YAAD AATI HAIN YAAR KI BAATEIN....Hasan

by F.H.SIDDIQUI on August 08, 2011, 10:46:07 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3396 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #15 on: August 09, 2011, 11:27:38 AM »
Reply with quote
sarfira ji,bahut pyaare andaaz mein daad dee hai.Zarra nawazi ke liye mashkoor hoon.khush rahiye.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #16 on: August 09, 2011, 02:20:29 PM »
Reply with quote
Parwaaz Saheb,Ek baar phir aap ka tah-e-dil se shukriya ki aap ne mere adnaa se kalaam per itni tawajjo dee aur tafseel ke saath she'r ba she'r apna purkhuloos taj'ziya inaayat kiya.Aap ke alfaaz aur duaayein hausla barhaate hain aur kuchh achha karne ki targheeb dete hain.Bahut shukrguzaar hoon aapka.Khush rahiye.Aapka Hasan

 Thankyou !
Logged
M.ASGHAR MIRPURI
Guest
«Reply #17 on: August 13, 2011, 03:57:36 PM »
Reply with quote
Adaab o Tasleemat!Yeh koi hafta pehle ki baat hai jab mein ne aap ka Klaam pada tau laga jaise Josh,Daagh,Jigger  ke zamzne mein
pukhta klaam hote thay aisa aap ka kalaam tha magar mein ne apne khyalat ka izhaar na kya ke kehein aap yeh na sochein ke shaid
mein naya hoon aap sochein ke ab muje be isay daad deni pade gi
mein iss liye ruka raha magar aaj aik dost ne bataya meri aik tehreer par aap ne daad di hai tau aaj apne comments diye.Asghar
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #18 on: August 13, 2011, 05:31:15 PM »
Reply with quote
Bhai Asghar Mirpuri saheb,Yaad awari  aur hausla afzai ke liye bahut bahut shukriya.Main aap ko qatai naya nahiin samajhta .Aap ka kalaam doosri website par bhi dekhta rahta hoon.Yoindia per bhi shaayad aap kaafi dinon se hain.Main abhi naya hoon.Haan meri ghazlein sab nayi nahiin hain.Kuchh pahle ki hain,kuchh shaye shuda kuchh ghair shaye shuda.Yoindia per mukhlis aur sukhan shinaas neez farakh dil ahbaab mile hain to unnke saath share karne mein bahut khushi mahsoos hoti hai.Koshish karta hoon to kabhi kabhi shayad kuchh she'r iss laayaq hote hain ki apne faraakhdil doston ki mohabbat mil jaati hai.Aap ne mera dil barhaaya iss ke liye phir se bahut shukriya.Hasan
Logged
M.ASGHAR MIRPURI
Guest
«Reply #19 on: August 13, 2011, 06:51:29 PM »
Reply with quote
HASAN BHAI AAP KA DIL PEHLE SE BAUT BADA HAI YAQEEN KAREIN KE AAP KA KALAAM MUKAMAL HAI MEIN TAU ZYADA TAR TANZ O MAZAH HE LIKHTA HOON JAB AAP SAB KE SANJEEDA KALAAM PADEH TAU MERA BE JEE CHAA KUCH SAJEEDA CHEEZAIN AAP LAGOON KE SAATH SHARE KAROON.ASGHAR
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #20 on: August 14, 2011, 05:55:17 AM »
Reply with quote
Shukriya,Asghar saheb.Aapka isteqbaal hai.Main bhi insha'allah waqfe waqfe se kuchh mazaahiya kalaam se khaana puri karta rahoonga.
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #21 on: August 24, 2011, 10:37:51 AM »
Reply with quote
Yaad  aati  haai.n  yaar  kee  baatei.n,
Pyari  pyari  wo  pyaar  kee  baatei.n

Hij'r  ke  iztiraab  kay  qisse ,
Was'l  ke  intizaar  kee  baatei.n

Tabsire , mashvire  saheli  kay ,
Ek  hasee.n  raazdaar  kee  baatei.n

Rukh  pe  girna, kabhie  simat  jaana,
Gesu - e - mushk'baar  kee  baatei.n

Zer - e - lab  muskurahatei.n ,.. sunkar,
Teekhe  Naqsh - o - nigaar  kee  baatei.n

Taal  jaana  zamaane  kay  qisse ,
Talkhiyo.n   se  faraar  kee  baatei.n

Phir  se  lay baithe , dekho  aaj  'Hasan',
Dil  ke  ujde  dayaar  kee  baatei.n


naaaaaaaaaaaaice FHS
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #22 on: August 24, 2011, 11:18:47 AM »
Reply with quote
Khamosh aawaaz saheb,bahut bahut shukriya.HASAN
Logged
Dil Shah
Guest
«Reply #23 on: August 24, 2011, 11:22:46 AM »
Reply with quote
wah bahut khub janaaab..........
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #24 on: August 24, 2011, 11:41:58 AM »
Reply with quote
Dil Shah saheb,Bahut shukriya aur Yoindia per tah e dil se aapka khairmaqdam.HASAN
Logged
Dil Shah
Guest
«Reply #25 on: August 24, 2011, 11:46:03 AM »
Reply with quote
thanks jiiii
Logged
mkv
Guest
«Reply #26 on: October 21, 2011, 11:23:11 AM »
Reply with quote
Yaad  aati  haai.n  yaar  kee  baatei.n,
Pyari  pyari  wo  pyaar  kee  baatei.n

Hij'r  ke  iztiraab  kay  qisse ,
Was'l  ke  intizaar  kee  baatei.n

Tabsire , mashvire  saheli  kay ,
Ek  hasee.n  raazdaar  kee  baatei.n

Rukh  pe  girna, kabhie  simat  jaana,
Gesu - e - mushk'baar  kee  baatei.n

Zer - e - lab  muskurahatei.n ,.. sunkar,
Teekhe  Naqsh - o - nigaar  kee  baatei.n

Taal  jaana  zamaane  kay  qisse ,
Talkhiyo.n   se  faraar  kee  baatei.n

Phir  se  lay baithe , dekho  aaj  'Hasan',
Dil  ke  ujde  dayaar  kee  baatei.n
Bahut bahut khoob hasan sahab.
Saadgi se bhara ehsaas. Vaah......
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #27 on: October 21, 2011, 01:10:53 PM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob hasan sahab.
Saadgi se bhara ehsaas. Vaah......

bahut bahut shukriya,mkv ji,bhooli hui ghazal yaad dilaane  aur hausla afzai ke liye.HASAN
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 05:13:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.137 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer