Yaad aate ho..........................................Aqsh

by aqsh on January 09, 2013, 05:01:18 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 12
ReplyPrint
Author  (Read 5814 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #15 on: January 09, 2013, 07:33:14 AM »
Reply with quote
dekh liyaa naa aapne... koi mushkil kaam nahi thaa.. ek koshish ki aapne aur ho gayaa... kyun? hai naa??... aur kitni khoobsurat ghazal ban padi hai... waah kyaa kehne... bahut bahut khoob likha hai aapne Aqsh ji... bahut khoob....!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


hai  mohabbat  tumhe to mujhe  tum bataate kyun nahi
rehte ho dur  mujhse,  paas  mere  tum aate  kyun  nahi

karte  ho  yaad, apni  ruh  mein basaate  ho  mujhe tum
magar yeh baat apne  hothon  pe  tum  laate kyun nahi

hawaayein    tumhe   chhuke  meri  galli  se  guzarti hain
hawaaon  ke  sangh tum meri   gali  me  aate  kyun nahi

bekhabar  nahi  tumhaari    mohabbat  se, jaantaa hoon
par,  kabhi   tum  dil  ki baat   mujhe  bataate kyun nahi

aake khwaab  me har   raat  meraa aashiyaan sajaate ho
kaho naa, haqeeqat me  tum  mere paas aate kyun nahi

baatein  nazron  ki  samajh   to lete  hain par kehte nahi
nazron ke  un  ishaaron ko  hothon pe sajaate kyun nahi

keh do ek baar apne  hothon se ki mohabbat hai tumhe
khuli  baahen  hain  meri, tum ise  dekh paate kyun nahi

*****HRIDAY*****
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tum yaad aate ho!! by Talat in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2 3 4  All »
Yaad aate hai by md.ayad in Shayri for Dard -e- Judai
yaad aate ho by saahill in Share:Love Poetry
Teri yaad.....Aqsh by aqsh in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Yaad aata hai..........................Aqsh by aqsh in Ghazals « 1 2  All »
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 3 hours and 24 minutes.
Posts: 14552
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #16 on: January 09, 2013, 08:41:39 AM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
aqsh
Guest
«Reply #17 on: January 09, 2013, 12:06:01 PM »
Reply with quote
dekh liyaa naa aapne... koi mushkil kaam nahi thaa.. ek koshish ki aapne aur ho gayaa... kyun? hai naa??... aur kitni khoobsurat ghazal ban padi hai... waah kyaa kehne... bahut bahut khoob likha hai aapne Aqsh ji... bahut khoob....!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


hai  mohabbat  tumhe to mujhe  tum bataate kyun nahi
rehte ho dur  mujhse,  paas  mere  tum aate  kyun  nahi

karte  ho  yaad, apni  ruh  mein basaate  ho  mujhe tum
magar yeh baat apne  hothon  pe  tum  laate kyun nahi

hawaayein    tumhe   chhuke  meri  galli  se  guzarti hain
hawaaon  ke  sangh tum meri   gali  me  aate  kyun nahi

bekhabar  nahi  tumhaari    mohabbat  se, jaantaa hoon
par,  kabhi   tum  dil  ki baat   mujhe  bataate kyun nahi

aake khwaab  me har   raat  meraa aashiyaan sajaate ho
kaho naa, haqeeqat me  tum  mere paas aate kyun nahi

baatein  nazron  ki  samajh   to lete  hain par kehte nahi
nazron ke  un  ishaaron ko  hothon pe sajaate kyun nahi

keh do ek baar apne  hothon se ki mohabbat hai tumhe
khuli  baahen  hain  meri, tum ise  dekh paate kyun nahi

*****HRIDAY*****
waaaaaaaah! hriday jee bahut khoob aur hum phir ek koshish kar rahe hai

Aana toh chahte hai par, tum bulaate kyun nahi
Hai mohabbat kitni, yeh samajh paate kyun nahi

Hawayein jo meri gali se, tumhari gali jaati hai
Unko apni kushboo se, mehkaate kyun nahi

Nikhar jaaon tumhe sochkar, khayalon mein
Apne pyaar ka aisa ehsaas, jagaate kyun nahi

Lekar mera haath, apne haathon mein tum
Pyaar ki haseen mehfil, sajaate kyun nahi

Bakhabar ho gar, tum meri mohabbat se
Mere roote hue dil ko, phir manaate kyun nahi
Logged
aqsh
Guest
«Reply #18 on: January 09, 2013, 12:09:08 PM »
Reply with quote
bahut khoob
thnx nand jee
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #19 on: January 09, 2013, 12:27:52 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause

bahut khoob jawab diya hai aapne... bahut bahut khoob likha hai.... ab aapke jawaab ke jawaab me kyaa likhen... chalo aaap keh hi rahe ho to koi shikaayat nahi karte.. bas aapko bulaa hi lete hain....  tongue3


in   sulagte  saanson   ki   garmi  ko  tum  yun  badhaao  naa
aajaao   naa ,  in    saanson   ki  garmi  ko  kam  kar  jaao naa

chhuu  lo   mere   hothon   ko   apne   hothon   se   ek   baar
nashile    hothon   se  apne  mujhe   madhosh   kar  jaao  naa

kholdo   zulfon   ko  apne  mere  chehre  pe, hum  kho  jaaye
apne   zulfon   ke  saaye  me  aaj  humein  gum  kar jaao naa

kehdo   mere   kaano   me  aake  dheere  se  wo  baat jaanaa
kehke  wo  baat is deewaane ko aur deewaanaa kar jaao naa

yun duur  duur  rehne  ki  aadat tumhaari achchi nahi sanam
aao naa, aajaao naa, aake mere  seene  se  tum  lag jaao naa

kabse pukaar rahaa hoon  tumhaaraa naam, kahaan ho tum
aao  naa ,  aajaao  naa,   aake  aaj   tum  meri  ban  jaao naa


*****HRIDAY*****
Logged
aqsh
Guest
«Reply #20 on: January 09, 2013, 12:56:47 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah waah waah hriday jee bahut khoob ab hum bhi kuch kahe

YuN na pukaro ki armaan machalne lage hai
Mom ki tarah hum khud mein pighalne lage hai

Tumhare bheege badan ki kushboo se jaana
Barsaat ke mausam mein bhi hum jalne lage hai

Yeh kaisa nasha hai hosh hame aata nahi
Madhoshiyon mein girke ab sambhalne lage hai

Door tumse na rahoon gar to kaho kya karoon
Behke behke se tumhare iraade badalne lage hai
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #21 on: January 09, 2013, 01:11:03 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause  Applause
bole to ek dum masssttt jawaab diyaa hai aapne... bahut khoob Aqsh ji....!!!



mujhse  judaa  hoke  tum  kab   tak  reh  paaoge
tadap  uthoge,  mohabbat  me  tum  beh  jaaoge

aasaan  nahi   khud   ko   qaaboo me rakh paanaa
meri  har   pukaar  pe   tum   khiche  chale  aaoge

mehekne lagoge meri  khushboo  se  tum  jaanaa
meri  baahon   me  aake   tut   ke   bikhar  jaaoge

kaun   bach   paayaa  hai  mohabbat   ki  maar se
tum  bhi  meri   mohabbat   me  kabhi mar jaaoge

rok  lo,    baandh  lo    khud  ko   kisi   zanzeer se
todke   saare   bandhan  mere  paas  chale  aaoge

*****HRIDAY*****
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #22 on: January 09, 2013, 01:16:00 PM »
Reply with quote
Waah  Waah Waah Waah Waah Waah Waah Waah Waah Waah.
++1
Logged
aqsh
Guest
«Reply #23 on: January 09, 2013, 01:52:22 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waaaaaaaah waah waah hazir jawabi ka bhi jawab nahi.tum jab itna bula rahe ho to hum kyun peeche hate  happy3

Tumse juda hokar ab rehna bhi nahi chahte
Judai ka yeh gam hum sehna bhi nahi chahte

Bahut bechain rehte hai tumhari chahat mein
Yaadon mein yeh ashk ab behna bhi nahi chahte

Aao aakar gale laga lo doori na banao humse
Kaise guzarti hai shaam ab kehna bhi nahi chahte

Kyun rok loon baandh loon khud ko zanzeer se
Jab tumse door hokar ek pal rehna bhi nahi chahte
Logged
Ritesh Modi
Guest
«Reply #24 on: January 09, 2013, 02:11:12 PM »
Reply with quote
lajawab, behtreen....very nice aqsh ji....Usual Smile
Logged
aqsh
Guest
«Reply #25 on: January 09, 2013, 02:18:04 PM »
Reply with quote
lajawab, behtreen....very nice aqsh ji....Usual Smile
thnx ritesh jee
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #26 on: January 09, 2013, 02:31:06 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

bahut bahut bahut bahut khoob Aqsh ji... jawaab to aapkaa bhi nahi... ek se badhke ek jawaab diye jaa rahe hain aap.. aur mushkil ho jaa raha hai mere liye jawaab dena... bahut khoob jawaab diyaa hai aapne....!!!



haaye ,  kitni   bechaini   hai   aaj  dono   taraf  dekho  naa
do  kadam  tum   chalo, do kadam  main  bhi chaltaa hoon

kab  se  koshish  kar rahaa hoon  hosh   me  aane  ki  main
thodaa  ladkhadaake,  thodi   duur  jaa  sambhaltaa  hoon

jaise   sardiyon  ki  aad    me  saawan   laut  aayaa  hai  aaj
mohabbat  ki  meethi    aanch   me aaj thodaa jaltaa hoon

mitaa do   sabhi  duuriyaan, tod  do  tum  bandhan  saare
tumhaari  jism  ki  aag   se   main  thodaa  pighaltaa  hoon

jaanaa, kyun rakhaa huwaa  hai baandhke khud ko tumne
machalte  to  tum  bhi  ho jis tarhaa main machaltaa hoon

*****HRIDAY*****
Logged
aqsh
Guest
«Reply #27 on: January 09, 2013, 03:07:22 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
beautiful hriday jee .bahut hi lajawab peshkash rahi.

Thod ke saare bandhan paas hame aana hai
Bhulakar zamane ko pyaar tumhara paana hai

Kushboo ki tarah meri saanson mein jaana
Tumhare pyaar ki mehek ko aaj basaana hai

Mitakar saari dooriyan thodke saare bandhan
Tumko tumhi se aaj hame churaana hai

Hai tumhari wafaon par khud se jyaada yakeen
Lagakar gale bas tumhe apna banana hai

Thod diye hai saari bandhaney saari zanzeerey
Kiya hai tumse jo waada woh aaj nibhana hai
Logged
suman59
Guest
«Reply #28 on: January 09, 2013, 03:12:13 PM »
Reply with quote
aqsh and hriday both are excellant  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
aqsh
Guest
«Reply #29 on: January 09, 2013, 03:14:27 PM »
Reply with quote
aqsh and hriday both are excellant  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
thank you so much suman jee
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 02, 2024, 08:57:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.143 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer