Sayyid Randeri

by Sayyid Randeri on June 16, 2009, 06:19:00 PM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8
ReplyPrint
Author  (Read 4673 times)
Sammual
Guest
«Reply #90 on: September 15, 2009, 07:56:56 AM »
Reply with quote
Bahut Khooob Sayyid Sahab. Likhte Rahiye..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~Congratulation Sayyid ji~~ by honeyrose in The Wishes and Celebrations
Pooja
Guest
«Reply #91 on: September 22, 2009, 09:24:21 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley wah wah wah kaya baat hai Sayyid Randeri ji!! bahoot khoob...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #92 on: September 22, 2009, 09:26:08 PM »
Reply with quote
Tamam doston ka shukarguzaar hun, jinhone har tarah se himmat afzaai ki or yoindia par mera saath diya. bas ye safar yahin tak dosto.. yoindia par khaali haath aaya tha or sab ki pyaar bhari yaaden lekar jaa raha hun, bohot bohot shukriya.. sab ko mera aakhari salaam.. alwida dosto.. wave

    -:Sayyid Randeri.

Apki is post per ajj najar parri... Sayyid ji yaha her member apni marji se atta hai... magar jaana itna asaan nahi hota. KAM SE KAM HUME HUMARI GALATI TO PATA CHALE KI KYUN HUMARA ITNA ACHA SATHI... Hume judai dene ja raha hai!!!

Hope app ek baar akar mere is sawal ka jawab jaroor dege...
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #93 on: September 25, 2009, 04:34:59 AM »
Reply with quote
Bahut Khooob Sayyid Sahab. Likhte Rahiye..

Meherbaani sammual ji.. khush rahiye..
Logged
k.shael
Guest
«Reply #94 on: September 25, 2009, 04:50:58 AM »
Reply with quote
Wah Wah Wah Wah!!! Kya Khoob Likha hai Randeri Saheb Aapne..Bahut der baad iss thread par nazar gayi hamari..maafi ke haqdaar hai ham..inn dino zindagi aur kaam me kuch jyada hi masroof ho gaye the ham..maloom hai ki gila hoga aapko hamse..ham kasoorwaar hai saja aapke hathon me jo chahe dijiye..

Shally.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #95 on: September 25, 2009, 04:58:31 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley wah wah wah kaya baat hai Sayyid Randeri ji!! bahoot khoob...

Shukriya pooja ji navazish hai aap ki.. Usual Smile

Apki is post per ajj najar parri... Sayyid ji yaha her member apni marji se atta hai... magar jaana itna asaan nahi hota. KAM SE KAM HUME HUMARI GALATI TO PATA CHALE KI KYUN HUMARA ITNA ACHA SATHI... Hume judai dene ja raha hai!!!

Hope app ek baar akar mere is sawal ka jawab jaroor dege...

Nahin pooja ji.. shikayat waali koi baat nahi hai, main ne upar likha hai ke "sab ki pyaar bhari yaaden lekar jaa raha hun".

Kuchh zaati masaail ki bina par ye faisla karna pada hai.. yoindia par harwaqt or har haal main aap ki janib se himmat afzaai hoti rahi, or akheer tak aap ne khoob saath nibhaya, bohot bohot shukriya pooja ji....

yoindia par jab pehli baar kuchh likhne ki himmat ki to sabse pehle aap ne jawaab diya tha or himmat afzaai ki thi, badi nawazish rahi aap ki.. Usual Smile

Abhi chand roz yoindia par hun.. apni ghaltiyan sudhar ne ki koshish kar raha hun, us ke baad.......... Allah Hafiz.
  wave
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #96 on: September 25, 2009, 05:10:50 AM »
Reply with quote
Wah Wah Wah Wah!!! Kya Khoob Likha hai Randeri Saheb Aapne..Bahut der baad iss thread par nazar gayi hamari..maafi ke haqdaar hai ham..inn dino zindagi aur kaam me kuch jyada hi masroof ho gaye the ham..maloom hai ki gila hoga aapko hamse..ham kasoorwaar hai saja aapke hathon me jo chahe dijiye..

Shally.

Shally ji sharminda na kijiye..... der aayad durust aayad.. der se sahi dost ki nazar-e-inayat to huai..

Aaj ham fakhar se keh sakte hain ke yoindia par sab kuchh hai, achhe shayaron ki misalen to hazaaron thi, ek kami thi, koi bure shayar ki masaal nahi thi, wo ab de kar jaa raha hun, taqriban 700 se zaaid logon ne is thread ko padha or sirf 7-8 ko pasand aaya, is se buri shayari ki maisaal or kya hogi..  DOH

Logged
k.shael
Guest
«Reply #97 on: September 25, 2009, 05:16:08 AM »
Reply with quote
Shally ji sharminda na kijiye..... der aayad durust aayad.. der se sahi dost ki nazar-e-inayat to huai..

Aaj ham fakhar se keh sakte hain ke yoindia par sab kuchh hai, achhe shayaron ki misalen to hazaaron thi, ek kami thi, koi bure shayar ki masaal nahi thi, wo ab de kar jaa raha hun, taqriban 700 se zaaid logon ne is thread ko padha or sirf 7-8 ko pasand aaya, is se buri shayari ki maisaal or kya hogi..  DOH

Aisi baatein karke aap na sirf khud ko balki hame bhi sharminda kar rahe hai janab, aksar aacha kaam aache log duniya ki nazar me aate to hai par sarahe nahi jaate..jabki buri cheezo ko na sirf saraha jaata hai balki hatho hath liya bhi jaata hai, yahi hamari zindagi ka niyam hai..par aap iss baat pe faqr kariye ki beshak kam logo ne saraha par jinhone bhi saraha wo sache hai unke lafz sache hai aur unhone dil se pada aur saraha..kehte hai dost to 1 hi kaafi hota hai bashart ho imaandaar aur aapke prati lagaav rakhta ho...

isse jyada aur kuch nahi kehna chahti, umeed karti ho aap hame apne aache dosto ki list me shamil samjhenge..

Shukriya

Shally.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #98 on: September 25, 2009, 05:18:26 AM »
Reply with quote
Sayyid ji par kyun jaa rahe ho aap.aap bahut acha likhte ho. sad7
bahut dukh huwa ye padd kar. sad11
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #99 on: September 28, 2009, 12:35:14 PM »
Reply with quote

Aisi baatein karke aap na sirf khud ko balki hame bhi sharminda kar rahe hai janab, aksar aacha kaam aache log duniya ki nazar me aate to hai par sarahe nahi jaate..jabki buri cheezo ko na sirf saraha jaata hai balki hatho hath liya bhi jaata hai, yahi hamari zindagi ka niyam hai..par aap iss baat pe faqr kariye ki beshak kam logo ne saraha par jinhone bhi saraha wo sache hai unke lafz sache hai aur unhone dil se pada aur saraha.. kehte hai dost to 1 hi kaafi hota hai bashart ho imaandaar aur aapke prati lagaav rakhta ho...

isse jyada aur kuch nahi kehna chahti, umeed karti ho aap hame apne aache dosto ki list me shamil samjhenge..

Shukriya

Shally.

Shally ji, aap to khaas-ul-khaas doston main shamil hain..  aap ne durust farmaya dost to 1 hi kaafi hai, jo nahi mila us ke muqable jo milaa wo zyada ehmiyat rakhta hai, khush rahiye, aabad rahiye, or yoindia ke falaq par roshan sitare ki tarah jagmagate rahiye... Aallah Hafiz.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #100 on: September 28, 2009, 12:55:29 PM »
Reply with quote
Sayyid ji par kyun jaa rahe ho aap.aap bahut acha likhte ho. sad7
bahut dukh huwa ye padd kar. sad11

madhuwesh ji aap to ham tamam ke liye ek misaal hain... jis tarah aap har kisi ko apna qeemti waqt de kar sab ki himmat afzaai karte rahte hain ye sab ke bas ki baat nahi, aap hamenshan apne alfaaz ki chashni se navazte rahe jis ke liye main aap ka tah-e-dil se shukarguzaar hun.. icon_salut

Itna waqt yoindia par guzaar kar aap bhi ye jaan hi gaye honge ke koi bhi yoindia se jaana nahi chahega, albatta bohoton ko halaat apne watan se bahar lejaate hain isi tarah yoindia se bhi door lejaate hain... aap ki nawazishon ka phir ek baar shukarguzaar hun, bohot khush rahiye.. allah hafiz.
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #101 on: September 28, 2009, 12:57:17 PM »
Reply with quote
 BangHead BangHead Shocked Even More Shocked Even More DOH DOH
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #102 on: September 28, 2009, 01:11:20 PM »
Reply with quote
Sayyid Randeri ji
pahle to mujhe bhi kuch samajh me nhi aaya ki kya ho rha h yaha pe per ab samajh me aaya ki majra kya h aap ek bat batata hu dil se padhana me bhi yaha pe shayariya post krta hu apki hi tarah bahut se log padhte h per sahrata h 2 ya 3 per me himmat nhi har rha shayad mere likhne ke andaj me kuch galatiya ho rhi h ya phir unhe mere likhe huve alfaj samjh me nhi aa rhe h mere her najam dil se likhta hu per sahrane wale bahut kam aaap to bahut purane ho yaha pe aur yuhi tut rhe aap to hum jaise naye users ki himmmat bada skte ho aur aap to hum jaise ki himmat tod rhe ho meri batein apko buri to lagegi per sacchai h meri her bat mein
ap chor ke chale jayoge to kya aap yoindia se dur rah jayoge hum aapko jante to nhi per jo apko yaha jante h unka pyar jarrur khich layega kyuki aapne apni her najam yaha pesh ki yaha apka pariwar h sayyid ji kya ap apne pariwar ko chor ke chale jayoge nhi sayyid aise nhi hota h aap  ki soch ko badle plz Me aap se itni hi request krta hu ki plz ye mat socho ki kisi ne wah wahi nhi ki
aap to apna kam krte chalo sayyid ji wah wahi ki chinta mat kro

aur kya bol skta hu apko itna hi bol rha hu na jao aap plzzzzzzz

Rishi

Himmat na har musafir ek din jarrur wo mukam aayega
har koi krega apki kadar wo ek din jarrur aayega
Kya sochte ho aap sayyid ji apne sochne ka najriya badlo
aur na jao hume chor ke aise iss mod pe
aapke jane se hum jaiso ko to hosla hi tut jayega
kyu tod rhe ho sabka dil kyu rulke ja rhe ho
hasste huve chale aayo aap wapas sab kuch laut aayega
sad10 sad10
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #103 on: September 30, 2009, 11:54:45 AM »

Rishi ji... pehle to aap ki umda shayari ke liye dil se daad hazir hai.. bohot bohot shukriya jo aap ne itna waqt diya or bohot achhi tarah se is baat ko samjhaya.

Ek baat saaf kardun ke yoindia se jaane ki ye wajah nahi hai.. ye baat to is liye likhi thi ke aap ne wo geet suna hoga "baat nikli to har ek baat pe rona aaya" bas baato baaton main ye baat bhi samne aagai, warna ye to jab yahan aaya tab se yahi haal hai, or mere saath aksar logon ka yahi haal hai.. aap yahan dil se likhte rahiye is liye ke yoindia par likhna apni aatma se baaten karne jesa lagta hai.. ye ek ruhani tajruba hai, aadhyatmic anubhaw hai.

jahan tak waah waah ka sawaal hai, to ek baat to sab ko manni hi padegi ke agar kisi mehfil me hazaaron log maujood ho, or koi shair uth kar apna sher sunaye or tamam majma khamosh betha rahe, har taraf khamoshi chhajaaye, sirf ek do uth kar kahe ke waah waah to kya wo shair dobara wahan apna kalaam sunane ki himaqat karega? ? ? albatta nahi.. kabhi nahi.. isse pata chalta hai ke aaj tak jo yoindia par likha waah waai ke liye nahi tha, balke apni rooh se ham-kalami ka ek zariya tha, or ab jo jaa raha hun to apni rooh ki apni aatma ki aawaaz sunkar...

bas itni mohlat chahta hun ke apne qadmon ke nishanaat mita sakun.

Bohot khush rahiye.

allah hafiz
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #104 on: September 30, 2009, 04:21:31 PM »

Sayyid Ji aap Ko ek fateh ki bat btata hoon bura mat manna aap ye to nhi janta ki aap mujhse chote ho ya bade agar bade ho to chotta baccha jan kar maf kr dena aur agar ap humse chote ho to bada bhai samjhkar isse meri hiddayat samjh lena

apne kha ki
(agar kisi mehfil me hazaaron log maujood ho, or koi shair uth kar apna sher sunaye or tamam majma khamosh betha rahe, har taraf khamoshi chhajaaye, sirf ek do uth kar kahe ke waah waah to kya wo shair dobara wahan apna kalaam sunane ki himaqat karega? ? ? albatta nahi.. kabhi nahi..) Dekho saiyad ji sabse pahle to sabse badi bat h ki usne waha maujood hazaro ke beech khade hone ka hosla rkha aur maujood wha hajaro ke beech apna share sunaya uski himmmat ki me mishal deta hoon... aur phir jab usne share sunaya to in hajaro ke beech aur sirf do ya teen person ne hi taliya bajai iska matlab h ki un teen ke wo shayari samjh me aa gai baki ke bacche person sirf wo sunkar hairan ho gaye unki to talliya bajane ki bhi himmat nhi thi saiyyad ji socho kuch to dum tha na uski shayri me jo kisi ko to vivash kiya taliya bajane me apni soch ko badle saiyyad ji

           apko ek bat aur batata hoon me roj yaha pe kuch na kuch post krta rhta hoon meri post ko pta nhi kitne view kr jate h per reply aata h ek ya do ya phir kisi ka bhi nhi sabse jayda mujhe reply milte h madhu ji ke.... meine kisi se aaj pucha ki ap meri post pe reply kyu nhi krte ho to unka jawab suniye aap wo bole ki mujhe Rishi nam nhi pasand h to meine bola ki rishi nam hi to pasand nhi h apko me to nhi na aur meri ki huvi post to unhone bola meine isi nam ke karan apki post ka reply nhi diya ab ap socho saiyyad ji kya her koi mere nam se nafrat kre to kya me post krna chod du ya phir apna nam change kr lu kya pta kisi aur ko wo nam bhi na pasand aaye me unki soch kaise badlu choro in batto ko sayyid ji ap to bahut purane ho yaha pe agar ap is tarah hosla todoge to mera bhi hosla aur aane wale naye users ka bhi hosla tut jayega

           mujhe aur reason to nhi pta kya bat huvi apke sath per hausla rkhoge to hum jaise naye users ko bhi hosla milega me to us allah se dua krunga ki apko wapas le aaye aur humesha ap muskrate rhe....
          
           Aap to apne kam krte jao sayyaid apko apki mehnnat pe jarrur fal milega aur sayyid ji agar ap mere  samane hote to me rone lag jata aur apko mana leta me itna kyu bol rha hu mujhe khud ko samjh me nhi aa rha kya rishta h apka aur mera aaj tak apne kabhi bhi meri post pe reply bhi nhi diya aur meine to aaj tak apki koi bhi post ki huvi shayari bhi nhi padhi pta nhi phir bhi ek anjana sa rishta lag rha h sayyiad ji me apni shayari ki wah wah tabhi accept krunga jab aap wapas laut aayoge............

              Mein kr rha hu aapka intzar laut aane ka sayyid ji
     Na koi rishta h na koi nata h apne beech sayyid ji
     Phir bhi kyu lag rhe ho aap mujhe apne-2 sayyid ji
     Kyu hote ap ruswa aur naraj yaha pe dost sayyid ji
     Ek din sabhi krenge salam aapko yaha pe  sayyid ji
     Ab bahut holiye naraj ap hum sab se yaha sayyid ji
     Wapas laut aayo aur sbko khushiya de aap sayyid ji
     Kyu hote ho mayush apni likhi shayri pe  sayyid ji
     Koshish krne walo ki kbhi har nhi hoti h sayyid ji
     Yuhi likhte raho sada muskarate raho aap sayyid ji
     Na karo karo parwah auron ki soch ki aap sayyid ji
     Hume to apki her shayari behat khub lagi sayyid ji
     Rahega intzaar apki agli shayari ka hume sayyid ji
     Ab kis tarah apko manayu ye bata do aap  sayyid ji
     Kya apko manane meri mehnat bekar jayegi sayyid ji
     Aap na aaye to ab hosla tut jayega mera  sayyid ji
     Aajao ap laut kr ab ye dil kh rha h mera sayyid ji
     Ab kr rha hu apka hi intzar laut aane ka sayyid ji
      
Sayyid ji agar upar likhi huvi lino me agar koi galti ho gai ho to maf kr dena aur plz aap aa jaaiye laut ke wapas sab kuch accha ho jayega i promise u aap hume hosla afjai kre aur kya bolu me apko bus itna hi bolta hu ki apko allah her dukh dard se dur kre aur aapki jholi khushiyo se bhar de

Allah Aafij

Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 11:41:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.144 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer