Baith baazi ( Jugal Bandi for shayar's & shayara's )

by junaidqadir on April 26, 2009, 09:22:57 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 13
ReplyPrint
Author  (Read 10041 times)
sajid_ghayel
Guest
«Reply #30 on: April 30, 2009, 07:28:52 AM »
Reply with quote
Aksar Milti Hai Sazaa Unhe Jinka Koi Kasoor Nahi Hota,.
Jo Uthaata Hai Sharafat Ka Boj,Wo Mazdoor Nahi Hota,.

Daal Lete Hain Talwaarein Miyaano Mein Ghar Waalon Ka Sochkar,.
Jo Paird Jhukta Hai Phalon Ke Boj Se, Wo Jardon Se Door Nahi Hota,.

Sar Jhukaa Kar Chalta Hai Jo, Khauf Khudaa Ka Dil Mein Liye,.
Wo Kabhi Zamaane Ke Aage "Azeem, Majboor Nahi Hota,.

___________________________________________-Azeem-


Subhan_allah Azeem dil kar raha hain tumhara matha chum lu.....shabash chote shabash khush kar diya apne is bhai ko... Clapping Smiley Clapping Smiley

Jitni dekhi hain humne, utni kaha tumne dekhi duniya

Hone ko yaha Ghayel kya nahi hota....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aaine se Bigad ke baith gaye......! by sharmaarunkumar in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
BANDI-CHHOR DIVAS..... by khwahish in The Wishes and Celebrations « 1 2  All »
Jugal Bandi by @kaash in Miscellaneous Shayri « 1 2 3 4 »
*shayara hi rehene do*....tanowar by Tanowar Jahan in Miscellaneous Shayri
note -bandi(CSET) by MANOJ6568 in Miscellaneous Shayri
junaidqadir
Guest
«Reply #31 on: April 30, 2009, 08:30:31 AM »
Reply with quote
wah wah chute kya qoob likha hai aur sajid apka to jawab hi nahi eak ashar nazar karta hon ashar se mil jao to nawaz dena !!

buthon ko poojne ka sila khuch is tarha mila unhe !!
Sang ne khud awaz laga-e- ke pather me khuda nahi hota !!

JQ
[/color]
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #32 on: April 30, 2009, 10:02:55 AM »
Reply with quote
Subhan_allah Qadeer kya likh diya yaaaaaaaaaaaaaar kasam se dil to ho raha hain is sher ko Har shaks ko sunaoo aur badi shaan se kahu yeh mere Aziz Dost Abdul Qadeer Toopchi ka sher hain.....isse shayed Badnam Ghayel ko thodi izzat mil jaye.

Itni shiddat se maine butho.N ki ibadat ki thi,

Pal bhar ko farishte bhi badgumaa.N huye, khuda kaun hain...

-SG-
Logged
salil2002
Guest
«Reply #33 on: April 30, 2009, 11:07:25 AM »
Reply with quote


qadeer bhai, sajid bhai , aapne toh mehfil ko alag hi rang de rakha hai ..........azeemm bhai aapki maujodgi ne toh chaar chand laga diye hai....izazat ho Ustaad logon kii toh main kucch kehna chahoonga



jala kar jism mera, rakh ko oodate kyun ho
meri mehfil main holi ka dastoor bhi  hai
Logged
salil2002
Guest
«Reply #34 on: April 30, 2009, 11:09:02 AM »
Reply with quote


aaj hifazat se laaya tha tere khat mehfil main
na jaane mere ashqon se kab kalaam dhul gaye
Logged
salil2002
Guest
«Reply #35 on: April 30, 2009, 11:33:39 AM »
Reply with quote
bahut achche kaash.....

           mehfil k rang is kadar hai bikhre huye
           kissii ko jaam peena - pilaana nahin aata
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #36 on: April 30, 2009, 12:26:07 PM »
Reply with quote
Subhan_allah Salil bohat bohat khoob..... Clapping Smiley aur kaash tumhara kya kehna.....chalo jaha se tumne choda hai wahi se baat shuru karta hu....aur bait bazi me yahi to maza hain ke agla  sher pehle sher ka jawab ho ya usi ki tarz pe kaha gaya ho...


Humne sang nahi insano ke dil tarashe hain

Jis dil me jhakega meri moorat nazar aayegi.....

-SG-
Logged
salil2002
Guest
«Reply #37 on: April 30, 2009, 12:34:22 PM »
Reply with quote
Subhan_allah Salil bohat bohat khoob..... Clapping Smiley aur kaash tumhara kya kehna.....chalo jaha se tumne choda hai wahi se baat shuru karta hu....aur bait bazi me yahi to maza hain ke agla  sher pehle sher ka jawab ho ya usi ki tarz pe kaha gaya ho...


Humne sang nahi insano ke dil tarashe hain

Jis dil me jhakega meri moorat nazar aayegi.....

-SG-
bahut achche sajid bhai

is kadar gumaan main tha banane wala mera
kii tarasha mujhko toh khud ko bhula beitha
Logged
salil2002
Guest
«Reply #38 on: April 30, 2009, 12:40:27 PM »
Reply with quote


mujhe tabdeel kar diya but main , main muskuraaya bahut
chalo hunar unka panchhiyon k kaam aaya bahut
Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #39 on: April 30, 2009, 01:08:50 PM »
Reply with quote
Subhan Allah sajid maine ashar jahan qatam kiya tha wahan se kaha hai tumne eak aisa ashar likha sahab apne ke jawab dena bus ki baath qaqsar ke waise koshish ki hai hifazath karne

Teri ibadath ka sila khuch yun mila tujhe Ghayel !!
Ke tu buthoon ko pooj ke bhi kafir na howa !!

Qadeer
Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #40 on: April 30, 2009, 01:11:46 PM »
Reply with quote


qadeer bhai, sajid bhai , aapne toh mehfil ko alag hi rang de rakha hai ..........azeemm bhai aapki maujodgi ne toh chaar chand laga diye hai....izazat ho Ustaad logon kii toh main kucch kehna chahoonga



jala kar jism mera, rakh ko oodate kyun ho
meri mehfil main holi ka dastoor bhi  hai
salil mere bhai kyon sharminda karte ho izzath maang kar mahefil qadardanoo ki mahotaj hoti hai aur app jaise shaura aur shaudamil jayen to hamari khushnaseebi hogi ..ate rahena aur bam ko sajate rahena !! apka jawab nahi shayari me !! izzath afza-e- aur pasandgi ka shukriya !!

Qadeer
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #41 on: April 30, 2009, 01:19:20 PM »
Reply with quote

Bohat khoob Salil aur Qadeer saheb ise sambhaliye......Subhan_allah nervous kar dete ho yaar. Bachche ki jaan loge kya itne bhari bhari sher ka jawab dene me pasina nikal jata hain  DOH


Jo teri batein karigiri-e-sang-tarash se behtar hoti waiz

Q bhala main buth parasti me mubtila hota.....

-SG-
Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #42 on: April 30, 2009, 01:32:36 PM »
Reply with quote
subhan allah ghayel sahab kya umda ashar nazar kiya hai apne !!

Uska hunar uski karigari wo jane "Qadeer"
Mai tu itna jano sang hi na bole to sang-tarashi kya hai !!
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #43 on: April 30, 2009, 01:46:36 PM »
Reply with quote
Wah ustaad chain se jeene nahi doge  DOH chalo thoda mauzu ko change kiya hain sambhaal lena....


Jise peekar na kadam lad_khadaye na madhosh ho aakhe..

Haraam aisi sharab hain humpar, woh sharab hi kya hain....
Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #44 on: April 30, 2009, 01:50:33 PM »
Reply with quote
Bahoth umda sajid sahab !!



madhoshi me ladkhadte kyoon ho tum Ghayel!!
tum ko jab bhi peeta dekha maine baa-uzu dekha !!

Qadeer
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 13
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 03, 2024, 11:24:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer