Ek Dua.....

by asif faiz on May 08, 2013, 09:00:07 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1484 times)
asif faiz
Guest
«Reply #15 on: May 11, 2013, 09:36:40 PM »
Reply with quote
bahot shukriya ..suman ji and Tuhina ji
Logged
asif faiz
Guest
«Reply #16 on: May 11, 2013, 10:21:07 PM »
Reply with quote
@ Sheba ji... har insaan ka dua maangneka apna tarika hota hai...dua khuda aur bande k beech me rahti hai ..doosron ko beechme nahi bolna chahiye..main kya kahna chahta hun..ye main aur mera rab samajhta hai..log chahe jo matlab nikaale ..fark nahi padta...agar aapko mera kalamm pasand na aaye..to meherbaani karke cmnt na kariye...insaan jo likh raha hai .wo kya soch kar likh raha hai ye sirf usko pata hai..aur uske rab ko pata hai.... is tarah kisi k kalaam ka mazaak udaana theek nahi hai..aapko pasand nahi aya ...ignore kariye...

Logged
sbechain
Guest
«Reply #17 on: May 12, 2013, 04:10:13 AM »

dear asif,

salaam-alaikum -wa rahmatullah-wa barkatahu.

    mujhe muaaf karo gar bura laga. per ek baat zaroor dhyaan mein rakho. ye open thread hai aur koi bhi post karne wale ko iss gumaan mein nahin rahna chaahiye ki use wah wahi hi mile gi.

aap jo bhi kalaam likhte ho wo aap ki soch aur nazariya hai koi aap ke dil mein ghuss kar nahin dekhta ki aap ki mansha kya hai. uss kalaam ke zariye padhne wala apna nazariya deta hai.aur itna hi darr hai to phir kalaam ko soch samjh kar likho. yahaan aane wale aur padhne waale bewakoof ya anaadi nahin hain. kisi ko bhi kisi ka kalaam iss buri tarah se bura lage ga to wo zaroor hi object kare ga.

aur haan maine mazaak nahin udaaya hai mujhe aap ka kalaam meri nazar se bura laga . aap sahi honge. to apne her sher ka tabsira hi kar dein ki aap sahi maane mein kya kahna chahte hain.

khush rahiye aur ache kalaam likhte rahiye.

allah hafiz
icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
mkv
Guest
«Reply #18 on: May 12, 2013, 03:43:52 PM »

Asif jee
aadaab..Sheba jee ko diye aapke comment ko dekhkar...philhaal mai itna kahunga ki.. padhne vaale ko apne tareeke se react karne ka adhikaar hai.. agar aap aisa nahee chaahte to.. aap pahle se likh sakte hai ki aap sirf positive comment chahte hai. aapki tarz par..comment karne vaala bhi..apni soch ke anusaar comment karta hai..
meri baat ka bura lage to maafi ka talabgaar hun.
khuda hafez
Logged
mkv
Guest
«Reply #19 on: May 12, 2013, 03:46:39 PM »
Reply with quote

dear asif,

salaam-alaikum -wa rahmatullah-wa barkatahu.

    mujhe muaaf karo gar bura laga. per ek baat zaroor dhyaan mein rakho. ye open thread hai aur koi bhi post karne wale ko iss gumaan mein nahin rahna chaahiye ki use wah wahi hi mile gi.

aap jo bhi kalaam likhte ho wo aap ki soch aur nazariya hai koi aap ke dil mein ghuss kar nahin dekhta ki aap ki mansha kya hai. uss kalaam ke zariye padhne wala apna nazariya deta hai.aur itna hi darr hai to phir kalaam ko soch samjh kar likho. yahaan aane wale aur padhne waale bewakoof ya anaadi nahin hain. kisi ko bhi kisi ka kalaam iss buri tarah se bura lage ga to wo zaroor hi object kare ga.

aur haan maine mazaak nahin udaaya hai mujhe aap ka kalaam meri nazar se bura laga . aap sahi honge. to apne her sher ka tabsira hi kar dein ki aap sahi maane mein kya kahna chahte hain.

khush rahiye aur ache kalaam likhte rahiye.

allah hafiz
icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Sheba jee..
mujhe pata hai aap bahut dhyaan se padh ke comment karti hai...lahja bhale mazaakiya ho aapka..
padhne ka sahi maza tabhi hai..jab dil ki baat jubaan par bhi aaye.. healthy bazm ki pahchaan..
keep it up.
Logged
asif faiz
Guest
«Reply #20 on: May 12, 2013, 04:11:42 PM »
Reply with quote
mkv ji....mujhe unke criticize karne se aitraaz nahi hai.....par jis andaaz me unhone criticize kiya wo mujhe pasand nahi aaya...." haan ..aap ki baat bilkul sahi hai..padhnewale ko apni view ko express karne ka adhikaar hai"..par cricize karneka b koi tarika hota hai..criticize karne ka matlab kisiko neecha dikhana thode hi hota hai..."

khair maine to sheba ji se pahle hi kah diya hai...unka comment karne ka andaaz mujhe pasand nahi aaya..aur isliye main aagey se is forum me apni poetry post nahi karunga...mujhe criticize hone se dar nahi lagta.
..

Logged
mkv
Guest
«Reply #21 on: May 12, 2013, 10:54:59 PM »
Reply with quote
Asif bhai
aap ki reply kah rahee hai ki aap positive soch rakhte hai..
yun ek choti si baat par aapka naaraj hona theek nahee..
aap likhte raheN.. mujhe ummeed hai ki dobara aisa nahee hoga..
shukriya
Logged
sbechain
Guest
«Reply #22 on: May 13, 2013, 02:38:17 AM »
Reply with quote
mkv ji....mujhe unke criticize karne se aitraaz nahi hai.....par jis andaaz me unhone criticize kiya wo mujhe pasand nahi aaya...." haan ..aap ki baat bilkul sahi hai..padhnewale ko apni view ko express karne ka adhikaar hai"..par cricize karneka b koi tarika hota hai..criticize karne ka matlab kisiko neecha dikhana thode hi hota hai..."

khair maine to sheba ji se pahle hi kah diya hai...unka comment karne ka andaaz mujhe pasand nahi aaya..aur isliye main aagey se is forum me apni poetry post nahi karunga...mujhe criticize hone se dar nahi lagta.
..

main aap se 1000 baar sorry kahti hoon...! lekin main ne aap ka na to mazaak udaaya hai na hi aap ko neecha dikhaya hai.aisa aap kyon sochte ho.haan aap ke sher ke motaaliq mujhe hud darjha aitraaz hai aap apne kalaam ko kisi deeni scholor se wazaahat kar wa lein..buss main itnah hi kahna chahoon gi
Logged
asif faiz
Guest
«Reply #23 on: May 13, 2013, 10:28:23 AM »
Reply with quote
Theek hai sheba ji..main us kalaam ko na kabhi padhunga aur na hi kahin post karunga.... mera kalaam to aapko accha nahi laga..lekin meri baatein agar aapko buri lagi hon to main b aapse maafi chahta hun.. shayad aap mujhse senior hain..aapki baaton se ye laga.. main apni galti maanta hun... aage kabhi main is forum me apni poetry post karunga ya nahi ye to nahi pata...par agar main post karun ...to main chahta hun...aap mujhe meri galtiyaan zaroor dikhayein.... mujhe bilkul bura nahi lagega... khush rahiye..!!! Allah Hafiz...

Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 07:32:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer