Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 266 267 268 269 [270] 271 272 273
Print
Author  (Read 118874 times)
angel4u
Guest
«Reply #4035 on: August 30, 2009, 12:25:22 PM »
Har Shakhs Uske Baad Mujhe Anjaana Laga,
Bhool Jaane Mein Use Poora Zamana Laga,

Pith Mein Bhi Maara Khanjar, Dilko Bhi Kiya Zakhmi,
Andaz Uska Ye Mujhe Barha Katlana Laga,

Har Baar Gairon Ki Tarah Wo Milta Raha Mujhe Magar,
Phir Bhi Na Wo Zalim Mujhe Kabhi Begana Laga,

Kahin Bhi Na Mili Jab Mujhe Dard-E-Dilki Dawa,
Tab Maikhana Hi Mujhe Apna Dawakhana Laga,

Kahani Sun Mere Barbaad Hone Ki Wo Bola,
Bahut Khoob Hamein Ye Afsana Laga,

Aaj Ke Is Daur Mein Wo Dhund Raha Hai Wafa,
Kya Kahoon, Mujhe To DILBAAR Pura Deewana Laga...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4036 on: August 30, 2009, 12:25:42 PM »
Aankehin Teri Raahon Mein Bichhate Rahe,
Tere Intezaar Mein Hum Raah Sajate Rahe,

Shamma Bujh Na Payegi In Andheron Mein Kabhi,
Hum Jalate The Aur Tum Bujhate Hi Rahe,

Labon Ki Justuju Hai Chhune Ki Tamanna,
Hum Paas The Aur Tum Door Jaate Hi Rahe,

Hum Sab Se Kehte Nahi Apna Haal-E-Dil Magar,
Hum Rote The Aur Tum Rulate Hi Rahe...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4037 on: August 30, 2009, 12:35:04 PM »
Pyaar Apna Aazma Kar Dekhiye,
Yaar Ke Kooche Mein Jaa Kar Dekhiye,

Kuch Nadaamat Chahiye Gar Aap Ko,
Aap Logonka Bhala Kar Dekhiye,

Ug Padenge Ye Zubaan Par Ek Din,
Raaz Seene Mein Daba Kar Dekhiye,

Inki Fitrat Hai Khushi Se Dushmani,
Gam Se Aankhein To Mila Kar Dekhiye,

Soch Ki Aandhi Uthegi Zehen Mein,
Yaad Ki Shamma Jala Kar Dekhiye,

Mere Gam Ka Ho Yehi Shayad Ilaaj,
Meri Janib Muskura Kar Dekhiye,

Baat Se Kab Haath Qismat Aayegi,
Maraka Koi Dikha Kar Dekhiye,

Roop Unka Samne Aa Jayega,
Doston Ke Kuch Gila Kar Dekhiye,

Thar Tharahat Maut Par Chha Jayegi,
Sir Sir-E-MaQtal Utha Kar Dekhiye,

Humne 'Ashraf' Ko Banaya Aaj Tak,
Aaj To Apna Bana Kar Dekhiye...


Har Shakhs Uske Baad Mujhe Anjaana Laga,
Bhool Jaane Mein Use Poora Zamana Laga,

Pith Mein Bhi Maara Khanjar, Dilko Bhi Kiya Zakhmi,
Andaz Uska Ye Mujhe Barha Katlana Laga,

Har Baar Gairon Ki Tarah Wo Milta Raha Mujhe Magar,
Phir Bhi Na Wo Zalim Mujhe Kabhi Begana Laga,

Kahin Bhi Na Mili Jab Mujhe Dard-E-Dilki Dawa,
Tab Maikhana Hi Mujhe Apna Dawakhana Laga,

Kahani Sun Mere Barbaad Hone Ki Wo Bola,
Bahut Khoob Hamein Ye Afsana Laga,

Aaj Ke Is Daur Mein Wo Dhund Raha Hai Wafa,
Kya Kahoon, Mujhe To DILBAAR Pura Deewana Laga...


bahut bahut Khoooob Angel!!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Lagta Hai, Abhi Tak Iss Thread Ko Related Mere Ek Suggestion par Aapne Gaur nahi Kiya!!!!

bahut Hi khoooob!!! Thanks A Lot For Sharing Angel!!!


Logged
angel4u
Guest
«Reply #4038 on: August 30, 2009, 02:56:53 PM »
Suggestion. Iske baare mein hum aapse baat karenge Usual Smile

Well, bahut bahut shukriya hamara collection pasand karne ke liye Usual Smile
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #4039 on: August 30, 2009, 03:33:33 PM »
Pyaar Apna Aazma Kar Dekhiye,
Yaar Ke Kooche Mein Jaa Kar Dekhiye,

Kuch Nadaamat Chahiye Gar Aap Ko,
Aap Logonka Bhala Kar Dekhiye,

Ug Padenge Ye Zubaan Par Ek Din,
Raaz Seene Mein Daba Kar Dekhiye,

Inki Fitrat Hai Khushi Se Dushmani,
Gam Se Aankhein To Mila Kar Dekhiye,

Soch Ki Aandhi Uthegi Zehen Mein,
Yaad Ki Shamma Jala Kar Dekhiye,

Mere Gam Ka Ho Yehi Shayad Ilaaj,
Meri Janib Muskura Kar Dekhiye,

Baat Se Kab Haath Qismat Aayegi,
Maraka Koi Dikha Kar Dekhiye,

Roop Unka Samne Aa Jayega,
Doston Ke Kuch Gila Kar Dekhiye,

Thar Tharahat Maut Par Chha Jayegi,
Sir Sir-E-MaQtal Utha Kar Dekhiye,

Humne 'Ashraf' Ko Banaya Aaj Tak,
Aaj To Apna Bana Kar Dekhiye...


Zabardast ghazal hai angel ji.. baar baar padhne ka dil karta hai..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4040 on: August 31, 2009, 02:55:19 AM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Superbb colection Angel!!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4041 on: August 31, 2009, 03:04:44 AM »
Zabardast ghazal hai angel ji.. baar baar padhne ka dil karta hai..


Bahut bahut shukriya Sayyid Ji... Usual Smile
Logged
Yoindia Support
Guest
«Reply #4042 on: September 02, 2009, 11:16:26 AM »
Moved to "Shared Poetry of Pain".
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4043 on: September 02, 2009, 02:06:30 PM »
Thanks a lot Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4044 on: September 06, 2009, 01:11:24 PM »
Aaj Ye Deewar Pardon Ki Tarah Hilne Lagi,
Shart Lekin Thi Ke Ye Buniyaad Hilni Chahiye,

Sirf Hungama Khada Karna Mera Maqsad Nahi,
Saari Koshish Hai Ke Ye Soorat Badalni Chahiye,

Mere Seene Mein Na Sahi To Tere Seene Mein Sahi,
Ho Kahin Bhi Aag Lekin Aag Jalni Chahiye...
Logged
Talat
Guest
«Reply #4045 on: September 06, 2009, 01:12:40 PM »
Very beautiful indeed Sweetie !
Logged
Roja
Guest
«Reply #4046 on: September 06, 2009, 01:52:06 PM »
Aaj Ye Deewar Pardon Ki Tarah Hilne Lagi,
Shart Lekin Thi Ke Ye Buniyaad Hilni Chahiye,

Sirf Hungama Khada Karna Mera Maqsad Nahi,
Saari Koshish Hai Ke Ye Soorat Badalni Chahiye,

Mere Seene Mein Na Sahi To Tere Seene Mein Sahi,
Ho Kahin Bhi Aag Lekin Aag Jalni Chahiye...


Wah... very touching shayari dear ... Thanks for sharing
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4047 on: September 06, 2009, 01:54:48 PM »
Thank you sooo Much Roja Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4048 on: September 06, 2009, 01:55:10 PM »
Usse Haal-E-Dil Kahoon Ke Na Kahoon,
Hai Bahut Mushkil Kahoon Ke Na Kahoon,

Jo Mere WaQt-E-Dafan Roya Hai Zaar-Zaar,
Wahi Hai Mera Kaatil Kahoon Ke Na Kahoon,

Puchhu Na Puchhu Tera Maazi Gard-E-Dasht,
Tujhse Tera MustaQbil Kahoon Ke Na Kahoon,

Tere Khilaaf Kya Hai Saajish-E-Toofan,
Tujhse Aye Saahil Kahoon Ke Na Kahoon...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4049 on: September 06, 2009, 01:55:40 PM »
Chhoti Si Baat, Shayad Mazak Koi,
De Gayi Dukh, Main Arson Se Nahi Royi,

Na Thi Aisi Koi Baat Ke Bura Maanti,
Dil Nahi Samjha, Par Main Hoon Janti,

Hasi Aayi Ke Koi Yun Bhi Dil Hai Todta,
Na Usko Hui Khabar Ke Dil Yun Hai Sochta,

Agar Ho Mumkin To Khareed Lun Main Naya Dil,
Har Roz Kitne Gam Jate Hai Mujhe Mil,

Har Roz Ye Sochti Hoon Ab Dil Par Baat Lungi Nahi,
Par Har Din Wohi Purana Jaisa, Bas Mumkin Hi Nahi...
Logged
Pages: 1 ... 266 267 268 269 [270] 271 272 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 14, 2024, 10:17:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.138 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer