~*~duri ka dard~*~

by roshni246 on April 11, 2006, 12:30:27 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 19
ReplyPrint
Author  (Read 21746 times)
roshni246
Guest
«Reply #30 on: April 12, 2006, 06:07:38 PM »
Reply with quote
thxx sweety !!! aaap bhi kuch likhte to hume khushi hoti

amar ji great keep it up!!

Meray Dil per apni beywafai ka nishan chorr diya...
Bana ker uss ney mujhe mohabbat ki gumnam Dastaan chorr diya...

Mein ne to tum ko apni jaan sey barhker chaha tha...
Tum ney ujdar ker mera sansaar sara chorr diya...

Ager Mohabbat karni hi nahin thi kyun ki izhar-e-Mohabbat..
Laga ker mujh per zakhmoun ka anbar chorr diya...

Kyun bar bar zikar kar dikhaya apne pyar ka mujhe...
Phir ker kay mera dil ko beqarar Chorr Diya...

Abb mein unn sey kya shikwa Mohabbat ka karoon...
Jis ney Meray dil ko bana ker mohabbat ka Qabristaan chorr diya...


~roshni~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Duri Kyun Hoti hai by pakipimpsta in Shayri-E-Dard
<>*sahi nahin jati tumse duri sanam*<> by *KasaK*....Dil Ki in Shayri for Khumar -e- Ishq
Duri by yasmeen khan in Share:Love Poetry
DURI by heena i.s in Shayri-E-Dard
khaash yeh duri na hoti..... by Jaggu Diljale in Shayri for Dard -e- Judai
nirbhay
Guest
«Reply #31 on: April 12, 2006, 06:46:07 PM »
Reply with quote
Abb bahut zyada kuch to naih mere pass kehne ko...

Usko chaha bhi to iqraar karna na aaya,
Kat gayi umr, hamein pyar karna na aaya,

Usney maanga bhi agar kuch to maangi judaai,
Aur ek hum thay ke inkaar karna bhi na aaya
Logged
roshni246
Guest
«Reply #32 on: April 12, 2006, 06:54:57 PM »
Reply with quote
Kehte ho agar humse pyar nahi hai tumko -to
Pucho apaney dil se, woh dhadakta kyu hai

Kehte ho agar hamaara intezaar nahi hai tumko -to
Pucho apni bechen ankhon se, woh phadakti kyu hai

Kehate ho agar aapko hum maayney nahi rakhtey -to
Pucho apni zabaan se, woh hamari kasam kyu khaati hai

Kehate ho agar tum mohabbat mey bechain nahi -to
Ret par hamara naam aap likh-likh kar mitaathe kyu ho

Kehate ho agar hamse milnaa manzoor hi nahi-to
"ab nahi milengey" yeh kehane k bahane miltey kyu ho???!!!


~roshn~
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #33 on: April 12, 2006, 07:35:43 PM »
Reply with quote
Mere insaan hone par gurur nahin hai mujhe
dusron ke Jazzbaat se aksar khelta raha hoon main
mujhse pyar paane ki arzoo nahin hai kisko...
nafrat ke sholon mein aksar jalta raha hoon main

safar zindagi ka manzil mein rukta nahin hai,
bas thikana badalta raheta hai.
mukaam to kabhie badalta nahi hai
safar mein gam ka saath kabhie khushi mein badalta nahi hai

arjoo thi jiski woh tum nahin ho
mohabat hai jish-se woh tum nahin ho
masoom hai jo woh tum nahin ho
zindigi hai jiss-se woh tum nahin ho
sajni hai jo woh tum nahin ho
sapna hai jo woh tum nahin ho
tum jo nazar aati ho, hamesha
meri nazaron mein woh tum tum nahin ho

Teri khud ki zindagi itni mushkil hai,
auron ke bare mein sochta kyun hai.
tere to apne bhi tere saath nahin hai,
kishi ko apni zindagi mein bulata kyun hai.
khud ke liye kuchh to bachakar rakh,
yun apni kimti ansoo bahata kyun hai.

zindgi mein ek hi dukh hai ki tum hamare sath nahin
thodi der se milo par marne ke bad nahin

jo dard tha tere seene mein kya woh humne kabhie aapna nahi samjha
kyon tune fir humko kabhi apna nahi samjha

aaj teri yaad aayi to aansu nikal aye
dil aaj bhi yeh sochta hai
tum kyon na humein mil paye

ye mera dil is dil ki halat kaise bataun tumhein
ye dil ab dil na raha di ki awaz kaise sunaun tumhein
kishi ke bandagi mein thukraya gaya hai ye
Iss dil mein jo dard hai kaise dil cheer ke dekhaun tumhein??

Hai sawaal hee sawaal teri harr nazar mein
mai koun se jawab se apni wafa ki umeed dikhaun tumhein
ek sawaal ka merey bhi tum de do jawab
kabhie lout kar bhe aauge yaa abb qayamat tak bhool jaun tumhein ?
[/b]
Logged
roshni246
Guest
«Reply #34 on: April 12, 2006, 07:42:43 PM »
Reply with quote
iska jawab (reply ) hum nahi depayenge its just lajawab!!
awesome!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #35 on: April 13, 2006, 02:34:53 AM »
Reply with quote
Bohat Shukriya aapka....kuch likhiye aap bhi!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #36 on: April 13, 2006, 06:57:27 AM »
Reply with quote
khoshish jaari hai !!!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #37 on: April 13, 2006, 07:04:02 AM »
Reply with quote
Quote from: "ur_amar"
Jab bhi mai iss shahar se nikla,
Mere swagat ko har ek jeb se khanjar nikla....

Mere hoto pe hansi uske hoto par gali,
Jiske ander jo tha wahi nikla........

Kya ajib cheej hai insan ka dil bhi yaro,
Kabhi mom to kabhi sangdil nikla..........

Doob kar jisme Ubar na paya jeevan bhar,
Ek aansu ka katra bhi samundar nikla........

Jindgi bhar jise dhekh kar Itrata raha,
Uska sab roop mitti ki Dhrohar nikla.......



bahut khoob amar ji....
Logged
roshni246
Guest
«Reply #38 on: April 13, 2006, 07:51:04 PM »
Reply with quote
Jo mainne kee woh khata to naa thi....!!
Jo tu nai kee woh wafa to naa thi....!!

Bewafayee ko hee tune karna jayiz samjha.....!!
Wafaii karna zamanay mein manaa to naa thi....!!

Merii mohobbat mein shayad koi kami reh gayee...!!
Waise merii mohabbat koi dagaa to naa thi....!!

Sab karte hain mohabbat dil-o-jaan se ...........!!
Mere karne se pehlay yeh saza to naa thi....!!

Mairay paas khushiyaan thein par kaash! tu jaan paata
Yeh khushi tere ane se pehle to naa thi....!!

Tu bewafai karega mairay saath!!??
Yeh baat mujhe pata to naa thi....!!

Main nai tujhe toot kar pyaar kiya magar..!!
Bewafai karne ki koi wajah to naa thi...!!

Shayad! mohabbat karna jurm samjha tu nai...!!
Mohabbat karna waise gunaah to naa thi.....!!

Tu aaye aur chale jaye merii duniya se..!!
Aaisee merii ibadaton main koi duyaa to naa thi...!!

Bin awaaz kai cheekhoongI main ab dilo dimaag mein...!!
Main tujh se nafrat karti hoon aaisee pehle koi sadaa to na thi....!!

Sadaa phool hee barsaana chahay teri zindagi mein....!!!
Main teri zindagi mein ek kaanta to naa thi?Huh?Huh??

Neend se baidaar hone kai baad bhi andhera lagta hai....!!
Teri bewafai ke baad koi subha meriiii subha to naa thi......!!

Ghair bhi apno par reham farmaa daite hain.......!!
Par tujhay mairee zara bhi parwaa to naa thi.....!!

Main sirf tum se pyaar karti thi sirf tum se.....!!
Teri tarah main har kisi par fidaa to naa thi.....!!

Tu yeh bata de kai aaisa kya keh diya main nai aakhri baar?Huh?
Waise mairee aakhri mulaqaat koi shikwa yaa gilla to naa thi....!!

Sab kehtae the, aaj main nai bhi maana hai ke.....!!
Tere dil mein pyaar, mohabbat ki jagah to naa thi......!!

Aai kaash!!! tu jaan paata kai aaj bhi aur kal bhi
Teri chahat mujh se judaa to naa thi !!!!!!!!!!!!


~roshni~
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #39 on: April 14, 2006, 05:38:03 AM »
Reply with quote
wah wah..... kya baat hai...

zindagi key safar main... mod aaye kuch aisey,
lageney lagey they sapney,
mujhko haqeekat jaisey...

sapno main khoi main, duniya sey begani hui,
sab kuch bhulaya jis ki khatir,
bhoolaney lagey hai woh kyon mujh ko
khwabon jaisey.....

jo pyar ki rasmey nibhaney key liye,
rasmey duniya ki tod dali saari,
unhi rasmo rivayaton nay jalaya mujh ko
shama jaisey....
Logged
roshni246
Guest
«Reply #40 on: April 14, 2006, 08:25:02 AM »
Reply with quote
bohot acha likha apne shika keep it up!!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #41 on: April 14, 2006, 08:42:28 AM »
Reply with quote
Bohat Bohat Bohat heee acha likha hai aapne Dono ne Roshni and Shikha...

Jawab Dunga mai likhne ke koshish zaari hai!!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #42 on: April 15, 2006, 03:40:38 AM »
Reply with quote
Ye merii Gazalein ye merii nazme.n tamaam terii hikaayatein hain
Ye Tazkirein terii lutf ke hain aaur ye sher terii shikaayatein hain

Main sab terii nazr kar rahaa hoon ye un zamaano kee siyasatein hain
Jo zindagii ke naye safar me.n tujhe kisii roz fhir Yaad aanein hain

Jab ek ek harf Jee Uthega pehan ke humnafas teri kabayein..
Udaas Tanhaiyon ke lamhon mein nach uthein afsarayein!!!

Mujhe tere dard ke siva aur dukh bhi the ye mai jaanta hoon
Hazaar Gam the jo zindagii kii talaash mein the ye jaanataa hoon

Tujhe Khabar hai ki tere aanchal mein dard kii rait chhaanataa hoon
magar harr baar tujhe chukar iss ret ko Rang-e-Heena se pehchanta hoon

Ye zakhm gulazaar ban gaye hain ye yoon aansuon ke dhara bhi ghata bani hai
Ye dard Mouj-e-Mehfil hua hai aaur ye aag dil kii mehfil ke Roshni bani hai

Aur ab ye saaree mastani hasti ye phool ye baharein sab tere hain
Ye mouj ke nauhe ye sukh ke nagmein jo kal mere the vo ab tere hain
Jo terii hansrat terii judaii mein kat gayee sitare-o-shab tere hain

Wo teraa dukhda shayar teraa mugannii vo jis kii baatein kuch ajiib sii thii
Wo Jis ke andaaz Lookh-e-vaanaa the aur adaayein Gareeb sii thii
Wo Jis ke Jeene kii Khwahisein bhii Khud ko naseeb na thiin
Ye Rang-o-gum ke Ghere saaare mere hain!!!

Na puuchh us "Nirbhay" ka ke vo Deewaana bahut dino kaa ujad chukaa hai
Wo kohakan to naheen thaa lekin Dil chahaton se ladd chukaa hai

Wo thak chukaa hai aur us kaa tezaab usee ke seene mein kaheen ghool chuka hai
Wo to ek narm "Neer" hee tha jo zamane ke garmi se jaal chuka hai!!!!
Logged
ur_amar
Guest
«Reply #43 on: April 15, 2006, 03:46:24 PM »
Reply with quote
Quote from: "nirbhay"
Wah wah wah kinn lavzon mein tareef karoon aapki Ur_umar..... lagta hai bahut kuch sikhne ko milega aapse wah!!

Bohat Shukriya Pooja didi...:smile:



thx Nirbhay ji.
Sahab mai to yaha naya hu, sikhne ko to mujhe milega aap sab logo se....
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #44 on: April 17, 2006, 09:58:31 AM »
Reply with quote
Thanks a lot Nirbhay & Roshni
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 19
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 06, 2024, 12:23:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer