kuuchH shaYeree se hatt kAr,...........

by laaiba on May 08, 2013, 11:54:19 PM
Pages: 1 2 3 4 [5]
ReplyPrint
Author  (Read 4016 times)
laaiba
Guest
«Reply #60 on: April 14, 2014, 05:48:47 PM »
Reply with quote

Atif saeed ki kitab "Tumhay mousam bulatay hain" se Iqtabas

Meray Khwaab Mera Qeemti Asasa Aur Meray Liye Zindagi Kay honey Ki Alamat Hain . Main in main Saans leta hoon Aur Inhein Aney Undar Dharkta Mehsoos KArta Hoon , Meray Liye Khwaab Achay Ya Buray Nahin Bas Khwaab Hain Jin Ki Muthi Main Dard Ki Ahat , Aas Kay Jugnu Aur Kabhi Sirf Mohabbat Hai . kabhi yeh Aney Waley Achay Mausamo'n Ki Naveed Sunatey hain aur kabhi gaye Ruto'n kay Manzhir Dil Kay Kainvas par Paint kartey hain . kabhi Ansoo Ban kar Palko'n par Na'rSaye kay Dukh Karhtey hain aur kabhi Muskan ban kar Honto'n Par Khil Uthtey hain . kabhi Khamoshi ban kar pooray Wajood main Phail jatey hain aur kabhi Ithna Shour kartey hain kay aur kuch Sunaye hi nahin Deta . Khwaab Aghar Tabeer Ko Choo Lein tu Zindagi Roshan ho Jati hai Warna Un Ki Nami Zeest Kay Sab Rasto'n Ko Dhundla Deti hai .Meri Ankho'n Main BHi Wo Mausam Utrey Hain Jin Kay Daman main Mohabbat kay Khwaab hain.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
SOCH HATT K.....cara. by cara in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
soch zara hatt k.ky by kameeney in Miscellaneous Shayri
laaiba
Guest
«Reply #61 on: December 31, 2014, 01:19:10 PM »
Reply with quote

  Ba'az dafaa khaamoshi wajood per nhi dil me utarti hai

 phr is se zada mukamal khubsorat aur baa maani guftagoo

 koi aur cheez nhi kar sakti aur

 ye guftagoo insaan ki saari zindagi ka haasil hoti hai

 aur is guftagoo k bad aik doosre se kabhi dobaara kuch kehna

 nhi perta...

 (La-hasil)
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #62 on: December 31, 2014, 06:33:10 PM »
Reply with quote

Waah kia kahne behad umda aur pur asar khayaal share kiya hai aapne ...
Sonchte hai kabhi hum bhi kuch likhe aapke is thread par lekin waqt itni izazat nahi deta ...

Shaad O aabaad rahiye..
Khuda Hafez ...


Logged
laaiba
Guest
«Reply #63 on: April 28, 2015, 07:35:51 PM »
Reply with quote
 
 محبت وہ شخص کرسکتا ہے جو اندر سے خوش ہو، مطمئن ہو اور پرباش ہو۔ محبت کوئی سہ رنگا پوسٹر نہیں کہ کمرے میں لگالیا ۔۔۔۔۔ سونے کا تمغہ نہیں کہ سینے پر سجالیا۔۔۔۔ پگڑی نہیں کہ خوب کلف لگا کر باندھ لی اور بازار میں آگئے طرہ چھوڑ کر۔ محبت تو روح ہے۔۔۔۔۔ آپ کے اندر کا اندر ۔۔۔۔ آپ کی جان کی جان ۔۔۔۔۔۔ محبت کا دروازہ صرف ان لوگوں پر کھلتا ہے جو اپنی انا، اپنی ایگو اور اپنے نفس سے جان چھڑا لیتے ہیں۔
(اشفاق احمد کے ناول ’’من چلے کا سودا‘‘ سے اقتباس



mohabbat vo shakhs kar saktaa hai joh andar se khush aur mutmauien ho,

aur pur baash ho, mohabbat koye seh rangaa poster nahi ke kamre mein lagaa liyaa, sone ka tamgha nahi ke seene par sajaa liyaa, padri nahi ke khoob kulf lagaa kar bandh lee, aur baazar main aa gaye tarra choud kar ,

muhabbat toh rooh hai ,..... aapke andar kaa andat,.... aapki jaan ki jaan,..

muhabbat kaa darwaaza sirf un logoN ke liye khultaa hai joh apni anaa, apni ego aur apne nafs se jaan chudaa lete haiN,...........



ashfaq Ahmad man chale ka souda
Logged
laaiba
Guest
«Reply #64 on: November 02, 2015, 06:29:54 PM »
Reply with quote

 Muhabat aik tareek jungle ki tarah hoti hai… aik bar iss k under chaley jao phir yeh bahir aaney nahi daiti. Bahir aa bhi jao tu ankhain tareeki ki itni aadi ho chuki hoti hain k roshni mein kuch bhi nahi daikh sakti…who bhi nahi jo bilkul saaf, waziya’h aur roshan hota hai.


Hum Duniya Main Rah Rahay Hain Aur Duniya Main Koi Muktalif Nahin Hota... Baaz Loug Jo Humay Bazahir Mukhtalif Lagtay Hain Wohi Hamaray Liye Sab Say Zayada Azaab Latay Hain..Tab Humay Pata Chalta Hai Woh Kitnay Mamoli Aur Amm Hotay Hain Aur Shayad Beqimat Bhi Balkay Baaz Dafa Amm Lougoun Say Bhi Zayada Baqeemat Sabit Hotay Hain.
[/font]
Logged
Saleem A khan
Guest
«Reply #65 on: November 02, 2015, 09:53:08 PM »
Reply with quote
Superb collectons of specific & spirtual rare words
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 11:11:04 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer