Yaad-E-Madira

by Pooja on June 21, 2007, 07:44:41 PM
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 4123 times)
Pooja
Guest
«Reply #15 on: February 14, 2008, 06:41:20 PM »
Reply with quote
Yaadon ke saaye se koi bacha le mujhe
Mar hi na jaau kahin, is maikhane se koi nikale mujhe

Sochati hu roj, ab nahi jaugi kabhi, is maikhane main
Sham hote hi, koi ladkharte kadmo ke sung sambhale mujhe

Ajeeb ajeeb sawal ate hai jehan mai jinka koi jawab nahi
In sawalo jawabo se door kahi koi phuncha de mujhe

Yaadon ke saaye se koi bacha le mujhe
Mar hi na jau kahin, is maikhane se koi nikale mujhe!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Pi Jo Madira by Pooja in Kaifiyaat-ae-maye « 1 2 ... 7 8 »
Aae na tere yaad kabhi yaad ki tarah by khalidrawat in Shayeri for Dard -e- Bewafai
ishwar aur madira by Prateek Mardia in Kaifiyaat-ae-maye « 1 2  All »
o madira ki boondey by Prateek Mardia in Kaifiyaat-ae-maye « 1 2  All »
maih khane mein madira nahi hai by saahill in Ghazals
Affluent
Guest
«Reply #16 on: March 04, 2008, 04:45:32 AM »
Reply with quote
aa yaadon ke saaye se baacha lu tujhko
le kar bahon mein sula du tujhko

befikar ho iss zamaane se ajj tum
iss qadar seene mein chupa lu tujko

tere har sawaal ka jawab main hi hu
agar dekho meri nigah mein,yakeen mil jayega tujko

aa yaadon ke saaye se baacha lu tujhko
le kar bahon mein sula du tujhko





Logged
Pooja
Guest
«Reply #17 on: March 04, 2008, 03:44:21 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Affluent ji!! bahoot hi simple words mai apne bahoot hi pyara reply kiya hai!!

yaadon ko ab haqiqat ka khwab chahiye
sham hote hi is zisam ko shraab chahiye

shraab mai mil jaati hai jab teri yaadein
us waqat sirf asmaan per wo ek chand chahiye

dekha kare raah teri aor phir chand sung hans de
kuch to jeene ke liye Pooja, Umeend-e-raah chahiye!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #18 on: March 04, 2008, 03:55:45 PM »
Reply with quote
Bohot khoob Pooja and Affluent
Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: March 04, 2008, 03:59:52 PM »
Reply with quote
shukaria Talat!!
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #20 on: March 04, 2008, 04:07:47 PM »
Reply with quote
Iss baar nahin behkunga
Teri yaadon ke nashey mein main
Aa Pila JeeBhar ke pila
Ab Zinda he kahan hun main...

Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: March 04, 2008, 04:09:58 PM »
Reply with quote
wowow bahoot khoob zakhmola ji!!!

la pila de wo jo such main bhula de usse
Pi kar kyun wo aor yaad atta hai
dil torr kar jaane wale yah to bata de
tujhe bhoole kaise, hum se nahi yah ho paata hai
Logged
Affluent
Guest
«Reply #22 on: March 06, 2008, 05:42:17 AM »
Reply with quote
bahoot khoob Affluent ji!! bahoot hi simple words mai apne bahoot hi pyara reply kiya hai!!

yaadon ko ab haqiqat ka khwab chahiye
sham hote hi is zisam ko shraab chahiye

shraab mai mil jaati hai jab teri yaadein
us waqat sirf asmaan per wo ek chand chahiye

dekha kare raah teri aor phir chand sung hans de
kuch to jeene ke liye Pooja, Umeend-e-raah chahiye!!



"khud hi jala kar, khud hi bujati ho
meri deewanagi ka yeh kaisa majak udati ho"
Logged
Pooja
Guest
«Reply #23 on: March 10, 2008, 03:03:51 PM »
Reply with quote
bahoot hi gahra likha hai apne Afluent ji!!


bujhati chingari ko bhi jalana madira ka kaam hai
urdata hai kon kis ka majak, yah jan.na kaha asaan hai!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: March 10, 2008, 03:23:32 PM »
Reply with quote
Aao tumhe ajj yah samjhate hai
Kaise hui dosti, madira se, sab batlaate hai
Kis tarah apne dil ko her sham behlaate hai
Kyun madira ban gai zindagi yah samjhate hai

Dard yah jo apne hokar, apno ko de jaate hai
Samjhte nahi, kis kadar zakham, insaan ko khate hai
Dard bhari cheekh kahi rah jaati hai ander,
do ansoo bhi baha nahi paate hai!!

Pa kar is madira ka sath dekho
Bin soche hum roye per roye jaate hai
Dard bhari cheekhe, lagati hai ek sharabi ki
Aor issi aard mai hum dil halka kiya jaate hai

Mil jaata hai sakoon kuch palo ko jo
Agla din phir kuch chain se bitate hai
Sham dhale phir wo hi zakhmo ka dera
Her sham issi liye madira sung bitate hai
Aao tumhe ajj yah samjhate hai……………
Logged
Roja
Guest
«Reply #25 on: March 12, 2008, 02:51:47 AM »
Reply with quote
back to Madira  :wink:

Madira  :evil: ka hai saara kasoor hume koi ilzaam na do
Pi kar kho dete hai hosh, app is kadar preshan na ho

Be-hoshi main bhi apko hum JI kah kar bulate hai
Khud hi sochiye phir app, kitne pyaar se dil mai apko basate hai  :lol:

Kabil hai app kitani yah to shabdo main kaha na jayega
Aao batho piyo kuch jaam sung, khud-b-khud apko samjh aa jayega tongue3

haha.. nice reply pooja di

Itna b kyu peete ho jo apno ko dhuri kare
Hosh main raha karo, samne hamare apne hai

Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: March 12, 2008, 03:53:46 PM »
Reply with quote
Shukaria Roja!!!

Pina nahi adat humari, hum aise hi pi jaate hai
Jina nahi jarurat humari, aise hi jiye jaate hai
Gumo ko bahoot sambhala, humno saalo saal
ab  pi kar unhe bhi azad kiya jaate hai!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #27 on: June 13, 2008, 09:03:18 PM »
Reply with quote
sham ki tanhaai aor yah mdira-e-jaam
door talak nahi koi aor yah tanha-e-sham
Mujhe bulaati pass apne phir madira-e-jaam
saansein ghut.ti hai meri aor yah tanha-e-sham....
Logged
akela
Guest
«Reply #28 on: June 13, 2008, 10:21:58 PM »
Reply with quote
 Applause pooja Applause affulent bahoot sahi kaha
Logged
Pooja
Guest
«Reply #29 on: June 23, 2008, 04:53:02 PM »
Reply with quote
Thanks Akela jee!!
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 05, 2024, 02:59:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8500 Real Poets and poetry admirer