(Rahat Indori)

by majid on January 31, 2011, 07:17:52 PM
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 51605 times)
mohammad amir
Guest
«Reply #15 on: August 25, 2011, 08:31:19 PM »
Reply with quote
log har mod pe ruk ruk ke sambhalate kyuun hain
itanaa Darate hain to phir ghar se nikalate kyuun hain

main na juganuu huun diyaa huun na koii taaraa huun
raushanii vaale mere naam se jalate kyuun hain

niind se meraa ta'alluq hii nahiin barason se
Khvaab aa aa ke merii chhat pe Tahalate kyuun hain

mod hotaa hai javaanii kaa sambhalane ke liye
aur sab log yahiin aake phisalate kyuun hain


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mushkil bhi rahat ka ek ishara hai by saif_Soz in Shayri-E-Dard
Rahat namaz hai - Noor by Nooruddin Noor in Miscellaneous Shayri
rahat by raajaindra in Shayri for Khumar -e- Ishq
Rahat Indori sahab by sayyed aamir hussain in Urdu Poets
Allah badshah - Rahat Indori by ghayal_shayar in Urdu Poets
richanshu
Guest
«Reply #16 on: September 16, 2011, 01:50:03 PM »
Reply with quote
bahut khub bayan karne ke liye sabdh nahi mil rahe ye to aap hai ki aaj bhi shayri zinda hai
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #17 on: October 09, 2011, 11:46:18 AM »
Reply with quote
uskii katthaii aaNkhoN meN haiN jantar mantar sab
chaaquu vaaquu, chhuriyaan vuriyaan, Khanjar vanjhar sab

jis din se tum ruuThiiN mujhse ruuThe ruuThe se haiN
chaadar vaadar, takia vakia, bistar vistar sab

mujhse bichhuR kar voh bhii kahaaN ab pahle jaisii hai
bhiige paR gaye kapRe vapRe, zevar vevar sab



Shihab Sahaab Aadaab!

Janab Rahat Sahab ki yeH kalaam waqai behad khub hai..
Aur is kalaam ka asli mazaa to janab unki hi zubaani
sunne meiN jo hai ke kia kahne Bahut umdaa bayaaN ki thi
unhone yeH kalaam ...

Janab is kalaam ke aur do sher the Jo hume zubaani yaad to
nahi par aapne bhi bus teen hi sher share kiye.. Huh?

Aik sher hume yaad aaya kyuN k jab unhone woH sher
kaha tha to usmeiN in ShayaroN ki khiNchai ki thi..
Aur pura pandal hasi ki guNjoN meiN guNj gaya tha.. kyuN ke
yeH teeno shayar sahaab bhi wahaaN moujud the..
Tahir Faraaz sahaab, Manzar Bhopali Sahaab, Aur Johar kanpuri
Sahaab... Inke naam se aik misra hai jo yaad hai uska ulaa hume
thik se yaad nahi aa raha hai koshish karte hai shayad yaad aa jaye..
Aur is kalaam meiN aik sher ka izafa ho jaye...           




Mere nuskhe mujhi par ab yeH aazmaate hai
Tahir wahir Johar wohar manzar wanzar sab...  Winking         

Logged
Dr.avinash
Guest
«Reply #18 on: October 10, 2011, 02:41:43 PM »
Reply with quote
contact me for latest shayari
Dr avinash
pareekavin@gmail.com
Logged
Rizwan Siddiquee
Guest
«Reply #19 on: October 15, 2011, 12:48:15 PM »
Reply with quote
Hr ek sher me siney ka noor daal k rkh,
Kabhi toh kaghaz pr dil ko nikal k rkh !!

Rizwan Siddiquee

+91 9971395437
 Applause
Logged
SHAKIR ALI
Guest
«Reply #20 on: October 26, 2011, 02:00:05 PM »
Reply with quote
RAHAT JI MAIN AAPKO MISH KARTA HOON KI MUJHE AAP KI SHAYRI BAHUT ACHHI LAGTI HAI

Logged
goldi06
Guest
«Reply #21 on: November 16, 2011, 08:34:00 PM »
Reply with quote
[quote aut
samandaroN meN muaafiq havaa chalaata hai
jahaaz khud nahiiN chalte Khudaa chalaataa hai

ye jaa ke meel ke patthar pe koii likh aaye
vo ham nahiiN haiN, jinheN raasta chalaataa hai

vo paaNh vaqt nazar aataa hai namaazoN meN
magar sunaa hai ki shab ko juaa chalaataa hai

ye log paaoN nahiiN zehan se apaahij haiN
udhar chalenge jidhar rahnumaa chalaataa hai

ham apne buuDhe chiraaGoN pe khuub itraaye
aur usko bhuul gaye jo havaa chalaataa hai

Rahat Indori





maut kaa zahar hai fizaaon men
ab kahaan jaa ke saans lii jaaye

bas isii soch men huun Duubaa huaa
ye nadii kaise paar kii jaaye

mere maazii ke zaKhm bharane lage
aaj phir koii bhuul kii jaaye

..............................
..............................

[/i][/size]
[/quote]
Logged
haris zameer
Guest
«Reply #22 on: December 01, 2011, 08:54:47 AM »
Reply with quote
rahat sb ka jawab nahi me apka qayal hu sir.me apse aligarh me mila tha hamari university ke mushayere me.
what a pert personality u are sir.
Logged
vkshukla
Guest
«Reply #23 on: December 17, 2011, 10:35:48 AM »
Reply with quote
dostii jab kisii se kii jaaye
dushmanon kii bhii raaye lii jaaye

maut kaa zahar hai fizaaon men
ab kahaan jaa ke saans lii jaaye

bas isii soch men huun Duubaa huaa
ye nadii kaise paar kii jaaye

mere maazii ke zaKhm bharane lage
aaj phir koii bhuul kii jaaye

..............................
..............................


Logged
firoz aleem
Guest
«Reply #24 on: December 22, 2011, 06:57:00 AM »
Reply with quote
dostii jab kisii se kii jaaye
dushmanon kii bhii raaye lii jaaye

maut kaa zahar hai fizaaon men
ab kahaan jaa ke saans lii jaaye

bas isii soch men huun Duubaa huaa
ye nadii kaise paar kii jaaye

mere maazii ke zaKhm bharane lage
aaj phir koii bhuul kii jaaye

..............................
..............................


Logged
Maasp khan
Guest
«Reply #25 on: December 23, 2011, 04:53:28 PM »
Reply with quote
Bahut KH000000000B
wah wah wah wah.
Logged
Aparna murali
Guest
«Reply #26 on: February 18, 2012, 06:07:01 AM »
Reply with quote
samandaroN meN muaafiq havaa chalaata hai
jahaaz khud nahiiN chalte Khudaa chalaataa hai

ye jaa ke meel ke patthar pe koii likh aaye
vo ham nahiiN haiN, jinheN raasta chalaataa hai

vo paaNh vaqt nazar aataa hai namaazoN meN
magar sunaa hai ki shab ko juaa chalaataa hai

ye log paaoN nahiiN zehan se apaahij haiN
udhar chalenge jidhar rahnumaa chalaataa hai

ham apne buuDhe chiraaGoN pe khuub itraaye
aur usko bhuul gaye jo havaa chalaataa hai

Rahat Indori




Logged
talat perween
Guest
«Reply #27 on: February 25, 2012, 12:34:28 PM »
Reply with quote
 love9
cheharon kii dhuup aankhon kii geharaa_ii le gayaa
aa_iinaa saare shahar kii biinaa_ii le gayaa

Dube huye jahaaz pe kyaa tabsaraa karen
ye haadasaa to soch kii geharaa_ii le gayaa

haalaanki bezubaan thaa lekin ajiib thaa
jo shaKhs mujh se chhiin ke goyaa_ii le gayaa

is vaqt to main ghar se nikalane na paa_uungaa
bas ek kamiiz thii jo meraa bhaa_ii le gayaa

jhuute qasiide likhe gaye us kii shaan men
jo motiyon se chhiin ke sachchaa_ii le gayaa

yaadon kii ek bhiid mere saath chhod kar
kyaa jaane vo kahaan merii tanhaa_ii le gayaa

ab asad tumhaare liye kuchh nahiin rahaa
galiyon ke saare sang to saudaa_ii le gayaa

ab to Khud apanii saansen bhii lagatii hain bojh sii
umron kaa dev saarii tavanaa_ii le gayaa


Logged
masood rashid
Guest
«Reply #28 on: March 04, 2012, 07:50:07 AM »
Reply with quote
hi sir ! plz post the shayari of rahat sb.
Andhere charo taraf saaayien saaayein karne lage,
charagh haath utha kar duwaaein karne lage!!!!!!! Clapping Smiley
Logged
shadab qayyum
Guest
«Reply #29 on: March 07, 2012, 12:17:02 PM »
Reply with quote
Thanx rahat indori sahab,, we always share your thoughts
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 04:00:21 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.16 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer