Adaab DostooN ..... kuch Aaj ki nari ke bare mein pesh ler rha hoon ...... acually meri begum ne jo meri halaat bnai hai ussi ko madey nazar rakhte huye ... mein chend ashaar aaj ke nari pe likh rha hooon.... umeed hai meri halaat pe taras aayega !!!!
kaash ke ab ki duniyaa me bhi
pahle see aurat mil jaati
huqm chalata baith ke mein
wo halke halke paanv dabaati
bhool bhi jaao wo din jab
mardon ne aaraam kiyaa
nayi naari ne mardon kaa
har sukh chain haraam kiya
daftar se mandee jaate hain
mandee se ghar ko aate hain
fir biwi ke taanon ke sang
ghar kaa kaam wo niptaate hain
haay ri durbal mard ki jaat
kah naa paaye dil ke baat
kab hogee fir terii subah
kab chhootegi kaali raat?
teraa janam huaa duniyaa me
kuchh kar ke dikhlaane ko
sahma huaa tu soch me baitha
kyaa duun biwi ko khaane ko??
bahoot khoob HumTum ji, apki shayri parr kar chand lines jo mere deemag mai aai hai, likh rahi hu:
Kash ki ab ki duniya main bhi
Pahle sa aadmi mil jaata
Ghar ke ander bethati main bhi
Wo bahar jakar, kama kar lata
Bhool bhi jao wo din jab
Aurto ne araam kiyaa
naye jamane ke mardo ne
jeena naari ka haram kiya
subah uth kar sare kaam kare
bhir office ko wo jaaty hay
office se sidhe ghar ki grocery kar
ghar akar kaam main lug jati hay
hi re komal naari ki jaat
kah na payye dil ki baat
karati hai kaam mardo ka bhi
bhir bhi na pahchane, yah hai mardo ki jaat!!!
Naari ka janam hua duniya mai
dharati ki tarah ban jaane ko
kaamo se hui ab naari badhawaas
waqat nahi ab jayada, is dharati per sunaami anne ko!!!