SHAMMA - E - HUSN KA PARWAANA ....................HASAN

by F.H.SIDDIQUI on December 17, 2012, 05:27:52 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2145 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #15 on: December 18, 2012, 04:13:29 AM »
Reply with quote
mashaa allhaa maaskaa allah aaj to poore mood men hain bhaai jaan ghaal ko syaah color men rang do kaheen nazar n lag jaaye bahut khoob dheron daad bhaai jaan aap khush rahen
Saini  saheb  ,  bahut  bahut  shukriya  .  Aap  ki  duaaein  sath  rahein to  nazar  nahin  lag  sakti .
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Shamma Aur Parwaana by NewYorker in Shayri-E-Dard
***Shamma Parwaana*** by AVTAR RAYAT in Shayri for Dard -e- Judai
WOH PAREE - HUSN MERE KHWAABON MEIN AATA HAI BAHUT ..........HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
KITAAB - E - HUSN ............................. HASAN by F.H.SIDDIQUI in Shayari -e- Husn « 1 2 3  All »
!!...Shamma aur Parwaana...!!---------------"Sagar" by Advo.RavinderaRavi in Miscellaneous Shayri
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #16 on: December 18, 2012, 06:00:00 AM »
Reply with quote
Siddiqui Sahaab Aadaab!


WaaH jee waaH kia kahne jee behad pyaari kalaam kahi hai janab...
Bade hi dilkash aur umdaa ahsaas O khayaal se buni hai aapki
yeH kalaam ... Usual Smile


Sabhi ashaar khoob rahe par yeH qouted ashaar hume behad khoob
lage... Usual Smile

Humari dheroN daad O mubbarakbad kabul kijiye...
Likhate rahiye... Aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile


PARWAAZ   SAHEB ,  GHAZAL  PASAND  KARNE  AUR  HAUSLA AFZAI 
KE  LIYE  BAHUT  BAHUT  SHUKRIYA  .  KHUSH  RAHYE . HASAN
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #17 on: December 18, 2012, 09:25:04 AM »
Reply with quote
 
Thanks , M B  saheb . Khush  rahye .


gr8888888 ghazal ,sir
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 14 hours and 9 minutes.
Posts: 18588
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #18 on: December 18, 2012, 09:35:40 AM »
Reply with quote
bohut umda hasan sir bohut acha likha hai aapne
Logged
albelamai
Guest
«Reply #19 on: December 18, 2012, 09:50:47 AM »
Reply with quote
jabardast Applause Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #20 on: December 18, 2012, 10:12:01 AM »
Reply with quote

Zabardast Zabardast Zabardast Creation Sir Ji...
Thanks , Thanks , Thanks  Kaushal  ji .  Khush  rahye  ,  Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #21 on: December 18, 2012, 11:28:26 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause  bahut bahut khoobsurat andaaz me likhi hui khoobsurat ghazal.. bahut bahut khoob Sirji....!!!
BAHUT  BAHUT  SHUKRIYA , HRIDAY  JI . DUAAEIN .
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #22 on: December 18, 2012, 11:58:20 AM »
Reply with quote
Bahot khoob Hasan badi hi khubsurat ghazal kahi hai aapne. Bahut daad pesh karta hun lekin dusra sher samajh nahi aaya ke sheikh sahab islaah ke shauq mein maikhane ke aadi kaise ho gaye. Agar wazahat kar dein to mehrbani hogi. Shukriya.
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #23 on: December 18, 2012, 01:09:48 PM »
Reply with quote
Zabardast gazal
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #24 on: December 18, 2012, 02:12:52 PM »
Reply with quote
Bahot khoob Hasan badi hi khubsurat ghazal kahi hai aapne. Bahut daad pesh karta hun lekin dusra sher samajh nahi aaya ke sheikh sahab islaah ke shauq mein maikhane ke aadi kaise ho gaye. Agar wazahat kar dein to mehrbani hogi. Shukriya.

Bahut shukriya Riyaz Ashna . Aapki qabliyat aur baareekbeen naqqaad nazron ka main qaail hoon ki aap har laghzish pakad lete hain.Is web par main sab se anaadi shakh hoon jo ghalti per ghalti karta rahta hai magar mutashairi se baaz nahi aata . Yeh bhi usi ki eik misaal hai.Bhai jahaan tak main samajhta hoon Shaikh ji shayeron ki nazar main hamesha mazaq ka nishaana bane hain aur unhein rindon ki islaah ki koshish se khaas taur se mansoob kiya gaya hai . Main samajhta hoon ki is lihaaz se unki khaas nazar maikashon aur maikada per rahti hai aur woh isi mahoul mein khoye rahte hain. Bus isi soch ke tanaazir mein yeh sher kaha hai.Is se zyada bhai mere aql nahi hai jo mazeed wazahat  kar sakoon . Abhi thora thora seekhne ki koshish kar raha hoon.Aap ki aur deegar achhe likhne waalon ke kalaam se bhi istafaada karta rahta hoon . Aapki duaaon ka talib hoon aur guzarish karta hoon ki aapki nazr e karam is web per aam taur per bhi ho jaaye shaayed kuchh aur learners ko bhi faayeda pahunch jaaye. Duaon ke sath , Hasan

Logged
laaiba
Guest
«Reply #25 on: December 18, 2012, 02:22:39 PM »
Reply with quote

Shamma - e - Husn    ka   Parwaana   hua   jaata   hai ,
Mera   dil    aap    ka   deewana    hua   jaata   hai


Shouq - Islaaah    meiN    deewana     hua   jaata   hai ,
Sheikh   abb   Aadi - e - Mayekhaana   hua   jaata   hai


Phir  kisi  Shokh  ne  iss  dil  meiN  qadam  rakkha  hai,
Phir   se    aabaad   yeh    Veeraana   hua   jaata   hai


Unn se  tanhaai  meiN  do  baateiN  zara  kar  lee  thheeN ,
Itni   see    baat    ka    Afsaana    hua    jaata    hai
 

Zikr - e - Mahboob   zara    yaar   se   kya   kar   daala ,
Uss   ka    Andaaz     Raqeebaana     hua    jaata     hai
 

Aaj   pee   kar   teri    Makhmoor   nigaahoN   se   'Hasan' ,
Aashiq - e - Nargis - e - Mastaana     hua    jaata    hai

be had khubsurat ghazal ,......bohat bohat bohat c daad ,.....
Logged
sbechain
Guest
«Reply #26 on: December 18, 2012, 04:55:33 PM »
Reply with quote

Shamma - e - Husn    ka   Parwaana   hua   jaata   hai ,
Mera   dil    aap    ka   deewana    hua   jaata   hai
pahli baar aaj mujh pe diwaane hue jaa rahe ho.baat kya hai koi kaam aan pada hai jo maskebaazi chall rahi hai icon_geek icon_geek icon_geek icon_geek

Shouq - Islaaah    meiN    deewana     hua   jaata   hai ,
Sheikh   abb   Aadi - e - Mayekhaana   hua   jaata   hai
ishq aur mushq chhupaye nahin chhupte .tumhaari khata nahin hai ji
drunken_smilie drunken_smilie drunken_smilie drunken_smilie
Phir  kisi  Shokh  ne  iss  dil  meiN  qadam  rakkha  hai,
Phir   se    aabaad   yeh    Veeraana   hua   jaata   hai
main shokh-vokh nahin hoon samjhe. ab tum ne dekh liya hoga aur dil mein basaa liya to meri kya ghalti hai ismein. acha ab tak kisi ne tumhein dastak nahin diya tha...oh my god icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent

Unn se  tanhaai  meiN  do  baateiN  zara  kar  lee  thheeN ,
Itni   see    baat    ka    Afsaana    hua    jaata    hai
tumhaare shahr wale bilkul achche nahin hain ji. main ne to buss itna hi pucha tha bhool bhulaiya ke liye kaun si bus jaati hai aur busssss Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased

Zikr - e - Mahboob   zara    yaar   se   kya   kar   daala ,
Uss   ka    Andaaz     Raqeebaana     hua    jaata     hai
dil ki baat dil mein rakho to musibat nahin aati hai,samjhe
icon_flower icon_flower icon_flower
Aaj   pee   kar   teri    Makhmoor   nigaahoN   se   'Hasan' ,
Aashiq - e - Nargis - e - Mastaana     hua    jaata    hai


to tum baaz nahin aaye niqaab chhupe chehre mein bhi jhaakne ki qabliyat rakhte ho.mujhe to pata hi na chala.ALLAH khair kare. Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased


fazal sahab kya kahoon........!
Logged
suman59
Guest
«Reply #27 on: December 18, 2012, 05:30:24 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause

beautiful ghazal. bahut bahut badiya likha hai hasan jee  Thumbs UP
Logged
Aarish
Guest
«Reply #28 on: December 19, 2012, 02:02:50 AM »
Reply with quote

Shamma - e - Husn    ka   Parwaana   hua   jaata   hai ,
Mera   dil    aap    ka   deewana    hua   jaata   hai


Shouq - Islaaah    meiN    deewana     hua   jaata   hai ,
Sheikh   abb   Aadi - e - Mayekhaana   hua   jaata   hai


Phir  kisi  Shokh  ne  iss  dil  meiN  qadam  rakkha  hai,
Phir   se    aabaad   yeh    Veeraana   hua   jaata   hai


Unn se  tanhaai  meiN  do  baateiN  zara  kar  lee  thheeN ,
Itni   see    baat    ka    Afsaana    hua    jaata    hai
 

Zikr - e - Mahboob   zara    yaar   se   kya   kar   daala ,
Uss   ka    Andaaz     Raqeebaana     hua    jaata     hai
 

Aaj   pee   kar   teri    Makhmoor   nigaahoN   se   'Hasan' ,
Aashiq - e - Nargis - e - Mastaana     hua    jaata    hai



wah wah wah wah kya baat hai sir, umda ashaarooN se saji ghazal hai, hasil E ghazal shair batana mushkil hai. dheroon daaad qubool karen aur ek rau bhi. aur haaN mujhe nahi lagta ki is ghazal ke kisi bhi shair ko kisi bhi tarha ki wazahat ki zaroorat hai...sabhi ashaar aaine ki tarha saaf aur shaffaf haiN...
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #29 on: December 19, 2012, 03:55:44 AM »
Reply with quote

waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah  3rd sher khusoosi raha
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
        ADIL  SAHEB  ,  BAHUT  SHUKRIYA  AUR  AADAAB  ,  HASAN
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 12:26:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.235 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer