Kuch Daur Mushkil Se Hi Sahi Par Guzar Gaye "Khwaish"

by khwaish on September 15, 2010, 08:05:22 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 5947 times)
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #15 on: September 15, 2010, 11:38:43 AM »
Reply with quote
Oye hoye kya baat hai dost..! Applause Applause

Ager Khuda se milna hi hai toh sachayi kay raaste se kyun na mila jaye,
Sawabon ka vazan, gunaahon kay boj se acha hota hai..!

kya bat he sahab~

mene to sawabon ko dekha hi nahi
gunaaho ki malumiyat kar na saka
kya fayda gar jhute sachche ko samajh lun
jo samajhkar bhi khuda ko samajh na saka~

Logged
dead heart
Guest
«Reply #16 on: September 15, 2010, 11:42:05 AM »
Reply with quote
Shukriya dost..

bahaut khoob Applause

Khuda ko samajna insaanon ki baat nahin hai Rahim,
Qatra bhar gunaah toh nek dilon main bhi hote hai.!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #17 on: September 15, 2010, 12:57:04 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause  bahut khoob Khwaish ji...!!!
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #18 on: September 15, 2010, 12:57:29 PM »
Reply with quote
Bohat khoob mere bhai.........hamesha ki tarah kuch hatke likha hai.
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #19 on: September 15, 2010, 01:04:11 PM »
Reply with quote
Khawahish Jee Aadaab!

Aik achchi koshish par daad kabool kijiye....
Sabhi ashaar ahche raheN... ahsaas o khayaal behad umdaa hai.... Daad Janab

Likhate rahiye...
Khush rahiye...
Khuda hafez.... Usual Smile         

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #20 on: September 15, 2010, 01:05:32 PM »
Reply with quote
Apki kavita ka mujhe bhi bahaut be-sabri se intezar rahega Dost..!

Ji Zaroor Bhai rahim!!!jald hi post karunga..

Shukriya icon_flower
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #21 on: September 16, 2010, 06:14:26 AM »
Reply with quote
Shukriya dost..

bahaut khoob Applause

Khuda ko samajna insaanon ki baat nahin hai Rahim,
Qatra bhar gunaah toh nek dilon main bhi hote hai.!

wah kya bat he..

khuda gunah dekhega to karam karega kaise
khuda punya bhi dekhega to karam karega kaise
mere dost ek wahi dar he jahan ek hi qatar hoti he
jahan khada hota gunahgaar wahi farishto ki bhi bheed hoti he~
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #22 on: September 16, 2010, 06:44:09 AM »
Reply with quote
Ashq Palkon Se Jo utar Gaye
Kuch Daur Mushkil Se Hi sahi Par Guzar gaye

Giraft-e-Gham Mein Qaid Rahe Kuch Pal
Guzarte Waqt ke Saath Woh pal Bhi sawar gaye..

"Khwaish" Chot Khaane Par Aakhir Shikayat Kyon..
Chot khaakar Hi To, Hum Ab Sambhal gaye..

Jin Apno Ke saaye Mein Khud Ko mehfooz Samajhte Rahe,
Bure waqt Par Woh Saaye, Naa Jaane Kidhar Gaye...

Khud Ko Har Mehfil ki Jaan Aur Shaan Samajhne Wale
Tanhai Mein Apni Hi parchaai Se Darr gaye...

"Khwaish" Apni Zindagi Ka Yehi Falsafa Hai
Kuch umeed Ke chirag Bhujte Rahe To kuch Jal gaye...

Yeh Zindagi Ki Haqeeqat Hai Ke Umar-e-Rafta Kabhi Lauthti Hi Nahi!!!
Kuch Khwaab Ko Saansein Naseeb Hui To Kuch Khwaab Tootkar Bikhar Gaye

Kuch Daur Mushkil Se Hi Sahi Par Guzar Gaye...............


              ~~~~~Khwaish~~~~~~


mastam mast......khwaish ji.......

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Aankhon se chhalakar  palkon pe ruk gaye
Ashk mere bhi mere dard se sahem gaye

Sahem kar ruke mere rukhsaron pe kuch pal
Fir andekha kar wo bhi mujhe tanha kar gaye

Girte rahe har bar jab bhi sambhalna chaha humne
Log aate jaate hum eek nai thokar dekar chale gaye

Har apne paraye ko samjhke apna saathi hum
Unke gamon me khudko uljhate chale gaye

Tareefein sunte rahe apni hum har kisi ki zabaan se
Apni  ruuh ki ek hi awaaz se sare bharam dhul gaye

Jalaye rakhe humne chiraag auron ki ummeedon k
Ye karne me apne hi ghar k sare chiraag bujha gaye

Jitna beeta hai bht hi achcha beeta hai zindagi ka safar
Jo bacha wo bhi ab hum zamane k naam kar gaye…


Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #23 on: September 16, 2010, 02:43:05 PM »
Reply with quote
khwaish ji bahut khoob kahin dil ki gehraiyon se uth kar aai hai ye ghazal.
excellent. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

the best lines r --kuch khwabon ko saanse naseeb hui kuch tootkar bikhar gaye.
really very touching.


Thankyou Soooooooooooooooo much sureshji..

Aapki Tareef Se Bhare Bol Aa Jaaye To Sukoon zaroor Mil Jaata Hai Humein..

Basa Yuhi Hausla-Afzaai karte rahiyega.. icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #24 on: September 16, 2010, 02:48:34 PM »
Reply with quote

apko pasand aaya apka dhanyawad...

chup hote he lab mere fir bhi
kuchh labz kyun sunai dete he
me har dam muskurata hun fir bhi
ye aaine rote kyun dikhai dete he


Waah Waah Waah!!!!

Bahut Khoob!!! Bahut Gehri Baat kahi Hai Aapne Abhi ji..

kabhi Tanha Chalta Hoon To Mehsoos Hota Hai
Jaise Parchaiyan Bhi kuch Bolti hai
Insaan Toot Jaata Hai Tab!!!!
Jab Uski Tanhaiyaan Kuch Bolti Hai..


Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #25 on: September 16, 2010, 03:01:10 PM »
Reply with quote
Oye hoye kya baat hai dost..! Applause Applause

Tajjub hai mujhe teri iss baat par 'Abhi',
Humne toh yehi suna tha kay aine jhoot bola karte hai.!

Kya Baat Hai Bhai rahim!!!!

Bahut Khoob!!!!

Aaene Ki Bhi Ek Ajeeb kahani Hai
Kabhi Chehre Pe Muskaan To Kabhi Aankhon mein Paani hai

Aaena kabhi jhoot nahi Bolta Eh dost!!!!
bas Toot Kar Bikhar Jaana Hi uski Zindegaani Hai...
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #26 on: September 17, 2010, 05:54:45 AM »
Reply with quote
Waah Waah Waah!!!!

Bahut Khoob!!! Bahut Gehri Baat kahi Hai Aapne Abhi ji..

kabhi Tanha Chalta Hoon To Mehsoos Hota Hai
Jaise Parchaiyan Bhi kuch Bolti hai
Insaan Toot Jaata Hai Tab!!!!
Jab Uski Tanhaiyaan Kuch Bolti Hai..




dhanyawad khwaish ji...

ham to alhad jogi hua karte the "Abhi"
tanhai ne jodkar insaan bana diya
or aap kehete he ki tanhai tod deti he~

Logged
poppoetry
Guest
«Reply #27 on: September 18, 2010, 06:16:28 PM »
Reply with quote
waah bahut hi khoob khwaish ji.....sach hai mushkil daur guzarne mein waqt toh bahut lagta hai, par guzar hi jata hai.....khuch likhne ka man ho aaya aapki ye kavita padhkar....pta nahi kaisa hai....lkn jo dil mein aa rha hai wo likhne ki gustakhi kar rahi hu.......


Guzre uss daur mein, koi toh hoga  raazdaar tera
Ashqo ko tere baantne  waala,
koi toh hoga saanjhedaar tera

Apne begaane hote nahi,
bura waqt unhe paraya kar deta humse
Aise mein saath nibhane ko,
koi toh hoga maujud begana par apna tera

Tapti dhup se jalta dekh tujhko,
Maangi tere liye Rab se barsaat mehar ki
Yakeenan aisa koi toh hoga meharbaan tere

Jisne di har gam se ladne ki taakat tujhe
Koi toh hoga wo humdum, wo yaar tera
Logged
anunisu
Guest
«Reply #28 on: September 18, 2010, 07:53:38 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Winking icon_salut
Logged
neelgold
Guest
«Reply #29 on: September 19, 2010, 12:54:52 AM »
Reply with quote
bhut khoob ......

Very very gud !!!!!
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 01:19:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer