TWO SISTER -(suspence Story)by Vargis khan

by vampi khan on January 27, 2015, 09:52:00 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 17934 times)
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #15 on: November 03, 2015, 12:58:03 PM »
Chapter 6 - The Waitress


Agle din subah meri neend jo kabhi 9 baje se pehle nahi khulti thi, subah 6 baje hi khul gayi.

Maine side mein rakhi ghadi par nazar daali aur ek pal ke liye toh khud hi yakeen nahi hua ke main itni jaldi uth gaya. Dobara check kiya aur phir mobile par nazar daalkar confirm kiya ke 6 hi baj rahe the. Main uthkar betha aur itni subah aankh khulne ki vajah samajh aa gayi. Mujhe tez bukhar tha.

Mera matha garam tha aur hatheli par paseena aa raha tha. Sar dard ki vajah se phata ja raha tha aur poora badan akda hua tha.

"Damn it" Kehta hua main bistar se utha par khade hote hi ekdam se chakkar aaye toh main phir vaapis bed par beth gaya. "Great, thats all i needed"

Main dobara chadar odhkar let gaya par ab neend ka kahin naam-o-nishan tak nahi tha. Aankhein band kiye ek ghante tak yun hi pada raha aur jab ghadi ne 7 bajaye toh phir uthne ka faisla kiya.

Apni akeli zindagi mujhe bahut pasand thi. Jaane kyun par mujhe aise akele hi jeena achha lagta tha. Na mere bahut zyada dost the aur na mera kisi se zyada bol chal. Jaankar mere bahut the par koi bhi itna kareebi nahi tha. Agar dost ginna shuru karun toh shayad sochna pade ke kise dost keh sakta hoon aur agar kareebi dost ki baat karun toh baat sirf Khan aur Nisha par aakar khatam ho jaaye. Mera phone bhi kabhi bajta toh sirf kaam ke silsile mein koi call hoti thi. Girlfriend koi thi nahi aur shaadi ka khyaal abhi aana shuru bhi nahi hua tha.

Par haan, aaj ka din un dino mein se tha jab mujhe lagta tha ke kaash koi hota.

Badi mushkil se main bistar se utha aur angdai leta hua kitchen tak pahuncha. Stove par chaai chadha kar ek cigarette jalayi aur Nisha ko phone kiya.

"Kahan the raat bhar?" Usne phone uthate hi puchha.

"Kya matlab?" Mujhe uski baat samajh nahi aayi.

"Arrey sidhi si baat hai, subah ke 7 baje aap phone kar rahe ho matlab ke raat bhar soye nahi." Vo bhi meri tarah hi hairan thi ke main itni subah jaag raha hoon.

"Bakwaas kara lo tere se bas, hai na?" Maine kheejte hue kaha "Tabiat theek nahi hai meri isliye subah subah aankh khul gayi"

"Kyun kya ho gaya?" Ab uski aawaz mein meri fikar shaamil thi.

"Aise hi thoda bukhar hai" Maine bataya.

"Theek hai main abhi thodi der mein pahunchti hoon" Usne bina koi aur sawal kiye fauran kaha.

"Nahi nahi i am fine. I will go to a doctor."

"Aapke ghar se hote hue office chali jaoongi na. Khaya kuchh?"

"Bana raha hoon chaai."

"Toh theek hai main khaane ko kuchh leti aaoongi saath"

"Arrey nahi meri maan theek hoon main. Kha loonga kuchh. Tu ek kaam kar"

"Kya?"

"Main abhi Saloni ko phone karke bata doonga ke meri jagah tu uske saath hostel jaayegi" Maine chaai mein cheeni daalte hue kaha.

"Main?"

"Haan. Ek toh meri tabiat theek nahi aur doosra i dont think mera vahan jana will serve any purpose. You on the other hand can get some more information"

"You want me to ask around there?"

"Yeah"

"Like what?"

"Vahan ladkiyon se baat karke dekh agar kuchh aur information milti hai Saanwli ke baare mein. Aur doosra, uski ek room mate hoti thi, koi Maya naam ki ladki jo ab shaadi karke Pune mein kahin settle ho gayi hai. Dekh agar uska koi forwarding address milta hai agar toh" Maine kaha.

"How am i gonna ask that?"

"Come up with something yaar. Kahani bana diyo kuchh. Baatein banane mein toh tu specialist hai"

"Is that a compliment?"

"Yes it is aur sun, Saloni ke saath saman lekar office chali jana and usmein se kuchh bhi kaam ki cheez lage toh vo rakh lena. Baaki Saloni ko le jaane dena."

"Ok"

"On a second thought, vahan se saman utha kar tum dono mere ghar hi aa jana. I want to take a look at the stuff myself"

"Yeah i think that makes much more sense"

"Theek hai main tujhe Saloni ka number forward kar raha hoon. Filhal main use call karke bata raha hoon, thodi der baad tu use call kar lena."

Phone rakhne ke baad maine Saloni ko phone kiya aur use bataya ke meri jagah Nisha uske saath hostel jaayegi. Chaai ek cup mein dalkar main drawing room mein aa betha. Khaane ka mann toh bilkul nahi tha par phir bhi maine ek biscuit ka packet khol hi liya aur Agla phone maine Khan ko kiya.
Jaise ki mujhe ummeed bhi thi, vo ab tak so raha tha.

"Kya hua, sab khairiyat?" Nisha ki tarah vo bhi subah savere meri call dekh kar hairan tha.

"Haan kuchh nahi, tabiat thodi theek nahi thi toh jaldi aankh khul gayi?" Maine bataya.

"Kya ho gaya?"

"Bukhar hai thoda"

"Dawai le le koi" Uski aawaz ab bhi neend se bhaari thi.

"Oh really? Mujhe toh ye khyaal aaya hi nahi. Main toh soch raha tha ke 2 peg laga loon" Maine tana sa maarte hue aha.

"Not a bad idea actually. Dawa daru ek hi baat hoti hai" Uspe jaise meri baat ka koi farak hi nahi pada.

"Yeah right. Achha ek baat bata. You said ke vo Saloni ke baare mein police records mein kuchh nahi hai?" Main matlab ki baat pe aaya.

"Usse mujhe bhi yaad aaya, kal shaam Joshi milne aaya tha" Usne meri baat ka jawab diye bina doosri baat shuru kar di.

"Ok. And?"

"Phone par dhamkane ke baad dil nahi bhara tha shayad bhai ka isliye in person dobara hadkane aaya tha"

"About Saloni wala case?"

"Haan"

"Kya keh raha tha?"

"Vahi purani kahani. Ke main teri madad karna band karun aur tujhe is case se door karun varna meri complain kar dega ke main police information leak kar raha hoon"

"Wow. But you havent really told me anything"

"Yeah even he knows that coz there is nothing in police records about that girl. Uske khud paas koi information nahi hai aur bhanwar mein haath paon maar raha hai"

"Hmmmmm"

"Meri baat maan toh ye case rehne hi de. Tu janta hai ke vo vaise bhi kaafi time se tujhe lapetne ki taak mein hai" Khan ne phir samjhaya.

Kaash maine uski baat maan li hoti.

Meri aur Joshi ki pehli mulaqat koi 5 saal pehle hui thi. Us waqt ek ladka missing tha, case Joshi ke paas tha aur ladke ke baap ne mujhe hire kiya tha. Joshi is baat par ada hua tha ke ladka ghar se bhaga hai jabki meri information ke mutaabiq uska kidnap hua tha. Kuchh din baad meri baat sach nikli aur Joshi is baat par mujhse sad gaya. Doosra jab ladke ka pata chala toh mere mana karne ke bavajood Joshi police force ke saath us jagah pahunch gaya jahan information ke hisaab se ladke ko bandi banakar rakha hua tha. Hua vahi jiske liye maine warn kiya tha. Ladka toh vahan nahi mila par agle din uski laash zaroor mil gayi thi.

Joshi ke khilaff enquiry hui aur usmein maine bhi testify kiya tha. Ladke ki maut ka zimma uske sar daal diya gaya tha aur vo kaafi time tak force se suspend bhi raha. Bas usi din se uska aur mera pyaar parwan chadh raha tha. Pichhle 5 saalon mein vo kayi baar man-ghadant cases mein mujhe fasane ki koshish kar chuka tha par kar nahi paya tha.

"Nahi yaar. I cant back off now. I will have to do this" Maine khan se kaha.

"Matlab maanega nahi. Ziddi hai bhai tu bhi. Ek dam ziddi murge ki taraf ziddi hai"

"Kiski tarah ziddi hoon?" Mujhe laga ke shayad maine uski baat theek suni nahi.

"Ziddi murge ki tarah"

"Ye kaun sa murga hai?" Matlab maine uski baat theek suni thi.

"Ziddi murge ki kahani nahi suni tune?"

"Nahi"

"Toh sun" Uske bolne ke andaaz se lag raha tha ke vo ab bistar par sidha hokar betha hai "Maine bhi bahut pehle kisi TV Show par suni thi"

"Ok"

"Toh bhai ek tha ziddi murga. Bada shararti, bada ziddi. Sara din shararat karta tha aur maalik ko pareshan rakhta tha. Ek din maalik ne pareshan hokar gusse mein use ek pinjare mein band kar diya. Murga itna ziddi tha ke pinjare ke pichhe se bahar aa gaya. Maalik ne phir pakadke pinjare mein band kar diya, murga itha ziddi tha ke phir pichhe se bahar aa gaya. Maalik ne teesri baar band kiya, murga itha ziddi tha ke phir pichhe se bahar aa gaya. Ab Maalik ko bahut gussa aaya aur gusse mein usne murge ko kaatkar biryani mein daalkar kha liya. Murga itna ziddi tha ke ....... Baaki toh tu samajhdar aadmi hai hi" Vo hanste hue bola.

"Thats the worst story ever" Ek toh bukhar aur uper se uski bakwaas kahani.

"Oh come on, you know it was funny"

"Ab teri bak bak band ho gayi ho toh main kaam ki baat karun?"

"Haan bol" Vo ab bhi apni hi sunayi kahani par has raha tha.

"Pehle hasna band kar aur sun" Maine batana shuru kiya "Mujhe information mili hai ke Saloni ko kai baar raat ko police ki gaadi hostel tak chhod kar jaati thi toh isliye main soch raha tha ke tu ek baar phir dekh. Agar vo itni baar arrest hui hai toh shayad kahin koi report vagerah mil jaaye"

"Dekh information mujhe yakeen hai ke koi hai nahi kyunki main hi nahi Joshi bhi police files chhan chuka hai. Use bhi kahin kuchh nahi mila ye maine usi ke munh se suna hai" Vo ab sanjeeda aawaz mein bola.

"Haan par pehle ham sirf murdon ki list mein dekh rahe the, vo bhi sirf pichhle ek mahine ki. Ek baar dekh ke uske naam se kuchh nikalta hai toh, in last 1 year "

"Theek hai main nazar dalta hoon dobara par jo tu bata raha hai uske chalte ummeed kam hi hai"

"Matlab?"

"Matlab saaf hai yaar. Jis ladki ko raat ke waqt police ki gaadi ghar chhod kar aaye vo kis tarah ka kaam karti hogi ye jaanne ke liye zyada dimag lagane ki zaroorat nahi padegi. Is tarah ki ladkiyan arrest hoti hai, unhein police gaadiyon mein bithaya jata hai, ya toh police station lakar kuchh de betha kar chhod diya jata hai ya vahin gaadi mein koi police wala behti ganga mein haath dhokar vahin chhod deta hai. Yahan murder cases khatam hone ka naam nahi lete, kiske paas time hai ke is tarah ki ladkiyon ke cases banaye"

"Yeah i know. Tu dekh phir bhi ek baar"

"Theek hai, dekhta hoon main. Shaam ko aata hoon tere yahan. Bethke baat karte hain"

Uske baad maine apne ghar ke paas hi ek chemist shop par phone kiya jiske maalik ko main janta tha aur use kisi ladke ke haath bukhar ke liye koi dawai bhejne ko kaha. Thodi der baad hi ladka kuchh hari neeli goliyan de gaya jinhein kahakar main ek baar phir bed par let gaya. Pata hi nahi chala ke kab aankh lag gayi.

Phone ki ghanti se neend tooti toh 11 baj rahe the. Phone Chipku ka tha.

"Adi bhai" Phone uthaya toh uski aawaz aayi "Apun ko lag ich raha tha ke abhi tak toh uth gayele honge aap"

"God" Maine dil hi dil mein socha "Does everyone that i sleep till late?"

"Vo chhokri ka tasveer dikhayele the na aap mere ku" Vo bola "Kuchh pata chala hai. Shayad yahich chhokri hai"
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
-:::: huma my sweet sister ::::-- by fakharenaveed in Shayri for Khumar -e- Ishq
true story-don't doubt on luv-by sonya khan.. by romiAhmed in Inspirational Stories and real life Incidences.
~~~...SiStEr...~~~ by Tosha in English « 1 2  All »
HAPPY SISTER'S DAY !! by Pooja in Chit - Chat & General Discussion
Sister can you know by fatimiya in Share English Poetry!
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #16 on: November 03, 2015, 12:59:04 PM »
Tujhe poora yakeen hai?" Main bistar par fauran uthkar beth gaya.

"Abhi pakke se toh apun bhi nahi bol sakta par lagta toh aisa ich hai"

"Poori baat bata" Maine kaha

"Abhi nahi Adi bahi. Abhi kisi ke saath mein hai apun idhar"

"Toh ghar aa ja"

"Kal milen toh kaisa rahega? Aaj thoda time nikalna mushkil ho jaayega bhai"

"Haan koi nahi" Maine kaha "Kal aa ja"

"Theek hai Bhai. Abhi rakhta hai main" Chipku ne kaha aur line kat gayi.

Mujhe ab bhi tez bukhar tha. Badi mushkil se main bed se uthkar couch par aa betha aur ek cigarette jalayi.

"Chalo, andhere mein chalaye teeron mein se koi toh nishane pe laga" Maine apne aap se kaha.

Uske baad main agle 3 ghante tak bukhar se pareshan kabhi bistar par jakar let jata, toh kabhi drawing room mein aakar beth jata. Bimar hona koi pasand nahi karta par mujhe bimariyon se kuchh zyada hi pareshani thi. Jo takleef aur pareshani kisi bhi bimari ke saath aati hai, usse alawa bimar hote hi mere dil mein ek ajeeb si ghabrahat aur bechaini hone lagti thi. Is waqt bhi yahi haal tha. Bukhar se zyada pareshan mujhe meri ghabrahat kar rahi thi. Ek ajeeb si bechaini shareer mein ghar kar gayi thi jo mujhe ek jagah chain se bethne nahi de rahi thi.

Takreeban dopahar ke 2 baje dawraze ki ghanti baji. Darwaza khola toh bahar Saloni aur Nisha khade the.

"Tabiat kaisi hai ab?" Darwaza kholte hi Nisha ne puchha.

"Little better" Maine kaha "Hello Saloni ji, kaisi hain aap?"

"Meri chhodiye apni sunaiye. Suna bukhar ho gaya?"

"Haan chhoti moti baatein hain, chalta rehta hai" Maine haste hue keh hi raha tha ke Nisha ne apna bag ek taraf rakh kar mere mathe par haath lagaya.

"Chhoti moti baatein? You are burning in fever. Did you go to a doctor?"

"Yeah i did" Maine jhooth bol diya aur table par rakhi tablets ki taraf ishara kiya "Dawai le li hai"

"Khaya kuchh?"

"Haan biscuits khaaye the. Aur kuchh khaane ka dil hi nahi kiya" Maine jawab diya.

"Khana saath laayi hoon main. Abhi kha lena" Vo apne usi fikar karne ke andaz mein boli.

Vo dono andar aakar beth gayi toh main Saloni ki taraf palta.

"Aapki behen ka saman kahan hai?"

"Thats it" Usne room mein rakhe us eklaute travel bag ki taraf ishara kiya jo vo saath laayi thi.

"That all?" Maine hairani se uski taraf dekha "Thats all she had?"

"Yeah i know, its hard to believe" Saloni ne jawab diya "My sister was a shopping maniac. Har hafte naye kapde kharid laati thi aur yahan mujhe uske saman mein ginkar 2 salwar kameez, 3 tops, aur 2 jeans mili. Aur kuchh auraton ki zaroorat ka saman"

"Thats really weird. You think she wasn't earning enough?" Maine is baat ki taraf ishara kiya ke shayad uske paas paison ki kami thi jiski vajah se tangi mein kaam chala rahi thi.

"Thats not possible. Vo ghar se aayi thi toh bags bharkar apne saare kapde utha laayi thi. Agar usne yahan naya kuchh kharida bhi na ho toh bhi uske paas beshumar kapde the" Saloni boli.

"Aur" Nisha ne baat jodi "Have you seen that hostel? Its pretty good actually. Agar vo vahan rehna efford kar sakti thi toh aisa hi hi nahi sakta ke uske paas apni zaroorat ka saman kharidne ke paise nahi the"

Vo sahi keh rahi thi. Jis hostel mein Nisha reh rahi thi vo itna bada nahi tha par aaram ka har saman vahan maujood tha. Har kamre mein Air conditioner, TV, Regerigator jaisi cheezen thi aur bana bhi kisi achhe hotel ke kamron ki tarah tha. Aur iske liye vo har mahine ke paise bhi kaafi achhe khaase lete the.

"I think uska baaki saman kahin aur hai" Nisha ne kaha.

"Kya matlab?"

"Matlab ye ke ya toh uska koi aur bhi thikana tha. I mean vo yahan bhi reh rahi thi aur ek doosri jagah bhi ya phir she was planning to move out aur apna saman dheere dheere nayi jagah par shift kar rahi thi"

"And what makes you think that?"

"Jab ham vahan gaye toh kismet se vo khoosat hostel ki malkin vahan thi nahi toh maine kuchh ladkiyon se baat ki. Apparently for last couple of months, Saanwli apne hostel mein kam aur bahar zyada rehti thi. Kayi kayi din tak nahi aati thi aur aati bhi thi toh apna kuchh saman utha kar phir chali jaati thi"

"Hmmmm, thats interesting" Maine apni aankhen malte hue kaha.

"Aankhen laal ho rakhi hain aapki" Saloni meri aankhon ki taraf dekhte hue boli.

"Yeah its coz of the fever" Maine jawab diya "Kuchh pata chala ke vo doosri jagah aur kahan ho sakti hai?"

"Nahi" Nisha boli "Vo vahan zyada kisi se bolti nahi thi. Bas uski ek room mate thi, vahi Maya jiska naam aapne mujhe bataya tha. Un dono ki aapas mein kaafi jamti thi. Uske alawa Saanwli kisi se zyada baat nahi karti thi. 3 mahine pehle Maya shaadi karke chali gayi aur hostel chhod diya. Tab hi se Saanwli ka bhi hostel mein hona na ke barabar ho gaya tha"

"Vo aisi hi thi" Nisha ne baat khatam ki toh Saanwli boli "School aur college mein bhi uske ginti ke dost the. Baaki kisi se Hi Hello tak nahi karti thi"

"Aur vahan hostel mein toh sab Saloni ko hi Saanwli samajh bethe the. Isi ko Hi Hello karne lage"

"Yeah even thats nothing new. All our lives we were both confused for each other" Saanwli muskurate hue boli.

"But mujhe laga ke aap pehle bhi ek baar ja chuke ho vahan?" Uski baat sun kar maine sawal kiya.

"Nahi pehle main gayi nahi thi, sirf phone par baat hui thi hostel ki maalik se"

Uski ye baat mujhe thodi ajeeb lagi coz mujhe poora yakeen tha ke usne kaha tha ke vo hostel gayi thi.

"Toh aapko saman laane se kisi ne roka nahi abhi?" Maine puchha

"Nahi maine pehle hi phone par us aurat ko inform kar diya tha ke main saman le ja rahi hoon. Koi aur aadmi tha uske office mein. Vo janta tha ke main aaongi. Paise bhi usi ko diye maine" Saanwli ne jawab diya.

"Us aurat ne aapse phone par puchha nahi ke use kaise pata ke aap uski behen ho?"

"Nahi she didnt ask" Saanwli ke ye doosri baat mujhe thodi ajeeb lagi "Maine kaha main uski behen hoon aur vo maan gayi. Aur aaj jab main gayi toh meri shakal dekh kar hi vo aadmi samajh gaya hoga ke main uski behen ke alawa koi aur ho hi nahi sakti"

"Yep, i agree. Anyways, saman mein kuchh kaam ki cheez mili?"

"Nahi" Nisha ne jawab diya "Sab kapde vagerah hi hain"

"Hmmm" Mera dil beth sa gaya. Mujhe badi ummeed thi ke uske saman se kuchh na kuchh toh milega.

Kuchh der hamare saath bethkar Saloni chali gayi. Shaam ki uski train thi aur usne hotel jakar apna saman bhi uthana tha. Jaane se pehle maine uska phone number aur address ek baar phir confirm kiya. Nisha mere saath hi ruk gayi aur khana garam karne lagi.

"You know i dont feel like eating anything" Maine drawing room se use kitchen mein aawaz di.

"Thats coz of the fever but you gotta eat something" Usne jawab diya.

"Yeah i guess so"

"And also, vo kitchen se bahar aayi. Its not entirely true that we didnt find anything in Saawnli's stuff"

"How do you mean?" Maine uski taraf dekh.

"I found this " Usne apni jeans ki jeb se ek purana Nokia 3310 nikala
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #17 on: November 03, 2015, 01:00:10 PM »
Ye Saanwli ka hai?" Maine uske haath mein pakde phone ko dekh kar kaha.

"I dont know but usi ke saman mein mila hai" Vo vaapis kitchen mein daakhil hui aur kuchh seconds baad bahar aakar mere paas beth gayi.

"Why do i get a feeling that Saloni doesnt know that you found this?" Maine shakki nazar se uski taraf dekhte hue kaha.

"Because she dont. I didnt tell her" Uske muskurate hue ek aankh maari.

"And why not?"

"I dont know. I just hid it from her"

"Thats wrong Nisha. Vo hamari client hai aur Saanwli ki behen hai"

"I know, i know" Vo uthkar khadi ho gayi aur meri taraf chehra karke boli "I dont know why i did this. I know i should have told her but i just had this weird feeling about her"

"What weird feeling?"

"Ok you are not gonna like this but i kind of dont like her"

"And why not?" Maine hairat se puchha.

"I have no idea myself but i seriously think there is something fishy about this woman. Mujhe laga ke filhal pehle ye phone ham dekh lein uske baad use bata denge"

"Haan par chhupane ki kya zaroorat thi, vo toh hamein vaise hi Saanwli ka saman dene ke liye taiyyar thi."

"Jo bhi hai, ab bata denge. Kaun sa bahut bada gunah kar diya maine." Usne haath phelate hue kaha.

"Yeah i guess you are right. On karke dekha?" Maine puchha.

"Try kiya tha, dead hai. Charge karna padega. Aapke paas hai Nokia ka charger?"

"Haan shayad hai" Maine kaha aur uthkar apne table ki taraf badha. Vaise toh mere paas ek Blackberry Touch tha par ek purana Nokia ka charger bhi pada hua tha.

Drawer kholkar maine charger nikala aur Nisha se phone lekar charging par lagaya.

"Saloni ne dekha nahi ke tune phone chhupaya?" Phone charge hone laga tha par filhal on nahi ho raha tha.

"Ye actually Saanwli ke ek jeans mein tha. Shayad purana phone vo apni usi jeans mein rakh kar bhool gayi hogi. Jeans kaafi gandi si thi so i am guessing ke usne vo jeans bhi kabhi nahi pehni uske baad aur na hi ye phone bahar aaya."

"Maybe" Maine phone ek baar phir on karne ki koshish ki "All right, its on"

Phone on toh hua par "Insert Sim" par aakar ruk gaya. Zahir si baat thi ke phone mein sim card nahi tha.

"Sim dena zara apne phone ka" Maine Nisha se kaha toh usne apne phone se apna sim nikala aur meri taraf badha diya. Maine uska sim card 3310 mein dala aur phir on kiya.

Maine uske phone menu mein jakar dekhne laga ke shayad kuchh matlab ki cheez mil jaaye.

"Contacts list mein kuchh numbers toh hain" Maine list mein aa rahe naam dekhe aur phir hairat se bola "Iske phone mein toh mera number bhi hai"

A se shuru ho rahi name list mein mere naam ki entry bhi thi "Aditya"

"What?" Nisha meri baat sunkar hairan hoti mere kareeb aayi aur meri taraf dekhne lagi "Ye meri Sim ki phone directory hai. Ye saare contacts mere hain"

"Oh ok" Maine apni bevakoofi par kheejta hua bola.

Kismat ek baar phir daga de gayi. Phone toh hamein mila par phone mein kuchh bhi nahi tha. Na contact list mein koi numbers, na koi call log aur na hi koi messages. Aur Nokia ke purane phones mein isse zyada kuchh hota bhi nahi tha sivaay ek Snakes wale game ke.

"Damn it" Maine phone Nisha ke haath mein dete hue kaha aur phir couch par aakar beth gaya "Another dead end"

"Not quite" Nisha ab bhi phone mein dekh rahi thi.

"Matlab?"

"Ek message hai outbox mein"

"Really? What does it say?" Maine phone uske haath se liya aur khud dekhne laga.

Outbox mein sirf ek hi message tha. Message bhejne ki date aaj se 6 mahine pehle ki tha. Message jise bheja gaya tha uska naam saved nahi tha, sirf ek number dikha raha tha. Message tha,

"I think i am in love with you"

"Hmm, thats intersting" Maine message padhte hue kaha.

"Her boyfirend?" Nisha meri taraf dekhti hui boli.

"Ho sakta hai but the message says that she thought she was in love so it could very well be a friend that she was starting to grow feelings for. Or maybe some guy she got to know and was falling for. Aur ye sab tab jab ke ye phone Saanwli ka hi ho. I mean we dont know that for sure, we just found it in her stuff. For all that we know, ye phone kisi aur ka bhi ho sakta hai, message kisi aur ne bhi bheja ho sakta hai."

"True" Nisha mere saath aakar beth gayi "Now what?"

"Now we call him"

"What, call that guy?"

"Yeah" Maine apna phone utha kar number milaya "Ek baar baat karke dekh lete hain. At least ye toh pata chal hi jaayega ke phone Saanwli ka tha ya nahi aur ye bhi ho sakta hai ye banda Saanwli ka boyfriend hi nikle"

Maine number milaya. Doosri taraf se IVR sunai diya ke "The number you have called has been disconnected"

"Number band hai" Maine phone vaapis rakhte hue kaha.

"Ab?"

"Koi nahi. At least number toh hai hamare paas. Pata toh chal hi jaayega ke kiske naam par tha"

"Ok. Ab baaki sab chhodiye, khana phir se thanda ho jaayega. Kuchh kha lijiye" Nisha boli aur Kitchen ki taraf badh gayi.
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #18 on: November 03, 2015, 01:01:11 PM »
Shaam ko takreeban 8 baje Khan mere ghar aa gaya.

"Kya haal hain beemar insaan?" Maine darwaza khola toh usne puchha.

"Haal behaal hi hain" Vo andar aaya toh maine darwaza band karte hue kaha "Tun suna"

"Apni toh vahi kahani, Ek tha raja without Rani" Vo ab bhi apni police uniform mein hi tha. Cap usne table par rakhi, shirt ke kuchh buttons khol kar shirt pent se bahar nikali aur mere bistar pe pasar gaya.

"Toh Rani dhoondh le" Main bed ke paas rakhi ek chair par aakar beth gaya.

'Koshish toh jaari hai dost par sala kissa vahi purana hai. Jo apun ko chahiye, use apun nahi chahiye. Aur jise apun chahiye, vo sala kise chahiye?"

"Toh apne ghar mein keh de" Main hasta hua bola "Tum muslims mein toh kaafi sundar ladkiyan hoti hain, gharwale dhoondh denge koi"

"Abe apne maan baap ki pasand ki main shirt nahi pehnta, shaadi kya khaak unki pasand se karunga" Vo bed se utha aur saath laaye bag ko kholne laga "Meri chhod, tu kyun nahi kar leta shaadi"

"Apna bhi vahi kissa hai dost. Jo mujhe pasand aati hai, use main pasand nahi aata. Jise main pasand aata hoon vo kambakht mujhe pasand nahi aati"

Usne bag kholkar 2 beer ki bottles nikali aur kitchen mein jakar 2 glass utha laya. Ek glass mein beer dalkar usne meri taraf badhaya. Peete waqt vo mujhe cigarette ke liye mana nahi karta tha isliye main already ek sulga chuka tha.

"Meri maan toh apni use secretary ko hi phansa li" Usne Nisha ki taraf ishara kiya.

"Shaadi tay ho gayi hai uski" Maine Beer ka ghoonth lete hue kaha.

"Lallu hai tu saale. Itni mast ladki haath aayi thi aur tune jaane di"

Maine uski baat ka koi jawab nahi diya. Vo hamesha mujhe uksata rehta tha ke main Nisha ki taraf koi move dikhaoon par main hamesha baat taal jata. Vo ek achhi dost thi aur ek achhi secretaty aur koi bevakoofi bhara kadam utha kar main ye baat kharab nahi karna chahta tha.

"Kam se kam haath toh pher hi leta. Vaise toh abhi bhi der nahi hui, ek round toh khel hi le uske saath. Shaadi se pehle uski bhi practice ho jaayegi" Usne phir mujhe uksaya.

"Tu aur tera tharkipana" Maine phir baat taali "Jo maine kaha tha uska kuchh pata chala"

"Kuchh nahi hai dost. Pichhle ek saal ke police records mein uske naam se search maar li par kahin kuchh nahi."

"Isnt that strange? Hostel ke bahar use police ki gaadi raat ko chhodke jaaye aur kahin bhi uski naam ki koi report darj nahi hui?"

"Ye bhi toh ho sakta hai ke vo Watchman sala jhooth bol raha ho? Tera lallu ghaanth raha ho?"

"Ho sakta hai but why would he do that? He got no reason to lie to me, specially a lie that involves cops"

"Yeah i agree" Usne apne glass mein aur Beer daalte hue kaha. "To phir toh yahi ho sakta hai ke vo kahin pakdi gayi aur kisi policewale ne police van mein hi uske saath raat rangeen kari aur phir hostel tak chhod aaya.

"Ye Joshi ka kya angle hai?" Kuchh der ki khamoshi ke baad main bola.

"Uska angle ek hi hai bhai. Sala jo case haath mein leta hai use anjaam tak zaroor pahunchata hai. Full imandari ka bhes dhare rehta hai isliye department mein kaafi uper tak pahunch hai uski. Mumbai police ka sabse qaabil officer kehte hain use"

"Mere kehne ka matlab tha ke Saloni ke case mein uska kya angle hai? Use kya lagta hai?"

"Tujhe lagta hai vo mujhe batayega?" Khan ne haste hue jawab diya "Mujhse toh solid jalta hai sala. Jabse vo uski biwi wala case hua hai, sala sidhe munh baat karta hi nahi"

"Toh tune kaun sa usko phool diye the? Kaam hi aisa kiya tha tune"

Insaan kitna hi qaabil kyun na ho, kitna hi apne aapko samajhdaar samjhe aakhir mein hota toh vo insaan hi hai. Aur jaisa ki mash-hoor kahawat hai, To err is human yaani ke galti toh insaan se hoti hi hai. Toh Joshi sahab se bhi galtiyan huin aur ye kismet ki baat hi thi ke unki galtiyon mein ek baar main involve hua aur ek baar Khan. Joshi ki file mein ek kala dhabba vo ladke ki kidnapping ka case tha jiski jaan vo bacha nahi paya tha aur us case mein main involved tha.

Ek aisa hi doosra dhabba tha uski biwi ka jisse vo ab talak le chuka tha. Uski biwi ne uspar ilzaam lagaya tha ke Joshi ka chakkar kahin bahar chal raha tha aur ek F.I.R bhi darj kara di thi ke vo ghar mein uske saath maar peet karta hai aur dahej ke liye use satata hai. Aur ye kismet ki hi baat thi ke jis thaane mein ye report darj hui, vahan ke incharge hamare Khan sahab the.

Khan Bhai ne bhi aag mein ghee ka kaam kiya. Gharelu Maar peet ke case mein bina kisi saboot, bina warrant Joshi ko arrest karne uske ghar ja pahunche. Court mein uski biwi ne yahan tak keh diya tha ke Joshi bistar par apni biwi ko khush nahi kar pata tha aur isi baat ki furstration nikalne ke liye prostitues ke paas aata jata tha.

Baat kitni sach thi ya kitni galat ye kabhi saamne nahi aaya. Joshi ki pahunch ke chalte case jitni jaldi uchhla utni hi jaldi dab bhi gaya aur usne apni biwi se talak le liye par iske baad Khan ke saath usne dushmani thaan li thi.

"Tu bhi pagal hai saale" Maine Khan se kaha "Kya zaroorat thi uske gharelu mamle mein padne ki"

"Ab Bhai uski biwi aa gayi report likhane toh kya karta?"

"To report likh kar dafa karta na. Begaani shaadi mein Abdullah Deewana banne ki kya zaroorat thi?"

"Arrey main toh aise hi maze le raha tha yaar" Meri baat sun kar vo haste hue bola "Free ka drama dekhne ko mil raha tha"

"Kanjar hi rehna tu hamesha. Drama ho raha tha toh door khade hoke dekhne ka tha, khud uska hissa banne ki kya zaroorat thi " Maine kaha aur uthkar apni almaari se ek paper nikala aur ek number likh kar Khan ko diya.

"Kya hai ye?"

"Mujhe pata karna hai ke ye number kiske naam par registered tha. Filhal ye band hai but i wanna know who was using it?"

Ye vahi number tha jispar Saanwli ne 3310 se aakhri message bheja tha...
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #19 on: November 03, 2015, 01:02:10 PM »
Us raat Khan mere hi ghar par ruka. Ham der raat tak bethe peete rahe aur mujhe yaad nahi nashe mein main kab so gaya.

Subah darwaze ki ghanti baji toh meri aankh khuli. Kamre mein nazar phirayi toh Khan ja chuka tha.

Bukhar ab bhi vaisa hi tha. Ek toh sar mein dard aur uper se hangover. Badi mushkil se maine uthkar darwaza khola. Bahar Chipku khada tha.

"Kya Adi Bhai, kaisa hai?" Mujhe dekh kar vo daant dikhata hue bola.

"Theek hoon Chipku, aa andar aa" Maine use andar aane ka ishara kiya aur darwaza band kar diya.

"Aapko dekhke toh aisa lag rela hai jaise koi haathi beth gayela ho aapke uper" Uska ishara meri halat ki taraf tha.

"Haan tabiat thodi theek nahi hai yaar?"

"Kyun tabiat ko kya hua?"

"Aise hi thoda bukhar hai. Lega tu kuchh?" Ham dono drawing room mein couch par aa bethe.

"Haan ek cup chaai chalega mere ko"

"Good. Doodh fridge mein hai aur cheeni chaai ki patti sab kitchen mein. Ek cup mere liye bhi bana lena" Maine kitchen ki taraf ishara karte hue kaha.

Usko shayad lag raha tha ke main uske liye chaai banake laoonga isliye jab maine use hi chaai banane ko kaha toh vo chaunk pada.

"Kya Adi bhai aap bhi. Savere se main ich mila na aapko?"

Kehkar vo utha aur kitchen mein chala gaya. Meri aankhon mein buri tarah jalan ho rahi thi aur poora shareer dukh raha tha. Main aankhen band karke couch par let sa gaya.

Thodi hi der baad Chipku kitchen se 2 cup chaai haath mein liye bahar aaya.

"Doctor ke paas le chalun aapko?" Mujhe aise lete dekh usne puchha.

"Nahi theek hai, dawai rakhi hui hai. Le loonga. Vo ladki ke baare mein kya bol raha tha tu?" Maine ek cup uske haath se lete hue kaha.

"Puchha main thoda idhar udhar us ladki ki photu ke hisaab se. Ab aise toh bada mushkil hai kyunki uske jaise huliye wali bahut aati hain idhar pe. Toh kahin kisi ke paas se kuchh pata nahi chala par phir apan kal udhar Kalyan ke paas mein ek Beer Bar mein bethela tha, jab aapko phone kiya tabhich. Tab sala apun ko laga ke vo chhokri ko apun dekhela tha shayad udhar"

"Kahan, vo Beer Bar mein?"

"Haan. Abhi idhar ye Sharat bhai ka Sharafat bar toh thoda low class type logon ke liye hain. Dhandha toh main idhar ich hota hai full par aisa khulke sab bade log idhar ku aate nahi. Toh udhar Kalyan ke paas Sharafat Bhai ka ek aur Bar hai, High class white collar typle log ke waaste. Full light vight lagake ekdam standard banayela hai, full five star ke maafik"

"Ok. And?"

"Abhi idhar Sharafat Bar mein bole toh saari vahi ladkiyna hoti hain jo sirf ghaghra pehenke khadi hoke koolhe hilaye pan udhar Kalyan wale Bar mein thodi high standard ladkiyan hoti hain"

"Matlab? Vahan bhi ye dance programme chalta hai?"

"Arrey nahi nahi. Udhar toh ekdam full shanti se rehta hai sab. Ekdam halka batti kare, low aawaz mein angrezi gana bajta hai aur sab chup chap bethe peete rehta hain. Sala aisa lagta hai kahin mayyat mein bethe pi rahe hon jaise"

"High class Bars aise hi hote hain. Toh vo ladki vahan kya kar rahi thi?"

"Abhi dhandhe mein koi aisi ladki aaye jo dikhne mein thodi dhang ki ho aur 2 aur 2 jodke 4 kar le, bole toh padhi likhi bhi ho, toh usko udhar Kalywan wale Bar mein laga dete hain"

"Kya karne ke liye?"

"Vo aisa chhota wala skirt hota hai na, ekdam tight, vo pehnake full make up karke daaru serve karata hain. Kya toh bhi bolte un ladkiyon ko ... " Vo sar khujata hua bolne laga.

"Waitress" Maine uski mushkil aasan ki.

"Haan vahich. Sala skirt ek toh itna chhota sa pehnate un ladkiyon ko. Aur kasam se Adi Bhai tight itna ke aap door se bhi blade dikha do toh phat jaave. Un ladki log ko bethne ko bol do toh itne tight skirt mein bethne ki bhi dikkat ho jaave"

Main uski baat sunkar hasne laga.

"Toh vo vahan kaam karti thi?"

"Lagti toh vahi thi. Ek hi baar dekha main usko udhar. Ek toh sala udhar pe batti itna low rehta hai ke vaise hi aankh kahin jamti nahi aur uper se vo chhokri log make up itna maarke rakhti hain ke maut ka farishta bhi dhoondhta reh jaave. Photo leke puchhta phire"

"Hmmm. Kab dekha tha tune usko vahan?"

"Yahi koi 6-8 mahine pehle. Pehli baar vo nayi chhokri ko dekha main udhar, vo jaisi photu wali hai vaisi hi. Phir kabhi dekha nahi usko"

"Hmmm. Aur kuchh pata nahi ke kaun thi?"

"Na pan udhar Bar mein usi time ke aas paas ek baar ek rada hua tha. Koi nayi chhokri ko lekar. Goli voli bhi chal gayi thi"

"Tujhe lagta hai ke vahi ladki thi?"

"Suna tha main Adi Bhai. Uske baare mein Sharafat Bhai solid order diye ladke log ko ke koi baat nahi karega toh sab bhool gaye ke aisa kuchh hua tha kabhi. Bas apun bhi aisa hi udte udte suna"

Main Chipku ke paas se koi badi information ki ummeed kar raha tha jo mujhe haasil nahi hui thi. Usi ki baat ke mutaabik Saanwli jaisi dikhne wali ladkiyon bahut thi aur uper se low light mein aur heavy make up ke baad uski nazar ko dhokha bhi hua ho sakta hai. Aur phir vo khud hi keh raha tha ke ye baat 6-8 mahine purani thi, 100% yakeen karna thoda mushkil tha.

Aur uper se ye Sharafat Bhai ka Bar tha. Vahan taank jhaank karna khatarnak ho sakta tha. Vo aisa aadmi tha ke naak par makkhi beth jaaye toh use bhi goli maar deta tha.

Chipku gaya toh thodi der baad hi Nisha aa gayi.

"How are you feeling now?"

"Not any different than yesterday actually" Vo andar aa gayi toh main phir bed par ja leta.

"I bought you something to eat. I will heat it up" Kehti hui vo kitchen mein daakhil ho gayi.

"Anything new with the Saanwli case?" Kitchen se hi uski aawaz aayi.

"Nahi not much. A few pieces of informtion here and there but nothing solid" Maine jawab diya.

"Pity"

Main bed se utha aur uske saath hi kitchen mein ja khada hua.

"Ek baat bata. Vo Maya ke baare mein koi information mili kal?"

"Nahi i forgot to ask about that. Ham log saman pack karke vaapis aa gaye. Kisi ladki se itni baat hui nahi hui vahan ke is baare mein puchhti aur sach kahun toh mujhe dhyaan bhi nahi raha" Vo paranthe garam karte hue boli.

"Yeah dont worry i will go back there. I think Maya ne jaate hue apna koi toh forwarding address chhoda hoga hostel records mein. Ek aadmi hai jo shayad ye address lakar de sake" Maine sochte hue kaha.

"Ye Maya kahan se beech mein involve ho rahi hai?"

"Dekh filhal hamare paas koi zyada information nahi hai aur jo thoda bahut pata hai unpar shartiya taur par yakeen nahi kar sakte jab tak koi ye baatein confirm na kar de. Ab vo zyada kisi se baat karti nahi thi, ghar par usne kuchh apne baare mein khaas bataya nahi tha ke Mumbai mein kya kar rahi hai, hostel wale kehte hain ke paas koi information nahi toh is situation mein ek Maya hi hai jo thodi bahut dhang ki information de sakti hai hamein"

"Hmmm, you are right" Usne ek parantha plate mein rakh kar meri taraf badhaya "So what do we know so far?"

"Not much" Main kitchen ke bahar hi rakhi table aur chair par beth gaya jise dining table ki tarah use karta tha "Jo ab tak inforamtion mili hai agar uske hisaab se chalun toh vo ek middle class family se thi, Mumbai job ki talash mein aayi, takreeban ek saal se yahan thi, ghar par phone karke bataya tha ke yahan use koi job mil gaya hai. Mumbai mein ek saal tak vo kya kar rahi thi uske gharwalo ko isse zyada nahi pata"

"Interesting" Vo apne liye ek doosri plate mein parantha liye aur chaai ke 2 cups lekar kitchen se bahar aayi aur mere saath hi table par beth gayi.

"Mili hui information ke hisaab se vo pehle kuchh din tak Mumbai mein naukri dhoondhti rahi, kahin job mili bhi shayad par kahan ye nahi pata, uske baad dheere dheere uske rehan sehan badalne laga, hostel ke rent vo time par hi deti thi toh ye assume kar sakte hain ke paise ki kabhi use dikkat nahi rahi"

"Yep" Nisha ne haami bhari.

"But uske cell se hamein ek message mila hai jisse filhal ye andaza laga sakte hain ke uska koi boyfriend tha jo ki koi badi baat nahi hai Mumbai mein. Na hota toh ajeeb baat hoti"

"True" Nisha ne muskura kar kaha.

"Uska aadhe se zyada saman hostel se nahi mila toh jahan tak mujhe lagta hai, ye saman uske boyfriend ke ghar par hai"

"You mean she was planning to move in with some guy?"

"Possible hai"

"Then all we gotta do is find the boyfriend"

"Yeah. But ek recent information ke hisaab se ye bhi ho sakta hai ke vo ek Bar mein waitress ka kaam kar rahi thi"

"Really?"

"Yeah but information solid nahi hai filhal. Rely nahi kar sakte"

"Toh matlab hamare paas koi zyada information nahi hai"

"Yep" Maine chaai khatam karte hue kaha.

"So whats next?"

"Not sure. I think filhal i will go find about this girl Maya. Aage ki jo information milni hai, usi se milegi. Aur doosra vo Bar jahan ke vo kaam kar rahi ho sakti thi, vahan jakar ek baar pata karunga"

"Tabiat allow karegi? Bukhar toh ab bhi hai tumhein"

"Nahi i think i will be fine. Abhi doctor ke paas bhi chala jaoonga. Kal se ghar par hi pada hoon. I need to get out"

Kuchh der baad hi Nisha office ke liye chali gayi. Main thodi der aur bed par ja leta aur phir uth kar bahar jaane ke liye taiyyar hone laga. Tabhi mere phone ki ghanti baji. Call Khan ki thi.

"Tu kab chupke se nikal gaya subah?" Maine phone utha kar puchha.

"Tu aaram se so raha tha toh main uth kar nikal gaya. Tujhe jagana theek nahi samjha. Achha sun, vo number ka pata kiya maine"

"And?"

"Ek naam aur address nikla hai. Message kar raha hoon tujhe"

"Cool" Mujhe ummeed ki ek kiran dikhai di "Thanks man"

"Tere liye kuchh bhi yaar. Aur koi sewa?"

"Filhal toh nahi" Maine haskar kaha.

Phone rakhne ke thodi der baad hi uska message aa gaya. Number kisi Sunil Chauhan ke naam par registered tha. Address Borivali ka tha.
Logged
vampi khan
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
12 hours and 38 minutes.

Jaan kar kya karo ge ???

Posts: 180
Member Since: Dec 2014


View Profile
«Reply #20 on: November 03, 2015, 01:04:44 PM »
Chapter 7 - Sunil Chauhan


Nisha ke jaane ke baad maine us chemist ko phone kiya jahan se maine apni dawai mangvayi thi. Use bataya ke mere bukhar mein koi farak nahi aaya tha. Pehle toh vo mujhe salah dene laga ke main jakar kisi Doctor se milun par phir mere kehne par bola ke vo ladke ke haath koi aur tablets bhej dega.

Main 2 din se nahaya nahi tha. Ek pal ke liye socha ke jakar naha loon par phir bukhar mein himmat nahi padi aur main munh haath dhokar taiyyar hone laga.

Mera is din ka plan tha ke main Chipku ke bataye Bar mein jakar us waitress ke baare mein pata karne ki koshish karunga aur phir shaam ko Saanwli ke hostel jakar Maya ke baare mein pata karunga. Par ab Khan ka phone aane ke baad maine apna plan badal diya tha.

Ab plan pehle Borivali jaane ka tha, vahan se Kalyan aur phir shaam tak Hostel.

Main joote pehen hi raha tha ke Chemist ke yahan se ek ladka aakar phir neeli peeli goliyan de gaya. Maine uske bataye anusar dawai li, dopahar aur shaam ke liye 2 doses jeb mein daali aur gaadi ki chaabhi utha kar ghar se nikla.

Jab aap beemar hon toh mijaz kaafi chidchida ho jata hai aur har baat aapko pareshan karti hai. Chhoti chhoti baatein jo aap aam taur par nazar andaz kar jaate hain tab bahut zyada akharti hain. Har baat gussa dilati hai. Har insaan pareshan karta hai aur agar koi aapse ek lafz zyada bol jaaye toh dil karta hai ke vahin thappad maar do.

Aisa hi kuchh mere saath bhi ho raha tha. Ghar se nikalte hi mera swagat gaadiyon ke ek lambi line ne kiya. Traffic cheenti ki chaal chal raha tha. Bukhar ki vajah se gaadi ka AC mujhse bardasht nahi ho raha tha isliye jab use off karke maine sheeshe neeche kiya toh mere intezaar mein sadak ki dhool, garam hawa aur tez dhoop thi.

Ek pal ko maine socha ke vaapis ghar chala jaoon par phir apna irada badal kar dheere dheere gaadi aage badhata raha.

Mere pichhe wali gaadi mein bethe insaan ko shayad bahut jaldi thi. Phanse hue traffic aur itne lambe jam mein bhi vo baar baar horn baja raha tha jis baat se mujhe sakht chid ho rahi thi. Kuchh der tak toh main bardasht karta raha par phir jab usne horn bajana band nahi kiya toh main gaadi ka darwaza khol kar bahar nikla.

Mere pichhe ek Tata Sumo thi.

"Kya takleef hai?" Main driver ki taraf dekh kar chillaya.

Mera bas itna hi kehna tha ke gaadi ke pichhle do darwaze khule aur 3 kam se kam 6 foot ke lambe chaude haiwan bahar aa khade hue.

"Haan, kay baat ho gi?" Ek hariyanvi andaz mein chilla kar bola.

"Kuchh nahi Bhai Sahab, sorry" Unki kad kaathi dekh kar main chup chap phir gaadi mein beth gaya. Aur uper se vo 3 the.

Kismet se next red light cross karte hi traffic khul gaya aur main kuchh der baad Borivali pahunch gaya.

Main Mumbai mein kaafi arse se tha par Borivali pehli baar aaya tha. Kuchh der tak main sadak par lage sign boards dekh kar Khan ke bataye address ka andaza lagane ki koshish karta raha par phir pareshan hokar sadak ke kinare khade ek sabzi wale ke paas gaadi roki.

Maine use address batakar puchha ke ye jagah kis taraf hai.

"Achhaaaaaa" Vo sar khujate hue aisi gehri soch mein pad gaya jaise maine pata nahi kaun si adbhut baat puchh li ho "Kaam hai kuchh udhar?"

Ye kaisa vaahiyat sawal tha?

"Nahi" Main chidte hue bola "Chidya-ghar dekhne jana hai vahan."

"Chidya-ghar?" Vo aur gehri soch mein pad gaya "Par udhar toh koi chidya-ghar nahi hai"

Isse pehle ke main kuchh bolta, vo apne saath khade doosre sabzi wale ki taraf dekh kar chillaya.

"Aey Kausik. Idhar koi chidya-ghar bhi hai ka re?"

Doosre wale ne apni gardan aur haath ek saath inkaar mein hilaye.

"Aapko galti lagi hai koi. Idhar nahi na hai koi chidya-ghar"

"Aap mujhe please address bata dijiye" Maine apne gusse par kaabu karta hua bola.

Kuchh der aur sar khujane aur sochne ke baad usne mujhe aage ka rasta bata diya. Aage mujhe gaadi vahin sadak ke kinare chhodni padi aur paidal chalta Sunil Chauhan ke ghar tak pahuncha. Ghar kya bas ek chhota sa kamra hi tha.

Darwaze ki ghanti bajayi toh ek koi 60 saal ki aurat bahar aayi.

"Ka hai?" Usne is andaz mein puchha jaise maine use kisi bahut zaruri kaam mein disturb kar diya ho.

"Ji main Mr. Sunil Chauhan se milna chahta hoon" Maine badi vinamrata se jawab diya.

Usne mujhe ek nazar uper se neeche tak dekha. Meri aadat hai ke main jab kisi case ke silsile mein puchh taachh karne nikalta hoon toh usually ek chhoti si notebook aur pen saath rakhta hoon. Us waqt bhi mere haath mein meri notebook aur pen tha.

"Phir aa gaye chanda maangne?"

"Ji?" Maine hairani se puchha.

"Koi chanda vanda nahi milega. Jao yahan se" Vo phir chilla kar boli.

"Ji main chanda nahi maang raha hoon"

"Toh ye chande ki raseed kyun laaye ho?" Uska ishara mere haath mein pakdi notebook ki taraf tha.

"Ye chande ki raseed nahi hai"

"Toh phir chanda kyun maang rahe ho?"

"Maine kab chanda manga?"

"Toh ye raseed dikha kar aur kya maang rahe ho?"

"Ji main kuchh nahi maang raha" Main baukhlata hua bola.

"Toh phir yahan kyun aaye ho?"

"Sunil Chauhan se milne"

"Vo chanda nahi dete"

"Par main chanda nahi maang raha"

"Toh phir ye kyun kaha ke chande wale ho?"

"Maine kab kaha?"

"Toh ye chande ki raseed kyun laaye ho?"

"Ye raseed nahi hai"

"Bina raseed ke chanda maang rahe ho?"

"Nahi aisi baat nahi hai"

"Toh jaao pehle jakar raseed leke aao"

"Par mujhe chanda chahiye hi nahi"

"Toh raseed kis cheez ki laani thi?"

"Chande ki"

"Par abhi toh tum bole ke tum chande wale nahi ho?"

"Haan nahi hoon"

"Toh phir chanda kyun maang rahe ho?"

Mujhe khade khade chakkar aane lage.

"Sunil Chauhan ko marke 4 mahine ho gaye. Vo nahi milega abhi" Mere pichhe khade ek aadmi ne chilla kar kaha. Use shayad meri halat par taras aa gaya tha. "Usse milne ke waste uper jana padega aur thodi der aur yahan khade rahe toh ye Budhiya bhej bhi degi uper"

Us aadmi ki aawaz mujhe us waqt jaise aakashwani ki tarah sunai di. Mere liye toh sakshat Bhagwan padhare the ek museebat se nikalne ke liye.

Main uski taraf palta. Koi 35-40 saal ka aadmi apne ghar ke darwaze se tek lagaye khada meri taraf dekh kar muskura raha tha.

"Kaise maut hui unki?" Maine us aadmi se sawal kiya.

Isse pehle ke vo meri baat ka jawab deta, uske ghar ke andar se kisi aurat ke chillane ki aawaz aayi.

"Tumhein kitni baar bola hai ke doosro ke mamle mein apni naak mat ghusaya karo. Sabzi laane ko kaha tha, kya hua uska? Andar aao vaapis"

Aur mere saamne khada insaan jo kisi lomdi ki tarah daant dikha raha tha, pal bhar mein bheegi billi ban gaya.

"Aaya"

Aur darwaza mere munh par band karke vo andar chala gaya.

"Great" Maine apne aap se kaha aur phir se Sunil Chauhan ke gar ki taraf palta. Par tab tak Jasoos budhiya bhi ghar ka darwaza band kar chuki thi.

Bukhar ki vajah se mujhe kaafi kamzori mehsoos ho rahi thi. Meri taangen jawab dene lagi thi aur mujhe lag raha tha ke main gir jaoonga. Main vahin ek ghar ke saamne bane chabootre par chhaon mein beth gaya aur ek cigarette nikal kar sulgayi.

Chauhan mar chuka hai. Kya iska Saanwli ke case se koi lena dena hai? Kya vo hi Saanwli ka boyfriend tha? Kya jis vajah se Saanwli gayab hai usi vajah se Sunil ki bhi maut hui hai? Ya kya Sunil ki maut hi Saanwli ke gayab hone ki vajah hai?

Aise kai sawal mere dimag mein uth rahe the par jawab ek ka bhi nahi tha. Filhal main sirf Sunil Chauhan ka naam janta tha aur ye janta tha ke vo marr chuka hai. Mere kisi bhi sawal ke jawab ke liye mujhe aur information ki zaroorat thi.

Maine ek mayus nigah Chauhan ke ghar ke darwaze par daali aur man maar kar utha. Kuchh pal darwaze ke aage ruk kar maine darte darte phir kunda khadkhadaya. Main ummeed kar raha tha ke is baar darwaza shayad koi aur khole aur kismet kharab hi nikli.

Darwaza khula aur ek baar phir Chandalika prakat hui.

"Tum phir aa gaye? Bola na ke Chanda nahi milega" Mujhe ghoorti hui vo boli.

"Maan ji mujhe Chanda nahi chahiye"

"Toh kya chahiye?"

"Kuchh nahi chahiye" Maine apne dono haath jod diye.

"To makkhi ki tarah yahan kyun bhinbhina rahe ho?"

"Mujhe kuchh information chahiye"

"Par abhi toh tum bola ke tumhein kuchh nahi chahiye"

"Haan nahi chahiye"

"Par abhi bola ke kuchh chahiye"

"Sirf Information"

"Dekho pehle soch lo ke chahiye ke nahi chahiye"

"Kya?"

"Arre ye mujhe kaise pata hoga. Tum batao"

"Information chahiye"

"Par Chanda main nahi deti"

"Mujhe Chanda nahi chahiye. Information chahiye, information"

"Haan main vo bhi nahi deti"

"Mata ji mujhe sirf kuchh sawal puchhne hain"

"Chande wale sawal bhi puchhne lage ab?"

"Chande wala nahi hoon main" Main lagbhag chilla hi padi.

"Toh kaun se wale ho?" Budhiya ne bhi chilla kar hi puchha.

Ek pal ke liye toh mujhe khud bhi samajh nahi aaya ke main kaun sa wala hoon.

"Main koi sa wala nahi hoon. Sirf kuchh sawal puchhne hain aapse" Maine minnat se kari.

"Kyun tum police wale ho" Mushkil Budhiya ne hi aasan kar di.

"Haan" Mere dimag ki batti jali "Haan. Policewala. Vahi hoon main. Mera naam Khan hai, Inspector Khan"

"Toh police ki vidhwa logon ke liye Chanda chahiye?"

Mera dil kiya ke patthar se uska sar phod doon.

"Nahi. Koi chanda nahi chahiye" Main apni aawaz thodi kadak karke policewale ki tarah bola. Bilkul vaise hi jaise Khan bolta tha "Kuchh police ke mamle mein sawal puchhne hain. Ya toh aap yahin bata do ya main thaane leke jaoonga"

Mere dhamki kaam kar gayi. Budhiya ke tevar thode dheele hue.

"Policewala hai toh police ke kapde pehenke aane ka. Chande wala kyun banke aaya hai?"

"Hey Bhagwan" Maine dil hi dil mein socha "Teri beti ko koi Chanda samajh ke le gaya kya jo ek hi baat pe atki hui hai?"

"Sunil Chauhan ko marke kitna time hua?" Main sidha matlab ki baat par aaya.

"4 mahina" Vo Boli

"Kaise maut hui?"

"Buddha beemar rehta tha, mar gaya" Vo aise boli jaise uske ghar se koi bhoot finally chala gaya ho.

Buddha? Mera dimag ghooma.

"Kitna umar tha Sunil Chauhan ka?"

"Abhi mere ko kya pata? Mere se 10-15 saal bada toh tha kam se kam" Budhiya sochte hue boli.

Meri zubaan tak sawal aa gaya tha ke aapki umar kitni hai, par maine fauran zubaan ko lagam di. Budhiya khatarnaak thi aur is tarah ka sawal toh kisi bhi aurat ko pasand nahi aata.

"Mobile phone rakhte the vo?" Maine puchha toh Budhiya hasne lagi.

"Buddha phone ka kya karega. 10 saal se bistar pe pada tha"

Mere dimag mein jo shak paida hua tha vo sahi saabit hua.

"Ek photo dikha sakti hain mujhe unki?"

"Haan ruko" Kehkar Budhiya andar daakhil hui aur thodi der baad bahar aayi. Uske haath mein ek boodhe aadmi ki tasveer thi, umar 70-80 ke beech.

"Pati tha mera. Marr gaya abhi"
Logged
CaptainVin
Newbie


Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
4 minutes.
Posts: 1
Member Since: Jul 2017


View Profile
«Reply #21 on: July 29, 2017, 09:46:24 PM »
Where is full story brother? I am waiting please ,it's feel so good ,your story is just amazing
Logged
higatom
Newbie


Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
9 minutes.
Posts: 2
Member Since: Aug 2017


View Profile
«Reply #22 on: August 13, 2017, 10:52:29 AM »
nice story, I like it









Where do lions live ?
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 18, 2024, 02:30:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.16 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer