Rishto Ki Haqeeqat.."Khwaish"

by khwaish on June 29, 2009, 03:38:12 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3631 times)
shayara
Guest
«Reply #15 on: July 08, 2009, 08:13:58 AM »
Reply with quote
Khwaish Ji,

Bohot Khoob likha hai aapne
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #16 on: July 10, 2009, 06:19:48 PM »
Reply with quote
Bahoot khub Khwaish ji....bahut lajwab likha hai aapne....lkn khuch swal phr se dil me aa rahe hai,un swalon ki kehne ki koshish kar rhi hu....khuch galat kaha ho to maafi chahugi

Rishton ki haqeeqat ko koi samajh paye kaise
Apno-begano ki kashmakash ko koi suljhaye kaise

Har ummid,har khwab jiska kaanch ki tarah toot gya ho
Phr se koi nayi ummid wo jgaye kaise

Jiske har faisle ne use khud hi barbaad kiya
Koi faisla lene ki himmat wo phr se laye kha se

Use na rha ab vishwas na apno par,na begano par
Wo khud me ek nya vishwaas jgaye kaise

Ab koi khushi uske paas se gujarti bhi nahi
Zindagi khubsurat hai,wo ye gungunaye  kaise



Bahut Bahut Bahut Khooob Pooja.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Acha Likha Hia Aapne..Koshish Karta Hoon, Kuch Jawaab Mein likhne Ki..Umeed Karta Hoon Aapko Aur sabko Pasand Aaye...


Yeh Koi Ashq Ka Katra Nahi Jo Tehar Jaayega,
Waqt To Bas Waqt Hai, pal Bhar Mein Guzar Jaayega...

Rishto Ki Ehmiyat Woh samjhe,Jisne Kabhi Rishto Ki Kadar Bhi Ki Ho,
Rishta Jab koi Tooth Tha Hai To
Nakaamiyabi Ke Ehsaas Se Daaman Uska Bhar Jaayega...

Zindagi Mein Kuch Faisle Aise Bhi Hote Hai Jo Humare Haq Mein Nahi Hote,
Par Koi Gham nahi,Agar Koi Aaene Mein Tadak Aa Jaaye To
Woh Aeena Bhi Ek Din Bikhar Jaayega...

Apno Se Chot Khaakar Hi Usse Pata Chala Ke Duniya Kya Hai???
Jeeta Hai Woh ItMinan Se,jiske Ke liye Soche The Hum!!!
Ke Woh Dard Mein Tadapkar Mar Jaayega....

"Khwaish" Kehta Hai Ke Chaahe Kuch Bhi Ho,
Yehi Duniya Hai Aur Yehi Duniya Ke log!!!!!
Inse Bichad Kar Bhi Koi Kahan Jaayega.....

Gar Apni Khushi Baantni Ho To Teri Iss Khushi Ke kharidaar bahut Milenge,
Tere Gham ka Koi Kharidaar Nahi,
Apne Gham Ko Bechne wala, Ek Naa Ek Din "Khwaish"
 Waqt Aur Halaat Ke Haathon Khud Hi Bikh Jaayega....
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #17 on: July 10, 2009, 06:27:03 PM »
Reply with quote
Achchhi mehfil sajai hai aap sab ne
Khwaish, Pooja, Aslam aur Pop Ji
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #18 on: July 15, 2009, 11:06:21 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smileyek ek lafz kamaal ka likha hai khwaish ji!!! Good Creation!!

yah line dil ko chu gai:

Mohabbat Sirf Zubaan Ki mohtaaj Nahi Hai!!
Nazrein Jhuka Kar Guzarne Wala Bhi Tujhe Chaahta Tha Bahut!!!!!

Aaj Ek Mehfil Mein Baithkar Bhi,Uss Shaks Se Koi Guftuugu Nahi,
Ek waqt Tha,Jab Woh Tere dil Mein Rehta Tha Bahut!!!!!


Bahut Bahut shukriya Pooja...

Aapko Yeh Rachna Pasand Aayi hai..Teh Dil Se Shukriya Aapka.. Usual Smile
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #19 on: July 15, 2009, 05:48:38 PM »
Reply with quote

Bahut Bahut Bahut Khooob Pooja.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Acha Likha Hia Aapne..Koshish Karta Hoon, Kuch Jawaab Mein likhne Ki..Umeed Karta Hoon Aapko Aur sabko Pasand Aaye...


Yeh Koi Ashq Ka Katra Nahi Jo Tehar Jaayega,
Waqt To Bas Waqt Hai, pal Bhar Mein Guzar Jaayega...

Rishto Ki Ehmiyat Woh samjhe,Jisne Kabhi Rishto Ki Kadar Bhi Ki Ho,
Rishta Jab koi Tooth Tha Hai To
Nakaamiyabi Ke Ehsaas Se Daaman Uska Bhar Jaayega...

Zindagi Mein Kuch Faisle Aise Bhi Hote Hai Jo Humare Haq Mein Nahi Hote,
Par Koi Gham nahi,Agar Koi Aaene Mein Tadak Aa Jaaye To
Woh Aeena Bhi Ek Din Bikhar Jaayega...

Apno Se Chot Khaakar Hi Usse Pata Chala Ke Duniya Kya Hai???
Jeeta Hai Woh ItMinan Se,jiske Ke liye Soche The Hum!!!
Ke Woh Dard Mein Tadapkar Mar Jaayega....

"Khwaish" Kehta Hai Ke Chaahe Kuch Bhi Ho,
Yehi Duniya Hai Aur Yehi Duniya Ke log!!!!!
Inse Bichad Kar Bhi Koi Kahan Jaayega.....

Gar Apni Khushi Baantni Ho To Teri Iss Khushi Ke kharidaar bahut Milenge,
Tere Gham ka Koi Kharidaar Nahi,
Apne Gham Ko Bechne wala, Ek Naa Ek Din "Khwaish"
 Waqt Aur Halaat Ke Haathon Khud Hi Bikh Jaayega....

bahut behtrin likha hai khwaish ji aapne....har swaal ka jwab bahut umda alfazon me diya hai aapne...... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kaun khushi se apne ghmon ka sauda karta hai
Shayad khud se hi pareshaan hai wo bahut,
Isliye iss duniya se bichad kar rehta hai

Hum kehte hai wo itminaan se jee rha hai zindagi
Par koi kya jaane,kaun usko pehchane
Dard se tadpkar har roj apni maut ki dua mangta hai
 
Rishton ki aehmiyat janta hai wo
Na chahte hue bhi sabko takleef de jata hai
Apno ka dil jeetne ki chah me khud se hi haar jata hai

Apne aansu khud hi pochne hai use
Shayad yahi soch kar rote-rote hass jata hai

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #20 on: July 28, 2009, 05:44:52 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot Khoob Dost, Rishton ki haqiqat pe aapne jo lafz likhe hain bohot hi gehre hain...kuch alfaaz dil main utar gaye, kuch chubh se gaye.....Bohot bohot Khoob Khwaish

Bahut Bahut Shukriya Talat Dost!!!

Aapko Yeh Peshkash Pasand Aayi,Yeh Jaankar Bahut Khushi Hui hai..

Thankyou Sooooooooo Much  icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #21 on: August 08, 2009, 03:12:40 AM »
Reply with quote
bhut khoob khwaish sahab bhut khoob, waseem bareilvy sahab ki ghazal ke chand aasahaar yaad aa rhe hain ijazat chahunga....

ab aisa ghar ke dareecho ko band kya rakhna
hawa ke aane ka koi to raasta rakhna

jab apne log hi aayenge lootne ke liyn
to dosti ka taqaza hai dar khula rakhna

ye qurbatai.n hi bade imtehaan laiti hain
kisi se waasta rakhna to door ka rakhna


Bahut Bahut Khoob... Applause Applause Applause Applause

Bahut Achi Sharing Ki hai Aslam Ji Aapne..

Aur Bahut Bahut shukriya Aapka Aslam ji Jo Aapne Iss Kalam Ko Apna Waqt Diya..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #22 on: October 03, 2010, 09:37:53 AM »
Reply with quote
bahot bahot khoob likha hai aapne Khwaish ji
n very nice lines by Poppoetry ji

Bahut Bahut Shukriya Kaashji..
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 05:51:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.162 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer