kaho apne dil ki baat apne YoIndian friends se

by deepika_divya on March 07, 2007, 12:20:25 PM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 16
Print
Author  (Read 13137 times)
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 2 hours and 24 minutes.

always smile

Posts: 15214
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #90 on: April 17, 2007, 01:13:00 PM »
main apne ek khaas yoindian friends se itna hi kahan chahta hu ki wo mujh se ab door rahta hai lekin wo humesha mere liye sochta hai aur meri fikr karta hai lekin mujhe uski koi fiker nahi hai kyunki main janta hu ki uske sath mujh se bhi kai ache frinds hai jo uska ache se dhayan rakhege
Logged
*DeSi KuRi WaLaIti sTyLe*
Guest
«Reply #91 on: April 18, 2007, 01:43:32 AM »
FOR MY BHAIYA,,,,,,,,,,,,,,

BHAIYA ARE YOU SHOCKED,,,,,,,I KNOW,,,HOTA HAI,,,,,,,,,LOLZZZZZZZZ,,,,,,
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #92 on: April 18, 2007, 02:07:29 AM »
hehehe nahi shock nahi huwe...
relieve huwe ke itni bhari museebaat tali tongue3
Logged
Nirbhay
Guest
«Reply #93 on: April 18, 2007, 04:59:54 AM »
Quote from: "*DeSi KuRi WaLaIti sTyLe*"
SAHI KAHA AAP NE AADITYA DI,,,,ISI LIYE TOU HUM KE BAARE MEIN BAAT NAHIN KAR RAHE,,,,



Ye fadke baaz kya boli mujhe kuch samjh nahi aaya
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #94 on: April 18, 2007, 06:12:47 PM »
Are Neer Yeh meri Pyaari Bahan Bahut tez hai... :lol: :lol:

Tu Samjha hi nahi Yaar..... Daant rahi hai Yeh Tujhe.. :lol: :lol:
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #95 on: April 19, 2007, 02:17:40 AM »
hehehehe :p

vickyji tez hai???
mujhe tu dheeli laghi tongue3
Logged
*DeSi KuRi WaLaIti sTyLe*
Guest
«Reply #96 on: April 23, 2007, 02:44:21 AM »
KYUN ANJANI YUJHE BHI SABAK SIKHAOON KYA,,,,,,,,,,AND VICKY BHIA HOW IN THE WORLD DID YOU NOT PM ME?Huh?Huh??
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #97 on: April 24, 2007, 02:21:10 AM »
hehehehe desiiiiiiiiiiii 9-2-11 ho ja :D
Logged
natural
Guest
«Reply #98 on: April 25, 2007, 09:52:34 PM »
I'm feeling very lonely....  sad5
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #99 on: April 26, 2007, 04:06:45 AM »
what happend?
Logged
mahevikash
Guest
«Reply #100 on: April 26, 2007, 09:31:25 AM »
Tab tere dhun mai jiya karte the
Hum bhi chup chaap phira karte the
Aankhon mai pyas howa karti thi
Dil mai toofan utha karte the
Log aate the ghazal sun ne logo ki
Hum tere hi baat kia karte the
Kisi veerane mai tujhse mil kar
Dil mai kya phool khila karte the
Ghar ki deewar sajane ki khatir
Hum tera naam likha karte the
Woh bhi kya din the tujhe bhula kar
Hum tujhe yaad kiya karte the
Kal tujhe dekh kar yaad aya
Hum bhi kabhi muhabbat kiya karte the

===========================






Mila woh bhi Nahi karte , Mila hum bhi nahi karte
Bewafai woh bhi nahi karte, bewafa hum bhi nahi karte
Unhen ruswai ka dukh hai, humain tanhai ka ghum hai
Gila woh bhi nahi karte, gila hum bhi nahi karte
Kahin kisi mor per aksar samna ho hi jata hai
Ruka woh bhi nahi karte, ruka hum bhi nahi karte
Unhain jab bhi dekhte hain, sochte hain kuch kahen
Suna woh bhi nahi karte, kaha hum bhi nahi karte






dhuwan jo uthaa bebasii ki aag se ,
    gard chhaa gayee hum tanhaa nikal paray
    andheri raahon mein kiran ki talash thi
    woh ahsaas thaa jissay hum sach samajh bethay
    woh to tera inkaar thaa jisay hum piyar samajh bethe








       Tere ankhoon ke samnain sab kuch bikhar gaya,

       Tum  khamosh  kharay  ho  ker   dekhtay   rahe,

       Mujhay  kia  pata  tha  Tum   pather  ki morti Ho,

       Hum   khua   ma   khua   hi  tumhain  pojte rahe
 


          Hayran ker diya hai Khuda ki khudai nain,

         Pareshan kerdia  hai  tumhari  judai  nain,

         kuch  samajh  nahin  ata  kia kahian hum,

         Be  zuban  ker  diya  hai  Jug  hasai  nain.








Be dard sahi woh meri humraaz to hai
Woh aaye na aaye mere paas lekin
Shidat se mujhe us ka intezaar to hai
Abhi nahi to kya hua mil hi jayengi kabhi
Mere dil main us se milan ki aas to hai
Pyaar ki gawahi mere aasoon se na maang
Barasti nahi aankhen magar dil uddas to hai










aj wo gair sahe,fher b mager mera hy,
aap ka dill aap ka sahe,pher b wo gher mera hy.
ab wo chahat na sahe ,pher b haqeqat ye ha,  
aap k rag rag ma basa piyar sirif mera ha.
aap ka dill band sahe,pher b nazer aata hy,
jab b mai dekhta ho naam sirif mera ha.
aap k chahry py sajy dukh ka aser mera ha.
ab na sapne sahe,pher b mujhy lagta hy,
aap k aankhoon ma wafa aks sirf or  
sirf aap ka hy mera kuch nahe..  









Socha Nahi Acha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahi...
Manga Khuda Se Raat Sin Tere Siwa Kuch Bhi Nahi...
Socha Tujhe...Dekha Tujhe...Chaha Tujhe...Pooja Tujhe...
Mere Khata Mere Wafa Tere Khata Kuch Bhi Nahi...
Jis Per Humare Aankh Ne Moti Bechaaye Raat Bhar
Bheja Wohi Kaagz Likha Us Main Kuch Bhi Nahi
Ek Shaam ke Saaye Tale Beth Rahe Der Tak...
Ankhen Se ki Baaten Buhat Zibaan se kaha kuch bhi nahi..
Ehsaas ki khushbu kahan awaz ke jugnoo kaha...
khamosh yaadon ke siwa ghar main raha kuch bhi nahi..
Do char din ki baat hai dil khaaq main mil jaayega
Jab aag per Kaagz rakha baaqi bacha kuch bhi nahi...









KISI NAZUK SE LAMHE MEIN
KISI DIN SHaAM SE PeHLy
AGAR MAIN CHUPKE SE
TERE KANOON MEIN YE KeH DOON
Ke MUjhE TUM SE MOHOBBAT HAI
TO TUM NARAZ MAT HONA
FAQAT ITNA TUM KARNA
MUJE BAHOON MEIN LE Ke TUM
MERI ANKHOON MEIN ANKHEN DAaL KAR
MERE BALOON KO Sehla kar
BAS ITNA KeH DENA
Ke Tum Pyar Ke Laaiq Nahi......









Chaha Tha Unhein Hale Dil Sunana,  
Chaha Tha Unhein Junone Mohabat Dikhana,  
Nazmein Laaye The Hum Dil Kured Kured Kar,  
Par Alfaaz Bhi Chale Gaye Unhein Dekh Kar"










zindagi se pyar hone laga tha
zindagi mein pheli bar ye ehsass hone laga tha
dil ko kisi ka intazar ho raha tha
pheli bar yeh iqrarr ho raha hai
musam bhi tha chaya chaya
hawaoon ne bhi rang tha jamaya
koi apna sa lagne laga tha
jo dil main chahne laga tha
chen mera jis ne china
woh dekho muskarane laga hai
hum ko tu sanam tum se pyar tha
dil ko sirf tera intazar tha..........

 








humne manga saath unka,
      woh judaai ka ghum de gae,          

hunehi yadon ke sahare ji lete,
woh bholl jane ki kasam de gae

 




ae RAB kuch aesa muajza kardey,
jo shaks mera nahi use mera kardey,
akely sham bohat tanha guzarti hai,
kise ko bhej,koi mera humnawa karedy.










Tum Ek Baar Mere Muhabbar ka imthaan to lo  
Mere Junoon mere had ka imthaan to lo
Mere Chaahat ki Haqeeqat ka imthaan to lo
Main apni jaan bhi de doongi aetbaar nahi
Ke Tumse Bhar kar mujhe zindagi pyari nahi

 




Aansoon ko samjhaua akelle main aya karo
Mehfil main aa kar sharmida na kiya karo
Us par anson tapak kar bola
itne logo main bhi tumhein tanha pate hain
ise liye aa jate hain saath dene~~~~`

 









Mere khuabon ka har aik naksh mitta de koi,

sookhey paton ka bacha dhair jalla de koi.

meri pehchan ka aik shaks issee shehar main hai,

main bhee zinda hoon zara uss ko batta de koi.

kuch to tanhaee ka ehssas mujhey kum ho ga,

mere saaye se agar mujhko milla de koi.

mere khuabon ka har aik naksh mitta de koi,

sookhey patton ka bacha dhair jalla de koi.











main nay aaj hai jana
kitna mushkilhai dil lagana
mohabat karnay saykiya hai hasil
sirf dukh hi dukh pana
mujhay nahin tha pata
mayarya saath aysa hai hona
main nay aaj hai jana
kitna mushkil hai dil lagana
tumhain hum say nahin mohabat
tu is baat ak qun shikwa karana
main nay aaj hai jana
kitna muskhkil hai dil lagana










YOUN TO KAAHNAY WALLON NAY KYA KUCH NAHIN KAHAAN  
 
PER SUNNA AAP KI KISMAT MAY NAHIN THA  
 
HUM NAY TO TUM SAY MOHABBAT KI PER WAFA KARNA  
 
AAPKI MUKKADAR MAY NAHIN THA"










har raat swapan aaye yeh zaroor nahin,
har pyaar waydaa nibhai, yeh zaroori nahin,
kucch laashein nangi bhi reh jaati hain dost,
har laash ko kafan mil jaaye yeh zaroori nahin.










Sataya na karo hume,yun is tarah
Ke hum bhi insaan hai tumhari tarah,
Aaj hum hain,kal na ho, kise maloom
Ho sakta hai ke,phir tum pachtaoo,kise maloom,
Zakhm-e-dil ko aur na zakhmi karo
Ke ye to hai sheeshe se bhi nazuk,
Ek baar toot gaya to judhna hai mushkil
Ho sakta hai,kal tum koshish karo,kise maloom!!!












Kitne haseen the who pal,
Jinhe yaad karte hai hum har pal.
Kise pata tha ke yeh bhi din aayenge,
Jinme hum na tumhe payenge.
Jeete the hum tab bhi aur jeete hain aaj bhi,
Bas itna hai ke bhool gaye jeene ka maqsad hi.
Khwaab tab bhi dekhte the , Khwaab aaj bhi dekhte hain,
Bas itna hai ke inme aaj khud ko tadapta dekhte hain.
Sham tab bhi hoti thi , Sham aaj bhi hoti hai,
Bas itna hai ke suraj ki jagah khud ko doobta dekhte hain.
Chand aur tare jab bhi the , Chand aur tare aaj bhi hain,
Bas itna hai ke inki roshni me khud ko jalta dekhte hain.
Humrahi tab bhi tha, Humrahi aaj bhi hai,
Bas itna hai ke mera humsafar aaj tu nahi hai.....










aap rooth kar na yun sazah di jiye
baat jo hai dil men bata di jiye
 
darmian men ho gaya hai jo faasla
aap khuda ke waaste mita di jiye
 
han yehan suroor aur chaa jayega
aake aap chhat pe muskura di jiye
 
gulshan-e-wafa ke phool khil jayen ge
saath mere do ghadi kata di jiye
 
ek shaam yaadgaar ban jaye gi
aake pyaar ka diya jala di jiye
 
toodkar ghamon ka nata parwaaz ka
pyaar ka safar unhen kara di jiye

tumare bas me ho agar to bhool jayo mujhe,
tume bhoolne ke liye shyd mujhe zamana lage,
doobna ho to dubo itne sakoon se ke,
saath ki lahron ko pata na lage,
is kadar karo bawafaie humse ki,tumse badkar koi bewafa na lage

Pehle pyar ka pehla khat likhne mai waqt toh lagta hai,
Naye parindon ko udne mai waqt toh lagta hai,
Jism ki baat nahi,unke dil tak jaa na hai,
Lambi doori tai karne mai waqt toh lagta hai".
-----------------------










"Woh aaye,abhi hosh sambhaala bhi na tha,
ki unhone jaane ki ijazat le li,
Tasavur mai unke dedaar ko taraste the hum,
ki unhone aankhon mai panah le li,
Bayaan karta chehra unke aane ki khushi,
ke aate hi unhone humari jaan le li".

DEKHAE HUWE SAPNE TU POORA NA KAR SAKE
LEKIN KIYE HUWE VAADE UN SAPNO SE ZIYADA MUSHKIL NA TE!
 
SAATH ZINDAGI GUZAARNE KA HAQ TU CHEEN LIYA
KASH PYAAR KARNE KA HAQ BHI CHEEN LITE
TU GUZAAR LETE KHUSHI SE ZINDAGI APNI BILKUL AP KE JESE








tere shehar ki hawayen bhi daga de gayi
mere shehar ki hawayen bawafa thi
 
tum hi kehte they khusbu meri leke aati thi tum tak
merey shehar ki hawayen jo bawafa thi
 
tere shehar main rakhe kadam, bheeghoyi aankhen fir bhi
tere shehar ki hawawon ne tujhe paigaam na diya!
 
tere shehar ki hawayen kya bewafa thi





arey har baat ka jawaab diya nahi jaata
vishwas ho to dosti mei shak kiya nahi jaata
pyar ya umar bhar saath nibhane jaisa sawal
bina soche samjhe har ek sei kiya nahi jaata

jaisi ho hawa waise he rukh kar lena
pyar se jo bulaye ijjat usey baksh dena
apni aur se na karna kabhi koi gustakhi
auron ki bhulon ko jayada aihmiyat na dena

koi jo kare bewafai tum vafa he bartana
doston ki madad sei kabhi peeche na hatna
karke burai kisi ki apni nazar se na girna
baaki hai apna apna naseeb yaaron
jo likha hai usney wo humhe hai bhukatana













Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu
Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu

Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar
Har pal har jagah nazar aane laga hai tu

Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle
Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu

Har pal mujhe hota hai bas tera hi “Ehsaas”
Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu

Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main
Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu

Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan
Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu

Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe
Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu

Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera
Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu

Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai
Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu

Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu

Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko
Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu

Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri
Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu

Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri
Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu

Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf
Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu

Kya is baat ka tujhey “Ehsaas” hai “Jaan”
Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu

kuch log sitam karne ko taiyaar baithe hain
kuch log magar hum pe dil haar baithe hain

is kashmkash main humse pehchane nahi jaate
kahan dushman hain aur kahan dost yaar baithe hain

ishq ko aag ka dariya hi samjh lijiye huzoor
koi is paar baitha to hum us paar baithe hain

kuan kehta hai ki is shehar main saare hain bewafa
humare samne do char wafadaar baithe hain

kal tak jinki hasrat thi hume badnaam karne ki
aaj wahi log apne kiye par sharminda baithe hain

duniya se rooth jaane ki khowaish hai humari
kya karen is khowaish par pharedaar baithe hain




Sapne saare tod kar baithe hai,
Dil ka armaan chod kar baithe hai,
na kijiye humse wafa ki baatein,
abhi-abhi dil ke tukde jod kar baithe hai…!!



dil mein ek chubhan si thi
mann mein ek halchal si thi
tann mein ek jalan si thi
shayad tumse milne ki chahat thi
magar milne par pata chala..
ye chahat mulakat ki nahi tumhari thi


Aapse milkar khuda ki ibadat bhool gaye,
Aapki adayein dekh ke apni aadat bhool gaye.
yeh kaisa jaadu kar diya hai aapne
,Aapko chake duniya ki chahat bhul gaye









Dost ban kar saare raah mil gaya suraj
Hum itne khush naseeb the
jab thori si roshni mangi to aur jal gaya suraj.
Din beet gaye, raat beet gayi,
subha hogayi har baat beet gayi,
rah gaye bas tumhari ahsaas, aur tumhare saath meri hosh udh gayi…..
hum udaas to nahi bas ayse hi khamosh rahte hai,
hum kisi se juda to […]











Ishq ke phool bhi khilte hain, bikhar jaate hain
zakhm kaise bhi hon, kuch roze main bhar jaate hain
Us khwabon main ab koi nahi aur hum bhi nahi
Itne roze se aaye hain, chup chaap guzar jaate hain
Nurm aawaaz, bholi baatain, mohazzab lehjaa
Pehle baarish main hi, sab rang utar jaate hain
Raasta roke khari hai, wahi uljhan kab se
Koi puche to kahen kya ke kidhar jaate hain










Tapish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko Parta Hai
Qusur Aankhon Ka Hota Hai, Tarapna Dil Ko Parta Hai

Mujh Se Mut Pouch, Mere Dil Ki Kahani O Hum-Dum
Is Main Kuch Parda-Nashinon Ke Bhi Naam Aate Hain

Jab Kishti Sabit Salim Thee, Sahil Ki Tamanna Kis Ko Thi
Ab Aise Shikasta Kishti Main Sahil Ki Tamanna Kaun Karey

Mausam Hai Mausam, Khushbu Aapke Zulfon Ka Naam
Mausam-E-Gul Hai, Aapke Baag Main Aa Jaane Ka Naam

In Udaas Muskurahaton Ke Peeche, Ghum Ke Railay Hain
Ab Tumhain Kya Batayain, Ke Tum Bin Kitne Akele Hain

Mujhe Is Baaat Ka Ghum Nahi Kay Badal Gayaa Zamaana
Meri Zindagi To Sirph Tum Ho, Kahin Tum Na Badal Jaana

Tasalli Ho Jayegi, Zara Itna To Bata Do
Tumhe Bhi Hitchkiyan Aati hain Jab Hum Yad Karte Hain

Zaruri To Nahi, Ke Batayain Labon Se Dastaan Apni
Zabaan Ek Aur Bhi Hoti Hai Izhaar Ki

Phool Khilna Chahta Hai, Kali Khilne Nahin Deti
Dil Milnaa Chahtaa Hai, Kismat Milne Nahin Deti

Jo Aala Zarf Hotey Hain, Woh Sar Kham Hi Rakhtey Hain
Suraahi Khud Nagoon Ho Kar Bhara Karti Hai Paimaney











Badanaam mere pyaar kaa afsana hua hai  
deewane bhi kahte hain ki deewana hua hai ........
   Rishta tha tabhi tou kisi be-dard ne todaa
   apnaa tha tabhi tou koi be-gaanaa hua hai ........
Baadal ki tarah aake baras jaaiye ik din
dil aap ke hote huye viraana hua hai ....
   Bajte hain Khayaalon mein teri yaad ke ghunghroo  
   kuch din se mera ghar bhi pari-Khaanaa hua hai .....
Mausam ne banaya hai nigaahon ko sharaabi  
jis phool ko dekhun wahi paimana hua hai ...





Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho,
mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho,  
   Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa,  
   pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho,  
Ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho,  
dil bhar aataa hai tou phir dil ko dukhaate kyon ho,  
   In se vaabastaa hai jab mera muqaddar phir tum,  
   mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho,  
Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho,  
milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho ...






Hota hai kabhi aisa
In shaam ki fizaaon main
Madhosh hote hain do dil
Ek duje ke hon jab bahon main...........
Hota hai kabhi aisa
Ho chaandni jab khul ke raaton main
So jaaten hain her aashiq
Kho ke mehboob ki yaadon main.........
Hota hai kabhi aisa
Jab khushboo uski her saanson main
Tarpaati hai yaad sanam ki
Thandi thandi raaton main............
Ho jayega ab aisa
In hi baaton baaton main
Tum ho jaogi yoon meri
Jaise do jism ho ek saanson main ..............










Dillagi se unke hum, dil hi kho baithe
Rooh rahi hamari, her sukoon kho baithe
Kise malum tha yeh chandni hogi chund lamhon ki
Raat to aati hai lekin, neend hi kho baithe
Dil ka aalam to ab kuch yoon hai Humayun
Saans to rahi lekin, woh dharkan kho baithe
Yeh zakham bhi kaafi nahi tha is dil-e-naadan ko
Us bewafaa ko bhi hum, sung-e-dil samajh baithe
Thokrain dee unhon ne kuch is tarah se humko
Apne aansoonon ko bhi hum shabnam samajh baithe
Kya zalim woh ishq bhi tha humayun
Chor to diya use, per khud ko hi kho baithe
    Quote
    Code:
    [color=olive][/color]
    [/list][/b] :razz:
    Logged
    Dr.Saira999
    Guest
    «Reply #101 on: April 26, 2007, 10:50:56 AM »
    Mahevikash aapke dil mein kya itna kuch tha kehne ko Puzzled !
    Logged
    natural
    Guest
    «Reply #102 on: April 26, 2007, 11:08:09 PM »
    Quote from: "deepika_divya"
    what happend?


    Nobody was online that time.... just that.. Usual Smile
    Logged
    anjani_si
    Guest
    «Reply #103 on: April 27, 2007, 02:13:57 AM »
    laghta hai chemistry ka lecture likha hai tongue3:P:P
    dont mind just joking tongue3:P:P

    vry nice indeed :D
    Logged
    deepika_divya
    Guest
    «Reply #104 on: April 27, 2007, 03:37:19 AM »
    Quote from: "natural"
    Quote from: "deepika_divya"
    what happend?


    Nobody was online that time.... just that.. Usual Smile


    subahah k 3.22 am par.. jaag kyun rahe the...?
    Logged
    Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 16
    Print
    Jump to:  


    Get Yoindia Updates in Email.

    Enter your email address:

    Ask any question to expert on eTI community..
    Welcome, Guest. Please login or register.
    Did you miss your activation email?
    April 27, 2024, 03:15:02 AM

    Login with username, password and session length
    Recent Replies
    [April 23, 2024, 09:54:09 AM]

    by ASIF
    [April 22, 2024, 01:50:33 PM]

    [April 04, 2024, 04:49:28 PM]

    [April 02, 2024, 12:27:12 PM]

    by ASIF
    [March 24, 2024, 04:34:54 AM]

    by ASIF
    [March 24, 2024, 04:30:44 AM]

    by ASIF
    [March 24, 2024, 04:26:39 AM]

    by ASIF
    [March 23, 2024, 08:50:46 AM]

    [March 21, 2024, 07:59:38 PM]

    [March 17, 2024, 02:01:29 PM]
    Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
    Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
    Page created in 0.173 seconds with 25 queries.
    [x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer