khyaal mere zahen o dil mein
tere hi khwaab ab yeh HumTum sanjota hai
uthey hai tere hi khuchey ko kadam
tujh ko sochta hoon jab to kuch kuch hota hai !!
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 13
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
July 19, 2025, 12:31:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8513 Real Poets and poetry admirer