Dard Men Jeena Chhod Do

by syednaami on April 22, 2008, 04:48:47 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
ReplyPrint
Author  (Read 4008 times)
Pooja
Guest
«Reply #60 on: April 29, 2008, 08:28:18 PM »
Reply with quote
 Thankyou !
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Chhod de sari duniya... by Meena in Songs & Lyrics « 1 2  All »
Jeene Ki Aas Chhod Di Hai by Devdas_online in Shayri-E-Dard
Mujhe Chhod Na Jaana by daljeet_faqeer in Shayri for Khumar -e- Ishq
saath chhod diya by faheem_akayla in Shayeri for Dard -e- Bewafai
***Mohabat Chhod Di Humne*** by AVTAR RAYAT in Shayri for Dard -e- Judai
syednaami
Guest
«Reply #61 on: April 29, 2008, 08:30:29 PM »
Reply with quote
Ye hui na baat...  Applause

Ab aap ki kavita hardil aziz hosakti he, allah kare zor-e-sukhan or zyada.

Shah Sahib,

Zara si khanak paimane ki aur hum hoshiyar,
Teer chala to sidha sukhanvar ke andar,
Bas nishaana-e-ahdaaf par aisi nazar,
Ishara milte hi dushman-e-bazm dharti par.


(syed Naami)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #62 on: April 29, 2008, 08:33:23 PM »
Reply with quote
ahdaaf?Huh?
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #63 on: April 29, 2008, 08:41:47 PM »
Reply with quote

Lekhak aor shayar mai jara anter batlaaye
shabdo ke hair-phair main humko na uljhaye
dil jaise chahe waise he app likhte jaaye
magar gahari urdu ke meaning bhi sath main batlaaye

+++++++
Logged
Pooja
Guest
«Reply #64 on: April 29, 2008, 08:43:15 PM »
Reply with quote
Humko ahdaaf ka matlab samjhaye
itani gahari urdu likhe to meaning bhi likhte jaaye
apki lekhani ko hua hai kaya
sayyid ji app bhi humko yah samjhaye
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #65 on: April 29, 2008, 08:51:35 PM »
Reply with quote
Shah Sahib,

Zara si khanak paimane ki aur hum hoshiyar,
Teer chala to sidha sukhanvar ke andar,
Bas nishaana-e-ahdaaf par aisi nazar,
Ishara milte hi dushman-e-bazm dharti par.


(syed Naami)

UPAR SE GAYA UPAR SE GAYA
HAR SHER HAMARE SAR SE GAYA 
Laughing hard  Laughing hard  Laughing hard
Logged
syednaami
Guest
«Reply #66 on: April 29, 2008, 09:03:21 PM »
Reply with quote
Humko ahdaaf ka matlab samjhaye
itani gahari urdu likhe to meaning bhi likhte jaaye
apki lekhani ko hua hai kaya
sayyid ji app bhi humko yah samjhaye

Jis ke liye likha usne sawal hi na kia
Taareekh ko banaya jisne, usne hi mitta dia

Jinko khabar milli hamare zoq ke intaha ki
usne aakar kaha, uthhye janab ye jagah hai shahukaron ki

-----------

Ahdaaf Plural of "Hadaf" Arabic
Meaning :: Targets, Mark, Lakshya
Logged
syednaami
Guest
«Reply #67 on: April 29, 2008, 09:06:34 PM »
Reply with quote
UPAR SE GAYA UPAR SE GAYA
HAR SHER HAMARE SAR SE GAYA 
Laughing hard  Laughing hard  Laughing hard

Woh jaana tha mian, kyunki jiske liye tha usne padha usne samjha nahin, jis ke liye kuchh aur tha usne sawaal hi kuchh aur kardiya.  NaNaNa NaNaNa Giggle

Ab aap saahib-e-qalam ke liye hum pehli ka qaida to nahin likhenge na.  Laughing hard tongue3
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #68 on: April 29, 2008, 09:29:40 PM »
Reply with quote

Woh jaana tha mian, kyunki jiske liye tha usne padha usne samjha nahin, jis ke liye kuchh aur tha usne sawaal hi kuchh aur kardiya.  NaNaNa NaNaNa Giggle

Ab aap saahib-e-qalam ke liye hum pehli ka qaida to nahin likhenge na.  Laughing hard tongue3


ha ha ha

janab me chahta hun aap ke kalam ko har koi samjhe, ye kisi ek tak mahdud rahe ye aadab-e-mehfil ke bhi khilaaf he or is moqe or halaat ke bhi munasib nahi, ek or baat ye ke urdu alfaaz jab english me likhe jaate hen to padhne me nisbatan mushkil hojate hen, do baar seh baar padhne par samajh me aate hen, shayad is liye ke ek lafz ko me alag tariqe se likhta hun aap alag koi or alag hi tariqa apnaata he.  DOH
Logged
syednaami
Guest
«Reply #69 on: April 29, 2008, 09:46:18 PM »
Reply with quote
ha ha ha

janab me chahta hun aap ke kalam ko har koi samjhe, ye kisi ek tak mahdud rahe ye aadab-e-mehfil ke bhi khilaaf he or is moqe or halaat ke bhi munasib nahi, ek or baat ye ke urdu alfaaz jab english me likhe jaate hen to padhne me nisbatan mushkil hojate hen, do baar seh baar padhne par samajh me aate hen, shayad is liye ke ek lafz ko me alag tariqe se likhta hun aap alag koi or alag hi tariqa apnaata he.  DOH


Jaanib-e-nazar kahun ya jaazib-e-nazar,
Mera Tareeq sada hai teri afkaar se.


Mian Randeri,
Hum donon ke Roman Urdu kam-o-besh milti julti hai, aur farq hai to bas aap thoda Hindi Romanization karte hain aur Hum Urdu.
Baaqi yeh baat to baherhaal hai ki ek ki tarz-e-kitaabat ka hona lazimi hai.
Kair, iss bahis se humne buhat sikha, inshaAllah aapke diye naqsh par amli muzaahira karne ki koshish karenge.

S Naami[/b]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #70 on: April 29, 2008, 10:05:25 PM »
Reply with quote
app dono ka likha samjhane ke liye pahle urdu sikhani padegi... humm....
Jis ke liye likha usne sawal hi na kia
Taareekh ko banaya jisne, usne hi mitta dia


kis ke liye likha tha Huh?
Logged
syednaami
Guest
«Reply #71 on: April 29, 2008, 10:16:53 PM »
Reply with quote
Yeh thoda mazaaq chal raha tha, Sayyid bhai se.

Kyunki unko Urdu ki buhat jaankari hai, aur woh kabhi kabhi funny men nazar aate hain. Bas uss par yeh saara qissa baaten ho rahin hai.

Kuchh aisa likha ki shayad samajh se baahir chala gaya na. Par aage se Urdu ko aasan shabdon men likhun ga.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #72 on: April 29, 2008, 10:19:51 PM »
Reply with quote
To likho bhi... kab se intzaar ho raha hai
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #73 on: May 01, 2008, 04:19:48 AM »
Reply with quote
UPAR SE GAYA UPAR SE GAYA
HAR SHER HAMARE SAR SE GAYA 
Laughing hard  Laughing hard  Laughing hard

hahaha...  Laughing hard Laughing hard


Logged
syednaami
Guest
«Reply #74 on: May 01, 2008, 11:39:59 AM »
Reply with quote
hahaha...  Laughing hard Laughing hard


Haan haan, ab tum bhi mazaaq karo.. chalo is bahaane tum khush to hoye.  NaNaNa
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 02, 2024, 12:05:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer