Tujhe Apne Dil Se Main Kaise Bhula Doon...

by Aryaan on March 08, 2005, 01:09:44 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 12596 times)
Meena
Guest
«Reply #15 on: March 10, 2005, 04:50:52 PM »
Reply with quote
thank u jalpari

 :D
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mai kaise bhula doon teri mohabbat ko... by Alam Qazi in Shayri for Dard -e- Judai
MAIN BHI BHULA DOON TUMBHI BHULADO by fakhar sheikh in Share: Poetry of Pain
Kaise bhula Doon... by Anahita in Shayri for Dard -e- Judai
Kaise bata-e tujhe..??..Kaise samjha-e tujhe..?? by nashwani in Shayri-E-Dard
Main Tujhe Itana Pyar Doon..!!..Miraj(Miru) by Miraj. in Ghazals
fakharenaveed
Guest
«Reply #16 on: March 10, 2005, 11:59:07 PM »
Reply with quote
DIL S BHULNA ITNA ASAAN KAMA NAHIN HAI
IS MEIN TU KHOON K ANSOON PEENA PARTE HAIN
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #17 on: March 12, 2005, 12:32:08 AM »
Reply with quote
Mujhe tumhari judai ka koi ranj nahin
Mere khayaal ki duniya mein mere paas ho tum
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #18 on: March 12, 2005, 01:48:20 AM »
Reply with quote
MERI ZINDGI BANG GAYE HO TUM
MERI ZOCHON KA MEHWR BAN GI HO TUM
Logged
jalpari
Guest
«Reply #19 on: March 12, 2005, 09:35:08 PM »
Reply with quote
Nice Aryaan n Naveed!!!
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #20 on: March 12, 2005, 11:24:15 PM »
Reply with quote
THANX JALPARI
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #21 on: March 14, 2005, 05:58:34 PM »
Reply with quote
Hum jab apne dard ko dil se judaa karne lage
Yeh zakhm hamare marne ki dua karne lage
Hum ne jaan de di, unhein aaya na pyar phir bhi
Upar se mere baad ghairon se wafaa karne lage
Kambakht zubaan ko ab koi aur shay bhaati nahi
Hum jab se apne ashkon ka nasha karne lage
Woh nazar aate nahi ke khul jati hai neend
Mere khwaab meri chahat se dagha karne lage
Mere dushman khat unhein ponhcha rahe hain
Unn ke dost mere zakhmon ki daawa karne lage
Rote hain hum to gham ke maare aai jaan-e-chaman
Kyun aankhein aap maili be-wajah karne lage
Abhi likhna tha be-wafaa likhne laga tha
Mere kalaam mere hathon se gilah karne lage
Logged
nishita
Guest
«Reply #22 on: March 16, 2005, 11:11:14 AM »
Reply with quote
waah aryaan.. gud work buddy Usual Smile
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #23 on: March 16, 2005, 11:32:37 AM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"
Tujhe apne dil se main kaise bhula doon
Teri yaad hi tau meri zindagi hai
Tujhe kya khabar hai keh tujhse bichar kar
Tarap kar harr ik pal guzaara hai main ne
Judai ke gham se pareshan ho kar
Kai baar tujh ko pukaara hai main ne
Sadaa de raha hai tujhe pyar mera
Meri zindagi tu, kahan kho gai hai
Tujhe bhool jana nahi mere bas mein
Mujhe dard de kar chale jaane waale
Tere gham se daaman, main kaise churaa loon
Harr ik baat par mujh ko yaad aane waale
Inn aankhon mein harr dam jale ga tera gham
Kabhi na bujhe jo yeh woh raushni hai...


very nice aryan ........itna toching kaise likh lete ho ki har post padh ke aankhen nam ho jati hai humari sach keh rahe hain hum

tum bhulana bhi chaho jo hume tuh bhul nahi paoge
ki hum tuh dadkhano main baste hai tumhare dil ki
jab bhi akela mehsus karoge tum khudko sanam
hume hamesa hi apne dil ke bahut kareeb paoge
tum jante ho ki hum bewaffa nahi the majbur the
lekin dil ko jab bhi tum tatologe mere apni hi tasvir usme paoge
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #24 on: March 16, 2005, 04:20:11 PM »
Reply with quote
Bohat shukriya Nishita & Sandhaya.....n nice reply Sandhya.....Usual Smile

Sandhaya.. kya kahoon harr hassaas dil ke sath aisa hi hota hai, dil mein dard hota hai, aur jab dard apni shiddat ikhteyar kar jaye tau aankhon ke raste lahoo ki soorat mein behne lagta hai......
Aapki tareef ka behadd shukriya!
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #25 on: March 17, 2005, 05:26:59 AM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"
Bohat shukriya Nishita & Sandhaya.....n nice reply Sandhya.....Usual Smile

Sandhaya.. kya kahoon harr hassaas dil ke sath aisa hi hota hai, dil mein dard hota hai, aur jab dard apni shiddat ikhteyar kar jaye tau aankhon ke raste lahoo ki soorat mein behne lagta hai......
Aapki tareef ka behadd shukriya!


thanks aryan bas aapke imotions ko mehsus karne ki kosish kar rahi thi

Aryan sayad aap teek keh rahe ho ki dard khudko bayan karne ke liye khud_b_khud lafj talash leta hai.
phir bhi sukriya.......aryan aur dua karti hun ki aapke dard abh tham jaye aur sirf khusian hi milen aapko
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #26 on: March 17, 2005, 04:02:42 PM »
Reply with quote
Thanks Sandhaya... so nice of you.....Aapki duaon ka bohat bohat shukriya....

Koi duniya mein nahi mera
Mere bare mein log kehte hain
Main, mera dard, aur meri tanhaai
Jab Ke Harr waQt sath rehte hain..
Logged
nikki
Guest
«Reply #27 on: March 17, 2005, 04:08:49 PM »
Reply with quote
WAO...VERY NICE..
Logged
immi
Guest
«Reply #28 on: March 17, 2005, 04:10:08 PM »
Reply with quote
Kiya baat hai Aryaan !! bahot khoob
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #29 on: March 17, 2005, 04:36:30 PM »
Reply with quote
Shukriya Nikki & Immi.....Usual Smile
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 04:38:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer