Adhuri Talash

by Pooja on June 14, 2007, 04:24:57 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3295 times)
Pooja
Guest
«Reply #15 on: June 22, 2007, 08:16:51 PM »
Reply with quote
wah kaya lines hai.. good one khwaish ji
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Adhuri by Sonu in Miscellaneous Shayri
:-)(adhuri taswir)(-: by tinda in Shayri for Khumar -e- Ishq
adhuri mulakat by hanifjav in SMS , mobile & JOKES
Ek Adhuri Talaash by sagar_voski22@gmail.com in Shayri for Dard -e- Judai
thycreator
Guest
«Reply #16 on: June 23, 2007, 11:11:29 AM »
Reply with quote
Quote from: "khwaish"
TINKO SE BANE PAL
PALO SE BANE LAMHE
AUR LAMHO NE WAQT KO BOONA
HAR PAL,KOI KISI KE SAATH NAHI REH SAKTA
IS LIYE KHUDA NE YAADON KO CHOONA


Khwaish ji...........ye maine pehle bhi kahin suna hai.....so if you are posting anything which is not originally yours, please mention NM or Not Mine at the end if you dont know the name of real person who wrote it.....please take a note and do the same where ever it is applied in your previous posts too.....thanks...Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #17 on: June 23, 2007, 04:42:23 PM »
Reply with quote
thanx amit for your concern.AMIT  IS IT APPLICABLE ACCORDING TO YOINDIA RULES THAT I CAN WRITE THE NAME OF THE SITE.. WHERE I HAVE WRITTEN THIS PARTICULAR LINES AROUND 6 MONTHS BACK..AND IF I WRITE IT AGAIN.(AM I WRONG?)..AND BE SURE WHENEVER I WRITE SOME LINES WHICH R NOT MINE..I WILL SURELY LET EVERYONE KNOW...U WILL BE SEEING A LOT OF SELF WRITTEN SHAYARIS SOON .THANX
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #18 on: June 23, 2007, 05:14:16 PM »
Reply with quote
ZINDAGI  KI EK KAHANI SUNA RAHA HOON MAIN
JO NA MIL SAKA HUME KABHI..
AAJ ARSO BAAD USSE DEKH KE MUSKURA RAHA HOON MAIN

JAB PEHLE MILTE THE,TO YEH AALAM THA
KE LAB KHAMOSH HI NA HOTE..
PAR JAB AAJ UNHE BHARI MEHFIL MEIN DEKHA
TO KUCH NA BOL PAA RAHA HOON MAIN

ZAROORI NAHI KE YEH KAHANI DILKASH LAGE SABHI KO
PAR JO DIL PE GUZRI HAI,WAHI SUNA RAHA HOON MAIN

SAAMNA KAR JAATA MAIN DUNIYA KI HAR JHOOTI RIWAZO KA
PAR USKI KHAMOSHI NE KHAMOSH KIYA HUME
AAKHIR KYON KHAMOSHI CHAAI RAHI USKE LABON PE
YEH SAWAAL AAJ TAK SULJA RAHA HOON MAIN

BEWAFAI KAHE YA KAHE ZAMAANE KA DAR
ILZAAM BI NAHI DE SAKTA MAIN UNKO
KYA KAROON?  AAJ BHI UNKO ITNA CHAAH RAHA HOON MAIN

UNKI AANKHON MEIN EK  DARD SA DEKHA HUMNE
AGAR HIMMAT KARTE WOH ZARA SI.
TO SHAYAD AAJ KA PAL KUCH AUR HOTA
BAS AB "KHWAISH" BEETE PALO KO
YAAD KAR KE PACHTA RAHA  HOON MAIN
Logged
thycreator
Guest
«Reply #19 on: June 24, 2007, 07:03:58 AM »
Reply with quote
Good one Khwaish ji....as regards my comment earlier, i wrote so coz i have read those lines somewhere, i dont know where but.....if it has been written by you only sometime back then its ok.....but if at all that is not the case, NM shud be mentioned as per Yoindia rule as i told you.......no personal offense dear....Usual Smile......here, once own honesty is what we encourage.....else handful of monitors cant do anything without support and honesty of each and every members........Usual Smile
Logged
thycreator
Guest
«Reply #20 on: June 24, 2007, 07:14:00 AM »
Reply with quote
Coming back to the thread.....Usual Smile

Sochta hu din-o-rat aur phir sochta hu main,
Kyu sochta hu itna jab soch hi meri ekaki hai,

Sab kuch diya hai jeewan ne, gum ho ya khushi,
Phir bhi kyu lage mujhe jaise ke kuch baaki hai...

Phir socha aur sochta raha, phir soch kuch aisi aayi,
Maykhana kyu kar mumkin ho, jismein na koi saaki hai....Winking
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: July 09, 2007, 02:39:04 AM »
Reply with quote
bahoot gahra likh gaye app Amit!! Nice lines!!

Ekaki soch hi yahan tak le aai hai
Chaha bahoot usne samjhana,
na jaane dil mai kaya aai hai

ek sapna, koi ho apna
magar waqat ne baat samjhai hai

her koi hai bas apne liye apna
her kisi ki zindagi mai, bas tanhaai hai
Logged
thycreator
Guest
«Reply #22 on: July 13, 2007, 09:41:02 PM »
Reply with quote
Wah pooja.....sahi hai...

Kuch batein aisi hoti hain, jisko hum samajh nahi pate,
Jis rah jindagi le jaye, hum toh bas chalte jate..
Itni hi koshish rehti hai, muskan jahan ko de de hum,
Iss roop mein hi sahi, jindagi se wafa karte jate.
Logged
waffa
Guest
«Reply #23 on: August 23, 2007, 11:10:30 AM »
Reply with quote
Quote from: "khwaish"
good one poojaji

KAUN KISSE DIL MEIN JAGAH DETA HAI
PED BI AAKHIR SUKHE PATTE
GIRA DETA HAI
WAAKIF HAI HUM DUNIYA
KE RIWAAZO SE
MATLAB NIKAL JAAYE TO
INSAAN INSAAN KO THUKRA DETA HAI


khwaish g ye ap ne likha ha??? Puzzled ! mjhy kyo aisa lugta ha k ye sher kisi aor ka ha??? Puzzled !
Logged
ISHPREET
Guest
«Reply #24 on: August 23, 2007, 12:14:53 PM »
Reply with quote
Quote from: "khwaish"
ZINDAGI  KI EK KAHANI SUNA RAHA HOON MAIN
JO NA MIL SAKA HUME KABHI..
AAJ ARSO BAAD USSE DEKH KE MUSKURA RAHA HOON MAIN

JAB PEHLE MILTE THE,TO YEH AALAM THA
KE LAB KHAMOSH HI NA HOTE..
PAR JAB AAJ UNHE BHARI MEHFIL MEIN DEKHA
TO KUCH NA BOL PAA RAHA HOON MAIN

ZAROORI NAHI KE YEH KAHANI DILKASH LAGE SABHI KO
PAR JO DIL PE GUZRI HAI,WAHI SUNA RAHA HOON MAIN

SAAMNA KAR JAATA MAIN DUNIYA KI HAR JHOOTI RIWAZO KA
PAR USKI KHAMOSHI NE KHAMOSH KIYA HUME
AAKHIR KYON KHAMOSHI CHAAI RAHI USKE LABON PE
YEH SAWAAL AAJ TAK SULJA RAHA HOON MAIN

BEWAFAI KAHE YA KAHE ZAMAANE KA DAR
ILZAAM BI NAHI DE SAKTA MAIN UNKO
KYA KAROON?  AAJ BHI UNKO ITNA CHAAH RAHA HOON MAIN

UNKI AANKHON MEIN EK  DARD SA DEKHA HUMNE
AGAR HIMMAT KARTE WOH ZARA SI.
TO SHAYAD AAJ KA PAL KUCH AUR HOTA
BAS AB "KHWAISH" BEETE PALO KO
YAAD KAR KE PACHTA RAHA  HOON MAIN


Kya baat hai khwaish bahut ache....dil ko chu gayi =D>  =D>
regarding the question raised by waffa..it is very easy pointing a finger towards anyone..i have read all his shayris...and he is too good at it..if u have any doubt,u can have a look too...i am sure you will agree.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #25 on: February 15, 2008, 07:01:21 PM »
Reply with quote
zindagi khud ki khud se hi wafa nahi karati
umar bhar bas ek mrigchika si hai chalti rahti
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: February 25, 2008, 07:30:07 PM »
Reply with quote
Jitna bhi samjhna chaha, utna hi khud ko uljhaya hai
Kis ki hai talash mujhe, is sawal ne bahoot tadpaya hai

Zindagi to hai pal pal sath mere chal rahi hai
Phir kayun zindagi ka sawal man mai ayya hai

Hai agar pyar ki talash kahin ander man main
Pyar ko sirf ahsaas ke roop main hi paaya hai

Hai jo khud ke ander, khayalo main kahin basta hai
Khojo agar yah dunia main, to ajkal kaha kahin milta hai

Chahiye kis ke liye yah pyar, phir yah socha karti hu
Hai yah meri jarurat, per kyun, yahi socha karati hu

Kash-m-kash mai na jaane, kitne sawal uthati hu
Jitna bhi sochna chahu, khud ko uljhata paati hu

Jitna bhi samjhna chaha, utna hi khud ko uljhaya hai
Kis ki hai talash mujhe, is sawal ne bahoot tadpaya hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #27 on: February 26, 2008, 04:26:43 PM »
Reply with quote
TANHAI NA PAAYE KOI
KISI KE SAATH KE BAAD
JUDAI NA PAAYE KOI
MILAN KE EHSAAS KE BAAD
NA PADE KISI KO KISI KI
AADAT ITNI...
KI HAR SAAS BI AAYE TO KISI KI
YAAD KE BAAD


bahoot sahi kaha khwaish ji!!!

ajeeb adat si ho gai hai dil dukhane ki
najaro ko adat si ho gai hai ansoo bahane ki
Talsh kis ki hai ab to uska AKS bhi bhool chuke
Rooh ko phir bhi adat si ho gai hai talash e jaane ki!!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #28 on: February 27, 2008, 12:19:29 AM »
Reply with quote
Her koi mange pyar jeevan main
Dene ko koi tyaar nahi
Chai hai tanhai her taraf
Man.ne ko koi tyaar nahi

Her kisi ka jeevan adhura
Her koi hai kisi ki talash main
Jeevan gujar jaata hai
Hoti khatam yah talash nahi

Dard main jeeta hai her koi
Lakho jakham chupaye hue
Jhooth per chalti hai yah dunia
Such se kisi ka sarokaar nahi

bahut accha aur sahi kaha hai aapne.
Daad hazir hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #29 on: February 27, 2008, 04:01:43 PM »
Reply with quote
shukaria Roja!!!

Her roj ek nai talash hai
Her roj phir kyun inkaar hai
Dard se bhari is dunia main
Tanhai ki bharmaar hai

Suraj ke chadte hi na jaane kitne khwab khilte hai
Sare din na jaane kitne khwab bikharte hai
Sham tak na jaane kitne dil ho jaate gum saar hai
In bhari dunia main, her ek taraf tanhaai ki bharmaar hai

Her ek najar mai talash, her ek dil mai payas
Khooni najaro main, her roj hoti insaaniyat ki har hai
Pooja yah sab dekha kare, phir socha kare
Kon hai yah insaan, aor kis ki isse talash hai

Her roj ek nai talash hai…..
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 03:52:16 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer