The Legend Ahmed Faraz Collection,.

by Jaanasheen on May 18, 2009, 08:05:02 PM
Pages: 1 2 3 [4]  All
ReplyPrint
Author  (Read 14105 times)
buislksl
Guest
«Reply #45 on: September 01, 2009, 02:27:53 AM »
Reply with quote
Poori Ghazal,.

sunaa hai log use ankh bhar ke dekhate hain
so us ke shahar main kuchh din Thahar ke dekhate hain

sunaa hai rabt hai us ko Kharaab haaloun se
so apane aap ko barbaad karake dekhate hain

sunaa hai dard ki gaahak hai chashm-e-naazuk us ki
so ham bhi us ki gali se guzar kar dekhate hain

sunaa hai us ko bhi hai sher-o-shaayarii se shagaf
so ham bhi mojaze apane hunar ke dekhate hain

sunaa hai bole to baatoun se phuul jhaartay hain
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhate hain

sunaa hai raat use chaand takataa rahataa hai
sitaare baam-e-falak se utar kar dekhate hain

sunaa hai hashr hain us kii Gazaal si aankhein
sunaa hai us ko hiran dasht bhar ke dekhate hain

sunaa hai din ko use titaliyaan sataati hain
sunaa hai raat ko jugnuu Thahar ke dekhate hain

sunaa hai raat se barr kar hain kaakulein us ki
sunaa hai shaam ko saaye guzar ke dekhate hain

sunaa hai us ki siyaah chashmagi qayaamat hai
so us ko surmaafarosh aankh bhar ke dekhate hain

sunaa hai us ke laboun se gulaab jalate hain
so ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhate hain

sunaa hai aainaa tamasaal hai jabiain us kaa
jo saadaa dil hain ban saanvar ke dekhate hain

sunaa hai jab se hamaail hain us ki gardan main
mizaaj aur hi laal-o-gauhar ke dekhate hain

sunaa hai chashm-e-tasawar se dasht-e-imkaan main
palang zaave us ki kamar ke dekhate hain

sunaa hai us ke badan ke taraash aise hain
ke phuul apani qabaayen katar ke dekhate hain

vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahain
ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhate hain

bas ek nigaah se luTataa hai qaafilaa dil kaa
so rahain-ravaan-e-tamannaa bhi Dar ke dekhate hain

sunaa hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht
makeen udhar ke bhi jalve idhar ke dekhate hain

ruke to gardishein us kaa tawaaf karati hain
chale to us ko zamaane Thahar ke dekhate hain

kise naseeb ke be-pairahan use dekhe
kabhi kabhi dar-o-diivaar ghar ke dekhate hain

kahaaniyaan hian sahi sab mubaalaGe hi sahi
agar wo Khvaab hai taabeer kar ke dekhate hain

ab us ke shahar main Thaharein ki kuuch kar jaayein
'Faraz' aao sitaare safar ke dekhate hain
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
**Ke liye aa..By Ahmed Faraz** by dead heart in Miscellaneous Shayri
Maut aai to So lenge ( Ahmed Faraz ) by qadeer_junaid in Shayri-E-Dard
Ghazal : Abke hum bichure to shayad kabhi khwabon mai mile. "Ahmed Faraz" by R.M. Dixit in Other Languages
Ahmed Faraz sahab by sayyed aamir hussain in Urdu Poets
Ahmed Faraz sahab by sayyed aamir hussain in Urdu Poets
shujat
Guest
«Reply #46 on: February 22, 2010, 02:52:12 PM »
Reply with quote
tum bhi khafa ho loog bhi burhum hein dosto
ab ho chala yaqin keh bouray hum hein dosto

kis ko hamare hal se nisbut hai kya karein
aankhein to dushmanooN ki bhi purnum hein dosto

apne siwa humaray na hoonay ka ghum kise
apni talaash mein to humein hum hein dosto

kuch aaj shaam hi se hai dil bhi bujha bujha
kuch shahr ke chiragh bhi mudhum hein dosto

iss shahr-e aarjo se bhi baahar nikal chalo
ab dil ki raunaqein bhi koi dum hein dosto

sub kuch sahi Faraz per itna zaroor hai
dunya mein aise loog bauhut kum hein dosto

Logged
ruby mumtaz
Guest
«Reply #47 on: August 07, 2012, 06:03:17 AM »
Reply with quote
Ranjish hi sahi dil dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa...

Pahale se maraasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa....
marasim=tradition-bound, habitual, custom-dictated]

Kis kis ko batayenge judaai ka sabab ham
tu mujhse khafaa hai tou zamaane ke liye aa ...

Kuch to mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa...
pindaar-e-muhabbat -- muhabbat ka maan]

Ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum
ae raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa...

lazzat-e-giriyA=the pleasure of crying ashk bahaane
kaa sukh]
( "For lives I have been without the pleasures of rying.
Give me satisfaction of pain come and make the tears
stream down my eyes." Ultimate masochism, eh?)

Ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain ummiden
ye aakharii shammen bhi bujhaane ke liye aa

(Simply marvellous! The best sher so far in this
Gazal.)
dil-e-KHushfahm=optimistic heart]
("The light of hope still flickers in this foolishly
optimistic heart. Come now, and put this damned
candle out!" Superb!)

Mana ke muhabbat ka chhupana hai muhabbat
chupke se kisi roz jatane ke liye aa

Jaise tujhe aate hain na aane ke bahane
waise hi kisi roz na jane ke liye aa

Logged
Pages: 1 2 3 [4]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 12:36:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.146 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer