~*~duri ka dard~*~

by roshni246 on April 11, 2006, 12:30:27 PM
Pages: 1 ... 13 14 15 16 [17] 18 19
ReplyPrint
Author  (Read 21729 times)
rohit_or_love
Guest
«Reply #240 on: September 17, 2006, 10:03:23 AM »
Reply with quote
apne rukh se julfo ko hetao jera.
hum bhi to dekhe sitaro ki camak kya hoti hai.

door tum se ger hum gai jera bhi,
tum bhi jaan loge apno ki judae kya hooti hai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Duri Kyun Hoti hai by pakipimpsta in Shayri-E-Dard
<>*sahi nahin jati tumse duri sanam*<> by *KasaK*....Dil Ki in Shayri for Khumar -e- Ishq
Duri by yasmeen khan in Share:Love Poetry
DURI by heena i.s in Shayri-E-Dard
khaash yeh duri na hoti..... by Jaggu Diljale in Shayri for Dard -e- Judai
roshni246
Guest
«Reply #241 on: September 22, 2006, 07:32:39 PM »
Reply with quote
bohot khoob rohit...


aye khuda kaisi meine kismat payi hai...
aaj meri mohobbat se mere mehboob ki ankhon mein nami chayi hai..
yeh judai ka dard hume manzur sahi...yeh aangaar e askh na dikha...
aye maut ab to aa..aakhir bebasi tere darr pe layi hai.....


~roshni~
Logged
roshni246
Guest
«Reply #242 on: September 29, 2006, 09:30:10 PM »
Reply with quote
dil ek bar dhoka kha kar bhi sambhalta nahi....
jante hain hum usse wafa nahi nibhani ati...
phir bhi unse diil lagane ki bhul humse hai hojati..
kya karein ishq mein yeh dil masun hai...
unke bina bhi to yeh zindagi katti jaati nahi..
Logged
roshni246
Guest
«Reply #243 on: October 11, 2006, 01:20:16 PM »
Reply with quote
dard se chikhein to aanho ke kaleje fat gaye
majboor hoke aaj hum ye kin rishto main bat gaye

apne liye apna koi ghar na bana sake
jo manghi thi zindagi haq uska na jata sake
apne hi ujale the aise ke unse ham jal gaye

bebas hoke aaj hum halaat se jhook gaye
manzil se dar ke raaste hi main rook gaye
waqt ke halaat ke hisso main kat gaye

jo bhi rishta tha lazmi bebasi se tha mila
saath uske hi chalta raha dard ka ye silsila
her ilzaam se muqadar humara ja mila
hum mukamal na reh sake tukdon main bat gaye

thaam ke daman rishto ka woh hum se mil gaya
har raaz parde main chupa fir aanso se jal gaya
pyaar ke naam pe koi hume be-abroo kar gaya
fir bhi aaj uski khushi ke liye hi mit gaye
majboor ho ke aaj hum ye kin rishto main bat gaye

usne wasta diya tha mujhe apne har samjhote ka
wo loot raha tha dil mera pehen ke libaas dhoke ka
aanch aayi to hum hi pe aur hum hi the lut gaye
dard se chikhein to aanho ke kaleje fat gaye
majboor hoke aaj hum ye kin rishton main bat gaye


~roshni~
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #244 on: October 11, 2006, 05:20:43 PM »
Reply with quote
Quote from: "roshni246"
bohot khoob rohit...


aye khuda kaisi meine kismat payi hai...
aaj meri mohobbat se mere mehboob ki ankhon mein nami chayi hai..
yeh judai ka dard hume manzur sahi...yeh aangaar e askh na dikha...
aye maut ab to aa..aakhir bebasi tere darr pe layi hai.....


~roshni~

great  job Rosh sis.........awesome............  so  Touching.........
Logged
sunnyb
Guest
«Reply #245 on: October 11, 2006, 06:17:22 PM »
Reply with quote
Mohabbat ki hai toh aansoo bhi bahana padega,
dil diya hai toh dard bhi sehna padega,
agar mohabbat mein aansoo na hote,
dard-e-judaai mein aashiq kabhi na rote,
jo dard-e-judaai mein aashiq naa rote,
toh aap jaise khoobsurat shaayar naa hote.
Logged
roshni246
Guest
«Reply #246 on: October 18, 2006, 01:31:07 PM »
Reply with quote
Quote from: "sunnyb"
Mohabbat ki hai toh aansoo bhi bahana padega,
dil diya hai toh dard bhi sehna padega,
agar mohabbat mein aansoo na hote,
dard-e-judaai mein aashiq kabhi na rote,
jo dard-e-judaai mein aashiq naa rote,
toh aap jaise khoobsurat shaayar naa hote.


nice sunny ji!!!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #247 on: October 19, 2006, 05:20:17 PM »
Reply with quote
Quote from: "sunnyb"
Mohabbat ki hai toh aansoo bhi bahana padega,
dil diya hai toh dard bhi sehna padega,
agar mohabbat mein aansoo na hote,
dard-e-judaai mein aashiq kabhi na rote,
jo dard-e-judaai mein aashiq naa rote,
toh aap jaise khoobsurat shaayar naa hote.


ab dost banana chor diya
unhe cheek cheek kar bulana chor diya
keh kar unka naam yun raatein bitana chod diya
unke intezaar mein bewaqt jagna chor diya
ab to humne dost banana chor diya
ja ke roothe yaar ko har pal manana chor diya
dil ki baatein ab to khud ko bhi batana chor diya
ab to humne dost banana chor diya
kya sahi kya galat hai duniya ko samajana chor diya
jis raah pe chalte hum haath thaam kar us raah pe chalna chod diya
ab apne doston se dosti nibhana chor diya
milne ki aas mein har roz tadapte rahe milne ki dua karna chor diya
jo chahe zamana gum dede humne kisise shiqwa kerna chor diya
nahi chaiye bithi ghadiyan wapis hume ab waqt se ladna chor diya
ab unse dil lagane k baad humne is dil se hi rishta tod diya


~roshni~
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #248 on: October 19, 2006, 05:29:47 PM »
Reply with quote
good job  Roshni......  Sunny..........  :lol:
Logged
angel4u
Guest
«Reply #249 on: November 13, 2006, 08:14:58 PM »
Reply with quote

Kaun Kise Ab Mere Ilawa Khone Ka Dukh Jhelega,
Kaun Yahan Ab Bekal Hoga Dil Mein Kuch ArMaan Liye,
Gar Ye Mutthi Khul Jaye To Jante Ho Kya Paoge?
Aansu Bankar Beh Jane Wale Ek Adhuri Neend Ka Dukh,
Ek Sisakta Sajdah Jiske Aakhir Mein Do Uthe Haath,
Bin Mange Kuch Dhalke Honge Apne Aap Bejaan Liye,
Ek Jhijhakta Aks, LaMha Bhar ChaMka Tha Aaine Mein,
Dooje Pal Hi Khud Se Khafa Tha Kuch Tevar Anjaan Liye,
Sehra Hothon Ki Wo Hasrat Pyaas Ka Ek Meezan Liye,
Do Aankhein Jo GuM SuM Hai Ab Khwabon Ka Ehsaan Liye,
Us Manzar Ko Takti Reh Gayi Jo Ab Shayad Badlega,
Ek Udasi Ka Paikar Kuch Bikhre Bikhre Haalon Mein,
Ishq Ka Pehla Misra Likh Kar Jazb Ka Ek Deewan Liye,
Ek Adhoori NazM Ka Misra, Ek TakMeel Ki Khwahish Mein,
SaMjhe Jaane Ki Hasrat Ka NaMuMkin IMkaan Liye,
Sari UMr Ki UMMeedon Ke Be-Rooh JisMon Ke Lashkar,
Aaj Bhi Yakja Ho Baitha Tha Rayeegan Jaane Ki Khatir,
Ek Musalsal Mehv-E-Intezaar TaManna Jane Kya Kya Dhyan Liye,
Dinke Kinaron Par Kuch Khoye Safhey Rakh Ki Soorat Thi,
Apne Andar Jal Bujhi Shikaston Ki Ek Daastan Laye,
Kaun Ise Ab Mere Ilawa Kholne Ka Dukh Jhelega,
Ek Shikasta Din Ki Mutthi Band Ahi Kuch SaMaan Liye...
* * * * * [NM]
Logged
Sonu
Guest
«Reply #250 on: November 14, 2006, 05:43:46 AM »
Reply with quote
Roshu bhut khoob likha hia.... wonderful yaar...

sunny ji nice...

sabhi dostu ney bahut acha likha hia keep up the good work...
Logged
bhambra
Guest
«Reply #251 on: December 01, 2006, 04:20:36 AM »
Reply with quote
Socha tha zara khul ke kisi lamha ro leta
magar sukha diye aasu saare dard ki gehraaiyo ne
kabhi saath tere rota tha aaj tanha ro leta
magar tanha hi na chhoda kabhi mujhko tanhaaiyo ne

[NM]
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #252 on: February 14, 2007, 06:11:10 PM »
Reply with quote
anupam rachana hain ... roshni...

Quote from: "roshni246"

Dur rehke humse kaise reh paoge
Dil dhukhega tumhara, hamme bhi rulaoge
dekho aise na rulao
kuch karo ilaaj iss dard ka
kehte ko aashiq ho mere
karo insaaf iss dil ka

Kehte hain duriyan nazdikiyan banke aati hain
Kya ye duriyan nazdikiyan banke aayengi
kya ye hamme aur paas le aayengi
ya ye duriyan, duriyan hi ban jayengi
dekho aise na satao
pyar ho tum mere
pyar nahi tho yaari ki hi khatir
karo kuch ilaaj iss dard ka
kehte ho aashiq ho mere
karo insaaf iss dil ka

Shayad ye sirf mera ek brahm hai
Dur rehne se dilon ki duriyan nahi banengi
mujhe apne pyar pe pura wishwaas hai
par iss dard ka kya karoon
jo iss duri ke saath aata hai
tumhe apne samne na dekh ke
mera dil dhadak sa jata hai
nahi nahi karo kuch tho ilaaj iss duri ka
kehte ho aashiq ho mere
karo insaaf iss dil ka
kuch tho karo insaaf iss dil ka!!!


~roshni~
Logged
SK
Guest
«Reply #253 on: February 17, 2007, 03:18:29 PM »
Reply with quote
Dur rehkar kareeb rehne ki aadat hai,
Yaad bankar aankhon se behne ki aadat hai.
Kareeb na hote huye bhi kareeb hai,
Mujhe ehsaas bankar paas rehne ki aadat hai.
 :cry:
Logged
SK
Guest
«Reply #254 on: February 17, 2007, 03:20:13 PM »
Reply with quote
Oops
sorry forgot to mention
NOT MINE
Logged
Pages: 1 ... 13 14 15 16 [17] 18 19
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 09:05:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer