mahfil ko mera pyaar bhara salaam
aaj phir haazir huaa hu apke ek adaa si koshish liye
ye guzaarish hai ke apne nazariyaat se ise nawaaziye.
agar koi ise tarannum me adaa karega to lutf baD jayega...waise to bahut si acchi acchi dhune hai magar mera sujhaav hai ye dhun
'dil ke armaa aasuuoo me bah gaye '
waah,ye to khoob hi qissaa huaa
tod kar dil puuchte haiN kya hua
choRkar humko khushi jaane lagi
lo chalo kuch bojh to halkaa huaa
kis tarah hum khud se muh ko pherte
dost hu mai khud hi se bichdaa huaa
har kadam ik zalzala hai zindagi
kya nayaa isme bhalaa aisaa hua
unke gesu ke andheron ke tale
chand jaise din me ho niklaa hua
aap ki jabse padi parchaiyaaN
aaina bhi humse hai rootha hua
dil lagane ki sazaa dil ko mili
hona tha jo hashr vo uskaa hua
khud ko ham khudse juda kar naa sake
har kadam par hamkadam saaya hua
kabke mahfil chodkar hum uth gaye
aap kahiye aapka phir kya huaa
mujse zidd aise gale milta hai gum
jaise vo koi meraa apnaa huaa
bazm ka meri ye hi dastur hai
aaye vo jo ishq me ruswaa huaa
waaaaaaaaaaaaaaah bahut khoob zidd sb alfaaz nahin hain paas taareef ke liye...maine aapki koi tehreer nahin padha tha is wajah kar aapki danishwari aur aapki pesh kash ki gehraai ko nahin janaa tha mera ye salaam aap jaise shayar ke liye hai qabool farmaaien aur mujh jaise ko guide karein ......bahut bahut bahut lajawab ashar se nawaza hai iss ghazal ko