Yoindia.com
Yoindia.com : One of the Biggest Asian Poetry Community
Hello,
There are always lots of activitues on Yoindia Shayariadab Bazm, we see new talents coming to Yoindia Shayariadab and making it even a better place.  Below we are sharing few updates, hope you will like them.
Colorful poetry and MOTM ....

So how much RAU you have?

 
We have a small new nifty feature on Yoindia Shayariadab, its called Rau, you can see it beside name of every Yoindia Shayariadab member on topics.

So, one can get Rau if post good work, one can get Rau if you appreciate other or teach him / help him on something at Yoindia Shayariadab and you may get Rau simply because someone liked your presence at Yoindia Shayariadab.


MOTM for April 2012

This month's MOTM award goes Dr. Surendra Saini ie. sksaini4, he has been  a great support to Yoindia Shayariadab with his contribution and sheer presence. Also, he is first Member of Yoindia Shayariadab Bazm to receive MOTM twice. You may know about him more here and send your  congratulations here.

Few creations we want to share with you...

There are so many beautiful creations on Yoindia Shayariadab, here however we are sharing few with you. You may Click here to see all latest poetry

Ek Ghazal YoIndia ke respected shayro.n k naam by Iftakhar Ahmad
In shayaro.n ki shayari shua-e-aftab hoti hai
Duniya ki har haqeeqat inse, benaqaab hoti hai

Dolly ki bhakti, Sarfire ki bebaki ke kya kehne
Aur Hasan ki to har ghazal, pur-shabab hoti hai

Sheba  se  sanjidgi  jhalke,  Shukla se Ishq ka khumar
Aur Qalb se samaji darindo.n ki aabru, aab aab hoti hai

Koi Husn ko chand kahta hai, to koi Ishq ko Khuda
Aur Tauseef kehta hai k zindagi, bas habab hoti hai

'Iftakhar' tareef mein har roz kaha.n se laye naye alfaz
Saini  ki  to  har   ghazal   hi,  la-jawaab   hoti  hai .....Click here to give your comment or read rest of the poem.

पत्थर ही रहने दे/Patthar hee rahne de... by sksaini4
Mubaarak  ho  falaq  tujhko   mujhe  kamtar   hee   rahne de.
MaiN   patthar   thokroN kaa hooN mujhe patthar hee rahne de.

Badee  mushkil  se   mil  paayee   tere  deedaar  kee daulat.
Ise  too  chheen  mat  mujhse   ise   mujh par  hee rahne de.

Vo  kahtaa  hai  vafaa  meree  maiN  kahtaa hooN vafaa meree.
VafaaoN   ko  too   aapas   meN  yooN takraakar hee rahne de.

Kiyaa  kuchh  bhee  naheeN  par naam unkaa surkhiyoN meN hai.
Bandhaa   hai   taaj  uske  sar   to uske  sar  hee rahne de.

Nikal kar maiN chalooN ghar se nikal kar too bhee ghar se aa.
Chalaa  aa  dost   banke   dushmanee ghar par  hee rahne de .
Read more or give your comment..


AANKHON MEIN ABB NAMI NAHI HOTI  by F.H.SIDDIQUI
AankhoN   meiN  abb   nami   naheeN   hoti  ,
Kaifiyat   shabnami   naheeN   hoti

Aazmaaye   Tabeeb - e - Dil   saare  ,
Dard - e - Dil   meiN   kami   naheeN   hoti

Aur   rahte   zara   Woh   pahloo   meiN  ,
Gar   yeh   Baarish   thami   naheeN   hoti

Baat   karte   jo   saaf   dil   say   Tum  ,
Lahje   meiN   Barhami   naheeN   hoti

Achha   hota   agar   yeh   Khud - gharzi  ,
Khaslat - e - Aadmi   naheeN   hoti

Karna   hai   to   sada   nibhao   bhee  ,
Dosti   mausami   naheeN   hoti

Koi   hastee   bajuzz   Khuda   ke  'Hasan'  ,
Baa-khuda    Daaimi   naheeN   hoti
  Click here to see what others have to say about it..


RishtoN Mein Faasle Aaye "Khwaish" by khwaish

Fursatain Mile Jab Bhi  Ranjishein Bhula Dena!!!!
Kaun  Jaane Saanson Ki mohalatein Kahan Tak Hain...!!!


Dil Ka Dard AankhoN mein Le Aaye
Yeh Kyon RishtoN mein Faasle Aaye

Sab Kuch Paakar Bhi, Phir Kho Diya.!!
Apne Haq mein  Jo Kuch Faisle Aaye

Woh Dariya Jo Sabse Khamosh Tha
Aaj Ussi mein  Gehre  Zalzale Aaye
Click here to read rest of the poem and also see what people are saying about it..


क्यूँ हुई बच्चों से नादानी न पूछ by navincchaturvedi
मुश्किलें मत पूछ, आसानी न पूछ।
है बड़ा, तो बात बचकानी न पूछ ।१।

याद कर अपने लड़कपन के भी दिन।
क्यूँ हुई बच्चों से नादानी न पूछ।२।

भेड़िया क्या जाने इंसानी रिवाज़|
धूर्त से तहज़ीब के मानी न पूछ।३।

जो मुक़द्दर ने दिया कर ले कुबूल।
कर्ण! कुंती की परेशानी न पूछ ।४। ... Click here to read it in ENGLISH script


Mere Khuloos Ko Koi Naam Na Do by javedarshad
Mere khuloos ko koi naam na do
kuin keh
Ikhlaas ke daire itne wasi hoote hain
In mein samana her bazarf ki baat nahin
Aur aazmaish mein
Main bahut choota lagne lagta hai

Her aik ke khuloos ke paimaane
Apne apne zarf ke mutabiq hoote hain
aur jab
Zarf ko meraaj ke paimane se  naapta hun
To bahut choota lagne lagta hun
.... Read rest of the poem or give your comment


We have even more remarkable work ...


It is impossible to show here all those remarkable work we see on Yoindia Shayariadab, if you love poetry then you may see it yourself and even share your with community of many thousands poetry admirer , visit Yoindia Shayariadab ... !

Poetry of famous poets at Yoindia Shayariadab
Now you can read and share poetry of famous poets on Yoindia Shayariadab.
Visit now:
Famous Urdu Poets
Famous Hindi Poets

Hopefully, learning from these great poets, we can improve poetry of Yoindia Shayariadab.
Now Some Brief Updates About Yoindia Shayariadab!

Yoindia Stats:
Total Poetry Lovers: 44,524
Total Posts:
11,95,288
Latest Member :dr.tarun bele

You are receiving this email update because you are a Member of http://www.yoindia.com/ . If you wish not to receive any future updates from Yoindia then please login to your account and disable email updates here. Also, if you believe you received this email because of mistake then please notify us by replying this mail so that we can work on it.