Anjaan Sahaab Aadaab!
Janab Yo ki Bazm meiN aapka swagat hai... Badi hi umdaa kalaam ke saath
aapne bazm meiN aaghaaz kiya hai... is khoob kalaam par humari hazaaroN
daad O mubbarakbad kabul kijiye... 
Sabhi ashaar khoob rahe janab... kafi achchi aur rawaaN kalaam kahi hai
aapne... 
Likhate rahiye... bazm meiN aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez..
/color]Aapki kalaam khoob rahi aik baar phir se daad hazir hai...
haaN waise toH hume bher ka ilm nahi aur nahi hum bher par dhyaan dete
haiN.. par aap jahaaN se aaye haiN wahaaN se hi humne sikha hai isliye
aapke kalaam ki islaaH ki .. ummid hai aapko bura nahi lageNga...
Aate rahiye.. Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez.. 
Parwaaz sahab,
Andhero'n lafz ko maine 122 ya'ani ke fa-uu-lun par baandha hai. Aur ye poori tarah jaayaz hai.
haa'n ise 121 ya 221 par bhi baandha ja sakta hai. Lekin 212 par andhero'n lafz ko baandhana ghalat hoga.
Aapne hai aise she'r ki farmaaish ki thi jahaa'n 'hai' lafz ko 1 par liya gaya ho. Leejiye pesh-e-khidmat hai Daagh Dehelawii sahab ka ek she'r-
Urdu hai jis ka naam, hami'n jaante hai'n 'Daagh'
Saare jahaa'n me'n dhoom hamaari zubaa'n ki hai
Misra-e-awwal me'n 'hai' ke lafz ko 1 par baandha gaya hai, jab ke misra-e-saani me'n bhi 'hai' ka ist'amaal hua hai. Wahaa'n ise 2 par hi liya gaya hai.