Zindagee, mout key geet gaatee rahee!

by abdbundeli on July 12, 2008, 03:27:13 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2251 times)
Muhammed
Guest
«Reply #15 on: July 24, 2008, 10:22:20 AM »
Reply with quote
abd babu....bhai syed ne jo kahaa..wo har baat har lafz ko Taslim karta hun.
            Ye aqaaeed Aur Imaan Ki boli hai..

Abd babu..Puri Zindagi aapki chali jayegi,,Magar aap samaj na sakoge..shayad
..shahad Aur Sugar Me Farq Kya Hai...?? Lagata To Dono Mithaa Hai..!!!!   
'Na us ko aap peetey hain; na us ko 'abd' peetaa hai!
Miyaan, jo aap peetey hain, wahee to 'abd' peetaa hai!!
          Abd babu..Ye second lines,,,Bilkool sehmat nahi hun main..
          Meri Sunnat-o-Shariyat K Khilaaf Hai..
          Bara-e-qaram maaf kigiye ga...
           
   
                 
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #16 on: July 24, 2008, 03:13:20 PM »
Reply with quote
Muhammed Sa'b,
Meiney pahley bhi kahaa thaa, aur fir sey kahtaa hoon: Shayroun ki 'yah sharaab' wah sharaab naheen hai jisey aap qufra kahtey hain, yaa jis sey naseh-o-zaahidan 'toubaa' karney ko kahtey hain! Yah to soofi shayroun ki 'wah sharaab'  hai jis sey Omar Khayyam jaisey 'rind' hashra key baad bhi zindaa rahaingey! Yah 'wah sharaab' hai jisey Momin-o-Galib sey Daag-o-Jigar ney hi naheen, ab key darzanoun azeem shaayroun ney bhi bahut hi oonchee 'suggestive imagery' key isteymaal key saaye mein gaayaa hai!
Janaab Muhammed Sa'b! Mein samajhtaa hoon 'yoindia shayariadab'
adbi shaayaroun ki mahfil hai, naseh-o-zahidaan ki naheen!! Isliye yahaan shayari ki baaten hi honeen chaahiye; pak quraan-o-shareeyat ki naheen! Un oonchee-oonchee baatoun key liye aur bahut saareen mahfilain aur tanzeemein hain jahaan poorey josh-o-kharosh key sath wa pooree sanzeedgee key saath itmeenaan sey pak parwardigaar ki baaten ki jaa saktin hain!
Yahaan to shaayar yah bhi kahtey mil jaayengey:
 "Omar Khayyam jaisey RIND they pahloonasheen RAB key!
  Khudaa waaloun ko, mahshar mein, Khudaa sey door deykhaa hai!!"
Janaab, yeh to eik shayaraanaa khwaab hai; warnah kisney 'hashra' ya 'RAB' ko deykh paayaa hai, aap hi bataa saktey hain, meyrey bootey ki baat to yah hai naheen!!
  Is mahfil mein to 'RIND' Zaahid sey yah bhi poochhtaa nazar aa jaayegaa:
    'Zaahid! sharaab peeney dey masjid mein baith kar;
     Ya, wah jagah bataa, ki, jahaan par KHUDA na ho!
Aapney, theek hi farmaayaa thaa, ki, Daag Dehlabi Sa'b Naseh-o-zahidaan ki mahfil key naheen they, unkee mahfil to Shayaroun aur shayari key qadradaanoun ki mahfil thee! Aur, meyraa khayaal hai, 'yah mahfil' bhi kuchh waisee hi hai! Meyree samajh to bas itnee-see hi hai; aap jaisey deen-o-yeemaan ka jhandaabardaar na mein hoon, na honaa hi chaahtaa hoon! Muaaf keejiyegaa!
                                      - abd bundeli

 
   
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #17 on: July 25, 2008, 04:36:29 AM »
Reply with quote
chaliye bundeli saab...
Maan Liya.........Aapka Maslaq Shayaro Ka Aur Hmaara Maslaq Shariyat Ka..

aaj k baad is Mauzoo par kabhi Masarruf-e-guftagu nahi Rahenge..


Qaa'lal-laahu-Ta'ala Fil Qur'aanil Majeed-il-Val Furqaanil Hameed " Laqoom din-oqoom val-e-yadin"...
Sufi-e-ba'safaa Hazrat-e-Ba-yazeed Bostami Arz kard shud " Al Islaam Gardan Nihaadat Ki,,Zabaan Ba- Zoor'aat Kushaadan "
Shah-e-Taswwuf Hazrat-e-Khwaja hasan Basri Va Huzur Garib Nawaaz Va Huzur Daata Ganz Bakhsh Va hazaar'haa Sardaarn-e-Taswwuf Arz Kard " Shariyat Aain-il-Islaam "
Ba-Hawala Riwaayatun kitaab Az-zubdooz zaqqiyaa Le Tahreem-e-shujood-et-Tahhiyaa Musannif a'la hazrat barielvi Radiallhu anhu va radu anhoom.Va-ma Tafiqu-illa- Bilaah Hil ali-yyil-Azeem.

 
Logged
ar.zainab
Guest
«Reply #18 on: December 01, 2008, 09:06:50 AM »
Reply with quote
Pyar kya hota hai hum nhin jante !
Zindgi ko hum apna nhin mante,
Gum itne mile ki ehsaas nhin hota,
koi hmse pyar kare vishvaas nhin hota..!!
Logged
ar.zainab
Guest
«Reply #19 on: December 01, 2008, 09:09:29 AM »
Reply with quote
woh roi toh bahut per dil tod k roi,
badi majboor thi muh mod k roi,

phir kerke mere saamne meri tasveer k tukde,
baad mein unhi tukdo ko jod k ro.............../


--------------------------------------------------------------------------------

shayer mit jaate hain jahaa se magar unka qall fanaah nahi hota,
Tanhaai bhie tanha hoti hain magar,TAHIR tanha nahi hota................./
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #20 on: December 01, 2008, 09:15:47 AM »
Reply with quote
Nice One Zainab Ji,.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: December 02, 2008, 06:13:44 AM »
Reply with quote
wah kaya baat hai.. bahoot khoob Abd ji
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #22 on: December 02, 2008, 06:46:17 AM »
Reply with quote
ar.zainab ji!
Waah Zainab ji, kyaa hi khoob kahaa hai!!
                       - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #23 on: December 02, 2008, 06:47:23 AM »
Reply with quote
Bahut-bahut shukriyah Pooja ji!
              - abd bndeli
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 01, 2024, 01:00:29 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer