Hume tumse mohabbat hai........!!!!

by Talat on June 07, 2005, 06:15:58 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3676 times)
Suhas
Guest
«Reply #15 on: June 09, 2005, 05:41:08 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Zindagi ki haqeeqaton ne tadpaa diya hai mujhe bohot
Kabhi neend main meri tum ek khwaab ban ke aa jana

Main chal rahi hoon ghumon se tapte hue sahra ke beech
Jo ho sake to kabhi saraab ban ke saamne aa jaana

Dunya ke is hujoom main, hai mera apna koi bhi nahin
Jis ka har lafz ho mere liye, wo kitaab ban ke tum aa jana

Mere in aansuon ne hi jala diya hai mujhe sanam
Sulag raha hai wujood mera, tum aab ban ke aa jana

Tumhari har baat mere man ko chu jaati hai
Kabhi mere saamne tum kharaab ban ke aa jana

Thak chali hoon main ab yeh ashk bahate bahate
Tumhe soch ke muskura doon aisi yaad ban kar aa jana!!!!



Wow.....very nice Talat ji!!  You know how to give wonderful words to the feelings
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
hume tumse pyar (kishor) by tushar_4u_im in Shayri for Khumar -e- Ishq
HUME MOHABAT HAIN TUMSE by ANKIT RAO in Shayri for Khumar -e- Ishq
Hume tumse kuch kehna he..... by Dil Shah in Shayri for Khumar -e- Ishq
Hume tumse mohabbat hui hai.. by Raghu Singh in Songs & Lyrics
Hume tumse mohabbat hui hai.. by Raghu Singh in Songs & Lyrics
Talat
Guest
«Reply #16 on: June 09, 2005, 05:46:58 PM »
Reply with quote
Thanks a lot Suhas....when you have intense feelings....words apne aap jud jaate hain !!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #17 on: June 09, 2005, 06:52:15 PM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
bahut khoob sis..

dekho kissi ki yaadon mein khud ko na mita dena
yaadein to dil ka khazana hoti hain
sambhlna kahin isse na luta dena

woh ayenge ik roz, hai agar dil ko yaqin
to unhe dil mein basaye rakhna, aur aane ki dua dena..


wow  nikki    bahot  khoob................very  nice  talat.............thy...........
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #18 on: June 09, 2005, 10:12:07 PM »
Reply with quote
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi
Kiski majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi
Logged
Talat
Guest
«Reply #19 on: June 10, 2005, 06:53:05 AM »
Reply with quote
Thanks Waheed !!!!  n nice Fakhar............................
Logged
HumTum
Guest
«Reply #20 on: June 10, 2005, 07:35:47 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Mohabbaton ka kabhi tumse sila nahin maangenge
Chahenge taumr par kabhi wafa nahin maangenge

Taqdeerain to ban jaati hain pehle se hi kahin par
Teri aarzu bohot hai par teri dua nahin maangenge

Suna hai uske darbaar main bin maange milta hai
Us Khuda-e-bartar se hum bhala kya maangenge

Phoolon ki tamanna to sab hi kiya karte hain yahan
Sochte hain is bahaar main hum khizaan maangenge

Tera intezaar nahin hai hume, magar phir bhi ek baar
Kabhi tum ruburoo aa jaao mere ye dua maangenge !!!


waah..... another great one frm you !!

Tera intezaar nahin hai hume, magar phir bhi ek baar
Kabhi tum ruburoo aa jaao mere ye dua maangenge


bahot khoob kha aapney iss sher mein !!

ye zakhm tere pesh-e-nazar dekh ke na dekh
dede dawa zaalim magar, dekh ke na dekh

sun to le ek baar aah-o-fugan meri
majzoob-e-jigar deeda-e-tar dekh ke na dekh

ik baar jhalak apni mere dar pe dikhaa jaa
fir uske baad mud ke idhar dekh ke naa dekh

jaa ke tere ishq meinn de di apni jaan bhi.
phir tahna mera kaisa guzre safer dekh ke naa dekh

dard ko lafzon mein rakh, likh ghazal "HumTum"
kaafiya, radeef-o-baher dekh ke na dekh !!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #21 on: June 10, 2005, 07:39:57 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Ek lamha bhi aisa guzarta nahin
jis main tere bare main socha nahin
khyalon pe mere chaaye ho is tarah
chayee ho aasman pe kaali ghata
har pal bas tujhe yaad karta hai dil
milne ko tujh se tadapta hai dil !!!


waah.....


khayalooN ki tapti dhoop mein
faqt zuls sa jata hai yeh dil
har lamha har ghadi har pal mujhey
janey kyun tadpata hai yeh dil
tere deed ki naumeedii se hoon wakib
phir bhi tere kuchey ko jata hai yeh dil
Logged
HumTum
Guest
«Reply #22 on: June 10, 2005, 08:07:24 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Zindagi ki haqeeqaton ne tadpaa diya hai mujhe bohot
Kabhi neend main meri tum ek khwaab ban ke aa jana

Main chal rahi hoon ghumon se tapte hue sahra ke beech
Jo ho sake to kabhi saraab ban ke saamne aa jaana

Dunya ke is hujoom main, hai mera apna koi bhi nahin
Jis ka har lafz ho mere liye, wo kitaab ban ke tum aa jana

Mere in aansuon ne hi jala diya hai mujhe sanam
Sulag raha hai wujood mera, tum aab ban ke aa jana

Tumhari har baat mere man ko chu jaati hai
Kabhi mere saamne tum kharaab ban ke aa jana

Thak chali hoon main ab yeh ashk bahate bahate
Tumhe soch ke muskura doon aisi yaad ban kar aa jana!!!!


waah...... amazing !!!

Dunya ke is hujoom main, hai mera apna koi bhi nahin
Jis ka har lafz ho mere liye, wo kitaab ban ke tum aa jana


kya baat hai iss sher ki ..... bhoot hi umda likha hai !!!

Dostanay mein shayaad kami reh gayee
Umar jaisey jahan thi khadi reh gayee

Pyar ki rah mein andha-dhund yoon chalay
Hum kahan aur kaheen zindgi reh gayee

Khole kar dil hui un say batain magar
Yun laga phir bhi kuch unkahi reh gayee

Tere hissay mein 'HumTum' woh aayee khushi
Jo jahan ki nazar say bachi reh gayee !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #23 on: June 10, 2005, 09:49:29 AM »
Reply with quote
Bohot bohot shukriya Humtum ji !!!!!! aur aapke jawab zabardast hain!! bohot khoob............!!!
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #24 on: June 10, 2005, 04:01:16 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Quote from: "nidhi_yadein"

bohat khoob Talat,each and every line is so beautiful.

Taqdeerain to ban jaati hain pehle se hi kahin par
Teri aarzu bohot hai par teri dua nahin maangenge

Tera intezaar nahin hai hume, magar phir bhi ek baar
Kabhi tum ruburoo aa jaao mere ye dua maangenge !!!

these r soooo lovely lines,touched my heart deeply.Gr8 work.


Thanks a lot Nidhi....jab maine ye shayari apne mann me sochi thi (i nvr write on paper..always write in my mind)  tab yeh nahin soch tha ki iska response aisa milega!! thanks yaar !!!


wow,thats really amazing,then i must say u have a very sharp mind.Both these poems jo aapne misc. me daali hain,r really superb,keep writing like this Usual Smile .
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #25 on: June 10, 2005, 04:04:12 PM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum"
Quote from: "Talat"
Mohabbaton ka kabhi tumse sila nahin maangenge
Chahenge taumr par kabhi wafa nahin maangenge

Taqdeerain to ban jaati hain pehle se hi kahin par
Teri aarzu bohot hai par teri dua nahin maangenge

Suna hai uske darbaar main bin maange milta hai
Us Khuda-e-bartar se hum bhala kya maangenge

Phoolon ki tamanna to sab hi kiya karte hain yahan
Sochte hain is bahaar main hum khizaan maangenge

Tera intezaar nahin hai hume, magar phir bhi ek baar
Kabhi tum ruburoo aa jaao mere ye dua maangenge !!!


waah..... another great one frm you !!

Tera intezaar nahin hai hume, magar phir bhi ek baar
Kabhi tum ruburoo aa jaao mere ye dua maangenge


bahot khoob kha aapney iss sher mein !!

ye zakhm tere pesh-e-nazar dekh ke na dekh
dede dawa zaalim magar, dekh ke na dekh

sun to le ek baar aah-o-fugan meri
majzoob-e-jigar deeda-e-tar dekh ke na dekh

ik baar jhalak apni mere dar pe dikhaa jaa
fir uske baad mud ke idhar dekh ke naa dekh

jaa ke tere ishq meinn de di apni jaan bhi.
phir tahna mera kaisa guzre safer dekh ke naa dekh

dard ko lafzon mein rakh, likh ghazal "HumTum"
kaafiya, radeef-o-baher dekh ke na dekh !!!


excellent work humtum,all shayris r wonderful.
Logged
Talat
Guest
«Reply #26 on: June 10, 2005, 05:11:46 PM »
Reply with quote
Quote from: "nidhi_yadein"

Thanks a lot Nidhi....jab maine ye shayari apne mann me sochi thi (i nvr write on paper..always write in my mind)  tab yeh nahin soch tha ki iska response aisa milega!! thanks yaar !!

wow,thats really amazing,then i must say you have a very sharp mind.Both these poems jo aapne misc. me daali hain,r really superb,keep writing like this Usual Smile .


Thanks a lot Nidhi !!!!!! Your encouragement is really very nice happy9
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #27 on: June 10, 2005, 10:25:10 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Thanks Waheed !!!!  n nice Fakhar............................



Thanx

Kismat ko humne kuchh un Aazmya hai

katon se uljhe, kuhd ko phoolo se bachya hai.

har bar zism pe kuckk kharoche aai thi,

dil phir bhi khush tha ye katon ki wafai thi.


Tauba hai un phoolo se jo kabhi kabhi aate hai,

diwana bana hazaron ko phir juda ho zate hai.

inhe fareb kahoon ya aur koi naam doon,

chalo ai diwano tumhe aaz ye paigam doon.

Rang roop ke pichhe hum zaye na zaye,

dost wahi chune jo saat nibhaye.

aisi mohabbat kis kam ki ,chot bhi khaye

aur zudai dard ban jaye.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #28 on: June 11, 2005, 03:19:08 PM »
Reply with quote
Quote from: "nidhi_yadein"
Quote from: "Talat"
Mohabbaton ka kabhi tumse sila nahin maangenge
Chahenge taumr par kabhi wafa nahin maangenge

Taqdeerain to ban jaati hain pehle se hi kahin par
Teri aarzu bohot hai par teri dua nahin maangenge

Suna hai uske darbaar main bin maange milta hai
Us Khuda-e-bartar se hum bhala kya maangenge

Phoolon ki tamanna to sab hi kiya karte hain yahan
Sochte hain is bahaar main hum khizaan maangenge

Tera intezaar nahin hai hume, magar phir bhi ek baar
Kabhi tum ruburoo aa jaao mere ye dua maangenge !!!


bohat khoob Talat,each and every line is so beautiful.

Taqdeerain to ban jaati hain pehle se hi kahin par
Teri aarzu bohot hai par teri dua nahin maangenge

Tera intezaar nahin hai hume, magar phir bhi ek baar
Kabhi tum ruburoo aa jaao mere ye dua maangenge !!!

these r soooo lovely lines,touched my heart deeply.Gr8 work.


wow  talat ........... nidhi,...................................hum tum........thy......kya  jabardast  likha  sabhi logon  ne......

is zabt ke haathon ji bhar ke ro bhi na sake hum ai tauba
aankhon mein jo aansu bhar aaye palkon se dhalak ker bah na sake
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #29 on: June 12, 2005, 12:52:06 AM »
Reply with quote
Na Aansu BaHaNe Na HaSNe Ke KaaM AaYi

ZinDaGi Na JeeNe Na MaRNe Ke KaaM AaYi

UlFat Ke SiTaaRe ChaMaKte Rahe Raat BhaR

HaR SuBah HaR ShaaM HaR ShaB MaiN TanHaYi

KhaTaWaR BaNa Ke ChoDa Bas KhaTa Thi ItNi

MehBooB Ke GhaR BhuL AaYe HuM ApNi PaRcHaYi

BeWaFaYi Ke AaNchaL MaiN LiPta MuJhe AiSkaDaR

BeHoShi MaiN Bhi NaZaR AaYi HaR TaRaF RuSWaYi...............
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 05:03:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.323 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer