Most Popular SMS

by sunny_india_king on March 05, 2005, 11:13:56 PM
Pages: 1 ... 10 11 12 13 [14] 15 16 17
Print
Author  (Read 13376 times)
sunny_india_king
Guest
«Reply #195 on: March 19, 2005, 09:40:37 PM »
Mera dil roo raha hai tum bin
Mera sab kuch to tum hoo
Main to Kuch bhe Nahi H00n tum bin
Tum Bin guzaar to jayee gi zindagi
per main ji Na paoon gi tum bin
Logged
sunny_india_king
Guest
«Reply #196 on: March 19, 2005, 09:40:59 PM »
Utha kay haath Khuda say bas maangi yahi dua
naseeb hon khushiyaan tumhain tum khush raho sada
tumhain rahat milay , tumhain chahat milay
tumhain saray jahan ki muhabbat milay
jahan main sab say hon achay tumharay naseeb
koi dukh kabhi bhi na aaye qareeb
tumharay dil ki har aarzoo poori Khuda karay
tumharay chahnay walon ko kabhi na juda karay
mil jayen tum ko meray bhi naseeb ki khushiyan
Dua hay bas tumhain kabhi gham na milay yahan
Logged
sunny_india_king
Guest
«Reply #197 on: March 19, 2005, 09:41:39 PM »
Ho ker Zameen Ki, Aasmaan Ki Chaah Kyun Karoon
Main Tujh ko Paanay Ki Tamanna Kyun Karoon
Mujh ko Khabar Hai Judai Tarpayegi Tujhe Har Pal
Is hi liye Bata de Main Tujh se Wafa Kyun Karoon
Aman Ko Mere Chot Lagay gi Gar Tu Na Mili Mujhe
Tujhe Apna Bana ne Ki Phir Dua Kyun Karoon
Teri Masoomiyat Ko Rab Ne Banaaya Hai Mohabbat Ke liye
Tujhe Na Chahne Ki Phir Main Khata Kyun Karoon
Farishtay Bhi Tadap Jaatay Hain Jab Teree Aankh Se Ashk Chalaktay Hain
Yeh Dard Tujhe De ker Main Koi Gunnah Kyun Karoon
Teri Meri Qismat Ki Raahain Hain Judaa Judaa
Main Phir Tera Banjanay Ki Aarzoo Kyun Karoon
Meri Hathoon Ki Lakiroon Mein Nahi Hai Naam Tera
Main Tera Naam Apne Naam Se Milanay Ki Justajoo Kyun Karoon
Meri Baatain Tere Dil Mein Hamesha Bass Jaati Hain
Is Baat Ki Khabar Rakh Kar Main Koi Guftagoo Kyun Karoon
Batoon Batoon Main Benaam Fasaanay Banjaate Hain
Aur Aisi Adhuri Kahaani Ko Main Shuroo Kyun Karoon J
oo Bhi Jazbaat Hai Dil Mein Dil Tak Mehfooz Hain
Yeh Bataoo Ke Main Unka Zikar Dubara Kyun Karoon
Mana Ke Mohabbat Bhari Nazar Dil Par Gehra Asar Karti Hai
Usay Pyaar Se Dekh Ker Us Par Koi Jaadoo Kyun Karoon
Mere Liye Yeh Mumkin Nahi Ke Main Tera Banjaoun Kabhi
Lekin Main Tujhse Mohabbat Ka Izhaar Kyun Karoon
Itna Dukhaaya Dil Ko Tunay Mere, Itna Rulaaya Hai Mujhe
Sub Kuch Sahoon Phir Bhi Tujhse Bay intiha Pyaar Kyun Karoo...
Logged
sunny_india_king
Guest
«Reply #198 on: March 19, 2005, 09:42:09 PM »
Phir Maazi ka Daman Wasee hua
Phir Aaj ka Suraj Doob gaya
Phir Yaad kay Phool Chand aur Khilay
Phir yaron ka Saath Chhoot gaya
Kal say jo Mun Chhupaaya tha
Lo Aaj woh Bhaanda Phoot gaya
Barson Jo hum Nay guzaar Dyay
Ik Sapna tha jo Toot gaya
Ab Ummeed hay Kal kay Suraj ki
Jo Din Naya Dikhlaay ga
Nayi Jaghayn lay jaay ga
Yaar nayay banwaayga
Guzray Kal ki yaadain Lekin
Humain Bhulwaa na Paayga
Wo Suraj Humain Behlaayga
Par hamesha na Reh paayga
Phir maazi ka daman Wasee hoga
Phir Yeh suraj doob jaayga
Logged
sunny_india_king
Guest
«Reply #199 on: March 19, 2005, 09:42:30 PM »
Zindagi ha mere jasa eik tofan,
kiya ja raha hoon gunah pe gunah..
koi roka mujha koi toka mujha,
kya ya karna ka liya ma bhaja gaya..
Do char din ka hum mahman,
Ao ikhata karan kuch wapsi ka samaan..
khul ka ro la ab to ankhain khool,
zindagi hai eik tohfa isa yuon to na rol..
Logged
sunny_india_king
Guest
«Reply #200 on: March 19, 2005, 09:42:57 PM »
ham apne aap mein yun gumm hue hein muddat se,
hame to jaisay kisi ka bhi intezaar nahi...
kisi ko toot kar chaahen ya chaah kar tootain,
hamare paas to itna bhi ikhteyaar nahi
Logged
sunny_india_king
Guest
«Reply #201 on: March 19, 2005, 09:43:16 PM »
koi ye kaisay batai ke wo thanha kyoon hai..
wo jo apna tha wohe or kese ka kyoon hai...
yehe dunya hai tu phir ayse ye dunya kyoon hai...
ye he hota hai tu phir yehe hota kyoon hai...
ek zara hath barhain tu pakarlain daman...
us ke seenay main samajain hamare dhurkan..
itne kubat hai tu fasla itna kyoon hia..
dil e barbad say nikla nahin ab tak..
aass jo tot gai phir say bandhata kyoon hai..
tum mussarat ka kaho ya isay ghum ka rishta..
khetay hain ke peyar ka rishta hai janam ka rishta..
hai, janam ka rishta tu phir badalta kyoon hai..
Logged
sunny_india_king
Guest
«Reply #202 on: March 19, 2005, 09:44:21 PM »
jo khayal thay, naa qayaas thay,
wahee loog mujh say bichar gayae
Jo mohabaton kee asaas thay wahee,
loog mujh say bichar gayae
Jinhain mantaa hee nahin yeah dil,
wahee loog meray hain ham safar
Mujhay har tarah say joo raas thay,
wahee loog mujh say bichar gayae
Mujhay lamhay bhar kee rafaqaton kay saraab or sataeengay
Mairee umar bhar kee joo pyas thay
wahee loog mujh say bichar gayae
Yeah khayal saray hain aaarzeee,
yeah gulaab saaray hain kaghzi
Gul aarzu kee joo ba-as thay,
wahee loog mujh say bichar gayae
Jinhain kar sakaa naa qubool main,
woh shareek raah-e-safar howay
Jo meray talab, meray aas thay,
wahee loog mujh say bichar gayae
Meri dharkanon kay qareeb thay,
meri chah thay, mera khuwaab thay
Woh joo roz-o-shab meray paas thay,
wahee loog mujh say bichar gayae
Logged
sunny_india_king
Guest
«Reply #203 on: March 19, 2005, 09:45:11 PM »
Zindagi bhi ajeeb hai
Kiya kiya rang dekhati hai
Pehlay mainay kisse aur ko chaha
Phir tumsay mohabbat hoi
Yahatak kai zindagi tumharay naam kardali
Phir youn howa kai tum nay meri hi reet agay barhaiie
Aur mujhay tanha chor diya
Mujhay dar hai kai kahi
Tareekh apnay aap ko dohhra na day
Logged
sunny_india_king
Guest
«Reply #204 on: March 19, 2005, 09:45:51 PM »
Zindagi bhi ajeeb hai
Kiya kiya rang dekhati hai
Pehlay mainay kisse aur ko chaha
Phir tumsay mohabbat hoi
Yahatak kai zindagi tumharay naam kardali
Phir youn howa kai tum nay meri hi reet agay barhaiie
Aur mujhay tanha chor diya
Mujhay dar hai kai kahi
Tareekh apnay aap ko dohhra na day
Logged
sunny_india_king
Guest
«Reply #205 on: March 19, 2005, 09:46:07 PM »
sanveley zulfeyan bikhra anchal tumhara....
bijleyan ban kar lipat janay ko jee chatha hai..
tmhari ankheyen hain ye do theri jheleyan ...
janay q in main doube janay ko jee chatha hai... khan
Logged
sunny_india_king
Guest
«Reply #206 on: March 19, 2005, 09:46:48 PM »
kahan ye bas main tha k hum khude ko husla de thay...
ye hi bhute tha k har gham par muskura dethay ....
hava ke dor ju uljhethe ungleyone say ...
hum asman par tera name tak sajha dethay
Logged
sunny_india_king
Guest
«Reply #207 on: March 19, 2005, 09:49:29 PM »
Mit-mit ke ye duniya banaye jaati hai,
jaroor koi kami hai jo pai jaati hai,
jab bhi aata hai unki mehfil main ajnabi koi,
usi dum ek shmma jalai jaati hai,
shamma jala kar wo foran bujha bhi deten hain,
fir dhooyen ki sim tak ungali uthayi jaati hai,
Or ungli utha ke kahaten hai wo har aane wale se, ki AASHIQON ki ye HAALAT banayi jaati hai
Logged
sunny_india_king
Guest
«Reply #208 on: March 19, 2005, 09:50:41 PM »
Kabhi main khud se naraaz hoti hoon
Kabhi main zindagi se udaas hoti hoon
Kidhar ko main nikli hoon
Kya main zindagi se chahti hoon
Sawaal ka jawaab jab naheh milta mujhko
Main apne aap ko ilzaam deti hoon
Thakk chuki hoon main chalte chalte
Main bas ek neend ab maut ki chahti hoon .....
Logged
nikki
Guest
«Reply #209 on: March 19, 2005, 09:52:24 PM »
bahut khoob ...sunny ji
Logged
Pages: 1 ... 10 11 12 13 [14] 15 16 17
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
June 09, 2026, 10:44:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[June 05, 2026, 08:07:29 PM]

[June 05, 2026, 08:06:14 PM]

[June 05, 2026, 08:05:07 PM]

[May 31, 2026, 04:57:41 PM]

[May 31, 2026, 04:55:56 PM]

[May 31, 2026, 04:55:21 PM]

[May 31, 2026, 04:28:57 PM]

[May 31, 2026, 04:26:17 PM]

[May 31, 2026, 04:23:56 PM]

[May 31, 2026, 04:21:16 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.078 seconds with 19 queries.
[x] Join now community of 8522 Real Poets and poetry admirer