dedicated to.........larke...

by roshni246 on January 15, 2006, 01:05:39 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 12
ReplyPrint
Author  (Read 11675 times)
shayar_dildaar
Guest
«Reply #30 on: February 22, 2006, 03:17:59 PM »
Reply with quote
:lol:  :lol:  :lol:  :lol:
Samir Dil khush kar diya tumne..aa jao galle mil jao bhai...[/color]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kita pyari hai woh larke jo mara dil main hai basee(persona) by muneeb in Shairi - E - Zindagi
EK larke na kaha haam sa(personal) by muneeb in Shairi - E - Zindagi
dedicated to lovers! by tinda in Shayri for Khumar -e- Ishq
Larke pe bhari larki by songwriter_123 in Share:Funny Poetry
Ladkiyon pe bhaari larke by songwriter_123 in Share:Love Poetry
shayar_dildaar
Guest
«Reply #31 on: February 22, 2006, 03:37:30 PM »
Reply with quote
Baatein hazar lekin kaam kam karte hain,
Inn ladkiyon ke nakre hazaar hote hain....

Make-up shake -up mein waqt lete hain,
Milne ane kaho toh, dus ghanta lagate hain...

Hum ladke mehnat majdoori kar paise kamate hain,
Machine shop mein 12 hrs bitate hain...

saari mehnat inn ladkiyon par daal dete hain,
Kam paise hain DARLING, fir bhi yeh kehte hain....

Weekend main ghumana padta hain,
Thoda rest le toh baatein hazaar sunate hain....

Exams mein hum top bhi karte,
Sports mein bhi kamaal dikhate...

Agar ladkiyon se intellectual sawaal karte,
Toh "Empty brains" ka saboot hain hum pate....

E-khuda ek darkhwast hain tum se,
Azaad kar inn ladkiyon k zulm se..
[/color]
Logged
roshni246
Guest
«Reply #32 on: February 22, 2006, 03:37:50 PM »
Reply with quote
are yaar hume to maloom hi nahi tha k wahan bhi posts ati hain,...........very gud .....calo ab  hum ladkhon k upar kuch likhen...........


kabhi larkiyon ki adaaon mai martay hain larke
kabhi college to kabhi school kegate par khare miltay hain larke
ek waqt main das girl friends rakhte hain ye larke
baray hi dill phaink hote hain ye larke
kabhi jo murawat main bhi mur kar daikh lo in ki taraf
to qadmon mai lot partay hain ye larke

kabhi aankhon ko ghazal to kabhi chaihray ko chaand
larkiyon ki tareefain karte thaktay nahi ye larke
jo mill jaaye qismat say us main kabhi khush nahi raihte
kabhi yahan to kabhi wahan moonh marte hain ye larke
khud ko shahrukh ya kabhi salman khan samajh kar
har larki say izhaar-e- muhabbat karte hain ye larke

paihlay larkiyon ko meethay meethay khawab dikhaate hain
phir kisi aur larki ko miltay hi sab bhool jaatay hain ye larke

paihle kaihte hain ke main tumhare bina ji nahi sakta
zeher ye zindagi ka pee nahi sakta
tum jo mill jaao to mairi qismat sanwar jaayegi
baad mai apne har qol har wade ko bhula daite hain ye larkay
suno larkiyon ye larke sirf larkiyon say time paas k liye karte hain dosti
bhanwray ki tarah daal daal mandlate hain ye laarke

laakh booraaiyan kar lain ye larkiyon ki magar
phir bhi larkiyon ke peechay dum hilate nazar aatayhain ye larke
ishq ke dong ne kiya hay in ko tabah yaaron ye duniya jaanti hai
kabhi nahi sudhraingay is qom ke larke ye dunia manti hai



abe minu sweetu kahan hai reply likh..........!!!!!!

~roshni~
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #33 on: February 22, 2006, 06:05:24 PM »
Reply with quote
Rosh tere muh pe ghi shakar!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #34 on: February 22, 2006, 07:37:38 PM »
Reply with quote
thxx yaar...............aab dekhna hai ladken kya reply dete hain
Logged
Pooja
Guest
«Reply #35 on: February 22, 2006, 07:59:13 PM »
Reply with quote
Quote from: "shayar_dildaar"
Oho pange.....Hmmmmmm....Poojajiii zara sambhalke....
Galat kaha aapne, kuch gaur farmaye,
Hum sacha mohabbat karte, kitne baar samjhaye...

Pange lene kaho toh samne aa jati ho,
Kuch ulta pulta keh de toh, senti jawab deti ho....

Ab maza ayega iss jugalbandhi main,
Dikhayenge huzur, dum hain ladko main....
[/color]

Time out..Assignement hain....Baad mein pango ka silsila chalu rahega :D  :D


Panga nahi, hum to waise hi post hai barda rahe
Apki dosti ko sarkaar, hum nahi lalkaar rahe

Sahi farmaya apne, kaya karu mere-o-payare dost
Baaz nahi atti mai bhi, aor jaldi hi kho deti hu hosh tongue3

Yah to topic hi aisa hai ki, jisme bahoot maza hai
Per rakhana yaad, ek ke bin nahi doosre ke hone ki koi wazah hai

Time out here too….job per hu marwaogy muje app sare
Logged
Pooja
Guest
«Reply #36 on: February 22, 2006, 08:03:50 PM »
Reply with quote
samir bahoot hi acha reply kiya hai....baad mai issi post ko edit kar ke apna jawab likhugi...Usual Smile

Urs and Roshini too good job.....lagi raho inke pichy.. mai bhi bich bich mai atti rahugi...
Logged
D K
Guest
«Reply #37 on: February 22, 2006, 09:20:17 PM »
Reply with quote
arre yaar itni kehnat kyon karna
faaltu mein ladai kyon karna

sab jaante hain ladke hain nanhe farishte
phir bhi ladkiyon ko kyon aise nahi dikhte

ladkiyon ki aankhein ho gayi hain kharab
unke aankhon pe pada hua hai naqab

jis din ladkiyaan dimaag se sochna shuru karengi
ladkon se free mein pange nahi lengi



chalo chalo .. bhai .. sab log ghar jao
faisla ho gaya .. boys r best
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #38 on: February 23, 2006, 09:36:25 AM »
Reply with quote
Quote from: "shayar_dildaar"
Baatein hazar lekin kaam kam karte hain,
Inn ladkiyon ke nakre hazaar hote hain....
Make-up shake -up mein waqt lete hain,
Milne ane kaho toh, dus ghanta lagate hain...
Hum ladke mehnat majdoori kar paise kamate hain,
Machine shop mein 12 hrs bitate hain...
saari mehnat inn ladkiyon par daal dete hain,
Kam paise hain DARLING, fir bhi yeh kehte hain....
Weekend main ghumana padta hain,
Thoda rest le toh baatein hazaar sunate hain....
Exams mein hum top bhi karte,
Sports mein bhi kamaal dikhate...
Agar ladkiyon se intellectual sawaal karte,
Toh "Empty brains" ka saboot hain hum pate....
E-khuda ek darkhwast hain tum se,
Azaad kar inn ladkiyon k zulm se..
[/color]



Zulm Karte hai hum fir bhi pichey pichey aatey ho,
Ye darling naam se pukar k, humaare paas paas mandraate ho,

Ek drkhwast khuda se hum bhi aaj kar lete hai,
Ek sach shabd aa jaye aapke muh pe, is baat k duah hum bhi kar dete hai,

Ye “kaam pe they” keh k, ghar deri se aatey hai,
Kaash “Aaj gas khtam ho gaya aur khana nahi bana” keh kar hum kyu jhuthey nahi ban jaatey hai,

Arey sports mein acha kiya bolke, zammeen aasman ek kar lete ho,
Tum ek kaam karo, ise apna career bana ke, hume khana kyu nahi khilaate ho,

Arey weekend pe hume ghumaane kya le chale,
Ye ladke tho humpe meherbaani kar pade,

Ice cream aur puchka ka paisa kya de dia,
Ye ladke tho guroor kar pade,

Hum jab ruthey hai, tho manate manate thak jaatey ho,
Kitni mehnat karte ho, 12 ghante apni bakvaas sunaate ho,

Nakhre humaare hai hazar, tho Huzur aap bhi kam nahi,
Dinbhar apni mardaangi dikhaatey ho, par actually andar mein dam nahi!
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #39 on: February 23, 2006, 10:25:45 AM »
Reply with quote
Quote from: "samir_bc"

urs4evasomdev ji reply isliye nahi aaya kiyon ki hum  nahi aaye the, haakeekat parda na dolo ladkiyon, jhoot aur freb kon kerta hai yeh jaano

wah ji wah aj kal ki ladkiyon ka kiya kehna
ek se piyar ki jhooti kasmein dusre ko line main rakhna

khoobsurat dikhne ke liye rozana beauty parlour hain jaati
boy freind ke paison ko baap ka maal samjhke cream powder per hain udati

cream powder malker jab yeh milne aati hai to dum hi nakal jata hai
arey zalimo aane se pehle deo (perfum) lagane main tumhara kiya jata hai

inki bholi surat ko dekhker bechare ladke samajh nahi paate
inke chakkar main kangal hoker baad main hai pachtate

bechare le le ker udhar doston se,
inke liye gift late hain aur hotlon main khana khilate hain
in zalimon ke dil to pathther hain
phir bhi nahi pighal pate hain

kama kar kahan se layenge bechare
saara din to ladkiyon ko ghumane aur naaz uthane main hain bitate
ban jaate Softwere Engineer bhi
agar ladkiyon ki bholi surat ko dekhker dokha na khate

karte hain love merriage, ki kaash woh ladkiyon se piyar payenge
per bechare nahi jaante shadi ke baad unke nakhre aur bhi badh jayenge

pehle to kehti hain ladke ke maa baap ki khoob sewa karengi
shadi ke baad alag hone ke liye din raat jhagda karenngi

deta hun salah doston ab na naginon ko doodh pilana
meri tarah bachke rehna bholi bhali soorat dekhker dhoka na khana


Wah ji wah in ladko kya kehna,
Na kisi ek se pyaar kare, par sabse izhaar kare,

Khubsurat hai hum, isliye fida ho aap,
Khusnaseeb ho hume pakar, kitni baar samjhau “mere baap!”

Aaj jab bf bane ho, tho paise tho udaane honge,
Mere baap k paiso se na sahi, tere baap ke tho khaane honge,

Humse milne k liye deri ho rahi hai,
Ye jaan ke bhaag bhaag k aatey ho,

Hume ab bhi tumhaare liye wait karte huye paa kar,
Us kambhaqt mehnati daud k baad, saansen na le paate ho,

Bichaare jab kangal hone k surat dikhaate ho,
Hume guilty feel kara k, apni dil ko tasali dilate ho,

Ciggi aue beer pe pe ke, apne dil ko behlaate ho,
In bekaar, jaan-leva cheeso mein paise kharch kar k,
khud k bematlap zarurate pure karate ho,

“bichare bhatke huye hai” ye samajh k, hum tumhe sidhi rasta dikhlaate hai,
 Pyaar se hi tumhe pith k, tumhaari janwaron jaisi harqat ko line pe late hai,

In ladko ka pyaar tho dekho, baap k paise kharch kar k, hazar tofey laatey hai,
Inki himmat tho dekho, khud k paise batla k humse pyaar nibhaate hai,

Arey pathar hai hum, sahi farmaya aapne,
Par here jaise anmol hai,  ye nahi jana aapne,

Do baar fail hoke, sharm nahi ayi, kehte hai apne aap ko software engineers,
Thisri baar paas ho gaye, aur inke saath inke peers (dost),

Actually ye ladke hai baap k pighle huye dil k natijey,
Aur hai sirf software engineers k bhatijey,

Shaadi se pehle, jaha hume paye, sabke saamne hume pakad lia,
Aur shaadi k baad, humse do meel dur reh k, ek bhola beta ban , mera dimaag ka bheja fry kar dia,

Arey aapki tara sirf baatein nahi karte,
Bijli k tara, garajte hai aur barasate bhi,

Ladkiyaan zara bach k rahiyo,
In ladko ki jhuthi baton mein na ana,

Ye zehrele saap hai, das lenge ye,
Yu inki baton mein akar, apni jaan na gavana……



lolz gals!
i support TGIF---- DO U?
TGIF--- Thank God! I'm Female! :lol:
[/b]
Logged
roshni246
Guest
«Reply #40 on: February 23, 2006, 01:29:23 PM »
Reply with quote
minu sweety i luv ya...............
pooja ji.....apki post great hai yaar sach main.......

kia hain ab hum kia batain aaj kal ke larke
lab se chalakta jhoota pyar aur hontoon pe angrezi bhi hai
baathoon main nadani bhi hai, dillagani bhi hai
dil laga ke uur jate hain aaj kal ke larke

maa ko woo mummy kahain pops kahain woo baap ko
ainay main soo dafa daikhain shahruk khan samjhe hain vo apne aap ko
pane ishq ko mare mare phirte hain
daikhi dete tie suit main vo
aur agar chahain to kar saktee hain wafa yeh bhi
par raat bar sarkoon pe, cigarette pukteve gumte hain aaj kal ke larke

thank u kahte nahi jab aun ki khamiyoon ko, in ki awaragardiyoon ko maaf kar do
mazeed ulta flirt karte hain
dil yeh chahey wahain in ko pakar kay peet do
asse mandlain jaise shehir pe in ka raaj hai
ab shuhar ban na jaain aaj kal ke larke


kya hua boys bolti band hogayi.........kya hua?Huh???!!!!!!!!



~roshni~
Logged
urs4evasomdev
Guest
«Reply #41 on: February 23, 2006, 02:24:11 PM »
Reply with quote
rosh sweetie luv u tooooo
aur rosh tu fikar na kar........ ye ladke zarur ayenge,
par humesha k tara hum tayar rahenge!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #42 on: February 23, 2006, 04:25:33 PM »
Reply with quote
Thanks Roshini....

Bahoot khoob urs and Roshini....
Bichare larke yahan bhi munh ki hi khayegy....

ek pal hamare bin rah nahi sakty aor akkarr dekho inki.... tongue3
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #43 on: February 24, 2006, 11:04:26 AM »
Reply with quote
Quote from: "roshni246"

kabhi larkiyon ki adaaon mai martay hain larke
kabhi college to kabhi school kegate par khare miltay hain larke
ek waqt main das girl friends rakhte hain ye larke
baray hi dill phaink hote hain ye larke
kabhi jo murawat main bhi mur kar daikh lo in ki taraf
to qadmon mai lot partay hain ye larke

kabhi aankhon ko ghazal to kabhi chaihray ko chaand
larkiyon ki tareefain karte thaktay nahi ye larke
jo mill jaaye qismat say us main kabhi khush nahi raihte
kabhi yahan to kabhi wahan moonh marte hain ye larke
khud ko shahrukh ya kabhi salman khan samajh kar
har larki say izhaar-e- muhabbat karte hain ye larke

paihlay larkiyon ko meethay meethay khawab dikhaate hain
phir kisi aur larki ko miltay hi sab bhool jaatay hain ye larke

paihle kaihte hain ke main tumhare bina ji nahi sakta
zeher ye zindagi ka pee nahi sakta
tum jo mill jaao to mairi qismat sanwar jaayegi
baad mai apne har qol har wade ko bhula daite hain ye larkay
suno larkiyon ye larke sirf larkiyon say time paas k liye karte hain dosti
bhanwray ki tarah daal daal mandlate hain ye laarke

laakh booraaiyan kar lain ye larkiyon ki magar
phir bhi larkiyon ke peechay dum hilate nazar aatayhain ye larke
ishq ke dong ne kiya hay in ko tabah yaaron ye duniya jaanti hai
kabhi nahi sudhraingay is qom ke larke ye dunia manti hai



~roshni~


pehle to apni adaaon se bechare ladkon ko phasati hain yeh ladkiyan
phir college school bus stop per milne ko bulati hain yeh ladkiyan


ek do ladkon se to inka guzara chal hi nahi sakta
isiliye das das ladkon ko phansa ke rakhti hain yeh ladkiyan

kabhi mur mur ke dekhti hain kabhi hansti hain chupke se
ladkon ko phasane ke na jaane kitne hunar rakhti hain yeh ladkiyan

chahe jitna bhi inki aankho ko ghazal ,chehre ko kamal kaho dosto
phir bhi naginon ki tarah dasna nahi chodengi  yeh ladkiyan

shakal ko apni aainey main dhang se dekhti nahi
aur madhuri ,aishwarya banna chahti hai yeh ladkiyan

pehle to meethi meethi baaton se naye naye khuwab dikhati hain
phir thoda jiyada paise waala mila to becharon ko chor jati hain ye ladkiyan

pehle to saath jeene saath marne ki jhooti kasmein khati hain
paise khatam hote hi naye murge ki talash main lag jati hain yeh ladkiyan

suno dosto yeh sirf paison ke liye karti karti hain dosti
agar miljayen bike wale to phoole nahi samati yeh ladkiyan

doston main aap sab ko ek hi deta hun salah
na padna chakeron main chahe kitni bhi bholi bane yeh ladkiyan

doston khao kasam humein yeh zamane ko dikhana hai
inki jagah hai thokron main inhein wahi pahunchana hai
Logged
D K
Guest
«Reply #44 on: February 24, 2006, 06:16:18 PM »
Reply with quote
bahut umda ....... samir

too good everyone ...
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 02, 2024, 12:26:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer