aaj uski nazron ne mujhse baat ki
magar woh chup raha
main dekhti rahi uska chehra
padhti rahi uski nazron ko
magar khud woh chup raha
maine ki usse hazaron baatein
magar woh chup raha
woh sunata raha mujhe duniya ke kisse
magar apni baat par chup raha
humne sajaye the anekon khawaab zindagi ke liye
jab un khawaabon ki tabeer poochi
to woh chup raha
uske dil ki baat sun-ne ko thi main bekraar
magar woh zalim chup raha
hum yuhi dheere-2 juda ho gaye
usne kuch bhi na kiya milne ka jattan
aur bas chup raha
aaj jab bhi aati hai mujhe uski yaad
to soch kar hairaan hoti hun
kyun woh har jagah, har baat par chup raha
Wah nikki sis....dil ki gehraaiyan mehsoos ho rahi hain ek ek lafz me and very nice Talat too,humtum and aryaan,all have written very nice
"Le doobti hai khamoshi hi kabhi kabhi mohabbat me,
jabki log ise pyaar ki bhaasha bhi kehte hain,
samajhte hain dono dil nazron ki bhasha,
ek din zuban na kholne ka malaal karte hain,
reh jaati hain tab bas yaadein hi yaadein,
jazbaat thhe jinme,nam ho jaati hain wahi aankhein,
maana khamoshi bhi dil ki zubaan hai,
par rishte ko haqeeqat banane k liye,
ye duniya lafzon pe hi meharbaan hai."excellent Nidhi sis n very well said, sach kaha hai tumne........thanx a lot
for appriciating my work... :hug:
kya baat hai jee aap log to chaa gaye nidhi and nikki jee.. jabardast ...
kuch to sunkar hastay hain, to kuch rotay hain
tere mere kisse ab bhi galion mai hote hain....
kuch tujhe mujhe ilzaam dete hain
kuch tujhe mujhe nakaam kehte hain
tere mere kisse logo ki jubaan par aam rehte hain....
kuch tujhe bewafaa kehte hain
kuch mujhe bewafa kehte hain
ishq kya bala hai, log tera mera naam lekay kehtay hain......
kuch log tujhe badnaam karte hain
kuchh log mujhe badnaam karte hain
lekin ishq kay naam per, dono ko salaam karte hain......
kuch log tere qabar per aate hain
kuch log mere qabar per aate hain
hum phir jee uthenge ek-duje ke liye, yeh dava kar ke jate hain.....
NM