●●● Zaif - (212 1222 212 1222) ●●●

by Zaif on April 01, 2014, 04:31:53 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1230 times)
Zaif
Guest

(212 1222 212 1222)
------------------------

Ho gayi khata kya mujhse? Zara bata to de!
Hun gunaah'gaar Uska, to mujhe saza to de!

Yaadgaar mohabbat ki de ja sitamgar kuch,
Gar wafa nahin deta, naa sahi, daGaa to de!

Dekhiyo tu bhi taaqat, qaid un parindon ki,
Ek baar unki zanjeer ko hila to de..!

Khusk padh gaye hai wo hath, dekh to Ae dil!
Khoone-aarzoo se keh de zara, "hina to de!"

Usko ye taqaaza hai main yahin thehar jaaun,
Mujhko ye talab hai wo ek hi sada to sada to de!

Jaam se nahin to aankhon se hi pee loonga main,
Chaahe kuch na de saaqi! Bazm mein bitha to de!

© Zaif

*******************************

हो गई ख़ता क्या मुझसे? ज़रा बता तो दे!
हूँ गुनाहगार उसका तो मुझे सज़ा तो दे!

यादगार मोहब्बत की दे जा सितम'गर कुछ!
गर वफ़ा नहीं देता, ना सही, दग़ा तो दे!

देखियो तू भी ताक़त, क़ैद उन परिंदों की,
एक बार उनकी ज़ंजीर को हिला तो दे!

ख़ुश्क पढ़ गये हैं वो हाथ, देख तो ऐ दिल!
ख़ूने-आरज़ू से कह दे ज़रा, "हिना तो दे!"
(*dry)

उसको ये तक़ाज़ा है, मैं यहीं ठहर जाऊं,
मुझको ये तलब है वो एक ही सदा तो दे!

जाम से नहीं तो आँखों से ही पी लूँगा मैं,
चाहे कुछ न दे साक़ी! बज़्म* में बिठा तो दे!
(*महफ़िल)

© ज़ैफ़

****************
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
°°° Sh'er -(Zaif) °°°° by Zaif in Shayri-E-Dard
Ghazal - Zaif by Zaif in Shairi - E - Zindagi
** New Ghazal- Zaif ** by Zaif in Shairi - E - Zindagi
2 liner - Zaif by Zaif in Shayri for Khumar -e- Ishq
New ghazal - Zaif by Zaif in Shairi - E - Zindagi
cool neha
Guest
«Reply #1 on: April 01, 2014, 04:45:13 PM »
. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Shireen Hakani
Guest
«Reply #2 on: April 01, 2014, 04:53:15 PM »
Wah! Bohat Khub!


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: April 01, 2014, 04:54:51 PM »
 Applause Applause Applause Applause
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #4 on: April 01, 2014, 05:02:50 PM »
Mahutram Zaifi Sahib ...
aadab..

Apki ghazal parhi sanglak bhr me ache sher nikalne ki koshish ki hai aapne ...Dad qubool karen ghazal ka majmoee rang pasand aaya ...ashaar me jiddat hai .....khayalo'n pukhtagi hai ....mila jhula ke aapki ghazal dad o tahsin ki mustaheq hai ...do ik baaten apse kahni thi so kah raha hun umid ke aap khayal nahi karenge ..Apki maine peechli 3 ghazlen shayad parhi hon magar ye paheli ghazal dekh raha hun ke jahan aap bhr pe apni giraft barqarar na rakh sake ....apne jo bhr darj ki hai 212 1222 212 1222 yaani ( FAA-I-LUN MUFAAEELUN FAA-E-LUN MUFAAEELUN )

Dusre sher ka misra-e-oola 3rd sher ka misre-saani 6th sher ka misra e oola  kharij az bhr hain ik nazar unhe dekh...mai ghalat bhi ho sakta hon aap kissi ahle ilm se maloom kar len ....Ek baar baar dad o mubarak baad ..Allah apko mazeed..

isko dekhen ...

Ho gayi khata kya mujhse? Zara bata to de!
Hun gunaah'gaar Uska, to mujhe saza to de!

Yaad khuch mahubbat ki jaate jaate de bhi ja
Gar wafa nahin deta, naa sahi, daGaa to de!

Dekhiyo tu bhi taaqat, qaid un parindon ki,
Eak baar pinjre se tu unhe uda to de 

Khusk padh gaye hai wo hath, dekh to Ae dil!
Khoone-aarzoo se keh de zara, "hina to de!"

Usko ye taqaaza hai main yahin thehar jaaun,
Mujhko ye talab hai wo ek hi sada to sada to de!

Jaam gar na de to phir aankh hi se pilonga
Chaahe kuch na de saaqi! Bazm mein bitha to de!

© Zaif


Khadim
Qadeertoopchi

Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: April 01, 2014, 05:26:02 PM »
Mashaallah , Zaif saheb. Khoob shairy karte hain . Baghair bahr ke bhi khoob likhte thhe , aur Bahr mein bhi koshishein achhi hain. Kuchh ghaltiyaan shuru mein qudrati hain , durust ho jaayeingi. 
Logged
Bishwajeet Anand Bsu
Guest
«Reply #6 on: April 01, 2014, 06:03:09 PM »
waah Zaif Sahab, behtareen sher se bhari hui hai ye ghazal, har ek sher lajawaab hai ..ek se badhkar ek...
Dheron daad qubool karein or behr ki koshish bhi bahut khoob hai.
Logged
Zaif
Guest
«Reply #7 on: April 01, 2014, 06:32:58 PM »
Qadeer sahb, apko alag se shukriya. Kripya ghalti btayega aage bhi. Main koshish lagatar jari rakhunga. Or hasan sahb apko b bahut shukriya.
Shukriya musahib ji.
Or baqi sabhi ka shukriya. Usual Smile
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #8 on: April 01, 2014, 06:51:40 PM »
Qadeer sahb, apko alag se shukriya. Kripya ghalti btayega aage bhi. Main koshish lagatar jari rakhunga. Or hasan sahb apko b bahut shukriya.
Shukriya musahib ji.
Or baqi sabhi ka shukriya. Usual Smile

Allah ka shukr aapne khayal nahi kiya aur badi hi shaistagi se kaam liya ...

Mahutram maine neeche aapki ghazal ke un misron bataur misaal sahi kiya hai ...aap usse bahetar kah sakte hain ...

agar aap ye jaana chah rahe hain ke ghalati kaise hui hai to mai likh deta hon ...Dusre sher ke misra e oola me lafz mahubbat ne gadbad kar di chunke lafz mahubbat ka wazn faoolun hai yaani 122 jabke lafz yaadgaar ka RE apki bhr ke dusre arkaan ka pahelu rukn hai ...joke sahi hai ..taham lafz mahubbat nahi ayega uski jaga 6 harfi lafz ayega ...yaani 222 phir lafz sitamgaar ne khuch thuda sitaam kar diya hai ...

Zanjeer wala misra aapka sahi hai bilkul ab taqti karke dekha to pata chala ....

Aur maqte wale sher me lafz pee longa jaake pilonga ho raha hai ...jahan tak is khaaksaar ko ilm hai kissi lafz ko is tarhan baandhna ke uski hayat hi khayam na rahe to wo jaiz nahi ...baaqi mai office me hun room jaane per tafseel se baat hogi ..


khadim
qadeertoopchi
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 3 hours and 24 minutes.
Posts: 14552
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #9 on: April 01, 2014, 07:06:45 PM »
bahut khoob
Logged
Miru;;;;
Guest
«Reply #10 on: April 01, 2014, 07:20:45 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
vb
Guest
«Reply #11 on: April 01, 2014, 07:33:32 PM »
Allah ka shukr aapne khayal nahi kiya aur badi hi shaistagi se kaam liya ...

Mahutram maine neeche aapki ghazal ke un misron bataur misaal sahi kiya hai ...aap usse bahetar kah sakte hain ...

agar aap ye jaana chah rahe hain ke ghalati kaise hui hai to mai likh deta hon ...Dusre sher ke misra e oola me lafz mahubbat ne gadbad kar di chunke lafz mahubbat ka wazn faoolun hai yaani 122 jabke lafz yaadgaar ka RE apki bhr ke dusre arkaan ka pahelu rukn hai ...joke sahi hai ..taham lafz mahubbat nahi ayega uski jaga 6 harfi lafz ayega ...yaani 222 phir lafz sitamgaar ne khuch thuda sitaam kar diya hai ...

Zanjeer wala misra aapka sahi hai bilkul ab taqti karke dekha to pata chala ....

Aur maqte wale sher me lafz pee longa jaake pilonga ho raha hai ...jahan tak is khaaksaar ko ilm hai kissi lafz ko is tarhan baandhna ke uski hayat hi khayam na rahe to wo jaiz nahi ...baaqi mai office me hun room jaane per tafseel se baat hogi ..


khadim
qadeertoopchi





Mohtaram janab Qadeertoopchi Saahab! salam masnoon

baad at-tahiyat

is post par ilm ko parvan charhtay dekha to socha k hum bhi ungli katwa kar apna naam shaheedon main likhava len, k hum bhi shagird hen. Zanjeer wala misra aap ne sahi qarar de dia, hamara bhi yehi khayal hay k wo durust hay... albata aap ki tavaju aap ki baat kay us hisaa ki taraf chahen gay jisay hum ne quote men "blue" color dia hay...

hamaaray khayal say... "sitamgar kuch" sahi bandha gaya hay.. masla sirf mohabbat ka hay (aur hamesha rahay ga Winking )... apni taraf say hum taqtee bayan kar rahay hen... aap behtar jaantay hen... agar sahi hay tu buhat achi baat, agar ghalat hay tu hamaray liyay insaan honay ka javaaaz ban jayay ga... "ki de ja" men bhe behtar tha k "de" ki "yaa" na giraai jayay (ye hamara zaati khayal hay) lekin aisay bhe qabil-e-qubool hay..


Yaa d gaa (faa i lun) -  r moh hab bat (ma  faa ee lun)  -  ki de ja (faa  i  lun) - si  tam  gar kuch (ma  faa ee lun)

umeed hay kuch naa-gavaar-e-khaatir na guzra ho ga...

talib-e-dua
ahqar - vb




Logged
RAJ SOLANKI
Guest
«Reply #12 on: April 01, 2014, 07:52:14 PM »
Very nice zaif bhai
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #13 on: April 01, 2014, 07:52:25 PM »




Mohtaram janab Qadeertoopchi Saahab! salam masnoon

baad at-tahiyat

is post par ilm ko parvan charhtay dekha to socha k hum bhi ungli katwa kar apna naam shaheedon main likhava len, k hum bhi shagird hen. Zanjeer wala misra aap ne sahi qarar de dia, hamara bhi yehi khayal hay k wo durust hay... albata aap ki tavaju aap ki baat kay us hisaa ki taraf chahen gay jisay hum ne quote men "blue" color dia hay...

hamaaray khayal say... "sitamgar kuch" sahi bandha gaya hay.. masla sirf mohabbat ka hay (aur hamesha rahay ga Winking )... apni taraf say hum taqtee bayan kar rahay hen... aap behtar jaantay hen... agar sahi hay tu buhat achi baat, agar ghalat hay tu hamaray liyay insaan honay ka javaaaz ban jayay ga... "ki de ja" men bhe behtar tha k "de" ki "yaa" na giraai jayay (ye hamara zaati khayal hay) lekin aisay bhe qabil-e-qubool hay..


Yaa d gaa (faa i lun) -  r moh hab bat (ma  faa ee lun)  -  ki de ja (faa  i  lun) - si  tam  gar kuch (ma  faa ee lun)

umeed hay kuch naa-gavaar-e-khaatir na guzra ho ga...

talib-e-dua
ahqar - vb






Mahutram VB Sahab tasleemat ..

Apka khat masool hua go ke massarat ka baais bana ....Mujhe khushi ho rahi hai ke yoindia per ab ilmi bhs ki gunjaish hai ....sahebe kalam bhi badi shaistagi se kaam le rahe hain ..mahutram lafz sitamgar per apki rai sau fisad sahi hai mere ishara bhr ki taraf nahi maine sahebe kalam ko dusra misra tajweez kiya hai jis me lafz sitamgar thuda bahut sitam kar raha tha so maine usko hazaf kar liya ...bhr ke hisaab se wo apni jaga bar wazn faoolun sahi hai ......Apki amad ne post per chaar chand laga diye hain .....waise 6th sher ke misra e oola ke baare me kya khayal hai mahutram aapka ....wo bhi saaf kar den taake sahebe kalam aur mere dono ke ilm me izafa ho jaye ..chunke mai bhi abhi seekhne ke marhale se guzar raha hun .....ilm ka pyaasa kabhi sairab nahi hota .....Allah apko umre nuh ata kare ..

Khair andesh

qadeertoopchi
Logged
sbechain
Guest
«Reply #14 on: April 01, 2014, 08:10:50 PM »

(212 1222 212 1222)
------------------------

Ho gayi khata kya mujhse? Zara bata to de!
Hun gunaah'gaar Uska, to mujhe saza to de!
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Yaadgaar mohabbat ki de ja sitamgar kuch,
Gar wafa nahin deta, naa sahi, daGaa to de!
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Dekhiyo tu bhi taaqat, qaid un parindon ki,
Ek baar unki zanjeer ko hila to de..!
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khusk padh gaye hai wo hath, dekh to Ae dil!
Khoone-aarzoo se keh de zara, "hina to de!"
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Usko ye taqaaza hai main yahin thehar jaaun,
Mujhko ye talab hai wo ek hi sada to sada to de!
theharrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrr jaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaao icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Jaam se nahin to aankhon se hi pee loonga main,
Chaahe kuch na de saaqi! Bazm mein bitha Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard to
de!

 
 



© Zaif

*******************************

हो गई ख़ता क्या मुझसे? ज़रा बता तो दे!
हूँ गुनाहगार उसका तो मुझे सज़ा तो दे!

यादगार मोहब्बत की दे जा सितम'गर कुछ!
गर वफ़ा नहीं देता, ना सही, दग़ा तो दे!

देखियो तू भी ताक़त, क़ैद उन परिंदों की,
एक बार उनकी ज़ंजीर को हिला तो दे!

ख़ुश्क पढ़ गये हैं वो हाथ, देख तो ऐ दिल!
ख़ूने-आरज़ू से कह दे ज़रा, "हिना तो दे!"
(*dry)

उसको ये तक़ाज़ा है, मैं यहीं ठहर जाऊं,
मुझको ये तलब है वो एक ही सदा तो दे!

जाम से नहीं तो आँखों से ही पी लूँगा मैं,
चाहे कुछ न दे साक़ी! बज़्म* में बिठा तो दे!
(*महफ़िल)

© ज़ैफ़

****************


wah wah aur wah ke saath rau bhi haazir hai mere huzur bahut umdaa  icon_flower icon_flower icon_flowericon_flower icon_flower!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 03:59:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.153 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer