Meyraa mahboob mileygaa yaheen, kabhee na kabhee!
Khizaan hai: phool khileygaa yaheen, kabhee na kabhee!
Hijra kee reyt kaa weeraanah guzar jaayegaa;
Pahloo-e-dil mein dikheygaa yaheen, kabhee na kabhee!
Muntazir yuun to azal sey hain, magar kyaa kahiye?
Hataa naqaab, fireygaa yaheen, kabhee na kabhee!
Baag bey-aab hai; par, arsh mein rawaanee bhee:
Abra-e-baaraan hai, ghireygaa yaheen, kabhee na kabhee!
Un kaa kahnaa hai, ki, aab-e-hayaat deyngey who;
Khuld sey bah key gireygaa yaheen, kabhee na kabhee!
Who chaarahgar hai, qasb-e-dil ka patah hai usko;
Marhamein bhar key sileygaa yaheen, kabhee na kabhee!
Koh-e-zar thhos iraadoun sey pighal jaataa hai;
Eik dariyaa-saa baheygaa yaheen, kabhee na kabhee!
Aaj insaaniyat pai hai sawaar shaitaanee:
Ashk-e-insaan gireygaa yaheen, kabhee na kabhee!
Ban key beygaanah 'abd', phir rahaa hai koochoun mein;
Lout fir ghar mein raheygaa yaheen, kabhee na kabhee!
- abd bundeli
Wah Wah Wah Abad ji Kya Kahene is ghazal ke jhinjood diya hai ruh ko qaas taur pe ye sher apki ghazal ka kaleja hai meri nazar me !!
"aaj Insaniyat pe hai sawar shaitanee : "
Ashk-a-insaan giregaa yahin, "kabhi na kabhi"
.............Abd Bandeli........
ye sher Khud me eak hadse ki puri daastan bayan karta hai !! kasam khuda ki mujhe bahoth khuch sikhne ko mila hai is ghazal se !! radeeb aur ghazal ki rawanee to koi app se sikhe "abd ji"
Qadeer Toopchi