Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum...!!!

by Talat on November 28, 2006, 09:04:00 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2923 times)
abdulqadeer
Guest
«Reply #15 on: February 05, 2009, 06:28:50 AM »
Reply with quote
Maafi chahonga ye ghazal jub post ki gayi thi tab shayad mera yoindia se taluq nahi tha !! magar ye bahoth taklif de bath hai ke itni achi ghazal tadapti rahe ga-e- dad ke liye !! aur eak baat bata dena chahta hon sub ko ke shayar dad ka mahotaj nahi hota magar shayari zaroor hoti hai !! agar miyari dad na mile to us jaga ki tauhin hai jahan ghazal rakhi gayi !! aur ye kahete howe sharm ati hai ke itni achi ghazal ko kissi ne miyari dad nahi di !! aur mai shayari se behad mahobbath aur insaaf karne ka adi hon isiliye ye sub kahe raha hon aur shayari se mera khuch is qadar laga-o- hai ke agar wo dushman ki bhi likhi ho to dad ke liye zaban machal jaati hai !! aur mera nature zara aisa hi hai  jo bhi kahena hota hai kahe deta hon !! aur ye na kissi ki taraf dari hai na tait jo bath sach hai wo sach hai !! ghazal ke ahesas aur alfaz umda dad pane  ka hausla rakhte hain !! isiliye ye sub likhne pe majboor ho gaya agar khuch galath kaha ho to maafi chahata hon !! allah sub ko khush rakhe aur taufeeq de !! aur jisne bhi isper comments diya hai unka shukriya ada  karna chahiye yoindio ko ke unlogon ne is ghazal ki laaj rakh li aur ghazal ko marne se bachalaya !! thanks pooja ji , sofi ji ,

 Applause Applause Applause
Aur subhan allah kya kahene is ahesaas ki har ashar dard ki khuli kitaab hai aur hamdardi ki umda missal hai !! allah apko khush rakhe talat ji !!

Qadeer Toopchi
Logged
Talat
Guest
«Reply #16 on: February 05, 2009, 07:38:17 AM »
Reply with quote
Qadeer Ji,

Kaise aap ka shukriya karun, jo lafz aapne is ghazal ko diye hain....mere paas likhne ke liye koi lafz nahin.......dil se bas dua nikalti hai....bohot bohot shukriya...bas isi tarah himmat afzaai karte rahiyega....waqai ye ghazal dil ke bohot bohot qareeb hai....aur ise aapne ek baar phir jila kar bohot khushi di hai.......!
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #17 on: February 05, 2009, 08:00:07 AM »
Reply with quote

Janab aisei ghazlon ki jilaya nahi jaata ye hamesha zinda rahti hain !! bus qadar dano ki qalat fahemi se dabi hoti hain !! allah sub ko kalamo ko samjhne ki aur nawazne ki taufeeq ata kare !! ameen !!

Qadeer Toopchi
Logged
Deepati
Guest
«Reply #18 on: February 05, 2009, 08:08:31 AM »
Reply with quote
Thak jaao gar pathreele raaston pe chalte hue
Kabhi soch na lena ki wahan tanha ho tum
Moond kar palkon ko apni jo tum dekhoge
Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum

Waqt ki garmi jo jhulsaane lage wujood
Meri chahat ki nami ko mehsoos karna
Jo sard hawaain zamane ki aane lagen paas
Meri wafaaon ki garmi ko mehsoos karna

Har waqt bura kat jaat hai, yaqeen karna
Ankhon main kabhi tum ashk na bhar lena
Ghum barh jaaye, muskurahat khone lage
Apni duaaon main mujh ko paaoge tum

Ishq naam to nahin hai milan ka, deedar ka
Dil se dil ka mil jaana hai naam-e-mohabbat
Jo yaad aa jaaye meri, na samjhna ki door hoon
Apne seene main dhadakta mujhe paaoge tum

Main tumse juda to nahin hoon mere humdum
Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum

It is indeed very beautiful poetry, Celmira Ji Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #19 on: February 05, 2009, 01:31:25 PM »
Reply with quote

Janab aisei ghazlon ki jilaya nahi jaata ye hamesha zinda rahti hain !! bus qadar dano ki qalat fahemi se dabi hoti hain !! allah sub ko kalamo ko samjhne ki aur nawazne ki taufeeq ata kare !! ameen !!

Qadeer Toopchi

Shukriya Qadeer Ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #20 on: February 05, 2009, 01:32:02 PM »
Reply with quote
It is indeed very beautiful poetry, Celmira Ji Applause

Thanks a lot Deepati Ji, aapne ise padha aur saraha...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #21 on: February 05, 2009, 01:36:00 PM »
Reply with quote
Shukriya Qadeer Bhaiya, Is Soyi GHazal Ko Jagaane Ke Liye,.

Aur Bohat Bohat Achcha Likhaa Hai Aapne, Talat Didi,.

Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #22 on: February 05, 2009, 01:55:05 PM »
Reply with quote
Mere bhai janasheen aj tumhari nazar do ashar karta hon agar samjh gaye to ro padoge !!

Deke saqath waqon ka dilasa "Qadeer"
Ajab log the wo pather ubalne wale !!

Aur eak ye ashar jisme shayari ka matlab chupa hai !!

Sher shayari kya hai Qadeer Eak alfaz ka namuna !!
ye hunar hai samandar-a-jazbath ko quze band karna !!

Qadeer Toopchi
Logged
Talat
Guest
«Reply #23 on: February 05, 2009, 02:01:00 PM »
Reply with quote
Shukriya Qadeer Bhaiya, Is Soyi GHazal Ko Jagaane Ke Liye,.

Aur Bohat Bohat Achcha Likhaa Hai Aapne, Talat Didi,.

Shukriya Azeem
Logged
Talat
Guest
«Reply #24 on: February 05, 2009, 02:04:04 PM »
Reply with quote
Mere bhai janasheen aj tumhari nazar do ashar karta hon agar samjh gaye to ro padoge !!

Deke saqath waqon ka dilasa "Qadeer"
Ajab log the wo pather ubalne wale !!

Kya khoob kaha hai Qadeer Ji waqai aankhain nam karne waala sher hai ye !

Aur eak ye ashar jisme shayari ka matlab chupa hai !!

Sher shayari kya hai Qadeer Eak alfaz ka namuna !!
ye hunar hai samandar-a-jazbath ko quze band karna !!

Qadeer Toopchi

Aue ye sher sachchaiyan bayaan karta hua hai...Bohot Khoob Qadeer Ji
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #25 on: February 05, 2009, 02:16:40 PM »
Reply with quote
Kya khoob kaha hai Qadeer Ji waqai aankhain nam karne waala sher hai ye !

Aue ye sher sachchaiyan bayaan karta hua hai...Bohot Khoob Qadeer Ji

Shukriya bahen !! apne ashar ke ahesas ko pad liye aur shayad wo manzar bhi samjh liye hoga jis "maa ne bartan me patharon ko ubalke bachon ko ye dilasa diya tha ke khana ban raha intezaar karo" Duniya ki sub se bat tarin aur qatarnak bimari hai "Garibi" allah nijaad de isse sub ko !! kabhi maine in ankon se aise logon ko bhi dekha jo bhook ki taab ko mitane ke liye aas bhari nazar khane ki taraf dekha karte hain !! allah har bhuke ko risk ata kare aur tan dhapne ke liye kapda ata kare !! ghar na bhi ho to asmaan ke niche guzara ho jata hai !! allah qair de aur sub sukoon de !! Ameen , Ameen , Ameen , kasam khuda ki ab mere ankh se pani a raha hai !! khuch app beeti samne agayai jiska kabhi maine samna kiya tha " Bhuk "!!

Qadeer Toopchi
Logged
Talat
Guest
«Reply #26 on: February 05, 2009, 02:33:05 PM »

Bilkul Sach kaha hai aapne Qadeer Bhai Khuda kisi ko bhooka na sulaaye, sab ki muflisi door kare (Ameen).
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #27 on: February 05, 2009, 03:03:23 PM »
Reply with quote
Mere bhai janasheen aj tumhari nazar do ashar karta hon agar samjh gaye to ro padoge !!

Deke saqath waqon ka dilasa "Qadeer"
Ajab log the wo pather ubalne wale !!

Aur eak ye ashar jisme shayari ka matlab chupa hai !!

Sher shayari kya hai Qadeer Eak alfaz ka namuna !!
ye hunar hai samandar-a-jazbath ko quze band karna !!

Qadeer Toopchi

Waah Wah Waah, Kya Baat Kahi Baat Kahi Hai Bhai Aapne,.
Sach Mein Dil Ki Gehraai Tak Utarne Ki Ashaar Kehdiye,.

Pehle Ke Do Ashaar To Us Daur ke The, Jahaan Pait Par Patthar Baandhkar Jeeya Karte The,.
Subhan Allah Bhai, Kitni Baareeki Talaashi Hai Aapne,.

May Allah Bless You,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #28 on: February 05, 2009, 03:10:46 PM »
Reply with quote
Shukriya bahen !! apne ashar ke ahesas ko pad liye aur shayad wo manzar bhi samjh liye hoga jis "maa ne bartan me patharon ko ubalke bachon ko ye dilasa diya tha ke khana ban raha intezaar karo" Duniya ki sub se bat tarin aur qatarnak bimari hai "Garibi" allah nijaad de isse sub ko !! kabhi maine in ankon se aise logon ko bhi dekha jo bhook ki taab ko mitane ke liye aas bhari nazar khane ki taraf dekha karte hain !! allah har bhuke ko risk ata kare aur tan dhapne ke liye kapda ata kare !! ghar na bhi ho to asmaan ke niche guzara ho jata hai !! allah qair de aur sub sukoon de !! Ameen , Ameen , Ameen , kasam khuda ki ab mere ankh se pani a raha hai !! khuch app beeti samne agayai jiska kabhi maine samna kiya tha " Bhuk "!!

Qadeer Toopchi

Allah, Sabki Hifazat Kare Bhai, Maine Bhi Bhook Ko Bohat Saha,.
Allah Sab Ki Tangdasti Door Kare,.

Aameen,.
Logged
SaniyaS
Guest
«Reply #29 on: July 29, 2013, 03:11:48 AM »
Reply with quote
lovelyyyyyy
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 03, 2024, 02:35:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer