ANKHAIN BHIG JATI HAIN…

by SADIQA JAWED on October 30, 2004, 07:28:49 AM
Pages: 1 2 3 4 [5]
ReplyPrint
Author  (Read 6259 times)
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #60 on: December 03, 2004, 07:12:45 AM »
Reply with quote
Usual Smile

ajab see khahish, ajab hai yeh khamoshi zubaan par,
jahaan dharkanain pukaarteen aur rooh sehmi khadi sunti,

ik kashmakash see zehen main ik sawaal jo dil par dastak daita hai,
gardish main hai woh chehra, woh lamha aur mulakaat ik ajnabi say,

nigaahon main har dam usee ki talaash, jo nazar aaya toh sakoon paya hum nay,
ojhal hua toh din o raat us ka khayaal,intazaar main baray ashk bahaye hum nay,

aahat say jo dhachka laga is dil ko keh dharkan bardh jatee,
khud hee sun kar dil thaam lia, sun na saka bass woh hee,

jo ruswa hotay zamanay main toh shaayad gham na hota is kadar,
gar yeh raaz woh sunta toh kabhi mila na paatay us say hum phir nazar.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Anhkein Behg Jati Hain...! by lovebites in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3  All »
Larazte Hoonth piyaasi ankhain aur kaise izhaar kerte hain by javedarshad in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
sunte hain k mil jati hai her cheez dua say by nameerafatima in Share Poetry You Like
Aankhe bhig jati hai - shikha by Shikha sanghvi in Shayri for Dard -e- Judai
lovebites
Guest
«Reply #61 on: December 03, 2004, 12:52:07 PM »
Reply with quote
Is saal kuch aisa karna
Apney pichley barah maah k
Dukh sukh ka andaza kirna
Bisri yaadein taaza kirna
Saada sa ik kaghaz ley kir
Bhooley bisrey pal likh lena
Phir iss beetey ik ik pal ka
Apney guzrey ik ik kal ka
Ik Ik moor ka ihata kirna
Sarey dost akhatay kirna
Saree subhein hazir rakhna
Saree shamein paas bulana
Aur ilawa in k dekhoo
sarey mausam dheyaan mein rakhna
Ik ik yaad gumaan mein rakhna
Phir mohtaat qiyaas lagana
Gar to khushiyaan barh jati hain
Tu phir tum ko meri taraf se yeh saal mubarak
Aur agar gham barh jaye to
Mat bekaar takaluf kirna
Dekho phir tum aisa kirna
Meri khushiyaan tum ley lena
Mujh ko apney gham dey dena
Ab k saal kuch! aisa karna
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #62 on: December 04, 2004, 10:16:53 AM »
Reply with quote
GOOD LOVEBITES...

"CHOOT JAAY JO KABHI OOSAY YARANAAH NAHAIN KAHTAY
TOOT JAAY JO KABHI OOSAY DOSTAANA NAHAIN KAHATAI
NAH ROOTHAI JO KABHI OOSAY JAANANAH NAHAIN KAHTAI
SHAMAA PAR NAH MARAY OOSAY PARWANAH NAHAIN KAHTAI
KAHTAI HAIN SAB SAATH NIBHAIN GAY OOMAR BHAR
RASTAY MAIN CHORNAA KAMAL ISAY NIBHANAA NAHAIN KAHTAI
Logged
MUSKAN
Guest
«Reply #63 on: December 11, 2004, 08:15:06 AM »
Reply with quote
WAH  :D YARANA DOSTANA WEERANA.... :lol:
Logged
lovebites
Guest
«Reply #64 on: December 11, 2004, 11:37:19 AM »
Reply with quote
Thanks Sadiqa-J


ek baar wo mila tha mujhe berukhi ke saath
us din se dil ka sheher barabar udaas hai



NA MILA KAR UDAAS LOGO SE........
HUSN TERA BIKAR NA JAYE KAHEEN
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #65 on: December 13, 2004, 06:51:32 AM »
Reply with quote
THNKX MUSKAN...

N THNKX ALLSO LOVEBITES. N ITS TOO GOOD Usual Smile

Khudaa wo waqt na laaye ki soGawaar ho tuu
sukuu.N kii nii.nd tujhe bhii haraam ho jaaye
terii masarrat-e-paiham tamaam ho jaaye
terii hayaat tujhe talKh jaam ho jaaye


Gamo.n se aaiinaa-e-dil gudaaz ho teraa
Hujuum-e-yaas se betaab hoke rah jaaye
wafuur-e-dard se siimaab ho ke rah jaaye
teraa shabaab faqat Khwaab ho ke rah jaaye


Guruur-e-husn saraapaa niyaaz ho teraa
tawiil raato.n me.n tuu bhii qaraar ko tarase
terii nigaah kisii Gam_gusaar ko tarase
Khizaa.N_rasiidaa tamannaa bahaar ko tarase


koii jabii.n na tere sang-e-aastaa.N pe jhuke
ki jins-e-ijz-o-aqiidat se tujh ko shaad kare
fareb-e-waadaa-e-farda pe aetamaad kare
Khudaa wo waqt na laaye ki tujh ko yaad aaye


wo dil ki tere liye be-qaraar ab bhii hai
wo aa.Nkh jis ko teraa intazaar ab bhii hai
Logged
lovebites
Guest
«Reply #66 on: December 13, 2004, 09:23:25 PM »
Reply with quote
Ur welcome Sadiqa-J  and very nice work...........!
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #67 on: December 16, 2004, 08:02:49 AM »
Reply with quote
thnkx lovebites...



Kabhi Kitaboon Mein Phool Rakhna

Kabhi Darakhtoon Pe Naam Likhna

Humeen Bhi Yaad Hai Aaj Taak Woh

Nazar Se Horf-e-Salam Likhna



woh Chand Cherey Woh Behki Bateen

Sulagtey Din Thay Mehakti Rateen

Woh Chotey Chotey Kagazoon Per

Muhabbat Ke Peyaam Likhna



Gulab Cheroon Se Dil Lagana

Woh Chupke Chupke Nazar Milana

Woh Aarzo Ke Khuwab Bunna

Woh Qisa-e-Natamam Likhna



Mere Nagar Ki Haseen Fizaoon

Kahiin Jo Un Ke Nishan Paoo

Tu Pochna Ye Kahan Basay Ho

Kahan Hai Un Ka Qeyaam ?Likhna



Gaii Rutoon Main Hassan Humara

Bas Ek Hi Tu Mashgala Hai

Kisi Ke Cherey Ko Subha Kehna

Kisi Ki Zulfoon Ko Sham Likhna
Logged
salaam2all
Guest
«Reply #68 on: December 21, 2004, 02:02:31 AM »
Reply with quote
nice thinking and should be appreciated..

i am sending a small poetry and hope that u all will like...salaam2all

Jab yaad tumhari aati hai tou aansoo kyoun aa jatey hain?
Shayad ye phir isi bahaney bahar  aana cahatey hain
Dil tarapta hai tou aankhey phir kyoun ye bhar aati hain
Shayad ye phir isi bahaney tumsey milna chahti hain
Kabhi khamoshi main jab dil ye deta hain aawaz tumhey
Dheeray say chupkey say aankhon say ye phir gir jatey hain
Khata humhari hay kya humko itna tou batla dijiye
Ashq merey jop girtey hain wo mughsey ye kah jatey hain
Logged
lovebites
Guest
«Reply #69 on: December 22, 2004, 05:58:47 AM »
Reply with quote
HuMm~!

Good going Salaam2all and Sadiqa-J..................!



meray hountoun kay mehektay hoa naghmoun per na ja
meray seenay may aur bhee ghum paltay hain
meray cheray per deekhaway ka tabassam hay magar
mery ankhoun may udassi kay diyai jaltay hain.....
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #70 on: February 11, 2005, 09:33:29 AM »
Reply with quote
GOOD SALAM2ALL N SAGAR JEE Usual Smile

N THNKX
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #71 on: March 03, 2005, 03:43:21 PM »
Reply with quote
nice  work all....................... :lol:
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 06:09:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer