Pathar beech aaiana rakhna kitna mushkil hai !

by Pooja on September 06, 2004, 03:46:02 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 5739 times)
Pooja
Guest
«Reply #15 on: November 03, 2004, 09:10:02 PM »
Reply with quote
jab parro tabhi jawab na!!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kitna Mushkil Hota Hai.... by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
kitna mushkil hai zindagi karna by abeera in Shayri for Khumar -e- Ishq
dil ki bat zuba tak lana kitna mushkil he by sameer14112 in SMS , mobile & JOKES
~ Kitna Mushkil He ~ by Matrix Guy in Shayri-E-Dard
kitna mushkil!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! by rawattanha in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pooja
Guest
«Reply #16 on: March 26, 2007, 08:57:48 PM »
Reply with quote
jahaan talak bhi ye sahara dikhaai deta hai
meri hi tarah se akela dikhaai deta hai

na itani tez chale saraphiri hawa se kaho
shajar pe ek hi patta dikhaai deta hai

ye ek abr ka tukada kahaan kahaan barase
tamaam dasht hi pyaasa dikhaai deta hai

wo alawida ka manzar wo chhalakati palaken
pas-e-gubaar bhi kya kya dikhaai deta hai  (nm)

Sing By Gulam Ali
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #17 on: March 27, 2007, 10:47:58 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
jahaan talak bhi ye sahara dikhaai deta hai
meri hi tarah se akela dikhaai deta hai

na itani tez chale saraphiri hawa se kaho
shajar pe ek hi patta dikhaai deta hai

ye ek abr ka tukada kahaan kahaan barase
tamaam dasht hi pyaasa dikhaai deta hai

wo alawida ka manzar wo chhalakati palaken
pas-e-gubaar bhi kya kya dikhaai deta hai  (nm)

Sing By Gulam Ali



waah bahut achchhe!!! bahut khoob pooja ji!! :D

Aa meri taqdeer ki aandhi dekh loon tujhko!
kaisi hai tu halaat ki baandi dekh loon tujhko!

Us ke sar se chhat na udana tu aaj wayda kar,
kahe to apna sar bhi aaj bhej doon tujhko!
[/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: March 27, 2007, 01:06:27 PM »
Reply with quote
Bahoot hi acha likha hai AKS ji!!! Last line dil ko chu gai.... bahoot khoob!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: March 27, 2007, 01:13:07 PM »
Reply with quote
na jaane kab wo palat aayen dar khula rakhana
gaye huwon ke liye dil mein kuch jagah rakhana

hazaar talk hon yaaden magar wo jab bhi milen
zubaan pe achchhe dinon ka hi zaayaka rakhana

na ho ke kurb hi phir marg-e-rabt ban jaaye
mile agar to zara usase faasala rakhana


utaar phaink de kush-fahamiyon ke saare gilaaf
jo shaks bhool gaya usako yaad kya rakhana (nm)
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #20 on: March 28, 2007, 03:10:50 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
na jaane kab wo palat aayen dar khula rakhana
gaye huwon ke liye dil mein kuch jagah rakhana

hazaar talk hon yaaden magar wo jab bhi milen
zubaan pe achchhe dinon ka hi zaayaka rakhana

na ho ke kurb hi phir marg-e-rabt ban jaaye
mile agar to zara usase faasala rakhana


utaar phaink de kush-fahamiyon ke saare gilaaf
jo shaks bhool gaya usako yaad kya rakhana (nm)


Waah pooja ji bahut khoob!! :D

Jab bhi khud ko dekho, saamne aainaa rakhna!
apni badgumaaniyon ke libaas ko bhi saath na rakhna!

Nazar aayein jab bhi kahin tumhein galtiyaan apni,
bus mahsoos kar lena , tum apne maathe par haath na rakhna!

Jab dikhai de apno se bewafai ka koi manzar,
Tum Khud ko muaf karne ka hausla rakhna !

Har sawal pecheeda ho, ya har gutthi uljhi hui,
Har ek ka jawaab mil jaayega bus tum dil khula rakhna!
[/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: March 28, 2007, 03:13:58 AM »
Reply with quote
wah kaya baat hai AKS ji!!! bahoot hi acha likha hai apne!!
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #22 on: March 28, 2007, 03:15:20 AM »
Reply with quote
Thanks Ji!!! Pooja ji!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #23 on: March 28, 2007, 10:20:26 PM »
Reply with quote
hummm bahoot soch mai daal dete hai app AKS JI!!! Kuch likhne ki koshish ki hai:

Sannato ki chaw main khamoshi meri ab ghutati hai
Andheri raato main, chandini ab ankhon ki chubhati hai

Patharile raste, bal khati hui na jaane kaha le jaaye yah dager
Apne hi wajood se, khud ki hasti ab lardati hai

Ek khalipan sa hai her taraf, khamoshi ki awazo se darti hai
Sannato ki chaw main khamoshi meri ab ghutati hai
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #24 on: March 30, 2007, 12:11:21 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
hummm bahoot soch mai daal dete hai app AKS JI!!! Kuch likhne ki koshish ki hai:

Sannato ki chaw main khamoshi meri ab ghutati hai
Andheri raato main, chandini ab ankhon ki chubhati hai

Patharile raste, bal khati hui na jaane kaha le jaaye yah dager
Apne hi wajood se, khud ki hasti ab lardati hai

Ek khalipan sa hai her taraf, khamoshi ki awazo se darti hai
Sannato ki chaw main khamoshi meri ab ghutati hai


Waah Kya Baat hai!! pooja ji!! bahut Khoob!!! Usual Smile

Mere dil mein sannata aur Sannate mein ek kahani!
Jazbaaton ki Ujdi duniya, Aankhon ka bhi sookha paani!

Har koi  fareb mein dooba, kise pata ab wafa ke maani!
Wishvasghat ka danka bajta, wafadaar ho gaye be-maani!
[/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #25 on: March 30, 2007, 04:00:40 PM »
Reply with quote
wah apkI shudh hindi aor shabdo ki lay... kamal kar jaate hai app AKS JI!!!



Dikhati hu patharo ko Aaina
Khud mai toot jaati hu
Na wo samjhe mujhko
Na main unko samjkh paati hu

Main samjhu unko pathar
Wo mujko na jaane kaya samjhate hai
Samjh ki deewar kab ho ek
Yahi soch soch jeevan bitati hu
Logged
khannaveedkhan
Guest
«Reply #26 on: April 02, 2007, 07:47:37 AM »
Reply with quote
[/b]Tujhse mile ek zamana hua,
Maikhane jane ka bahana hua,
Jaam jab pilaya saki ne apne hatho se,
Ek muddat k baad mera hosh me aana hua,

Shishe me dekha to ek ajnabi tha samne,
Tere ishq me mai kaisa khud se begana hua,
Socha teri yaad ko pi jaau 'mai' me ghol ke,
Yaade aati rahi,par band maikhana hua,

Girte,ludhakte ja pahocha tere darwaze pe,
Jo di purane zakhmo ne duhai,na phir mujhse khatkhatana hua......

Logged
Pooja
Guest
«Reply #27 on: April 04, 2007, 02:00:37 PM »
Reply with quote
bahoot khoob khan ji... behad hi khoobsurat lines kahi hai apne...

Apka Yoindia mai sawagat hai Usual Smile

Zindagi naam ko hamari hai
Aakhri sans bhi tumhari hai

Tari chaht kahaan pay lay aye
Tujh sa mil kar bhi baykarari hai

Mujh sa poocho chamak sitaron ki
Main na ro ro k shab guzari hai

Aap ka haath main lakirain hain
Werna taqdeer to hamari hai

Dil mera torta ho lo toro
Cheez mari nahi tumhari hai...!! (nm)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #28 on: June 04, 2007, 05:22:02 PM »
Reply with quote
lufzon mein afsaane dhoondty hu
lumhon mein zamaanay dhoondty hu
tau zeher hi de dawa keh ker
marne ke bahane dhoondati hu
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #29 on: June 05, 2007, 02:20:18 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
lufzon mein afsaane dhoondty hu
lumhon mein zamaanay dhoondty hu
tau zeher hi de dawa keh ker
marne ke bahane dhoondati hu


waah pooja ji kya baat hai!!! bahut shaan daaar!!! :D

Har ek surmai shaam ko tarana nahin milta
Har Sureeli sargam ko  gaana nahin milta!

Har ek shamma ko parwana nahin milta,
har aankh ko aansuon ka khazana nahin milta!

apne to jo bhi beetee hai is dil pe beeti hai yaaron,
Is naamuraad ko samjhaane ka bahana nahin Milta!

Yeh saath nibhata hai Khushiyaan Lut jaane ke baad,
duniya mein gham se behtar koi yaarana nahin milta!
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
October 03, 2024, 08:24:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[September 29, 2024, 02:17:44 PM]

[September 29, 2024, 02:15:31 PM]

[September 29, 2024, 02:13:54 PM]

[September 29, 2024, 02:12:46 PM]

by ASIF
[September 06, 2024, 07:19:37 PM]

[September 05, 2024, 02:50:37 AM]

[August 23, 2024, 06:35:34 AM]

[August 22, 2024, 06:28:13 AM]

[August 22, 2024, 06:27:09 AM]

[August 20, 2024, 06:14:40 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8503 Real Poets and poetry admirer