Beton Ki Shadiyan

by riyaz106 on March 16, 2010, 12:28:39 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2181 times)
riyaz106
Guest
«Reply #15 on: March 17, 2010, 06:42:47 PM »
Reply with quote
Pandey ji aapka dher saara shukriya. Aapne bhi bahut achha likha hai.
Ye sher aaj ke haalat ki mukammal tasveer bayaan kar raha hai bahut khoob....Riyaz Sahab...

            Har roj falak se aati hain sadaayen,
            Berang hui basti, benoor hawayen...!
                      Ek sange-rawadaari,
                      Ek range-wafadaari,
                      Ek phool hi ulfat ka,
                      Koi to uthayen...!! Har roj!!

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #16 on: March 18, 2010, 05:14:55 AM »
Reply with quote
Prateek Ji aapka behad aur bahut saara shukriya. Aapko ghazal pasand aai, khushi hui. Masha Allah aap bhi bahut achha likhte hain.
Riyaaz jee-bahut khoob likha hai aapne.dumdaar ghazal hai aapki.

Kaash ji-aapki peshkash behad khoobsurat hai.

Dr. Pandey ji-Atyant gehri baatein aapne bade adab aur nazzakat se hum tuk pahuchaayi,aapka shukriya.
Logged
Simna
Guest
«Reply #17 on: March 18, 2010, 08:43:19 AM »
Reply with quote
Wow
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #18 on: March 18, 2010, 10:41:21 AM »
Reply with quote
HUM_DUM ji ghazal ko pasand farmane ke liye bahut bahut shukriya. Aainda bhi aapse hausla afzaai ki ummeed rahegi.
Oh Wow Kya Baat Hai Riyaz Ji.
Har As'haar Gehraai Mein Dooba Hua Hai.
Bahut Hi Khoobsurat Jazbaat Hain...
Pura Insaf Kiya Hai Aapne Is Ghazal Ke Saath
Bahut Hi Umga Peskash.....


Logged
riyaz106
Guest
«Reply #19 on: March 18, 2010, 12:34:38 PM »
Reply with quote
Behad shukriya Shabbir bhai ke aapne meri ghazal pasand farmai. Karm, mehrbani, nawazish.
Bohat Khoob Farmaaya Riyaz Bhai...
Bohat Achchi Ghazal Hai....
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #20 on: March 19, 2010, 09:49:16 AM »
Reply with quote
Bahut shukriya Simna ji.
Logged
Talat
Guest
«Reply #21 on: March 19, 2010, 01:10:45 PM »
Reply with quote
                GHAZAL

Jo chhodi na tumne ye nadaniyan
To badhti rahengi preshaniyan

Agar paida hongi nahi betiyan
To beton ki hongi kahan shadiyan

Drakhton ko katoge yun hi agar
To sahra banengi hari wadiyan

Kisi dharm ko gar kahega bura
Uthengi tere dharm par ungliyan
 
Gaye the safar ko, bina rehnuma
Kinaron pe hi dubi sab kashtiyan

Buraai na chhodi to phir ek din
Gira dega ye  aasma.n bijliyan

Taraqqi ye kaisi hui 'Ashna'
Nadi mein paresha.n sabhi machhliyan

(added later)
           
Riyaz 'Ashna'





Mashallah...Bohot hi khoob Riyaz Ji, aapne is naazuk masle pe bohot gehraayi se lafzon ko ghazal main utaara hai...Bohot Khoob Applause Applause Applause
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #22 on: March 19, 2010, 02:33:17 PM »
Reply with quote
Waah Waah Kya Baat Hai Bahoot Bahoot Khoob Riyaz ji.. ak naye andaaz mea likhi gai aapki yea ghazal wakai bahoot bahoot Umda hai... Keep writing... !

Kaash ji and Pandey ji... Bahoot Bahoot Khoobsoorati se aapne aapne ehsaas ko byaan kiya hai.. bahoot bahoot Umda !

Applause Applause Applause  Applause  Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #23 on: March 19, 2010, 04:07:25 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Talat ji. Aapne ghazal ko badi tawajjo se padha aur iske mafhoom ko samajhte hue hausla afzaii ki, nawazish, karam aur shukriya.
Mashallah...Bohot hi khoob Riyaz Ji, aapne is naazuk masle pe bohot gehraayi se lafzon ko ghazal main utaara hai...Bohot Khoob Applause Applause Applause
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #24 on: March 19, 2010, 08:22:07 PM »
Reply with quote
                GHAZAL

Jo chhodi na tumne ye nadaniyan
To badhti rahengi preshaniyan

Agar paida hongi nahi betiyan
To beton ki hongi kahan shadiyan

Drakhton ko katoge yun hi agar
To sahra banengi hari wadiyan

Kisi dharm ko gar kahega bura
Uthengi tere dharm par ungliyan
 
Gaye the safar ko, bina rehnuma
Kinaron pe hi dubi sab kashtiyan

Buraai na chhodi to phir ek din
Gira dega ye  aasma.n bijliyan

Taraqqi ye kaisi hui 'Ashna'
Nadi mein paresha.n sabhi machhliyan

(added later)
           
Riyaz 'Ashna'





Wah bohat khoob sach hi likha aap ne very nice...
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #25 on: March 19, 2010, 08:23:49 PM »
Reply with quote
Riyaz ji acha likha hai

ek koshish ki hai,ummeed hai pasand aayegi

dil me bharam mere dost dosti ke baad rakha nahi karte
nadaaniyan apni badhake doosre ko nada kaha nahi karte

ladkiyun ki paidayish se zyada unki ahmiyat zaruri
ladkiyun ki izzat ke bina ladke ladke kahlaya nahi karte

darakhton ko kaatna ek gunaah hai mere dost
zindagi har shajar me yun hi phool khila nahi karte

dharm sabhi ek hain insaan sabhi barabar hain
Allah ke darbaar me raja rank juda nahi lagte


safar vo hai jo mazilon ko nayi manzilen de den
khud ke lie chalne ko to dost chalna nahi kahte

achhayi burai sab nazron nazaaron ka khel hai
ache insaan kisi ko bhi bura nahi kahte




Very nice
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #26 on: March 20, 2010, 04:02:34 AM »
Reply with quote
Wah bahutb khoobsurat aur dil ko chu lene wali gazal likha aapne Riyaz bhai,Kaash ji ,Pandey ji.lovely work.excellent Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #27 on: March 20, 2010, 06:43:53 AM »
Reply with quote
Bahot bahot shukriya Sophi ji. Ghazal ko tawajjo ke saath padhne, pasand karne aur hausla afzaai ke liye main aapka mshkoor hun.
Waah Waah Kya Baat Hai Bahoot Bahoot Khoob Riyaz ji.. ak naye andaaz mea likhi gai aapki yea ghazal wakai bahoot bahoot Umda hai... Keep writing... !

Kaash ji and Pandey ji... Bahoot Bahoot Khoobsoorati se aapne aapne ehsaas ko byaan kiya hai.. bahoot bahoot Umda !

Applause Applause Applause  Applause  Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #28 on: March 20, 2010, 07:41:31 AM »
Reply with quote
Bahut bahaut shukriya Khushi ji ke aapko meri ghaza pasand aai.
Wah bohat khoob sach hi likha aap ne very nice...
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #29 on: March 20, 2010, 02:23:56 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukria Madhu didi ke aapko meri ghazal pasand aai. Main mashkoor hun aapka.
Wah bahutb khoobsurat aur dil ko chu lene wali gazal likha aapne Riyaz bhai,Kaash ji ,Pandey ji.lovely work.excellent Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 03, 2024, 06:03:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.173 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer