Dard aur badta gya......!!

by chitra on March 29, 2006, 06:31:35 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2716 times)
chitra
Guest
«Reply #15 on: March 30, 2006, 07:05:54 AM »
Reply with quote
Pooja ji aap ka jawab humne kai bar pada hai.....aapne itni sachchaii likhi ke ,,asar ho raha hai.....shayad main bhul saku......
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ANDHERA BADTA JA RAHA HAI by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
dard dard ki had mein by husain52 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
ek dard yahan hai ek dard wahan hai by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
... Par Dard badta sa Gayaa ... /Annu/ by annu_genis in Shayri-E-Dard
chitra
Guest
«Reply #16 on: March 30, 2006, 07:20:01 AM »
Reply with quote
Hai gar abhi bhi chaht to chale aao
zinda hoon abhi to marne se pahle aajao
ankhe ko didar ho jaye bas tera ek bar
fir chahe tum mujhe kabhi na mil paao
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #17 on: March 30, 2006, 07:30:31 AM »
Reply with quote
Chitra, Vicky, Majid

Ek baar phir se bahut khoob !

Kash humein bhi aap ki tarah likhna aata sad5

Rajbir
Logged
chitra
Guest
«Reply #18 on: March 30, 2006, 07:32:24 AM »
Reply with quote
Quote from: "vicky ji"

ZINDGI TERI KAMI KHALTI HAI,
UMRA SHAM-O-SHAHAR SE DHALTI HAI....

MANA KI TUM JALE MOHABBAT MAIN,
SHAMA BHI SATH SATH JALTI HAI......

MERI PALKON KE DARMIYAN BAITHO,
AARZOO KARWATEN BADALTI HAI....

MUJHKO SAUNPI HAI KHUDA NE JANNAT,
PAR TERI HI KAMI KHALTI HAI....

ZINDGI AAPKE BINA HAMDAM,
MAUT SE KAM NAHI NIKALTI HAI.......

mila lo raho ko mujhse to ye kami kahtam ho jaye
koi sham_O_sahr fir zindgee ke safar mein tanha na aaye

jalne ka gum nahi mujhko iski to aadat hai
par ab imthaa ho gyi bahoot koi to barsaat le aaye

Teri paloko mein rahne ki hi arzoo the mujhe
kya kare...in aplko ko hum kabhi samne to paaye

zindgee tere bina bojh se kam nahi lagti ab
tu  nahi meri kismat mein to maut hi aajaye
Logged
chitra
Guest
«Reply #19 on: March 30, 2006, 07:40:00 AM »
Reply with quote
Rajbir ji....

Aap jo yu har sher pe hoshla badate ho
gumo mein bhi hume barbas hansate ho
aapke saath se hi kuchh sukun mil jat hai
jo sidhi saraL bhasa mein aap gudgudate ho
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #20 on: March 30, 2006, 08:07:36 AM »
Reply with quote
Aree tum log subah subah badaam ka sharbat pee kar aate ho kya :D
Logged
chitra
Guest
«Reply #21 on: March 30, 2006, 08:12:55 AM »
Reply with quote
Rajbir jee

Aap itne pyaar se jo banaate ho
pilaa ke humko humse hi poochhte ho
waise  sharbat bada hi mast tha
bataao na usme kya milaate ho
Logged
chitra
Guest
«Reply #22 on: March 30, 2006, 08:17:06 AM »
Reply with quote
Majid jeee

koshishe  apki ye naakam nahi hoti
gar apko humse thodi bhi sachchi mohbbat  hoti
ek baar to kar hi jaate izhaar aap chaht ka
to hansee humare labo se na kabhi ruksat hoti
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #23 on: March 30, 2006, 12:46:14 PM »
Reply with quote
Nice All !!!

Bhulata lakh hoon lekin barabar yaad aate hain
Ilahi tark-e-ulfat par woh kyukar yaad aate hain

Na ched 'e ham-nashin kaifiat-e-sahaba ke afsane
Sharab-e-beKhudi ke mujh ko sagar yaad aate hain

Rha karte hain qaid-e-hosh mein 'e wai nakami
woh dasht-e-Khud faramoshi ke chakar yaad aate hain

Nahin aati to yaad unki mahinon bhar nahin aati
Magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain

Haqiqat khul gai 'HumTum' tere tark-e-muhabat ki
Tujhe to ab woh phele se bhi bad kar yaad aate hain !!!  
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #24 on: March 30, 2006, 12:47:06 PM »
Reply with quote
Quote from: "chitra"
Pooja ji aap ka jawab humne kai bar pada hai.....aapne itni sachchaii likhi ke ,,asar ho raha hai.....shayad main bhul saku......
suno mere dost ham bhi aye hai

dard ko had ki had se gujar jane do
dard ki juba par bhi ek aah ane do
dard khud mange maut ki dua
ek din MOHSIN ko wo din lane do
Logged
nikki
Guest
«Reply #25 on: March 30, 2006, 02:41:54 PM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum is back"
Nice All !!!

Bhulata lakh hoon lekin barabar yaad aate hain
Ilahi tark-e-ulfat par woh kyukar yaad aate hain

Na ched 'e ham-nashin kaifiat-e-sahaba ke afsane
Sharab-e-beKhudi ke mujh ko sagar yaad aate hain

Rha karte hain qaid-e-hosh mein 'e wai nakami
woh dasht-e-Khud faramoshi ke chakar yaad aate hain

Nahin aati to yaad unki mahinon bhar nahin aati
Magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain

Haqiqat khul gai 'HumTum' tere tark-e-muhabat ki
Tujhe to ab woh phele se bhi bad kar yaad aate hain !!!  



fir se chinese ...palle nahi padi.. :cry:
Logged
nikki
Guest
«Reply #26 on: March 30, 2006, 02:42:52 PM »
Reply with quote
very very nice all of u....
Logged
chitra
Guest
«Reply #27 on: March 30, 2006, 04:51:48 PM »
Reply with quote
Quote from: "HUM TUM JI"

Nice All !!!

Bhulata lakh hoon lekin barabar yaad aate hain
Ilahi tark-e-ulfat par woh kyukar yaad aate hain

Na ched 'e ham-nashin kaifiat-e-sahaba ke afsane
Sharab-e-beKhudi ke mujh ko sagar yaad aate hain

Rha karte hain qaid-e-hosh mein 'e wai nakami
woh dasht-e-Khud faramoshi ke chakar yaad aate hain

Nahin aati to yaad unki mahinon bhar nahin aati
Magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain

Haqiqat khul gai 'HumTum' tere tark-e-muhabat ki
Tujhe to ab woh phele se bhi bad kar yaad aate hain !!!

dil mein dabee yaad ko kabhi kabhi hi nikalte hai
tark_E_ulfat mein bewfai ka ek aur ilzaam laga jate hai

dariya_E_afsaano mein kai gahre doob jate hai
bekhudee ke wo manzar hume bhi yaad aaj aate hai

nakaami dil ko jakhamo se bhar jalaya  karti hai
dahleez se rukshat kar khud ko aur jakham de jate hai

barso beet gye unki yaade hi basti hai ab yahaa
haaye re kismat unhe hum aksar hi yaad aate hai

ehsaan mujhpe hoga gar khaak meri chhule wo
ke marne ke baad bhi dard_e_mohbbt ko karaar aate hai
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #28 on: March 30, 2006, 05:04:15 PM »
Reply with quote
Quote from: "Chitra G"

dil mein dabee yaad ko kabhi kabhi hi nikalte hai
tark_E_ulfat mein bewfai ka ek aur ilzaam laga jate hai

dariya_E_afsaano mein kai gahre doob jate hai
bekhudee ke wo manzar hume bhi yaad aaj aate hai

nakaami dil ko jakhamo se bhar jalaya  karti hai
dahleez se rukshat kar khud ko aur jakham de jate hai

barso beet gye unki yaade hi basti hai ab yahaa
haaye re kismat unhe hum aksar hi yaad aate hai

ehsaan mujhpe hoga gar khaak meri chhule wo
ke marne ke baad bhi dard_e_mohbbt ko karaar aate hai



Woh mere damaan ko faqt ashqo se bhar jate hai
Zakhm e muhbat ko har baar khured kar jate hai

Ranzishe itni rakhi hai usne sambaal ke dil mein
Jab bhi dekha hoon mein angaar nazar aate hai

Kar jate hai ruswa woh mujey bhari mehfil mein
Baad e badnaam mujhe woh dil e qaraar pate hai

Ik hum hi hai majboori e ishq ke mare, ke har baar
woh nahi aata lekin hum phir bhi uske dar jate hai

Shayaad baad e marg hi mere unko chain mile
Chaliye "HumTum" ji hum khuda ke ghar jate hai !!
Logged
chitra
Guest
«Reply #29 on: March 30, 2006, 05:07:20 PM »
Reply with quote
wah majid jee......bahoot hi achchhha likha hai apne......!!

har mahfil tanha hai bagair unke kalaamo ke
fir yaad aaye wo in toote huye afsaano mein

zindagee ne bar bar daman chhodne ko kahaa
jaagi ek ummeed jab aaya nam unka saanso mein

nahi rahti chaht ab aur muskurane ki
kah jate hai bewafa aakar wo jab khyaalo mein

aur nahi ab kuchh likha jayega mujhse
bah nikle dard ab mere jar jar ansuo mein
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 10:47:50 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.166 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer