itnay khamosh raat k saayay (by vb)

by vb on July 22, 2011, 09:00:16 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1702 times)
guest
Guest
«Reply #15 on: July 27, 2011, 02:44:01 PM »
Reply with quote
aik insan ki haisiyat he kya kisi ko judge, experiment ya mayar tay karwanay kee...aur jo na badla, thehar gaya na, jaisey bhi...
share?
woh bhi duniya say...? kuch roohein tamaam umr khud say khud ka safar teh karti hain...jisnay banaya us say bhi nahi share hoteen, unki manzilen nahi hoteen, face nahi hotay, ehsas nahi, jazbat nahin hotay, kuch bhi nahi hota itni ghareeb hoti hain.....<....>
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
::Khamosh thhi,khamosh hi reh jayegi ye mohabbat:: by nidhi_yadein in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
KHAMOSH RAAT by SairaKhan in Shayri-E-Dard
Khamosh Raat {Thakshak by majid in Share Video
itnay khafa... (NM) by vb in Miscellaneous Shayri
Khamosh Raat Mein, Sannaaton ,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
vb
Guest
«Reply #16 on: July 27, 2011, 02:57:08 PM »
Reply with quote
hotay tu hain mayaar guest..... insaan bhe tu biktay hain... mayaar bhe tay hotay hain... boliyan lagti hain.. jo zyada qeemat deta hay wohi malik..... "pehlay aaiyay, pehlay paaiyay" bhe hota hay... hum nahi jaanena chaahtay k roohen bhe bikti hain ya nahi... aisi baaten haqeeqat ban kar bhe saamnay aati hain... tu aankhen band kar letay hain... agar ye haqeeqat hay k roohen bhe jismon k saath bik jaati hain tu bhe hum kabhi nahi maanen gay...

aur roohon ka ye sub kuchh hota hay... patharon tak k ehsaas hotay hain... tabhi bakol-e-Jagjeet koi sar jhuk jaayay tu us k liyay devta ban jaatay hain... na jhukay.... tu bay-jaan pather...
Logged
guest
Guest
«Reply #17 on: July 27, 2011, 03:13:02 PM »
Reply with quote
aap shayar hain, aap theek ho saktay hain mayaar ke mutaalik, duniya dekhi hogi, alag alag chehray milay hongay safar-e-talaash mein...thts life, insan khud ki umeedon ke mutalik hadd takseem kartay hain and phir paimaanay and phir na janay kya kya

har insan ka nazariya alag hota hay, ham kitnay insan hain, nahi malom, but jitnay se hain, us ke mutabik jitna ilm rakhtay hain, share kartay hain...ab ham theek hone, zaroori nahi par itna lagta hay ke souls ke gar face nahi hotay tu unka kuch insani bhi nahi hota hona such as jazbat, materialism, ehsas, wajood...hawa ke jhonkay pe safar karti hongi
Logged
vb
Guest
«Reply #18 on: July 27, 2011, 03:43:37 PM »
Reply with quote
Shayat tu jo hum hain... jaantay he hain kya hain... lakin itna sahi kaha hay aap ne.. k duniya jitni dekhi, buhat ghaur say dekhi... and dekha hum ne.. k kaisay insaan apnaayay jaatay hain, aur kaisay.. dhutkaaray jaatay hain... aur sahi kaha ye bhe aap ne.. yehi life hay... haqeeqat ki duniya...

and ye bhe sahi... k nazriyaat alag ho saktay hain... jaisay hamaray khayal k mutabik, insaan ki pehchaan us ki rooh hoti hay.. jism nahi... jaisay koi bhe animal apni dum katwa lenay say insaan nahi ban sakta... zyada tu hum nahi jaantay ... lakin hum ne hamesha say ye samjha hay k ... rooh ka face ho ya na ho.. but ye jazbaat, materialisim, ehsaas, wajood etc... sub kuchh sirf rooh ka he hisa hota hay...
Logged
guest
Guest
«Reply #19 on: July 27, 2011, 04:54:29 PM »
Reply with quote
u may be right, or may be u r right...who am I to say tht
nazariya is what makes it different for everyone...I was talking about faces...alag alag chehray ...

rahi dhutkarnay ke ya thukranay kee baat, I dont think ke sould ke bas mein yeh hota bhi hay...ke woh apnayein kisi ko, jinay khud kadam zameen pe nahin, hawaaon mein hone, woh kya kisi ko apnayain, jo khud ki na hone...woh kya kisi ko thukrayein
but kuch karway facts hakeekat kee duniya main hain, sapnay tu hotay hee sunder hain, warna tu koi dukhee na ho is jahan main
Logged
vb
Guest
«Reply #20 on: July 27, 2011, 05:19:56 PM »
Reply with quote
ji sahi... who knows what's right or wrong.. Rab he faisla karnay walay hain is ka... and wo bhe duniya main inhen sawal he rakhtay hain... and chehray bhe dekhay hain hum ne... isi duniya main phirtay hain... chehray he nahi...chehron ka badlana bhe dekha... chehron par chehron ki tehen bhe... chehron ko chhupatay bhe hain... baazaaron main chehraa khole k phirtay bhe... and aainay say chehraa chhupaatay bhe...

roohon say mutalik bhe i think aisa hay k roohen k bus main hota hay... apni life jeeti hain... asal men tu yehi apnaati hain ya dhutkaarti hain... jism tu sirf contracts kartay hain.. samjhotay kartay hain...

aur jo roohen sirf apni ho kar reh jaati hain.... akeli reh jaati hain... shayad isi ko anaa kehtay hain.... jo roohen khud apni na ho saken... unhen apni jaisi rooh dhoondni chahiyay aur us main ghul jaanaa chahiyay...
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 07:08:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer